Tuesday, May 24, 2011

sarakti jaaye hai rukh se naqaab aahista-aashista


sarakti jaaye hai rukh se naqaab aahista-aashista
nikalta aa rahaa hai aaftaab aaista-aahista

javaaN hone lage jab wo to ham se kar liya parda
haya yak_lakht aa_ii aur shabaab aahista-aahista

shab-e-furqat ka jaaga hooN farishto ab to sone do
kabhii fursat meN kar lenaa hisaab aahista-aahista

sawaal-e-vasl par un ko udoo ka Khauf hai itnaa
dabe hoNThoN se dete haiN jawaab aahista-aahista

wo be_dardii se sar kaateN ''Ameer'' aur maiN kahooN unse
huzoor aahista-aahista janaab aahista-aahista

hamare aur tumhare pyaar meN bas farq hai itna
idhar to jaldi-jaldi hai udhar, aahista-aahista

No comments:

Popular Posts