Shakist e Zindan Ka Khawab
Kiun hind ka zindan kanp raha hay
goonj rahi hen takbiren
uktayay howay shayed kuch qaidi
aur tord rahay hen zanjiren
Diwr kay nichay aa aa kar
yon jama howay hen zindani
sinin mein talatum bijli ka
aankhon mein jhalakti shamshiren
Bhookon ki nazar mein bijli hay
topon kay dhanay thanday hen
taqdeer kay lab ko jumbish hay
dam tord rahi hen tadbiren
Aankhon mein gida ki surkhi hay
be noor hay chehra sultan ka
takhrib nay parcham khola hay
sajday mein pardi hen tamiren
Kiya un ko khabar thi
zer o zabar rakhtay thay jo rooh e millat ko
ek roz isi be rangi say
jhalken gi hazaron tasviren
kiya un ko khabar thi
honton par jo qufl lagaya kartay thay
ek roz usi khamoshi say
tapken gi dehkti taqriren
Sanbhlo ! keh woh zindan goonj utha
jhapto ! keh woh qaidi chhoot gayay
uttho ! keh woh bethin diwaren
dordo ! keh woh tootin zanjiren
_________________
No comments:
Post a Comment