Friday, July 31, 2009

TuJhe Hm BhooL Na Paye Koi To BaaT Hy TuJh Mai

TuJhe Hm BhooL Na Paye Koi To BaaT Hy TuJh Mai
Nazar uTh Kr na Jhuk Pai Koi To BaaT Hy TuJh Mai..

Teri AnkHain, Tera Chehra, Tere AnDaz Kya KeHna
YakJaa Hyn Hussn k SaB Shahkar Ek TuJh Mai..

Mere DiL Ki Tarap Se Jaane Tu KaB AsHna Hoga
Tere Bin Jee Nhi PaTa Meri Jaan Hy TuJh Mai..

Khuda Jaane Mera Junoon MuJhe Kya Kya DikHaye Ga
TuJhe Paya Hy KhuD Main Or KhuD Ko Paa Liya TuJh Mai..

TmHe Meri ChahaT Se Kuch HasiL Nhi Hoga
MuJhe Phr Se Nhi Kehna Meri Pehchan Hy TuJh Mai..!!

Saffaak Thi Woh Bhi,Chaalaak Thi Woh Bhi

Khilwat mein khula hum pe k baibaak thi woh bhi
Mohtaat thay hum laug bhi,chaalaak thi woh bhi
.
.
Afkaar mein hum laug bhi thehray thay qadd aawar!
Pindaar mein "Hum qaamat-e-afllaak" thi woh bhi
.
.
Ussay paas-e-adab,sang sift azm tha uska
Ussay sail talab,surat-e-khashaak thi woh bhi
.
.
Jiss shab ka giraibaan tere haathon se hua chaak
Aey subah k suraj,meri poshaak thi woh bhi
.
.
Ik shokh kiran choomnay utri thi gulon ko
Kuch dair mein paiwast-e-rage-khaak thi woh bhi
.
.
Jiss aankh ki junbish pe hueen nasb saleebain
Maqtil mein humain dekh k namnaak thi woh bhi
.
.
Dekha jo ussay,koi kashish hi na thi us mein
Socha jo ussay,haasil aur idraak thi woh bhi
.
.
Jo harf mere lab pe raha zehr tha  faysal
Jo saans mere tann mein thi,saffaak thi woh bhi...!!! 
__________________

Shikasta aainaun ki kirchiyaan acchi nahin lagteen

Shikasta aainaun ki kirchiyaan acchi nahin lagteen
Mujhe waadon ki khaali seepiyaan achhi nahin lagteen
.
.
Guzishta rut k rangon ka asar dekho k ab mujh ko
Khulay aangan mein urrti titliyaan achhi nahin lagteen
.
.
Woh kiya ujrra nagar tha,jiss ki chahat k sabab ab tak
Hari bailon se uljhi tehniyaan achhi nahin lagteen
.
.
Dabay paaon hawa jin k charaghon se behalti ho
Mujhe aisay gharon ki khirrkiyaan achhi nahin lagteen
.
.
Bhalay lagtay hain toofaanaun se larrtay baadbaan mujh ko
Hawa k rukh pe chalti kashtiyaan achhi nahin lagteen
.
.
Yeh keh kar aaj us se bhi talluq torr aaya hoon!
Meri Jaan,mujh ko ziddi larrkiyaan achhi nahin lagteen
.
.
Kiss ghar mein rasn basta rahain jo raat din faysal
Mujhe aksar woh sehmi hirniyaan achhi nahin lagteen...!!!

HIJR MOSAM ME YE BAARISH KA BARASNA KESA,

HIJR MOSAM ME YE BAARISH KA BARASNA KESA,
EK SEHRA SE SAMANDAR KA GUZRNA KESA . . .

AY MERE DIL NE PRESHAN HO TANHA HO KER,
WO TERE SATH CHALA KAB THA BICHHRNA KESA . . .

LOG KEHTE HAN GULSHAN KI TABAHI DEKHO,
MEIN TO VEERAN SA JUNGAL THA UJARNA KESA . . .

DEKHNAE ME TO KOI DARD NAHI, DUKH BHI NAHI,
PHIR YE AANKHON ME YUN ASHKON KA UBHRNA KESA . . .

BEWAFA KEHNE KI JURRAT BHI NA KRNA USS KO,
USS NE IQRAR KIYA KAB THA, MUKARNA KESA . . .

Kuch bhi nahi hai khas in dino,

Kuch bhi nahi hai khas in dino,
Tum jo nahi ho pas in dino,

Lagta nahi dil tujh bin,
Kaisa hai ye ehsas in dino,

Lot aye jane kis pal bhole se,
Lagi rehti hai dil ko aas in dino,

Tum aa jao behl jae shaed,
Dil both udas hai in dino,

Ik darya sa beh raha hai phir be,
Jane kaisi pyas hai in dino,

Har lamha chahta hai dil kitna tujko,
Kia tum ko ehsas hai in dino.

Hum Ne Ulfat Ka Bharam Sub se Juda Rakha Hai

Hum Ne Ulfat Ka Bharam Sub se Juda Rakha Hai
Goya Seenay mein tujhe dil ki jagah rakha hai

Dil ye chahe k tu kabhi badnam na ho 
Daikh zikar tera hai magar naam chupa rakha hai

Mera jis hath se kya tha tu ne musafha
Dhoya hi nahi honton se laga rakha hai

Ab mein samjha tere Rukhsar pe TIL ka matlab
Dolt-e-Hussan pe derban bitha rakha hai

Juda hogaey hain to phir kya huwa "faysal"
Teri tasweer ko seeney me saja rakha hai

Maarka Ab Kay Howa Bhi Tu Phir Aisa Ho Ga

Maarka Ab Kay Howa Bhi Tu Phir Aisa Ho Ga
Teray Derya Pay Meri Piyas Ka Pehra Ho Ga

Us Ki Ankhain Teray Chehray Pay Bohat Bolti Hain
Us Ne Palkoon Se Tera Jism Trasha Ho Ga

Kitnay Jugnoo Isi Khawish Mai Meray Saath Chalay
Koi Rusta Teray Gher Ko Bhi Tu Jata Ho Ga

Mai Bhi Khud Ko Bhulaai Howay Phirta Hoon Bohat
Aiena Us Ne Bhi Kuch Roz Na Dekha Ho Ga..!!

Raat Jalthal Meri Ankhoon Mai Uter Aya Tha
Sorut-e-Aber Koi Toot Kay Barsa Ho Ga

Yaa Mashihai Usey Bhool Gaye Hai faysal
Yaa Phir Aisa Hai Mera Zakhum He Gehra Ho Ga

Misal-e-Mouj-e-Hawa Dar-ba-Dar Wo Aisa Tha

Misal-e-Mouj-e-Hawa Dar-ba-Dar Wo Aisa Tha
Bicher Kay Phir Na Mila, Humsaffer Wo Aisa Tha

Khud Apney Sir Lia Ilzam-e-Bewaffai Tak..!!
Kaha Na Kuch Bhi Usey, Moutber Aisa Tha

Usey Basaai Howay Thi Bala Ki Rawani....!!
Diya-e-Hijar Mai Abaad Gher Wo Aisa Tha

Kay Jaisay Chand Musaafut Se Maand Par Jai
Pas-e-Ghilaf-e-Ghubaar-e-Saffer Wo Aisa Tha

Bus Ek Khawaab Ne Neendain Nichore Leen Apni..!
Sama Gaya Meri Nus Nus Mai, Dar Wo Aisa Tha

Laho Laho Meri Ankhain, Hai Taar Taar Qaba
Kay Hadsa He Meri Jaan Mager Wo Aisa Tha

Zameen Pay Us Kay Kattay Bazuoon Ka Saya Hai..!
Addu Kay Samnay Seena Sapper Wo Aisa Tha

Usi Ka Kaam Tha Zakhmoon Ki Parwarish faysal
Usi Kay Naam Duaa, Chahrager Wo Aisa Tha.......!!!!

Kahan hai roh kahan dil kahan laho mujh main

Kahan hai roh kahan dil kahan laho mujh main
sar-e-wajoud koe hai tu sirf tu mujh main

kuch es tarha se hoa hai dayar-e-dil barbaad
machi hoe hai har ek simt haao ho mujh main

meray wajoud se bahar koe hareef nahi
chopa hoa hai kahen par mera adoo mujh main

tu pher ye ishq k dawe tamaam jhotay hain
sama saka jo na main tujh main aur tu mujh main

kabhi naiga ko bhatakne nahi diya us ne
wo eak shaks k rehta hai Qibla ro mujh main

jo muztarib hai ragoun main laho nahi faysal
ye rahru hai koe mehwe justajo mujh main

Dost'dushman ko batana kahen par jata ha

Dost'dushman ko batana kahen par jata hai
u bhe ye rishta nibhana kahen par jata hai

kajj tu ham rakhte hain dastar-e-ana ko apni
kia kahen'sar ko jhokana kahen par jata hai

apne mazi ka koe naqsh sambhalay rakhna
kaun thay,kia thay,batana kahen par jata hai

wo tu milne ki bohat karta hai koshish ham se
rah main uski zamana kahen par jata hai

kia ye lazim hai har baar hadaf bhe ho koe
teer be-simt chalana kahen par jata hai

kia zarori hai k lo ham se mulaqat ka waqt
yaroun be-waqt bhe jana kahen par jata hai

Meer sahab ki tarha kahay ko rotay gozray
han hamain hansna hansana kahen par jata hai

Thursday, July 30, 2009

Rahi Manziloon pe Nazrain Humsafar Kho gai

Rahi Manziloon pe Nazrain Humsafar Kho gaiMeri Taqdeer k Chand Ubharte Ubharte So gaiNaya Hadsa Her Lamha Zindagi Ne kia Ata,Mere Jevan k Raste SAb Zer-o-Zabar Ho gaiNa Umidi Kufar k Jaise Kate Din Rat Mjhe,Khushi K lamhe Ajab Gumoon K Kante Chubho gai.Betab Rahe BAdnam Hue, Jeet K Bhi Nakam Hue,Bouhat Bachaya Lekin Hona Tha Barbad ho gai.Ek Sham Sohani Sochi Hai Tere Pehlo Main Guzaroonga,Meri Soch Ki Janatoon Main wo jahanamain Bo Gai.Tu Mera Hai Yeh Arman Is Dil Main Chupai Bettha Hoon,Tum ARman The Tum ARman RAhoge aur Tum ARman ho Gai.Un Ka mere Gumoon Sai Ek Ajeeb Rishta Tha faysal,Tum ne Daman Chora To Yahan TUm Gai Wahan Wo GAi

Popular Posts