Tuesday, September 22, 2009

Kabhi to aisa sawan aye

Dil Chahta hai Badal ayain
Ghor andhaira cha jaye
Badal cham cham toot ke barsain
Sara sheher naha jaye
Main bhi us baarish main bheegoon
Sab kuch bhool ke nachoon gaoon
Khulay aasman ke neechay
Darakht main jhoola dal ke jhooloon
Baarish barasti jaye
Aur main itna bheegoon ke
Saray dukh aur gham aur yadain
Sab us main beh jayain
Har pachtawa aur har sapna
Har khwahish beh jaye
Aay mere Malik!
Kabhi to aisa sawan aye
__________________

Rang To Laye Gi Sawan Ki Ghata Merey Ba'ad


Rang To Laye Gi Sawan Ki Ghata Merey Ba'ad
Tuj Ko Tarpa'ey Gi Sawan Ki Ghata Merey Ba'ad

Ek Ek Bond Ko Tarsi Hon Magar Janti Ho
Jhoom Kar Aaye Gi Sawan Ki Ghata Merey Ba'ad

Yeh Ghata Surkh Hai,Lagta Hai Kuch Aisa Mujhey
Khon Barsaye Gi Sawan Ki Ghata Merey Ba'ad

Kis Qadar Garam Hawa Hai K Badan Toot'ta Hai
Aag Barsaye Gi Sawan Ki Ghata Merey Ba'ad

Haan Rulaya Hai Bohaat Aur Sataya Hai Bohaat
Kis Ko Tarpa'ey Gi Sawan Ki Ghata Merey Ba'ad

Tum na aye ek din ka wada kar do din talak

Tum na aye ek din ka wada kar do din talak
Ham pare tarpa kiye do do pahar do din talak

Dard-e-dil apna sunta hoonn kabhi jo aik din
Rehta hai us naznin ko dard-e-sar do din talak

Dekhte hain khwab mein jis din kisi ki chashm-e-mast
Rahte hain ham do jahan se bekhabar do din talak

Gar yaqeen ho yeh humein ayega tu do din kay bad
Tu jiyen ham aur is umeed par do din talak

Kya sabab kya wasta kya kam tha batlaiye
Ghar se jo nikle na apne tum "Zafar" do din talak

Meri ankhon main sawan tha..

Teri ankhon si ankhain
Aaj ek chehray pe dekhi hain
Wohi rangat, banawat
Aur wesi be-rukhi un main
Bichartay waqt jo mene
Teri ankhon main dekhi thi
Teri ankhon si ankhon ne
Mujay ek pal ko dekha tha
Wo pal ek aam sa pal tha
Puranay kitnay mousam,
kitnay manzar mene dekhay thay
Meri jaan main ye samjha tha
Teri ankhon si ankhain jab
Meri ankhon ko dekhain gi
To aik lamhay ko sochain gi
Ke in ankhon ko pehlay bhi
Kisi chehray pe dekha hai
Magar in jheel ankhon main
Shanasaayi nhi jagi
Meri ankhain !!
Teri ankhon si ankhon k liye
Kab Khaas ankhain thin
Teri ankhon ne shayed ye
Keyi chehron pe dekhi hon
Ke ye to aam aankhain hain
Main aisa soch sakta tha
Magar main kia karon dil ka
Jo ab yeh yaad rakhay ga
Teri ankhon si ankhain
Main ne ek chehray pe dekhi thin !!
Phir us kabaad kitnay din
Meri ankhon main sawan tha..
__________________

saawan men barsaat zaroori hoti hey


saawan men barsaat zaroori hoti hey
dil se dil ki baat zaroori hoti hey
jagmag kertay chaand k pehloo men
taaron ki baaraat zaroori hoti hey
is jeewan men har pal jeetnay waalay ko
kabhi kabhi to maat zaroori hoti hey
din ki shaan o shookat qaaaim rakhnay ko
andhi kaali raat zaroori hoti hay
piyaar naveed zaroori hey yun jeenay ko
jaisay apni zaat zaroori hoti hay

Badli saawan ki koi jab bhi barasti hogi.


Theek se so na saki hogi khayalon se mere.
Karvatein raat bhar bistar pe badalti hogi.

Koshishen jitni bhi ki hongi bhulaane ki mujhe.
Yaad utni hi meri aur ubharti hogi.

Dar pe aahat si hui hogi hawa se jab bhi.
Dhadkanen dil ki bahot tez dhadakti hogi.

Khat na aane ka sabab jaan liya hai maine.
Kahin ruswai na ho jaye, wo darti hogi.

Poochti hogi hawaon se mera haal e dil woh
Uski galiyon se hawa jab bhi guzarti hogi.

Apne seene se laga kar meri tasveer ko woh
Aahen raaton ko mere pyar mein bharti hogi.

Jhooti aane ki khabar paake woh meri "faysal".
Kabhi sajti to kabhi aur sanwarti hogi.



_________________

Pyaar

Main Ne Parindo Se Pyaar Kya To,,
Woh Urh Gaya

Main Ne Sooraj Se Pyaar Kya To,,,
Woh Gharoob Ho Gaya

Main Ne Chand Se Pyaar Kya To,
Woh Badlon Main Chup Gaya

Main Ne Pani Se Pyaar Kya To,
Woh Beh Gaya

Main Ne Baraf Se Pyaar Kya To,
Woh Pighal Gaya

Main Ne Barish Se Pyaar Kya To,
Woh Baras K Thum Gaya

Main Ne Aag Se Pyaar Kya To,
Woh Bujh Gai

Main Ne Phoolon Se Pyaar Kya To,
Woh Murjha Gaya

Main Ne Kanto Se Pyaar Kya To,
Wo Toot Gaya

Main Ne Janwaron Se Pyaar Kya To,
Woh Meri Zaban Na Samjh Sakay

Or Jab..Main Ne Insaan'on Se Pyaar Kya To,
Woh Be-Wafa Niklay



_________________

Hum se yon na mila karo aey tanhayee


Hum se yon na mila karo aey tanhayee
Shayad hai itni kurbat mein ruswayee

Tanha behta baatein kerta hoon
Tanha hoon magar saath hai tanhayee

Behta rehta hoon saath us ke batein kerte
Ke kabhi apni si lagti hai tanhayee

Hum se yon na mila karo aey tanhayee
Shayad hai itni kurbat mein ruswayee

Waqt guzerte maloom nahi hota
Batein kerte kerte sula deti hai tanhayee

Hansta rehta hoon saath us ke
Ke hanstii hai tanha dekh ker meri tanhayee

Kuch kehti nahi mere bare mein
Bina kahe kuch keh jaati hai meri tanhayee

Tanha behte baatein kerta hoon
Tanha hoon magar saath hai tanhayee

Hum se yon na mila karo aey tanhayee
Shayad hai itni kurbat mein ruswayee



_________________

Aey meri ham raqs mujh ko tham lay !

Aey mri ham raqs mujh ko tham lay !

Zindagi say bhag kar aaya hon main
dar sar larzan hon, kahin aesa na ho
raqs geh kay chor darwazay say aakar zindagi
dhoondh lay mujh ko, nishan pa lay mra
aur jurm aesh kartay dekh lay

Aey mri ham raqs mujh ko tham lay !

raqs ki ye gardishen
aek mubham aasia kay daor mein
kaisi sargarmi sy gham ko roondta jata hon main
jee mein kehta hon keh han
raqs geh mein zindagi kay jhanknay say paishtar
kulfaton ka sanriza aek bhi rehnay na payay

Aey mri ham raqs mujh ko tham lay

Zindagi meray liyay
aek khooni bherdyay say kam nahin
Aey haseen o ajnabi aurat! usi kay dar say main
ho raha hon lamha lamha aur bhi teray qarib
janta hon too meri jaan bhi nahin
tujh say milnay ka phir imkan bhi nahin
too mri un aarzoown ki magar tamseel hay
jo rahin mujh say gurizan aaj tak

Aey mri ham raqs mujh ko tham lay !

Ahd e piraan ka main insan nahin
bandgi say is dar o diwar ki
ho chuki hen khawahishen be sooz o rang o natawan
jism say teray lipat sakta to hon
zindagi par main jhapat sakta to hon
is liyay ab tham lay
Aey haseen o ajnabi aurat !
mujhay ab thaam layyyyyyyyy



_________________

Shakist e Zindan Ka Khawab


Shakist e Zindan Ka Khawab


Kiun hind ka zindan kanp raha hay
goonj rahi hen takbiren
uktayay howay shayed kuch qaidi
aur tord rahay hen zanjiren

Diwr kay nichay aa aa kar
yon jama howay hen zindani
sinin mein talatum bijli ka
aankhon mein jhalakti shamshiren

Bhookon ki nazar mein bijli hay
topon kay dhanay thanday hen
taqdeer kay lab ko jumbish hay
dam tord rahi hen tadbiren

Aankhon mein gida ki surkhi hay
be noor hay chehra sultan ka
takhrib nay parcham khola hay
sajday mein pardi hen tamiren

Kiya un ko khabar thi
zer o zabar rakhtay thay jo rooh e millat ko
ek roz isi be rangi say
jhalken gi hazaron tasviren

kiya un ko khabar thi
honton par jo qufl lagaya kartay thay
ek roz usi khamoshi say
tapken gi dehkti taqriren

Sanbhlo ! keh woh zindan goonj utha
jhapto ! keh woh qaidi chhoot gayay
uttho ! keh woh bethin diwaren
dordo ! keh woh tootin zanjiren



_________________

Apni Manzil Kay Liyay


Apni Manzil Kay Liyay
*************************

Main nay socha tha tri zulf kay sayay mujh ko
rah e hasti ki musafat mein sahara den gay

Teray rukhsar ki gulrang damak
na umeedi kay andheron say bachayay gi mujhay
Main nay socha tha tra piyar mray jiwan mein
phool aashaon kay mehkyay ga

jin ki anmol mehek
rooh ban kar mray ehsas mein bas jayay gi
kamyabi mray qadmon ki blaen legi
shadmani mra hr naqsh e qadm choomay gi

Mri qismat keh mra khawab adhoora hi raha
kachchay dhagay ki tarah toot gaya ahd e wafa

Umr bhar kay liyay ek dagh raha sinay mein
kitnay anjan andheron nay mujhay gher liya

Rahzan toot parday loot liya zad e safar
main nay socha keh unhen jan e hazin bhi dedon
ek bekaar sa, ye baar e giran
lay kay kahan jaon ga



_________________

Kabhi tamanna k raastay per nikal pero to Khayal rakhna


Kabhi tamanna k raastay per nikal pero to
Khayal rakhna
Hawain , baadil , fizain , mosam , khayal
Chehre badel badel ker tumhain milain ge
To lamha lamha badeltay rangon k shokh dhoke main
Kabhi jo charon tarf tumharay
Kiran kiran apna khwab aisa badan nikhare
Zameen pe utre
To dhundlakon main sama na jana
Kabhi jo aankhon main chaand hans hans k chandni ka
Khumar bher de
To apni aankhain kahin khala main ganwa na aana
K ye na ho phir jo khwab tootay
Dhanak dhanak ka saraab tootay
To jism-o- jaan per azaab tootay
Aur tum ba-mushkil larazte haathon main
Kirchi kirchi baden sambhale
Kahin bulandi pe cherh k risti huee nigahon se
Wapsi k nishan dhoondo



_________________

Mujhay Insaan Matt Kehna


Ager Kuchh naam daina ho ....
Mujhay Insaan Matt kehna .....
Judaa Chehray, Juda bay-shak sabhi ke kaam hotay hai'n ...
Magar Insaaniyat ke abb yahaa'n per daam hotay hai'n ....
Mere Tum daam matt Dena .........
Mujhay ye naam matt Daina .......
Agar kuchh naam daina ho ..
Mujhay Ehsaas keh daina ............
Magar thehro! ................
Mujhay Ehsaas Matt Kehnaa ...................
Mera Buss Naam reh jaay mujhay aisay nahi'n rehnaa ...............
Mujhay Ehsaas Matt kehnaa .................
Ager kuchh naam daina ho, Mujhay saawan he keh daina .........................
Magarr Thehro..............................!
Mujhay saawan nahi'n kehnaa ............
Barasta hai magar rut ke badaltay beet jaata hai ...........
Mujhay Saawan nahi'n kehna ................
Ager kuchh naam daina ho, mujhay aansoo he keh daina ..........
Janam laina kisi ki aankh mai'n, rukhsaar per marna .............
yahi jis ki haqeeqat hai .................
Chalo aansoo he keh daina ................
Magar daikho .....................................
Kisi ki aankh mai'n Mujh ko kabhi aanay nahi'n daina ...............
Ke qeematt aansoo'on ki abb adaa tum se nahi'n ho gee .................
Nahi'n tum yu'n nahi'n kehna .............................
Mujhay Aansoo nahi'n kehnaa ...........
Mujhay aankho'n mai'n bastaa ik hasee'n sapnaa he keh daina ............
Ke sapnay aankh mai'n taaro'n ki tarhaa jhilmilaatay hai'n ........................
Magar Thehro............! .
Mujhay sapnaa nahi'n kehnaa...........
Ke sapnay toot jaatay hai'n ..............
Mujhay Apnaa Nahi'n Kehna .....................
Ke apnay rooth jaatay hai'n .......................!!!!!!!!!!!!



_________________

khwaab ab Husn-e-tasavvur ke ufaq se haiN pare


khwaab ab Husn-e-tasavvur ke ufaq se haiN pare
dil ke ek jazbaa-e-ma’suum ne dekhe the jo khawaab
aur ta’beeroN ke tapte hue sehraaoN meN
tashnagii aabla-paa, sh’ola-bakaf mauj-e-saraab
ye tau mumkin nahiin bachpan ka ko’ii din mil jaaye
yaa palat aaye ko’ii sa’aat-e-naayaab-e-shabaab
phuuT nikle kisii afsurdah tabassum se kiran
yaa damak uTThe kisii dast-e-buriidah meN gulaab
aah ! patthar kii lakiireN haiN ke yaadoN ke nuquush
kaun likh saktaa hai phir umr-e-guzishtaa kii kitaab
beete lamHaat ke soye hue tuufaanoN meN
tairte phirte haiN phuuTii huii aaNkhoN ke Habaab
taabish rang-e-shafaq, aatish ruu-e-Khurshiid
mal ke cHehre pe saHar aayii hai KhuuN aHbaab
jaane kis moR pe, kis raaH meN kyaa beetii hai
kis se mumkin hai tamannaoN ke zakhmoN ka Hisaab
aastiinoN ko pukaareNge kahaaN tak aaNsuuN
ab tau daaman ko pakaRte haiN lahuu ke gardaab
dekhtii phirtii hai ek ek ka munh khaamoshii
jaane kyaa baat hai sharmindah hai andaaz-e-Khitaab
dar-ba-dar thokareN khaate huve phirte haiN savaal
aur mujrim ki tarah unse gurezaaN haiN javaab
sarkashii, phir maiN tujhe aaj sadaa detaa huN
maiN teraa shaa’iir-e-aawaaraa-o-be-baak-o-Kharaab
pheNk phir jazbaa-e-betaab ki aalam pe kamand
ek khwaab aur ai himmat-e-dushwaar pasand



_________________

Kaho Ab Kya Kahoon Tumse,


Kaho Ab Kya Kahoon Tumse,
Batao Kya Likhun Tumko,
Mujhe Tamheed Do Koi,
Mujhe Ummid Do Koi,
Naya Ek Lafz Ho Koi,
Jahan Se Baat Chal Nikle,
Teri Mushkil Ka Hal Nikle,
Bataun Lehja Kaisa Ho,
Ke Tumse Baat Karni Hai,
Mujhe Thoda Ujala Do,
Basar Ek Raat Karni Hai,
Tum Apni Roshan Aankhon Ko,
Agar Kholo To Main Likhun,
Tumhare Lab Se Aayega,
Sukhan Mein Ek Kateela Pan,
Tumhari Aankh De Degi,
Takhatum Ko Nasheela Pan,
Kaho Ab Kya Irada Hai,
Mujhe Izhaar Karna Hai,
Ke Betaabi Zyada Hai,
Kaho...........Ab...............Kya Kahoon........Tumse...



_________________

Na Jaane Ye Yaadein Bhi Kya Chiz Hai,


Na Jaane Ye Yaadein Bhi Kya Chiz Hai,
Jab Aati Hai To Rukne Ka Naam Hi Nahi Leti,
Jab Nahi Aati To Barson Baras Tak Nahi Aati,
Kabhi Kabhi Main Sochta Hoon Jab Hamare,
Apne Hamare Paas Hote Hai To Hamein,
WaQt Ke Guzarne Ka Ehsaas Tak Nahi Hota,
Magar Jab Hamare Apne Humse Door,
Chale Jate Hai Yani Ek Jahan Se Dusre Jahan,
Ek Sheher Se Dusre Sheher Ek Ghar Se Dusre Ghar,
Phir Wo Hamein Najane Kyon Itna Yaad Aate Hai,
Bananewala Aise Rishte Banata Hi Kyon Hai,
Jis Mein Yaad Naam Ki Koi Shay Ho,
Jaane Wale To Chale Hi Jate Hai,
Kisike Chehre Pe Muskurahat Saja Ke,
Aur Kisiki Aankhon Mein Jhilmilate Aansu Saja Ke,
Wo Sab Baatein Bhool Jaate Hai Wo Sab Shikwe,
Bhi Khatam Ho Jate Hai Garz Ke Har Baatein,
Bhula Di Jati Hai Bas Reh Jati Hai To Inki Yaadein,
Jo Hamesha Yaad Rehti Hai In Mehki Hui,
Gulabon Ki Tarah Jo Patti Patti Bankar Bikhar To Jate Hai,
Magar Apni Khushbu Bikher Jaate Hai...



_________________

kitabein jhankti hain



kitabein jhankti hain band almaari kay sheeshon se
bari hasrat se takti hain
maheenoo ab mulaaqat nahi hoti
jo shamein in ki sohbat main kata karti thein,,,,ab aksar
guzar jaati hian computer kay pardon par
bari bachain rahti hian kitabein

zaban par zaiqa aata tha jo in safhe palatne ka
ab ungli click karne se bas
ik jhapki guzarti hai
buhat kuch tah ba tah khulta chala jaata hai parde par
kitabon se jo zaati rabta tha kat gaya hai

kabhi seeny pe rakh ke lait jaate the
kabhi godi main rakhte thay
kabhi ghutno ko apne rahal ki soorat bana kar
neem sajday main parha karty thay,choote thay jabhee se
khuda nay chaha to wo sara ilm to milta rahega baad main bhi

magar who jo kitabon main mila karte thay sookhay phool
kitabein mangne,girnay,uthane kay bahane rishty bante thay
unka kya hoga
who shayad ab nahi hongay!



_________________

suna hoga bohat tum ne ….


suna hoga bohat tum ne ….

kahiN aankhoN ki rim jhim ka

kahin palkoN ki shabnam ka…

parha hoga bohat tumne ….

kahiN lehjay ki barish ka

kahiN sagar ke aansoo ka…

magar tum ne kabhi humdam …

kahin daikhay? kahin parkhay?

kisi tehreer ke aansoo??…!!

mujhe teri judaai ne …

yehi mairaaj bakhshi hai…

ke main jo lafz likhta hooN …

woh saray lafz rotay hain

ke main jo harf bunta hooN …

woh saray bain kartay hain

mere sang is judaai main …

mere alfaz martay hain

sabhi tareef kartay hain …

meri tehreer ki lekin..

kabhi koi nahin sunta …

mere alfaz ki siski…

falak bhi jo hila daalay..

mere lafzoN main hain shamil …

usi taseer ke aansoo…

kabhi daikho mere humdam…

meri tehreer ke aansoo..!!!



_________________

Tere ishq main jo martey


Tere ishq main jo martey
Hum be_missall hotey
Sawal-o-jawab hotey
Rah-e-kamal hotey
Tere ishq ki kahani
Mere dard ki zubani
Mere ishq ki nadani
Urooj-o-zawal hotey
Tere ishq ki aata hai
Mera gham b be_maza hai
Tere ishq main jo martey
Hum be_missall hotey
Teri yaad jo na aati
Meri jaan chali jati
Wafa ki sar-zmeen pe
Hum bhi nehaal hotey
Tere ishq ki jaza main
Bandagi ma, har wafa ma
Tere ishq ka ye shikwa
Ehal-e-zuban bhi kartey
Tere ishq main jo martey
Hum be_missall hotey
Sawal-o-jawab hotey
Rah-e-kamal hotey



_________________

Tum aksar sochty hogy

Tum aksar sochty hogy

Hum tumhai’n yaad nhi kerty

Tumhai’n hum bhool jaty hyn

Magar ye bhool tumhari hy

Asal baat kuch yun hy

K

Jab tum yaad aaty ho

Tou kuch yaad nahi rehta

Aur tumhari yaad main kho kr

Batana bhuul jaty hyn

Humai’n tum aksar
yaad aaty ho …



_________________

Hawa thami thi zaror lakin

Hawa thami thi zaror lakin
Wo sham jaisy sisak rahi thi
K zard patton ko andyhion nay
Ajeeb qisa suna dia
tha…
K jis ko sun k tamam pattay
Sisk rahy thay…
Bilak rahy thay…
Jany kis sanhay k gham mei
Shajar jarron say ukhar chukay thay..
Boht talasha tah hum nay tum ko
Her ik rasta..
Her ik wadi..
Her ik parbat..
Her ik ghatti..
Kahein say teri khabar na ayi..
Tu yeh keh k hum nay dil ko tala..
Hawa thamy get u dikh lein gy..
Hum us k rastoon ko dhoond lein gy..
Magr hamri yeh khuish kahlyi…
Jo hum ko barbad kar gayi thi…
Hawa thami tu zaror lekin..
Barri he mudat guzar chuki thi…
Humary balloon k jangloon mei
Safaid chandi uttar chuki thi..
Falk pay taray ni rahy thay..
Gulab piyary ni rahy thay..
Wo jin say basti thi,dil ki basti..
Wo loog sary ni rahy thay…
Yeh almia sub say balatar tha…
K tum hamry ni rahy thay..
Hawa thami tu zaror lekin…
Barri he mudat guzar chuki thi…



_________________

ye mussafateiN , raah-e-ishq meiN


ye mussafateiN , raah-e-ishq meiN
kon shahr-e-jaaN ki nazar karey
kissey shouq tanhaa safar karey
karey shahr-e-furqat ki arzoo
kon dasht-e-hijraaN ko ghar karey

in raastoN par chalaa kabhii
merey saath ban k wuh hum-safar
jissey samjhaa shareek-e-reh-guzar
sar-e-raah wuh kisi moR par
badley gaa manzil , thii kyaa khabar

mujhey faasiloN ki fikr nahi
merey ru-ba-ru merey khaab heiN
wuh jo manzileiN heiN dhuwaaN dhuwaaN
ye jo be-nishaaN sey heiN raastey
merey waastey ye azaab heiN

ab uss k aur merey darmiyaaN
haail anaa k mizaaj heiN

ussey phir sey milney ki chaah meiN
ab aur chalna muhaal hai
kisey tera itnaa khayaal hai?
kahaaN kon tera hey muntizar?
merey dil ka mujhsey sawaal hai…

meri chaahtoN ka ye haal hai
jo merey junooN ka arooj thaa
wuhi hosloN ka zawaal hai
jo merey liye tha khushi kabhii
wuh ab.. baais-e-malaal hai

meri be-bassi bhi kamaal hai
nahi uss sey milney ki justujoo
na hi waapsii ka khayaal hai…!



_________________

*** DIL-RUBA ***


*** DIL-RUBA ***


Tujhay kia sunaon mein dil-ruba
Tere samny mera haal hy
Teri ek nigaaha ki bat hy
Meri zindagi ka sawal hy
Tery hu'sn per hy meri nazar
Mujhay subho-shaam ki kia khabar
Meri shaam hy teri justuju
Meri subho tera khayal hy
Mery dil jigar main sama bhi ja
Rahy kyun nazar ka bhi faasla
K tery baghair to jan-e-jann
Mujhay zindagi bhi muhal hy
Meri her khushi tery dam sy hy
Meri zindagi tery gham sy hy
Tery dard sy rahy b-e-khabar
Mery dil ki kab ye majal hy...!



_________________

Aaj Kuch To Faisla Kar


" Ajj Kuch To Faisla Kar "


Aaj Kuch To Faisla Kar
Jeene De Mujhe Apne Saath
Ya Phir Mujhe Khud Se Juda Kar,

Bebasi Ki Zindagi Na Mujhe Manzoor Hai Na Tujhe
Phir Chup Se Kyon Rehte Ho,
Kuch To Kehne Ka Hausla Kar
Aaj Kuch To Faisla Kar,

Manzil Jab Dono Ki Ek Hi Thi To,
Alag-Alag Raahon... Par Aakhir Kyon Chal Pade,
Jo Hua So Hua,Ab Chal Saath Mere
Dono Ki Ab Ek Hi Zameen-Aasman Kar
Aaj Kuch To Faisla Kar,

Jahan Rukh Jaayenge Safar Mein
Usse Hi Apni Manzil Samaj Lenge
Ab 'Khwaish" Se Na Koi Faasla Kar,

Jaanta Hoon Is Duniya Mein
Phoolon Ki Kadar Bahut Hai Par
Kabhi To Kaanto Se Bhi Pyaar Kar
Aaj Kuch To Faisla Kar,

Har Shaks Ki Apni Apni Nazar, Apni Apni Soch Hai
Kaun Kya Sochega?
Aisi Baaton Se Khud Ko Na Yuh Bezaar Kar
Aaj Kuch To Faisla Kar,

Zindagi Ki Raahon Mein Bahut Se Log Milenge Tujhe
Par Kya Koi Humsa Mil Paayega?
Aaj Apne Dil Se Yeh Sawaal Kar,

Jeene De Mujhe Apne Saath
Ya Phir Mujhe Khud Se Juda Kar
Par Aaj Kuch To Faisla kar....!



_________________

Popular Posts