Tuesday, May 24, 2011

Kho kar mujhay panay ki tamanna na karo tum


Kho kar mujhay panay ki tamanna na karo tum
yon apni muhabbat ko to ruswa na karo tum

Hay tum ko agar ham say taghaful ki shikayat
haal dil e bimaar sunaya na karo tum

Ek baar bhula kar, jo sao baar jataen
ehsan kabhi un ka uthaya na karo tum

Pchhtanay say to behtar Qamar baat yehi hay
hargiz kabhi apnon pe bharosa na karo tum

Kabhi Hum Un se Kabhi Woh Hum Se Rooth Jate Hain


Kabhi Hum Un se Kabhi Woh Hum Se Rooth Jate Hain
Hawa Kuch Chalti Hai Aisi Ke Kinare Choth Jate Hain


Samandar Ki Gehrayi Se Bhi Hote Hain Jo Gehray
Pal Bhar Main Woh Rishtay Kyun Toot Jate Hain

Jin Pe Hota Hai Bharosa Apne Aap se Bhar Kar
Woh Log Dil Ki Dunya Kyun Loot Jate Hain

Teer Chalta Hai Jab Nafrat Ka Un Ki Aakhon Se
Dil Kaanch Ke Hote Hain Aksar Toot Jate Hain

Bara Naaz Tha Mujhe Un Ki Wafaon Par
Zara Zara Si Baat Par Jo Aksar Rooth Jate Hain

mujhe tan se ziyaada, us kaa mann acha laga tha


mujhe tan se ziyaada, us kaa mann acha laga tha
aur us ki shakhsiyat kaa baankpan acha laga thaa

Gharaz mujh ko nahiin thii zaahirii surat se us ki
mujhe tau sirf andaaz-e-suKhan achchhaa lagaa tha

vo siidhii baat bhi kartaa thaa aksar shaayrii meN
mujhe uss kaa yehii diivaanaapan achchhaa lagaa tha

zamaanaa keh rahaa thaa us ke baare meN fasaane
magar mujh ko tau us kaa har chalan achchhaa lagaa tha

dhanak ke raNg hi bhaate haiN aksar laRkiyoN ko
mujhe tau eik saadaa pairahan achchhaa lagaa tha

bane alfaaz aNgaare tau ab hairaan huuN maiN
ke us lahje kaa mujh ko dhiimaapan achchhaa lagaa tha

mire baaloN ki chaaNdii se gurezaaN aaj hai wo
jise kal mera chaaNdii saa badan achchhaa lagaa tha

vo jis dam us ne mujh se khelne ko chaaNd maaNgaa
mujhe bachche kaa apne, bholaapan achchhaa lagaa tha

pariindaa laut ke vaapas qafas meN aa gayaa hai
jise phailaa huvaa niilaa gagan achchhaa lagaa tha

Tujh se milnay k karay dil ye bahanay kia kia


Tujh say milnay kay karay dil ye bahanay kia kia
ishq ho jayay to bantay hen fasanay kia kia

Tujh ko paa lenay ki tadbeer mein dhondhon har soo
main nay dekhay hen teray khawab suhanay kia kia

Main nay aankhon say teri sari balaen lay lin
ranj uthayay hen teray wastay janay kia kia

main hi janoon hon, mujhay waqt nay kia zakhm diyay
mujh pe bitay hen muhabbat mein zamanay kia kia

Ek wohi raaz meray dil mein na thehra pal bhar
aek wohi baat lagi sab ko sunanay kia kia

Ishq Mujhko Nahin, wehshat Hi Sahi


Ishq Mujhko Nahin, Vehshat Hi Sahi
Meri Vehshat Teri Shohrat Hi Sahi
Katta Keeje Na Taalluk Hamse
Kutch Nahin Hai To Adavat Hi Sahi

Mere Hone Mein Hai Kya Rusvayee
Ae Veh Majlis Nahin Khallat Hi Sahi
Hum Bhi Dushman To Nahin Hain Apne
Gair Ko Tujhse Mohabbat Hi Sahi

Apni Hasti He Se Ho Jo Kutch Ho
Aagahi Gar Nahin Gaflat Hi Sahi
Umr Harchand Ki Hai Barke-Kharam
Dil Ke Khoon Ki Fursat Hi Sahi

Hum Koyee Tarqe-Vafa Karte Hain
Na Sahi Ishq Museebat Hi Sahi
Kutch To De Ae Falke-Na-Insaaf
Aaho Fariyad Ki Rukhsat Hi Sahi

Hum Bhi Tasleem Ki Khoo Dalenge
Benayazi Teri Aadat Hi Sahi
Yaar Se Chedh Chali Jaye 'Asad'
Gar Nahin Vasl To Hasrat Hi Sahi

Aawaaz de rahi hai yeh kiski nazar Mujhe


Aawaaz de rahi hai yeh kiski nazar Mujhe
Shayad mile kinara wahin doobkar Mujhe

Chaha Tujhe to khud se Mohabbat si ho gayi
Khone ke baad mil gayi apni khabar Mujhe

Har har kadam pe saath hoon saya hoon mai tera
Ai bewafa dikha to zara bhool kar Mujhe

Duniya ko bhoolkar teri duniya me aa gaya
Le jaa raha hai kaun idhar se udhar Mujhe

Duniya ka har nazara nigahon se chheen le
Kuch dekhna nahi hai tujhe dekhkar Mujhe

Hamara Haal Kab Poocha Gaya Hay


Hamara Haal Kab Poocha Gaya Hay
Hamain Hasrat Say Bas Dekha Gaya Hay

Kisi Ko Khud Say Barh Kar Chahnay Ka
Muhabbat Nam Q Rakkha Gaya Hay

Woh Kal Hoga Jahan Ki Thokroun May
Abhi Barh Kar Jisay Chooma Gaya Hay

Yahan Jis Nay Bhi Ahcay Sher Likhay
Usi Ka R aasta Rokha Gaya Hay

Mere Zakhmoun Say Andaza Laga Lo
K Mujhay Ko Kis Qadar "CHAHA GAYA HAY"

Har Shaam-e-roz Dil Ko Behla Leta Hoon


Har Shaam-e-roz Dil Ko Behla Leta Hoon..
Tanhai Mein Khud Ko Hi.. Dost Bana Leta Hoon..

Kabhi Yaad Unko Kar.. Muskura Leta Hoon..
Guzre Lamho Ko Phir.. Kareeb Bula Leta Hoon..

Shaam Jab Aati Hai.. To Pooch Jaati Hai..
Kyaa Aaj Bhi Aansu Bahaoge? Mein Hans Deta Hoon..

Har Shaam-e-roz Dil Ko Behla Leta Hoon..
Tanhai Mein Khud Ko Hi Dost Bana Leta Hoon..

Zindagi Ko Jeenewala..Aaj Kyun Chup Baitha Hai..
Jab Maa Yeh Poochti Hai.. To Sir Jhuka Leta Hoon..

Ab Mera Yaqeen Kamzor Padta Jaa Raha Hai..
Mohabbat Tere Naam Se.. Dil Darta Jaa Raha Hai..

Pooche Gar Koi..Ke Meri ye Haalat Ka Zime-daar kaun,
To Aaine Mein Dekh Khud Pe Ungli Utha Deta Hoo..

Har Shaam-e-roz Dil Ko Behla Leta Hoon..
Tanhai Mein Khud Ko Hi Dost Bana Leta Hoon…

Kuch B Na Ban Para To Dabo Daingay Safeena


Kuch B Na Ban Para To Dabo Daingay Safeena
Sahil Ki Qasam Minnat-e-Tufaan Na Karaingay

Likh Agar Waqt-e-Rawan


Likh.............
Likh
Agar Waqt-e-Rawan
Tufeeq-e-Muhlat Day Tujhay
Rooh K Awraaq Par
Apnay Badan Ki "DASTAAN"

Koi ghazal suna ker kya kerna


Koi ghazal suna ker kya kerna,
Yoon baat barrha ker kya kerna..?

Tum mere thay tum mere ho,
Duniya ko bata ker kya kerna..?
...
Tum ehad nibhao chaahat say,
Koi rasm nibha ker kya kerna..?

Tum khafa bhi achay lagtay ho,
Phir tum ko mana ker kya kerna..?

Tere dar pe aa k bethay hain,
Ab ghar bhi ja ker kya kerna..?

Din yaad se acha guzray ga,
Phir tum ko bhula ker kya kerna

Apni mohabbat ki koi wazahat nahi karta


Apni mohabbat ki koi wazahat nahi karta
Han yeh dil tere siwa koi chahat nahi karta

Ek hum hain jo inpar khushiyan bhi nichawar kar dete hain
Ek woh hai jo dard bhi inayat nahi karta

Jab bhi isay bhoolnay ki koshish karta hoon
Mere andar hai koi jo meri himayat nahi karta

Apni taqdeer ki kitab main hi shayad mohabbat ka baab nahi
Main tum se koi jana shikayat nahi karta.

fasle mehro muhabbat ko zar kha gaee


fasle mehro muhabbat ko zar kha gaee
zindagi ko kisi kee nazar kha gaee
....

mujh pay iflas kee teergi mustaqil
merai bachoon ka roshan sahar kha gaee
....

mera ghar hi nahi muflisi ka shikar
oor bhi aisai kitnai hi ghar kha gaee
....

dil kai hathon muhabbat main us nai faraib
laakh chaha na kha e magar kha gaee
....

tab hi aya dua kai asar ka yaqeen
jab bala ko dua asar kha gaee
....

zindagi ka rahai kaisai phir aetibar
zindagi zindagi ko agar kha gaee

Waqt burham ho to Puray Kahan arman hongay


Waqt burham ho to Puray Kahan arman hongay.
PaaeNgay hum na sokooN bulkay parishan hongay.

Dust-e-purkhar ki Zahmat bhari Tanhaai Main.
Chaak dil Chaak Jigar Chaak Gariban hongay.

Saath lay Jaingay Qirtas-e-amal Hum apnay.
Dufn jub khaak main hum Sokhta Samaan hongay.

Kum nagahi say mujhay daikh nay walay ekdin.
Meri Qismat kay sitaray bhi daraksha hongay.

Yeh Zamana to sada Aik Saan rahta hi nahi.
Hansnay Walay Bhi Kabhi Maa-e-lay Giryan hongay.

Tum nay Daikha Hay jinhay Shabh Kay Safar mai roshan.
Ab Sitaray woh KhaN Din MaiN NomayaN hongay.

Naz Sujday pay ghalat hoga tumhara Sajid.
Tum say Kitnay Hi Yahain Sajda GuzaraN hongay.

nahi cher un ke tasawwur meN ai bahaar mujhe


nahi cher un ke tasawwur meN ai bahaar mujhe
kissi ki yaad mein rehney day bay qarar mujhe

hawaa nah de mire shauq-e-wafaa ko yooN hamdam
nah kar de Hasrat-e-dil phir gunaahgaar mujhe

jab aayinay taras gaye aur aks dhundlay huay
chaman meN kheeNch laaya Husn-e-naubahaar mujhe

tiraa naSeeb, Gham-e-dil! kabhee to jaage gaa
abhee to rehne de Hasrat kaa too shikaar mujhe

anaa huyee thee muHabbat kee kyoN Hareef bhalaa?
kiyaa shikast-e-anaa ne hai sogawaar mujhe

rahaa nah yaad mah-o-saal kaa shumaar mujhe
huwaa jo ishq meN laaHaq yeh intizaar mujhe

nah jaaooN gee kabhee dunyaa-e-Khwaab mein
nah aaYe gaa kissi waday pay aitbaar mujhe

badi lambi kahani hai, tujhe leikin sunani hai


badi lambi kahani hai, tujhe leikin sunani hai
tera ghum jaan leva yaad teree par suhani hai


ghamoon ko chor bhi detey, sakoon ko tham hi letey
ghamoon sey kya karein leiekin, bari yari purani hai

ghamo tum door hi rehna, samandar ansoon ka hai
baha le jaye na tum ko, ye lehri bhi dewani hai

zameen ko cheerna chahye, hawa pey teyrna chahye
badi pagal sahi leikin yehi yaroon jawani hai

Mohabat bhol bhi jatey, sanam pey yuon na hum martey
magar 'ijaz' baibas hain, ye afat asmani hai

Na Hamari Gazlen Padha Karo Na Hi Hum Pe Gazlen Likha Karo


Na Hamari Gazlen Padha Karo
Na Hi Hum Pe Gazlen Likha Karo

Bus Eik Aag Hi Mere Jism Me
Mujhe Is Tarah Na Chuwa Karo

Jo Utha Hai Daste Talab To Phir
Mere Haq Mein Bhi To Dua Karo

Who Hai Be Wafa Hai Use Khaber
Mujhe Keh Raha Raha Hai Wafa Karo

Yahi Mere Dil Ki Hai Aarazoo
Mere Saamne Hi Raha Karo

Jo Hai Sang Sang Hi Rehne Do
Na Tarash Kar Ab Khuda Karo

Yahan Be Hayayi To Aam Hai
Zara Paas Sharm O Haya Karo

Kabhi Ungliyo Se Fizawon Mein
Mera Naam Yuon Na Likha Karo

Sitam-sha'ar hain, halaat hain, awamil hain


Sitam-sha'ar hain, halaat hain, awamil hain
Saraab dil ki tamanna ke sab muqabil hain

Hazaar shukr ke nakhwat ko ilm hi na hua
muhabbaten bhi to gustakhion main dakhil hain

Wo ek shakhs jo dil main maqaam rakhta tha
Usi ke naam ke tashnay wafa ko hasil hain

Tamam shehr tamanna ke behr main utra
Utar sake na magar ham ke ham to Sahil hain

Ye aur baat ke hasti to mit gai apni
Magar ye zoam ke ehl-e-junoon main shamil hain

Chale To Kat Hi Jaye Ga Safar Ahista Ahista

Chale To Kat Hi Jaye Ga Safar Ahista Ahista
ham us ke paas jaate haiN magar aahistaa-aahistaa

dikhaa denaa usey zaKhm-e-jigar aahistaa-aahistaa
samajh kar, soch kar, pahchaan kar, aahistaa-aahistaa

uThaa denaa hijaab-e-rasmiyaat-e-darmiyaaN lekin
Khitaab aahistaa-aahistaa, nazar aahistaa-aahistaa

abhii taaroN se khelo, chaaNd kii kirnoN se iThlaao
milegii us ke chehre kii sahar aahistaa-aahistaa

dariichoN ko to dekho, chilmanoN ke raaz to samjho
uTheNge pardah_haa-e-baam-o-dar aahistaa-aahista

yooN hii ik roz apne dil kaa qissah bhii sunaa denaa
qit'ah aahistaa-aahistaa, nazar aahistaa-aahistaa

zamaane bhar ki kaifiyat simaT aayegi saaGhar meN
pii'o un aNkhRhioN ke naam par aahistaa-aahistaa

mahak uThegii saarii rah_guzar aahista-aahista


mahak uThegii saarii rah_guzar aahista-aahista
huaa karta hai khushbu ka safar aahista-aahista

diye sirf ek gham ne ziNdagii ko zaaviye kyaa-kyaa
jaliiN ik lau se shammeN kis qadar aahista-aahista

mere husn-e-nazar ka khud mujhe ehsaas tak kyooN ho
jamaal-e-yaar kar aaNkhoN meN ghar aahista-aahista

shuaaeN khud hi apna raasta pahchaan letii haiN
utar aatii hai aankhon meN sahar aahista-aahista

teri yaadeN bhii ik-ik kar ke rukhsat hotii jaatii haiN
bichhaRhte jaa rahe haiN hamsafar aahista-aahista

phir uthii dil meN ek mauj-e-shabaab aahista-aahista


phir uthii dil meN ek mauj-e-shabaab aahista-aahista
Phir aaya ziNdagii meN inqilaab aahista-aahista

samaa kar mujh meN wo aain-e-shabaab aahista-aahista
banaa degaa mujhe apnaa jawaab aahista-aahista

yeh mahfil zaahedaana-e-khushk kii mahfil hai ai riNdo
zaraa is bazm meN zikr-e-sharaab aahista-aahista

merii nazreN mujhii ko rafta-rafta bhoole jaatii haiN
hue jaate haiN jalwe kaamyaab aahista-aahista

na kahiye, haaN na kahiye, aapko mujhse muhabbat hai
nigaaheiN khudd hii de deNgii jawaab aahista-aahista

''Shakeel'' iss darjah maayoosii shuroo-e-ishq meN kaisii
abhii to aur honaa hai Kharaab aahista-aahista

chala aata hai ek mast-e-shabaab aahista-aahista


chala aata hai ek mast-e-shabaab aahista-aahista
duaaeiN ho rahii haiN mustejaab aahista-aahista

haya kushta hooN maiN uThe naqaab aahista-aahista
sukooN se ham_baghal ho izteraab aahista-aahista

sharaab-e-naab de lekin zara ruk-ruk ke jhuk-jhuk ke
nigaah-e-mast kar mast-o-Kharaab aahista-aahista

khud apne husn ka parda hai noor-e-sarmadi teraa
bane jis tarah mehar apnii naqaab aahista-aahista

tasallii ki ye baateiN haiN, ke taRhpane ki baateiN haiN
khaamoshi, phir tabassum, phir Khitaab aahista-aahista

be_hamdillah shoKhii se hua sheer-o-shakar aaKhir
ghula mauj-e-tabassum meN hijaab aahista-aahista

mujhe kyaa niiNd aaegii ke ham-dam maiN ne dekhii haiN
woh aaNkheiN baNd hote, waqt-e-Khwaab aahista-aahista

shabaab-e-husn kii garmii meN hai raNg-e-hayaa shaamil
gul-e-aariz se khiNchtaa hai gulaab aahista-aahista

mohabbat raah kartii hai yooNhii mahboob ke dil meN
ke jaise nashaa kartii hai sharaab aahista-aahista

khulii jo aaNkh, ufaq par ek sitara jhilmilaata thaa
maiN samjha tha ke jaaega shabaab aahista-aahista

''Asar'' is tarah meN misra ''Walii'' ka to suna hogaa
"khitaab aahista-aahista jawaab aahista-aahista"

sarakti jaaye hai rukh se naqaab aahista-aashista


sarakti jaaye hai rukh se naqaab aahista-aashista
nikalta aa rahaa hai aaftaab aaista-aahista

javaaN hone lage jab wo to ham se kar liya parda
haya yak_lakht aa_ii aur shabaab aahista-aahista

shab-e-furqat ka jaaga hooN farishto ab to sone do
kabhii fursat meN kar lenaa hisaab aahista-aahista

sawaal-e-vasl par un ko udoo ka Khauf hai itnaa
dabe hoNThoN se dete haiN jawaab aahista-aahista

wo be_dardii se sar kaateN ''Ameer'' aur maiN kahooN unse
huzoor aahista-aahista janaab aahista-aahista

hamare aur tumhare pyaar meN bas farq hai itna
idhar to jaldi-jaldi hai udhar, aahista-aahista

kiya mujh ishq ne zaalim koon aab aahista-aahista


kiyaa mujh ishq ne zaalim kooN aab aahista-aahista
ki aatish gul kooN kartii hai gulaab aahista-aahista

ajab kuchh lutf rakhta hai shab-e-Khalvat meN gulroo sooN
Khitaab aahista-aahista jawaab aahista-aahista

mire dil kooN kiyaa be_Khud tirii aNkhiyaaN ne aaKhir kooN
ki jyooN be_hosh kartii hai sharaab aahista-aahista

adaa-o-naaz sooN aata hai vo raushan_jabiiiN ghar sooN
ki jyooN mashrik se nikale aafataab aahista-aahista

''walii'' mujh dil meN aata hai Khayaal-e-yaar-e be_parvah
ki jyooN aNkhiyaaN mane aataa hai Khwaab aahista-aahista

Mein ke phir dasht-e rifaqat ka safar ker aaya


Mein ke phir dasht-e rifaqat ka safar ker aaya
kia kahoon kitni aziyat se guzer ker aaya

har koi ham se mila umr-e guraizan ki tarah
woh tou jis dil se bhi guzra ghar ker aaya

tum ne ik sang uthaya mer aayiney per
aur har shakhs ko mein aayeina-gar ker aaya

mujh se kia poochtey ho shehr-e wafa kaisa hai
aisa lagta hai saleebon se uter ker aaya

sirf chehrey hi agar karb ke aayiney hein
kyun na mein dil ka lahoo aankh mein bhar ker aaya

ab jo is sheher ki taqdeer ho, mein tou logon
dar-o deewar pe hasrat ki nazar ker aaya

ham tou samjhey thay mhbt ka payambar hai Faraz
aur woh be-meher touheen-e hunar ker aaya.

Kyon Na Mujh Per Itaab Ho Jaye


Kyon Na Mujh Per Itaab Ho Jaye,
Yeh Bhi Kaar e Sawab Ho Jaye.

Khaar Dekho Jo Muskurake Tum,
Phool Ka Woh Jawaab Ho Jaye

Aao Chalte Hain Mai Kade Ki Taraf,
Ek Daur e Sharab Ho Jaye

Ya Ilahi Jo Raat Dekha Hai,
Ik Haqeeqat Woh Khwaab Ho Jaye

Unki Nazron Se Khud Gire Bijlee,
Khaak Unka Naqab Ho Jaye

Dekh Lo Tum Gulabi Ankhon Se,
Saara Pani Sharab Ho Jaye

Tum Agar Rooth Jao Manzar Se,
Zindagi Ik Azaab Ho Jaye

Maut Ki Reh Guzar Mein Hoti Hai


Maut Ki Reh Guzar Mein Hoti Hai,
Zindagi Jab Safar Mein Hoti Hai.

Unke Ghar Mein Chiraagh Jalte Hain,
Roshni Mere Ghar Mein Hoti Hai.

Kya Mohabbat Isi Ko Kehte Hain,
Kyun Yeh Sozish Jigar Mein Hoti Hai.

Unka Ana Hai Maut Ka Ana,
Zindagi To Khabar Mein Hoti Hai.

Kya Zaroori Ke Esi Dil Mein Ho,
Jesi Nafrat Nazar Mein Hoti Hai.

Jo Bhi Kehna Hai Saaf Saaf Kaho,
Mujh Ko Uljhan Agar Mein Hoti Hai.

Pani Hota Hai Ankh Mein Manzar,
Aag Bhi Chashm e Tar Mein Hoti Hai.

Kya Kya Ajab Gul Khilati Hai Zindagi


Kya Kya Ajab Gul Khilati Hai Zindagi,
Sukh Ke MausaMon Ko GaM Ki Chadar Udhati Hai Zindagi,

Pehle Aankhon Mein Khwaab Sajati Hai,
Phir Unhi Khwabon Ka Mazak Udati Hai Zindagi,

Pehle Khushbuon Se Phoolon Ko Mehkati Hai,
Phir Unhi Phoolon Se Khushbu Ko Churati Hai Zindagi,

Pehle GaM-E-Yaar Se Milati Hai,
Phri Usi GaM-E-Yaar Se Juda Karti Hai Zindagi,

Pehle Jeene Ka Jawaz HaMein Batlati Hai,
Phir Usi Jawaz Ko Mita Si Jaati Hai Zindagi...

Dukh Ki Do Ek Barsaton Mein Kab Ye Dil Payab Bhara


Dukh Ki Do Ek Barsaton Mein Kab Ye Dil Payab Bhara,
Wo To Koi Dariya Le Aaya Dariya Bhi Sailab Bhara,

Sochta Tha GaM Ko GaM Kaate Zeher Ka Zeher Bane Teriyaq,
Ab Dil Abla Abla Hai Aur Shisha Shisha Jaan Zeher,

TuM Aa Jate To Us Raat Ki Umar Bhi LaMbi Ho Jaati,
Abhi Tha Deewaron Par Sabzah Abhi Tha Sehen Gulaab Bhara,

Jaane Hijr Ki Raat Ke Wasl Ki Raat Guzaar Ke Aaye,
Aankhein Neendon Neend Bhari Hai JisM Hai Khwabon Khwaab Bhara...

Meri Zindagi Bhi Meri Nahi, Ye Hazaar Khaano Mein Bant Gayi


Meri Zindagi Bhi Meri Nahi, Ye Hazaar Khaano Mein Bant Gayi,
Mujhe Ek Mutthi ZaMeen De, Ye ZaMeen Kitni SiMat Gayi,

Teri Yaad Aayi To Chup Rahun, Zara Chup Rahoon To Gazal Kahun,
Ye Ajeeb Aag Ki Bail Thi, Mere Tan Badan Se Lipat Gayi,

Mujhe Likhnewala Likhe Bhi Kya, Mujhe Padhne Wala Padhe Bhi Kya,
Jahan Mera NaaM Likha Gaya Wahin Roshni Ulat Gayi,

Na Koi Khushi Na Kio Malal Hai, Ke Sabhi Ka Ek Sa Haal Hai,
Tere Sukh Ke Din Bhi Guzar Gaye, Meri Dukh Ki Raat Bhi Kat Gayi,

Meri Band Palkon Pe Toote Ke Koi Phool Raat Bikhar Gaya,
Mujhe Siskiyone Jaga Diya, Meri Kachhi Nind Uchet Gayi...

Mujhe Is Zindagi Se Qabal Hi Nashaad Kar Dete


Mujhe Is Zindagi Se Qabal Hi Nashaad Kar Dete,
Abhi Tanha Kiya Hai To Tabhi Barbaad Kar Dete,

Kabhi Tere Dayaar-IshQ Mein Abaad Na Hota,
Dil-E-Mehtaab Ko Aisa Dil-E-Barbaad Kar Dete,

Har Ek Rabt KhataM Aur Saari Aas Bhi Tooti,
Adhoore Khwaab Se Aankhon Ko Bhi Aazaad Kar Dete,

Mujhe TuM Kuch Bhi Kehte Mujhse FaQt Pyaar Na Karte,
Jala Kar Raakh Karte Zindagi Barbaad Kar Dete,

Kiye Waade Nibhate Aur Mujhe Abaad Kar Dete,
Sabhi Waade Jo Tode Mujhe Bhi Barbaad Kar Dete,

HaMein MaluM Agar Hota Ke Hona Wasta GaM Se,
To TuM Is Dilki NarMiyonko Folaad Kar Dete,

Agar Sab Kuch Mere Naseeb Ka Likha Nahi Hota,
To TuM Duniya Ko Bhi Is Dilki Tarah Barbaad Kar Dete...

Ek To Teri Awaaz Yaad Aayegi


Ek To Teri Awaaz Yaad Aayegi,
Teri Kahi Hui Har Baat Yaad Aayegi,

Din Dhal Jayega Raat Yaad Aayegi,
Har LaMha Pehli MulaQaat Yaad Aayegi,

Kabhi Hasti Kabhi Roti Kabhi Muskurati,
Ye Zindagi Tere Bin Bhi Kat Jayegi,

Par Kuch KaMi Is Mein Bhi To Reh Jayegi,
Dilko Tadpayegi Kabhi Tarsayegi,
Har LaMha Teri Yaad Aayegi...

Teri Tareef Karte Hai To IsMe Kya Burayi Hai,


Teri Tareef Karte Hai To IsMe Kya Burayi Hai,
Khuda Ne Apne Hathonse Teri Surat Banayi Hai,

Hazaron Ki Tarah Sunle Teri Ruswai Ke Dar Se,
Teri Tasveer HuMne Kitabon Mein Chhupayi Hai,

Teri MasooM Surat Ki Yehi Tarif Hai Sun Le,
Zubaan Pe Hai Yehi Sab Ke Khudayi Hai Khudayi Hai,

Marz Ye IshQ Ka Aisa Laga Ki Phir Nahi Chhuta,
Dua Bhi HuMne Ki Dawa Bhi AazMaayi Hai...

Meri Bebasi Par Na Baha Aansu


Meri Bebasi Par Na Baha Aansoo,
Kadar Ab Teri Nahi Aye   Aansoo  

In Hiron Ka Bhav Koi Ab Kahan Dega,
Teri Kadar Ab Koi Nahi Aye Aansoo

Tu Lahoo Ke Har Boond Me Se Uthta Hai,
Tu Apni Bekadri Na Kar Aye Aansoo

In AnMol Motiyon Ke Ab Koi Kardardaan Nahi,
Tu Apni Bekadri Na Kara Aye Aansoo ..

Bhigi Palkon Ki KasaM Raat Ki Tanahyi Mein


Bhigi Palkon Ki KasaM Raat Ki Tanahyi Mein,
Khoon Ke Aansu Rota Hoon Main Teri Judayi Mein,

Teri Aankhein Goya Ek SaMundar Hai,
Doobke Mar Jaunga Main Inki Gehrayi Mein,

Kitaab Kholun To Tera Hi Chehra Nazar Aata Hai,
Kya Karun Dil Nahi Lagta Mera Padhayi Mein,

Adalat-E-Pyaar Mein Main Apne JurM Ka IQraar Karta Hoon,
SanaM Mujhe Kuch Nahi Kehna Apni Safayi Mein...

na hi manzil mili , na koi aashna, main bhatakti rahi, safr jaari raha


na hi manzil mili na koi aashna, main bhatakti rahi, safr jaari raha
umar-e-chand roz ka lamha lahma yahan main ne tanha saha garchay bhari raha

yeh muqaddar ke madd-o-jazar kiya kahoon? ke main shahsdar rahi, kuch bhi keh na saki
woh mujhe daikh kar ajnabi ban gaya jo merey rastoN ka pujari raha

mujh say pucho nahin tum Khuda ke liye, main nahin janti muskurahat hai kia
ke main jabtak rahi to mere dais main aalam-e-wehshat-o-sog taari raha

na koi aarzoo hai na shikwa gila, yeh bhi acha huwa mera dil bujh gaya
warna jab tak raha yeh mere wastay mustaqil wajha-e-bayqaraari raha

aisa kiyoonkar huwa…sochti hi rahi, main dukhon ke qafas main umar bhar rahi
main kisay dosh doon ke meri raah main…mera apna muqaddar shikaari raha

woh mila to bhi ankhon ko aansoo milay, na mila to bhi hontoN pe aahain raheeN
woh ajab shakhs tha ke har ik haal main…wajha-e-bay sabab sogwaari raha

kya bataayen ke jaan gayee kaise


kya bataayen ke jaan gayee kaise...
phir se dohraayen wo ghadi kaise......

waqt pe paaon kab rakhaa humne....
zindagee muh ke bal giri kaise....

kisne raste mein chaand rakhaa tha....
mujhko thokar wahan lagee kaise....

aankh to bhar gayee thi paanee se....
teri tasveer jal gayee kaise....

Hum to ab yaad bhee nahin karte...
aapko hichkee lag gayee kaise...

kya bataayen ke jaan gayee kaise...
phir se dohraayen wo ghadi kaise......

ab bhi kisi ko dar-badar daikhty hain


ab bhi kisi ko dar-badar daikhty hain.
Kuch waqt ko apna hi manzar daikhty hain.

Un lamhon main hamen maazi yaad aa jata hai,
Ujarrta hua jab bhi koi naya ghar daikhty hain.

Darakhton k saay main jahan sath baitha karty they,
Unhi raahon par,mujhy tanha ab shajar daikhty hain.

Apny hi iraadon sey naadim ho jaty hain wo loag,
Jo bicharrny ki baat to lamhon main,magar raah umar bhar daikhty hain.

Qabar par bhi ik phool tak na gira un k hath sey
Marny k baad bhi,hamara wo sabar daikhty hain

kuch un ki wafaon ne loota Kuch un ki inayat maar gayi


kuch un ki wafaon ne loota
Kuch un ki inayat maar gayi,

Hum raz-e-mohabat keh na saky
Chup rehny ki aadat maar gayi,

Dil ne bhi bahut majboor kiya
Milne bhi lakhon baar gaye,

Jee bhar k unhein na dekh saky
Aankhon ki sharafat maar gayi

Wo kon hy jin ko jeeny ka
Pegham mohabat deti hai,

Hum ko tu zamane main ae dil
Be-dard Mohabat maar gayi

donon se hi shikayat hai
Ilzam ab kis par lagayen,

Kuch dil ne hamain barbaad kiya
Kuch apni qismat maar gayi

Wo Rulakar Hans Na Paaya Der Tak


Wo Rulakar Hans Na Paaya Der Tak
Jab Mein Rokar Muskaraya Der Tak

Bhulana Chaha Agar Usko Kabhi
Aur Bhi Wo Yaad Aya Der Tak

Bhuukhe Bachhon Ki Tassalli K Liye
Maa Ne Phir Paani Pakaya Der Tak

Gun Gunaata Jaa Raha Tha Ek Faqir
Dhup Rehti Hai Naa Saaya Der Tak

Wo Rulakar Hans Na Paaya Der Tak
Jab Mein Rokar Muskaraya Der Tak

Mere pagal Piya Meri chahat na kar



Mere pagal Piya Meri chahat na kar
Mere pagal Piya Meri chahat na kar

Mujhey dekha na kar Mujha sochaa na kar
Meri Be Khawab Aankhon mein na janka kar

Mein to khoo jao gi Mujhey na dhoonda kar…
Mein hun Bad-e-Saba jo rukti nahi

Mein hun essi Ghatta jo barasti nahi hai
Mien essi leher hun jiss mein Halchal na ho

Na tum ko Dabo dey ye lehrein kahein
Mere pagal Piya essi khawaesh na kar

Mein woh sapna hun jo ke sach na ho
Mein woh Umid hun jo ke adhoori rahey

Mein woh rasta hun jiski na manzil miley
Mein woh sehraa hun ke jis mein Bhatak jao ge

Mere pagal Piya esse raste pe na chal
Mein essi kiran hun jo ke be-noor hai

Mein to woh sep hun jiss mein moti na miley
Mein to woh khooshboo hun jiss ko bikar jana hai

Mere pagal Piya mera picha na kar
Mein to woh shaam hun jo ke dhal jaye gi

Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai


Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai
Dil ki khwahish hai ke tumhay choo ker phir se dekhoon

Faaslay itney bhi ho jaain gai sochha hi na tha
Teray ehsas mein teri tasweer mein kab tak dekhoon

Kaisey dorahey per khara hoon ke aqal sakit hai
Dar hai pyaron sey judai ka, khud ko tarapta dekhoon

Tera ehsas-e-janoon mujh ko bhi pyara hai mager
Ishq ke anjam mein apney liye azziat dekhoon

Dil diwana tha kabhi tera so aaj bhi hai
Teri aankhon mein wohi pyar mein phir se dekhoon

Mein ne her lamha khuda se mangee hai dua
Mein teray pyar ka mausam sada hi dekhoon

hum ko tum kho do gee


Meri rooh nikalne wali ho gee
Meri sans bikharne wali ho gee
Phir daman zindagi ka choote ga
Dhaga sans ka toote ga
 Phir wapis hum na ayen gee
Phir hum se koi na poche ga
Phir ankhon mein noor na ho ga
Phir dil gham se choor na ho ga
 Us pal tum hum ko thamo gee
 Hum se khushi apni maango gee
 Phir hum na kuch b bolein gee
 Ankhein b na kholein gee
 Us pal tum ro du gee
HUM KO TUM KHO Do GE
HUM KO TUM KHO Do GE

Sirf tujhko hi mere dil ne apna mana hai


Sirf tujhko hi mere dil ne apna mana hai
Tere bagair mujhko aur kahan jana hai

khwabon main akar satate ho kyun mujhe
khud sote ho aram se sirf mujhko jagana hai

izhare muhabat main hun zara sa nadan magar
yahan waqt ka pehra hai isi baat ka rona hai

mujhe need kahan ati hai tere dur jane se
teri zulfon ke saaye main mujhe chain se sona hai

har pal khoya rahoon bus nigahon main teri
kho jata hun ‘uff’ kya tere ye naina hai

har roz meri rabse dua hoti hai yehi
teri muskurahat se hi to mera jeena hai

NAZAR likhta nahi hai ghazal aaj kal is liye
teri tareef main lafzon ka mushkil se milna hai

Bana lenge tumein apna,zara tum sabar to karlo


Bana lenge tumein apna,zara tum sabar to karlo
Mujhe duniya se ladna hai,zara tum sabar to karlo

Tumhare bin kisi ko sauchna mumkin nahin jaana
Yeh jeevan tum bin adhura hai,zara tum sabar to karlo

Yeh duniya chhor de mujh ko,mujhe parwah nahin iski
Faqat tum ko hi paana hai,zara tum sabar to karlo

Tum apne dil ki basti mein,mujhe abaad hi rakhna
Bahaut bardasht hai mujh mein,zara tum sabar to karlo

Hamein tum se mohabbat hai, hamara imtihaan le lo,
Agar chaho to dil le lo, agar chaho to jaan le lo.

Hamein tum bhool mat jaana, ye ik faryaad karte hein,
Wafa ki shart se bhi hum tumein, azaad karte hein,

Zubaan bhi hum na kholeinge, yeh tum hum se zubaan le lo.
Hum apni jaan de kar bhi, mohabbat ka bharam rakh lein,

Tumhare dil pe koi bhojh ho, to sar pe hum rakh lein,
Khizaan ke ghum hamein de do, bahaaron ka sama le lo.

Zamaana kuchh nahin hai, sirf ik rangeen dhoka hai,
Tumhare pyaar pe lekin, hamein poora bharosa hai,

Zara si dil mein bas de do, jagah, saara jhaan le lo.
Hamein tum se mohabbat hai, hamara imtihaan le lo

Jab bhi aati hain khayalon main tumhari aankhen


Jab bhi aati hain khayalon main tumhari aankhen,
Bheeg jati hain kisi ghum se hamari aankhen.

Dhal gai shaam andehre ne tani phir se apni chadar,
So gaien thak ke tere hijjar ki maari aankhen.

Tum mere pass nahi phir bhi tumhara chehra,
Sochti rehti hain yeh dard ki maari aankhen.

Silsila toot bhi sakta tha barsaat ka kabhi,
Thaam leti mere ashkon ko tumhari aankhen.

Hum isi aas pe aankhon ko khula rakhte hain,
Laut aain na kisi rooz tumhari aankhen.

Gaate gaate hamain ik shakhs ki yaad aati hai,
Bheeeg jaati hain ser-e-bazam hamari aankhen.

Jaane kya baat hai kyon dekhti rehti hain,
Meri aankhon ki taraf shehar ki saari aankhen

Ik tamanna thi jis ki, woh khwab tum ho


Ik tamanna thi jis ki, woh khwab tum ho,
Hai sitaron ko bhi khabar, mera mehtaab tum ho.

Youn tau kai chehre mile iss zamane mein,
Magar dil ne kaha, nigahon ka aftaab tum ho.

Dekh kar phoulon ko hota hai ye gumaan,
Mast baharon mein khila gulaab tum ho.

Dastaan-e-mohabbat ho, ya koi afsaana-e-dil,
Har bazm-e-yaraan mein, mera khitaab tum ho.

Likha hai main ne, ae dost, alfaaz-e-mohabbat,
Meri ghazal,mere ashaar,meri kitaab tum ho

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein


Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahin.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahin.

Maan Ki Loree Ka Ehsaas Toh Hai,
Par Maan Ko Maan Kehne Ka Waqt Nahin.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhen Dafnane Ka Bhi Waqt Nahin.
Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahin.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahin.

Aankhon Mein Hai Neend Badee,
Par Sone Ka hi Waqt Nahin.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahin.

Paison ki Daud Mein Aise Daud padey hain,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahin.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apne Sapnon Ke Liye Hi Waqt Nahin.

Tu Hi Bata Aey Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
 Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahin

Badnam Zamane main Mohabbat Nahi Karte


Badnam Zamane main Mohabbat Nahen Karte,
Dil Waly To Dushman Se Bhi Nafrat Nahen Karte,

Ek Bar Jisy Chaha Sada Uss K Rahe Phir,
Ham Log Amanat Main Khianat Nahen Karte,

Tanhai Main Karlete Hain Yaad Aansoo Baha Kar,
Zahir Kabhi Ham Apni Ebadat Nahen Karte,

Waqt Aane Par Maaloom Yeh Ho Jaiy Ga Tum Ko,
Ham Sirf Dekhawe Ki Mohabbat Nahen Karte,

Lekhte Hain FAQAT Ek Tumhare Liye Ghazlain,
Har Shakhs Pe ham Aise Enayat Nahen Karte

Dil Pe Aise Bhi Azaabon Ko Utarte Dekha


Dil Pe Aise Bhi Azaabon Ko Utarte Dekha
Hum Ne Chup Chap Use Khud Se Bichhadte Dekha

Usko Socha To Har Ek Soch Mein Khushboo Utri
Usko Likha To Har Ek Lafz Mehakte Dekha

Yaad Aa Jaye To Qaboo Nahi Rehta Dil Par Mera
Warna Duniya Ne Na Kabhi Humko Tadapte Dekha

Teri Surat Ko Faqat Aankh Nahi Tarsi Hai
Raaston Ko Bhi Teri Yaad Mein Rote Dekha

Hum Mohabbat Ke Liye Aaj Bhi Deewane Hain
Yeh Alag Baat Hai Ke Tum Ne Nahin Mud Kar Dekha

Ruswayion mein ajab ik mazaa hai


Ruswayion mein ajab ik mazaa hai ..
Dushwaryion mein ajab ik mazaa hai ..

Kabhi is mehfil mein aakar to dekho ..
Tanhayion mein ajab ik mazaa hai ..

Sooraj ko doobhte dekha to samjha..
Pasteyon mein ajab ik mazaa hai..

Kabhi ho jo hum per bhi nazre karam..
In inayaton mein ajab ik mazaa hai ..

Na hum un ko samjhe na woh hum ko samjhe..
Khushfehmyion mein ajab ik mazaa hai..

Chale jaa rahe hain yu hi be irada..
Is darbadri mein bhi ajab ik mazaa hai ..

Mil kar bhi un se door kitne ..
In faaslon mein ajab ik mazaa hai ..

Na kehna koi bewafa un ko yaaro..
In bewafayion mein ajab ik mazaa hai ..

Na hum kuch kahein gein ,na woh kuch kahein gein..
Khamoshyeon mein ajab ik mazaa hai..

Apni hi dhun mein guzari hai shayed..
Meri zindagi mein ajab ik mazaa hai..

Khuda se kya maangon tere waaste


Khuda se kya maangu tere vaaste
Sada khushiyon se bhare ho tere raaste
Hansi tere chehre pe rahe is tarah
Khushboo phool ka saath nibhati hai jis tarah

Sukh itna mile ki tu dukh ko tarse
Paisa shohrat izzat raat din barse
Aasma ho ya zameen har taraf tera naam ho
Mehkti hui subah aur lehlahati shaam ho

Teri koshish ko kamyaabi ki aadat ho jaye
Sara jag tham jaye tu jab bhi gaye
Kabhi koi pareshani tujhe na sataye
Raat ke andhere mein bhi tu sada chamchamaye

Dua yeh meri kubool ho jaye
Khushiyan tere dar se na jaye
Ek choti si arzi hai maan lena
Hum bhi tere dost hain ye jaan lena

Khushiyon me chahe hum yaad aye na aye
Par jab bhi zarurat pade hamara naam lena
Is jahan me honge to zaroor ayenge

Maa ne mujhe is tarah pala hai


Maa ne mujhe is tarah pala hai

Nakhuda ne kashti ko jaise toofan mein sambhala hai

Meri shararton se jo hansi us ke chehre par aai hai

Yeh saughat baharon ne bhi nahin paai hai

Us ki be-laus mohabbat ka mujh par jo saaya hai

Kisi rishte ne woh mokaam nahin paaya hai

Pakad kar haath mera jo chalna sikhaya hai

Aaj tak aisa rahbar main ne nahin paaya hai

Mere dukh se jo sailaab uski aankh mein aata hai

Samundar bhi us toofan ka taab nahin laata hai

Aashyane mein mere aaj aaram bahaut hai

Maa ke aanchal mein sakoon bahaut hai

Jiske pairon ke neeche jannat hai

Yeh khuda ki,hum sab ko sab se badi nehmat hai

Aa mujh ko phir ik baar seene se laga le maa

Apna chanda,apna suraj,apna raja, in naamo se bula le maa

Bahaut roya hoon main tere aanchal se bichar kar

Phir gud-gudiya karke woh bachpan wali mujhe,hasa le maa

Maa teri gaud ka mujhe woh sahara de de

Bartan mein jo dikhaati thi,woh sitara de de

Maa mujhe suna woh loriyan bachpan ki

Maa mujhe ik baar phir se woh nazara de de

Ban ke rahoon sadda tera laadla main

Teri gaud mein le kar mujhe,yeh jahan saara de de

Teri raahon mein main khud ko rakh doon

Maa mujhe tu khidmat karne ka phir ishara de de

Yaad ro ro ke teri satati rahi


Yaad ro ro ke teri satati rahi
Aag judai ki dil ko jalati rahi

Aandhiyan jab guzarti rahi baagh se
Shakh-e- gul apne sar ko jhukaati rahi

Apni mohabbat ki nakaamiyan kya kahoon
Khwaish-e-ishq har kadam mujhe rulati rahi

Woh doosron se has has ke milte rahe
Meri he badkismati ashq bahati rahi

Hum wafa jinse karte rahe umar bhar
Hum pe unki jafa muskurati rahi

Shayad kusur meri mohabbat ka he hai
Jo sab sehkar bhi unein chahti rahi

Teri Yaadon K Bikhray Tukrray Chun Kar


Teri Yaadon K Bikhray Tukrray Chun Kar
Guzray Maazi Ki Zara Tasweer Mein Bana Loon

Apnai Har Khushi Teray Nam Likh Kar Janaana.
Teray Dukhoon Ko Apni Taqdeer Mein Bana Loon

Kuch To Bol, Hukum Kar, Chairr To Sahi Qissaa
Teray Gham Ki Shayed Kuch Tadbeer Mein Bana Loon

Thehr Ja,Meray Iss Khwab Ko Preshan Nah Kar
Aankh Khulnay Se Pehlay Taabeer Mein Bana Loon

Chahti Hoon Pehna Doon Insaniyat K Galay Mein Jo
Tu Saath Ho Mohabbat Ki Aik Zanjeer Mein Bana Loon

Is Barish Se Mujhe Pyar Hai Bohat


Is Barish Se Mujhe Pyar Hai Bohat,
Meri Tanhaiyon Ka Ise Abhaas Hai Bohat,
Jab-Jab Ye Barish Aayi Mujhse Milne,
 Chehre Pe Ashq Hote Thhe Mere
Meri Tanhai Samajh Gayi Thhi Yeh,
Hamesha Saath Mere Roti Rahi Yeh,
Maine Kaha Tum Jao,Mujhe Akele Rehne Do,
Is Par Wo Boli,Mujhe Bhi Apne Saath Rone Do,
Phir Na Wo Kuch Boli,Na Main Kuch Boli,
 Gumsum Roti Rahi Main Akeli
Jab Jab Wo Aati,Muhe Issi Haal Me Paati,
Main Bhi Usse Ankhe Na Thhi Mila Paati,
Aaj Phir Bohat Din Baad Ye Barish Aayi,
Aur Aaj Usne Mere Hothon Pe Hansi Payi,
 Khush Ho Gayi…..Tej Baras Padi
Mere Saath Woh Bhi Khilkhilakar Hans Padi,
Maine Poocha Tum Kyon Hans Rahi Ho Aaj,
 Usne Kaha Meri Dost Jo Khush Hai Aaj
Phir Ansoo Jhalak Pade Meri Ankho Se,
Par Is Baar Khushiyon Ki Chamak Thhi In Ankho Me,
Phir Maine Use Sab Kuch Bataya,
 Dil Ka Kissa Usko Sunaya
Bohat Khush Hui Wo Sab Kuch Sun Kar,
Phir Chali Bhi Gayi Duayein De Kar,
Wada Liya Maine Usse Phir Jaldi Aane Ka,
Use Har Baat Dil Ki Batane Ka…..,
Phir Maine Socha Yahi To Hai Meri Saathi,
Mera Chehra Dekhkar Jo Hai Hansti-Roti.

Tum meri yaad ho mere paas aao tau koi baat bane


Tum meri yaad ho mere paas aao tau koi baat bane
Tum meri jaan ho yoon zindagi mein aao tau koi baat bane

Tumhari yaad mein guzra har lamha mere din ko mehkaata hai
Khushboo banke meri saanson ko mehkaao tau koi baat bane

Main duniya ki nahin karta parwah tumko jab yaad karta hoon
Kabhi tum bhi ruswayion ko gale se lagaao tau koi baaat bane

Raqeebon ko tumhare baare mein yoon batana accha nahi lagta
Kabhi khud bhi aao mere haal pe hans jaao tau koi baat bane

Kabhi rootha nahi hoon tumse main iss tarha se ke
Main tumse rooth jaaon aur tum mujhko manaao tau koi baat bane

 Humesha khuda se tumko hai maanga hai sham-o-seher
Dua ko haath uthayein, saamne tumhe payein, tau koi baat bane

Qalam rukta nahin hai, yaad ka darya beh jaata hai
Kabhi tum bhi iss mein doob jaao tau koi baat bane

Meri mazaar pe aana tum ek pal ke liye



Meri mazaar pe aana tum ek pal ke liye
mere ghar ko bhi sajaana tum ek pal ke liye

yahin banaunga jannat mai do jahano ki
gareeb-khane me aana tum ek pal ke liye

kahin kho jayenge andhere umar bhar ke liye
chirag dil ka jalana tum ek pal ke liye

kyi baras se pada hu mai qaid-khane me
rihaayi mujhko dilana tum ek pal ke liye

har ek pal me ho shaamil pyar sadiyon ka
ek aisi shaam ko lana tum ek pal ke liye

tadap raha hu tanhaai me ek jamane se
mujhe gale se lagana tum ek pal ke liye

tujhe samjhunga sajan apna mai sada ke liye
mujhe mehboob banana tum ek pal ke liye

Nigahon ke raaste tu shamil hai mujh mein


Nigahon ke raaste tu shamil hai mujh mein,
Nigahon se mujh ko hataa too na do gee?

Dekho ge jo mujh ko aankhon se tum,
Dil ko mere, chura tau na lo gee?

Saanson se mujh ko, chhoo lo ge ik din,
Bataao mujhe tum,dhoka tau na do gee?

Zalim hai duniya,kadha ye safar hai,
Raasta kabhi tum,badal tau na lo gee?

Lehron mein kashti,jo dagmagaa gai bolo,
Patvaar ban kar,sahara tum do gee?

Sahil mile ga, manzil mile gee
Jeevan bhar tum, chaha jo karo gee?

Kiyon ansoo beh gaye aaj bina teri yaad aaye


Kiyon ansoo beh gaye aaj bina teri yaad aaye

Kiyon bewajah itni shidat se hum roye

Badhi der tanhai mein baithe rahe

Shayad rone ka sabab yaad aa jaye.

Sawaal kiya,ae dil bata,bina uski yaad aaye

Aaj kiyon ansoo beh gaye?

Dil ki gehrahiyon se ik awaaz aaye

Mian yeh ansoo tere nahin

Tere yaar ke hain,tere pyaar ke hain

Jisse na jaane kiyon aaj tum bahaut,bahaut yaad aye

Jab Tumhare Dil Mein Mere Liye Pyar Umad Aaye


Jab Tumhare Dil Mein Mere Liye Pyar Umad Aaye,
Aur Woh Tumhari Aankho Se Chalak Sa Jaye.
Mujhse Apni Dil Ke Baaten Sunane Ko
Yah Dil Tumhara Machal Sa Jaye.

Tab Ek Awaz De Kar Mujhko Bualana
Diya Hai Jo Pyar Ka Vachan Sajan
Tum Apni Is Preet Ko Nibhana
Tanaha Raaton Mein Jab Sanam

Neend Tumhari Uad Si Jaaye.
Subeh Ki Laali Mein Bhi Mere Sajan,
Tumko Bas Akas Mera Hi Nazar Aaye.
Chalati Thandi Hawa Ke Jhonke

Jab Meri Khushbu Tum Tak Pahuchaaye.
Tab Tum Apna Yeh Rup Salona
Aa Ke Mujhe Ek Baar Dikha Jaana
Diya Hai Jo Pyaar Ka Vachan Sajan

Tum Apni Is Preet Ko Nibha Janaa
Baagoo.N Mein Jab Koyal Kuke.
Aur Sawan Ki Ghata Chhaa Jaaye
Apni BaahooN Ke Jhule Mein

Mujhe Jhulane Ko Tumhara Jee Lalcha Jaye.
Uljhe Se Mere Baalo.N Ki Giraha Mein.
Dil Tumhara Uljhe Sa Jaaye
Aa Ke Apni Ungaliyo Se Us Girah Ko Suljha Janaa

Jo Ho Tumhre Dil Mein Bhi Kuch Aisa.
Tab Tum Mere Pass Aa Jana
Pahle Milan Ki Woh Mulaqat Suhani.
Yaad Hai Abhi Bhi Mujhko Tumhari Woh Bholi Nadani

Mere Haatho Mein Apne Haatho Ko Lekar
Gaya Tha Tumne Jab Pyaar Ka Geet Suhana
Ho Jab Tumhre Dil Mein Bhi Asi Yaado Ka Basara
Tab Tum Apni Preet Ka Vachan Nibhana

Jo Ho Tumhare Dil Mein Kuch Aisa
Tab Tum Mujh Tak Sajan Aa Janaa

Uske Husn Ki Tarif Mein Kya Kahiye


Uske Husn Ki Tarif Mein Kya Kahiye
Koi Sehzadi Zamee Par Utar Aayi Hai
Ae Banane Wale Lagta Jaise
Koi Sangmarmar Ki Murat Tune Banayi Hai

…Uske Zulafo Ki Tarif Mein Kya Kahiye
Jaise Din Dhalte Hi Chhayi Andhyari Hai
Ho Chali Hai Pawan Bhi Pagal
Uski Zulaf Lehar-2 Leharaayi Hai

Aankhein Uski Ya Mehkashi K Pyaale
Dekhkar Hi Hum Pe Khumari Si Chhayi Hai
Honth Kahu Ya Phoolo Ki Paankhein
Jiski Khushboo Ne Hamari Saaso Ko Mehkayi Hai

Abar Kahu Uske Gaalo Ko Main
Dhoodh Se Jaise Wo Nahayi Hai
Chand Kahu Fir Bhi Kam Hoga
Aasma K Nakshtro Mein Wo Hi Jag-Magayi Hai

Uske Husn Ki Tarif Mein Kya Kahiye
Koi Sehzadi Zamee Par Utar Aayi Hai
Ae Banane Wale Lagta Jaise
Koi Sangmarmar Ki Murat Tune Banayi Hai

Mainey Din Raat Apney Jisski Yaad Ke Naam Kiye Hain


Mainey Din Raat Apney Jisski Yaad Ke Naam Kiye Hain
Woh To Ikk Pall Bhi Mujhe Sochta Na Hoga

Jiski Tasveer Main Har Aik Shae Main Hoon Dekhta Rehta
Ikk Nazzar Bhi Woh Shaks Mujhe Dekhta Na Hoga

Yeh Labb Jo Sada Osska Naam Ley Kar Mangtey Hain Duaian
Mera Naam Bhi Woh To Kabhi Laita Nahin Hoga

Ossey Sadain Daita Rehta Hey Yeh Pagal Dil Mera
Aik Pukar Bhi Kabhi Dil Oska Mujhe Daita Nahi Hoga

Meri Ankhain Dekhti Hain Har Pall Rasta Oska
Woh To Youn Pall Pall Mera Inteezar Karta Na Hoga

Jiskey Liye Mera Bhawla Mann Tarasta Rehta Hey
Shabb-e-Tanhai Main Meri Terah Woh Tarapta Nahin Hoga

Haathon Ki Lakeeron Main Ossko Dekha Hey Mainey
Kabhi Bhi Mujhe Woh Shaks Aisey Talaash Karta Na Hoga

Osska Ehsas Beh Raha Hey Mujh Main Laho Ki Manidd
Mujhe Woh Apney Ansoun Main Bhi Pata Nahin Hoga

Apney Naam Ko Main Osske Naam Se Jor Daita Hon
Merey Aur Osske Rishtey Ka Ossey Kheyal Bhi Ata Nahi Hoga

Jissko Mana Hey Mainey Sabab Mussarat-e-Zindagi
Woh To Mujhe Apna Dukh Bhi Maanta Nahin Hoga

Ban Chukka Hey Woh Meri Manzil Meri Taqdeer
Kabhi Bhi Juda Rastoon Ko Meri Terah Woh Aik Karta Nahi Hoga

Itni Door Hey Mujhse Phir Bhi Merey Kitney Kareeb Hey
Oss Ne To Kabhi Mujhe Mehsoos Hi Nahi Kia Hoga

Tumne To Wasi Apney Wajood Ko Rang Dia Hey Oski Chah Main
Kabhi Socha Hey Tumne Woh Shaks Tumse Pyar Karta Bhi Hoga?

USAY MAINE YEH LIKHA THA SUNO AEY JAAN SE PIYAARI GURRIYA


USAY MAINE YEH LIKHA THA

SUNO AEY JAAN SE PIYAARI GURRIYA !!!

TUMHAIN MALOOM HI H0GA

TUMHARE BIN TO AB MERA GUZARA H0 NAHI SAKTA..

TADAPTA H0N JUDAAYI MAI

MAGER,,

YEH BE’BASI KESI !!

KEH

MEI KHUL KE R0O NAHI SAKTA..

MERE A’ASAAB PEH HAAWI
TUMHARI YAAD KA PEHRA

MAIN SHAB KO SOO NAHI SAKTA..

SUNO GURRIYA !!

KOI RASTA,
K0I TADBEER HO AESI

KEH DIL K CHAAK SIL JAAYAIN

JUDAAYI MAI WAFAA0N K KAHII PEH GUL JO KHIL JAYAIN

HUM PHIR IK BAAR MIL JAAYAIN..

JO AB GURRIYA NE LIKH BHEJA

AEY MERI JAAN SE BARH KAR !!

YEH MERA AAKHRI KHATT HE..

YEH MANA HE BOHT MUSHKIL

MAGER !!

DEKHO MERI KHAATIR TUMHAIN HAR HAAL MAI

MUJHSE KINARA KARNA HI H0GA..

KOI TADBEER BHI AB K

HAMARE BAS SE BAAHER HE..

JO DIL K CHAAK HAI JANAA’N

YEH PHIR SE SIL NAHI SAKTE

JUDAAYI MEI WAFAA0N K KABHI GUL KHIL NAHI SAKTE

SUN0 !!
HUM MIL NAHI SAKTE..

TUMHARI KHWAAHISHAIN JANAA’N

HAIN SIR AANKH0N PEH MERE

SO ,,

SAR-E-RAAH M0HABBAT MAI

TUMHARI KHWAAHISH0N KA AB JO IK TAWA’AN HE ZIMMAY !!

USI KO BHAR RAHA H0N MAIN

UBHERTI SAANS KEHTI HE MUSALSAL MAR RAHA H0N MAIN

SUNO GURRIYA !!!

GUZARA KAR RAHA H0N MAIN .

muqaddar chhod de jisko zamaanaa chhod deta hai


muqaddar chhod de jisko zamaanaa chhod deta hai
khizaa meN har parinda aashiyanaa chhod deta hai

samajh leN lag rahi hai aapki buniyaad meN deemak
padosi jab kabhi nazreN milana chhod deta hai

zamaane bhar ki taqreereN asar mujh par naheeN karteeN
magar ik lafz tiraa ik fasaana chhod deta hai

wo zaalim bewafaa harjaai hai magar fir bhi
nazar milte hi ik manzar suhana chhod deta hai

hazaroN koshisheN kar ke use hum bhooll paae haiN
roz khidki meN koi khat purana chhod deta hai

zamaane bhar ki talwareN jhuki ati haiN kadmoN pe
koee ban kar ke jab gautam gharanaa chod deta hai.

Hoke nisaar ishq me zindgi yoon sawar jaati hai


Hoke nisaar ishq me zindgi yoon sawar jaati hai,
jaise koi mehndi piske haanthon ko rachati hai.

Mere mahboob pe sadqe jaaun ki ye ada hai uski,
apna bhi kahti hai mere gham pe muskurati hai.

Pahle khwabon me hi wo pahloo me hua karti thi,
ab to har shab ratjagon me hi guzar jaati hai.

Gar yahi sila hai muhabbat ka to manzoor hai mujhe,
ki mera ghar jalake wo zalim,apna dil bahlati hai.

Shayad aaj bhi uske dil me meri yaad aai hogi,
yoon laga koi aawaz mujhe door se bulati hai.

Wo banke dulhan chali magar ye khayal bhi rakha,
apni doli ki wo mere kaandhon me thamaati hai

Logo se milna masti bhi kerna


Logo se milna masti bhi kerna,
per tere gam mai aksar tarapta bhi hoon

Hai sabse aage nikalne ki khwaahis,
per tumse bicharne se darta bhi hoon

-Kabse tere aane ka intzaar kerta bhi hoon..

Tum ho hi nahi mujhe ye to pata hai,
per tere har ek ada ko samajhta bhi hoon

Seene mai hai pyar itna ke ji na sakoon,
per dil ke ujalo mai marta bhi hoon

-Kabse tere aane ka intzaar kerta bhi hoon..

Hai ye Kitne janmo ka lamba safer,
per saanso ka har geet sunta bhi hoon

Chup hi rehna gar milker ishq ho gaya,
per ankhoo hi ankhoo mai padhta bhi hoon

-Kabse tere aane ka intzaar kerta bhi hoon..

Jin Raato ko samjha hai bas koi ratjaga,
per main judai ka har kat’l sehta bhi hoon

Chuape aaj saare ye jhakm dekh lo,
per tere har chu’han se seharta bhi hoon

-Kabse tere aane ka intzaar kerta bhi hoon

Aik Aaghosh Ki Khushboo Hai Abhi Tann Mann Mein


Aik Aaghosh Ki Khushboo Hai
Abhi Tann Mann Mein
Aik Ehsaas Ki Shiddat Hai
Mere Jeevan Mein

Yahan Aya Hun Mein Nya Nya
Abhi Koi B Nahi Aashna

Yeh Jo Log Hein Mere Samnay
Nahi In Mein Koi Bhi Ham-nawaa

Magar In Se Rishta Lahu Ka Hai
Na Rahe Gey Muj Se Kabhi Juda

Mein Kisi Wajood Ka Aks Hoon
Mein Kisi Hayaat Ka Ayina

Meri Zindagi Mein Hai Roshni

Mein Sitara Subha-e-umeed Ka
Mein Sitara Subha-e-umeed Ka

Meri Choti Choti Hein Khawaishein
Millain Apno Hi Ki Muhabbatein

Jo Hai Baat Dil Ki Bata Sakoon
Mein Sabhi Ko Apna Bana Sakoon

Sabhi Aik Hon Hai Yeh Arzoo
Sabhi Pyar Ki Karein Guftagu

Koi Door Hai Koi Paas Hai
Mujhe Sirf Pyar Ki Pyas Hai

Mein Ujaalun Sab Hi Ka Rasta

Mein Sitara Sunha-e-umeed Ka
Mein Sitara Subha-e-umeed Ka

Kuch Tu Tanhai Ki Raaton Me Sahara Hota


Kuch Tu Tanhai Ki Raaton Me Sahara Hota,
Tum Na Hote Na Sahi Zikar Tu Tumhara Hota,

Zindagi Kitni Musarat Se Guzarti Yarab,
AISH Ki Tarhan Gham Bhi Gawara Hota,

Kis Ko Fursat Thi Zamane Ke Sitam Sehne Ki,
Agar Na Is Shokh Ki Aankhon Ka Sahara Hota,

Koi Humdard Zamane Mein Na Paya
Dil Ki Hasrat Rahi Koi Humara Hota

Kyun baandh baithte hum umeed gairo se


Kyun baandh baithte hum umeed gairo se
Kyun nahi samjhte rishta hai bandha gairo se

Laafzon se khelte hai aur bandh te hai rishta
Hoon main har pal saath kehte hai jaise apno se

Duniya badi maatlabi hai dekh liya aaj maine
Khate hai dhoka hum aapna kehne walo se

Dukhao ge dil kisi ka to saza bhi yahi paoge
Khuda se to daro chahe na daro duniya walo se

Jeeyo aur jeene do kam se kaam sukun se hume
Na nibha sako to na baandho kisko umeedo se

Ye teri shohrat hai ke meri ishq ki pashemani


Ye teri shohrat hai ke meri ishq ki pashemani,
Sabki zubaa.N pe hai yahan mere lutne ki kahani.

Chaman me bas khaar hain,nigahen kise dhundhti ho,
Khali hai daaman na milega aankhon me bhi paani.

Ilahi itna hi karam kar ki ab meri mout aa jaae,
Bahot udaas hai dil koi samjhe bhi na pareshani.

Jis Ishq ko paane me humne bachpan gawaa daala,
Zindagi tak na chhodi maula kyon di mujhe jawani.

Tere jode ne sangdil aaj bhi hum pe Inayat ki hai,
laal kafan bana hai ab tak,meri turbat ki nishani.

Is kabar pe aaj bhi muhabbat ke phool khilte hain,
Mat rona aye ‘Shaad’ zaaya na hogi teri qurbaani

Adawat ke sholon me jab jalte thay yaaron



Adawat ke sholon me jab jalte thay yaaron,
Khabar na thi wo bhi humpe marte thay yaron.

Abki jo tanhaai hai wo pahle na hua karti thi,
Shabe-gham chaand taare to nikalte thay yaaron.

Karte hain wo shiqayat teri kalam kyon khamosh hai
Koun batae tab lafz nahi jazbaat nikalte thay yaaron.

Jab na raha kuch dil me to kyon aas lagaate ho,
Aise bhi kuch kalaam likhe ki log marte thay yaaron.

Na rakhun shiqva kisi se na karun shiqayat magar,
Wo kyon-kar har baat me mera zikr karte thay yaaron.

Tu kyon us lamhe ko dil se lagae baitha hai “shaad”
Wo to pahle hi ise,ek haseen bhul kahte thay yaaron.

Jab Bhi Kabhi Mere Karib Aayega who


Jab Bhi Kabhi Mere Karib Aayega who
Dil Ko Khushion Se Bhar Jaayega who

Kho Jaaungi Uske Sapno Main Hi Phir
Pyaar ‘Sandhaya’ Pe Aise Lutayega who

Samete Hai Uski Yaadon K Phool Maine
Meri Yaadon Ko Maala Banayega who

Meri Khushian Thi Adhuri Uske Bina
Maang Ko Chand Taron Se Sajayega who

Bikhar Jaaungi Main Banke Bistar Uska
Jab Jaan Kehke Mujhko Bhulayega who

Kya Kahun Jab Karega Tarif wo Meri
Sarmaungi Main Aur Tab Muskayega who

Dekhti Hun Main Khawab Roj Hi Kitne
Ankh Khulne Pe Sochu Kab Aayega who

Wajood apna na rooh apni Bas ik tamasha ye zeest thehri


Wajood apna, na rooh apni
 Bas ik tamasha ye zeest thehri,

Na dil'lagi mein sakon paia,
Na ashqi mein qarar paia,

Na wasl lamhy hi raas aiy,
Na firaq hi hm guzar paey,

Ajab ye chaht k marhaly hain,
Na jeet paey,na haar paey,

Na hi yadon ki dhund utri,
Na dil k daman ko jhar paey,

Na ankhein khawbon ko dhond paien,
Na khawb ankhon ko dhond paey,

Bs ik tamasha ye zeest thehri
Na Wajod apna, Na rooh apni..

Tera Zikar Bhi Karna Chor Diya


Tera Zikar Bhi Karna Chor Diya
Ab Hum Ne Rona Chor Diya

Jub Rona Nahin To Hasna Kiya
Ab Hasna Hasana Chor Diya

Har Shakhs Ne Hum Ko Zakham Diye
Ab Dil Ko Lagaana Chor Diya

Tum Rootha Karte Thay Hum Se
Ab Hum Ne Manaana Chor Diya

Teri Yaad Bohot Aati Thi Humain
Tujhe Yaad Bhi Karna Chor Diya

Meri Har Nazar Teri Muntazir Teri Har Nazar Kisi Aur Ki


Teri Har Nazar Kisi Aur Ki

Meri Zindagi Teri Bandagi

Teri Zindagi Kisi Aur Ki

Kabhi Waqat Jo Mille Tujhe

Zara Aake Dekh Mere Hal Ko

Meri Har Ghadi Tere Liya

Teri Har Ghadi Kisi Aur Ki

Mujhe Sirf Teri Talab Thi

Par Jane Mujhe Tu Kyun Na Milla

Tu Usse Milla Mere Sanam

Jise Thi Talab Kisi Aur Ki

Mujhe Maaf Kar Mere Hum Safar


Mujhe Maaf Kar Mere Hamsafar

Tujhe Chahna Meri Bhool Thi

Kisi Raah Par Jo Uthi Nazar

Tujhe Dekhna Meri Bhool Thi

Koi

Nazam Ho

Koi

Ghazal Ho

Kahin

Raat Ho

Kahin

Seher Ho

Woh

Gali Gali

Woh Sheher Sheher

Tujhe Dhoondna Meri Bhool Thi

There Gham Ki Koi Dava Nahi

Mujhe Tujhse Koi Gila Nahi

Mera Koi Tere Siva Nahi

Yehi Sochna Meri Bhool Thi

“Mujhe Maaf Kar Mere Hamsafar

Tujhe Chahna Meri Bhool Thi…..

Pariyo si sunder ek ladki hai


Pariyo si sunder ek ladki hai
jaane kya jadu karti hai

chahe jitna gam ho
per dekh ke uski surat dil ko khushi milati hai

chand sa roshan chehara hai
aankho se masti jhalkati hai

baate hai misri si meethi
awaz me koi koyal bolati hai

rup hai uska koi khilata hua kamal
usko dekhkar hi shayad gazal banati hai

kisi pal bhi wo na dur rahi humse
her pal jo mere saanso me basti hai

ag ko dekhkar aur baato se hi
jaane kitni khwahish is dil me palati hai

Likhi hai yeh ghazal sirf tere liye

Likhi hai yeh ghazal sirf tere liye
Dewane bane bhi to sirf tere liye

Kisi ko nahin dekheingi ab yeh aankhein
Nazrein tarseingi bhi to sirf tere liye

Her saans mein yaad kareinge tujhe
Ye saans nikle gi bhi to sirf tere liye

Her pyar se pyare lagte ho tum mujhe
Maine pyar seekha bhi to sirf tere liye

Woh mere pass hai kya pass bulaaon us ko


Woh mere pass hai kya pass bulaaon us ko
Dil mein rehta hai kahan dhoondne jaaon us ko

Aaj phir pehli mulakaat se agaaz karon
Aaj phir duor se hi dekh ke aaon us ko

Chalna chahe to rakhe pauon mere seene par
Baithna chahe to aankhon pe baithaaon us ko

Mujhe maloom hai us ne juda hona hai
Lekan ik baar to seene se lagaaon us ko

Jab Raat K Tanha Lamhon Mein


Jab Raat K Tanha Lamhon Mein
Koi Aahat Mujh Se Kehti Hai
Is Dil Mein Halchal Rehti Hai
Koi Jugnu Pass Se Guzre To
Koi Baat Halak Se Nikle To
Main Khud Se Ulajhne Lagta Hon
Phir Jaane Kya Kya Kehta Hon
Phir Yaad Uski Aati Hai
Phir Pal Do Pal K Lamhe Ko
Yeh Sans Meri Ruk Jati Hai
Ek Sholah Dil Mein Bharakta Hai
Woh Dard Sehar Tak Rehta Hai
Phir Weham Mujhe Yeh Kehta Hai

Koi Mere Dil Mein Rehta Hai
Koi Mere Dil Mein Rehta Hai

Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad


Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad
Ek diya jalta raha baarish ke baad

Mere behte hue Aansuo ko dekh kar
Ro parri thandi hawa baarish ke baad

Meri tanhaayi ka daaman thaam kar
Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad

Yaad teri odh kar mein so gayi
Khawaab ka daar khul gaya baarish ke baad

Chand dekh kar baadlo ki qaid mein
Ek sitaara ro diya baarish ke baad

Apne ghar ki har kachi deewaar par
Naam tera likh diya “K” baarish ke baad

mitt gaya hoon mujh ko mitta rehne do


mitt gaya hoon mujh ko mitta rehne do
mere jazbat k sholon ko buja rehne do,

dard sehne ki hai bachpan hi se adat muj ko,
mere riste hue zakhmoun ko hara rehne do,

ab to tabeer ki hasrat hi nai hai muj ko,
meri ankhoun main mera khawb chupa rehne do,

muskurahat pe mera haq hi nahi hai yaro,
mere honton se tabasum ko khafa rehne do,

DIL jo toota hai to Aankhen na chalak jai
Aaj ankhon ko in ashkon se bhra rhne do….

Anjaany mein hum kisi sy wafa kar bethy hein


Anjaany mein hum kisi sy wafa kar bethy hein
Apny dil ki har baat ussy bata bethy hein

Uss ki talaash mein itni door nikal gye
Kih wapsi ka rasta hai ganwa bethy hein

Woh na mila par itna zroor hoa kih
Ussy dondty dhonty khud ko ganwa bethy hein

Mil kar us sy kya khoya kya paya hum ne
Ussy yad karty karty khud ko bhula bethy hein

Shaid us py bharosa kuch zyada kar bethy
Jo aaj tak khud sy chhupaya ussy suna bethy hein

Popular Posts