Sunday, August 22, 2010

Merey Barey Main Hawaoon Se Wo Kab Pochey Ga



Merey Barey Main Hawaoon Se Wo Kab Pochey Ga...
Khak Jab Khak Main Mil Jaye Gi Tab Pochey Ga...

Gher Basaney Main Khatra Hai K Gher Ka Malik ...
raat Main Dair Se Aaney Ka Sabbeb Poche Ga...

Apna Ghum Sab Ko Batana Hai Tamasha Karna...
Hal -e-dil Us Ko Sunain Gey Wo Jab Pochey Ga...

Jab Bicherna Bicherna Bhi To Hanstey Howey Jana Warna...
Her Koi Rooth K Janey Ka Sabeb Pochey Ga...

Hum Ne Lafzoon K Jahan Daam Lagey Baich Dia...
Dhair Pochey Ga Hameein Ab Na Adab Pochey Ga...

Ujala jo kahin dekho yahi kahna mohabbat hai



Ujala jo kahin dekho...yahi kahna mohabbat hai
kisi ke khuwab main ubhro... yahi kahna mohabbat hai

khizaon main jo bas jao to thamo haath chahat ka
udaasi main kabhi utro...yahi kahna mohabbat hai

koi tum se jo pooche kiyon safar ye bandh rakha hai
jo darya paar jana ho...yahi kahna mohabbat hai

sitare jo kabhi utren kisi ka naam aate hi
dukhon main doobti ankhon...yahi kahna mohabbat hai

kinare doob jayen gar samundar sirf zinda ho
judai main base logo...yahi kahna mohabbat hai!!!

soch lena kadam uthaney sey pehle


soch lena kadam uthaney sey pehle.
Kaheen kho na jao manzil aaney sey pehle.

Mukhlis "dost" sey mehroom ho na jao tum kaheen.
Ye soch lena "humein" aazmaney sey pehle.

Aandhiyaan bohat be reham hoti hain.
Ye soch lena koi "dia" jalaney sey pehle.

Apney daaman ko pholoun sey sajaye rakhna.
Phool sare chun lena "khizan" anaye sey pehle.

Tumharey siney me bhi dharakta howa "dil" hai.
Ye soch lena kise ka dil dukhanaye sey pehle.

Lagta Hai Kabhi Kabhi De Raha Hai Koi Dastakein


Lagta Hai Kabhi Kabhi De Raha Hai Koi Dastakein,
Toota Kiska Dil Kiski Aah Ban Gayee Dastakein,

Humse Kya Poochte Ho Jamane Ki Wahshay Ke Nisaan
Suno Un Khandaron Mein Kya Keh Rahi Hain Dastakein,

Hum Bhi Hue Hain Apni Garj Ke Deewane Eay Garjmandon
Humen Dekh Kar Sote Hue Kafan Se Laut Gayee Dastakein,

Ab Chale Tere Ujalon Se Nihaar Ke Bajam E Khushi
Andheron Se Hawayen Lekar Aa Gayee Dastakein,

Kyun Itne Gum Lekar Chalte Ho Sar E Bazar
Chupana Dushwaar Palkon Par Askon Ki Jo Hui Dastakein,

Tujhse Bhi Ho Khafa Ye Malamat Hai Hum Par
Ye To Chahre Pe Dard Ki Ubhar Aayee Dastakein,

Tum Ro Rahe Ho Apni Mayoosiyon Ko Doston
'Khushboo' E Jahan Ki Aahen Ban Gayee Dastakein...

Kyun Yeh Pal Bohut Adhoora Hai Kaheen Koi Chupa Ley Muje Aaj


Kyun Yeh Pal Bohut Adhoora Hai
Kaheen Koi Chupa Ley Muje Aaj

SikLha Deyta Kash Kadam Wapsi k
Kyun Raahein Sath Nahi Mere Aaj

Kat Tau Gaya Din Soch Main Meri
batla day Kaisi Katey Ki Raat Meri Aaj

Dikha Chuka Houn Soorej Ko Aankhain
Kaisey Chupaoun Aansso Chande Se Mere Aaj

Koi Bhi Jawab Nahi Sawal Ka Mere Aaj
Hai Khamosh Kyun Yeh Sara Zamana Aaj

Mohabat rabt-e-Khas he diloon ke darmian aisa


Mohabat rabt-e-Khas he diloon ke darmian aisa
Ke dil barbad ho jaen to pachtawa nahi hota


mohabat aisa darya he ke jis mein doob bhi jaen,
satah e aab per ayien tu pachtawa nahi hota


Mohabbat aisa sehra he ke rasta bhool bhi jaein,
Khas-o-khashak ho jaein to pactawa nahi hota


Mohabat aisa tilsim he ke jis mein qaid ho jaein
Ya rehai bhi pa jaein to pachtawa nahi hota


Mohabat aisa surmaya he keh sub kuch lut bhi jae,
aur donoon hath khali hoon to pachtawa nahi hota


Mohabat aisa jazba he ke jal ke khak ho jaen
pighal ker aag ho jaein, to pachtawa nahi hota.


Mohabat aisa rishta he, duniya rooth bhi jae
Ya khood barbad ho jaen to pachtawa nahi hota


Mohabat aisa naghma he ke isko gungunanay wale
kabhi goonge bhi ho jaein to pachtawa nahi hota


Mohabat milne aur bichirne ka aisa gorakh-dhanda he
ke is me kuch bhi ho jaen to pachtawa nahi hota


Mohabat aisa nasha he ke tun barbad hojae
aur dil mitti mein mil jae to pachtawa nahi hota


Mohabat aisa kasa e kherat he jis mein maaf ker do ki
sada bhi ger, faqat aae to pactawa nahi hota

khwaab Me Aakar Wo Meri Neend Udaata Tha Bahut


khwaab Me Aakar Wo Meri Neend Udaata Tha Bahut,
Har Ghadi Wo Dekhkar Mushkurata Tha Bahut,

Chhod Hi Dena Pada Ghabrakar Uske Shaher Ko,
Yaad Uski Raat Din Mujhko Rulati Thi Bahut,

Apni Baahon Me Jab Jakad Lete The Ranjo Alam,
Aake Ek Andaaz Me Mujhko Hansaati Thi Bahut,

Apne Dil Ki Baat Wo Mujhse Kabhi Kehta Na Tha,
Dusron Ke Pyaar Ke Kisse Sunata Tha Bahut,

Chahta Tha Sirf Meri Hi Nazar Uspar Pade,
Gair Ki Nazron Se Wo Khud Ko Bachata Tha Bahut,

Din To Kat Jata Tha Mera Doston Ke Saath Me,
Raat Me Lekin Wo Mujhko Yaad Aati Thi Bahut.

Ik sham kahin abaad to ho! us jheel kinaray pal do pal


Ik sham kahin abaad to ho!
us jheel kinaray pal do pal
ik khwaab ka neela phool khilay!
wo phool baha dein lehron mein
ik roz kabhi ham sham dhaley!
us phool ke behte rangon mein
jis waqt lazarta chand chalay!
us waqt kahin un aankhon mein
is bisray pal ki yaad to ho!
un jheel si gehri aankhon mein...
ik shaam kahin abaad to ho!
phir chahe umer samandar ki
har mauj pareshaan ho jaye!
phir chahe aankh dareechay se
har khuwab guraizaan ho jaye!
phir chahe phool ke chehre ka
har dard numayaa ho jaye!

us jheel kinarey pal do pal
wo roop nagar eejaad to ho!
din raat ke is aainay se
wo aks kabhi azad to ho!
in Jheel si gehri aankhon mein

ashna hain teray qadmon sey woh rahein jin per


ashna hain teray qadmon sey woh rahein jin per
us ki madhosh jawani ney inayat ki hay
karwan guzray nahin jin sey usi ranai key
jis ki in ankhon ney beysood ibadat ki hay
tujh sey kheli hain woh mehboob hawaein jin mein
us key malboos ki afsurda mehak baki hay
tujh pey bhi barsa usi bam sey mahtab ka noor
jis mein beeti hui raton ki kasak baki hay
tu ney deikhi hay woh peshani, woh rukhsar, woh hont
zindagi jin key tasawar mein lutta di hum ney
tujh pey uthi hain woh khoi hui sahir ankhein
tujh ko maloom hay kiyon zindagi ganwa di hum ney???

Bisat e jaan pe azab uterty hian kis terah


Bisat e jaan pe azab uterty hian kis terah
shab o roz dil pe atab guzerty hian kis terah
kabhi ishq ho tu pta chaly..
yeh jo log sy chupy huey hian pes e dostaan
tu yeh kon hian?
yeh jo rog sy chupy huey hian pes e jism o jaan
tu yeh kis liya?
yeh jo kaan hian mery ahaton pe lagy huey
tu yeh kiun bhala?
yeh jo log pechy pary huey hian fazol main
inhain kya pta,inhain kya khaber
kisi rah k kisi mor per jo inhian zara
kabhi ishq ho tu pta chaly...

kahin per sham boley gi kahin per raat boley gi


kahin per sham boley gi kahin per raat boley gi
bala ki baraf main garme halat boley gi

abhi main khch nahi boloon ga lakin raat boley gi
jaisey din rok daita hai wo ik ik baat boley gi

ager ansoon kahin per hain to rasta dhoond hi lain gey
samander chup rahey ga to bhari parsaat boley gi

suna hai shaher ki khamooshioon per kaher tooty ga
kisi ka jims boley ga kisi ki zaat boley gi

tumhain maloom hai kuch bolna kitna zaroori hai
ager khamoosh ho jao to phir maat boley gi

Dil-e-veeran hai, teri yaad hai, tanhai hai


Dil-e-veeran hai, teri yaad hai, tanhai hai
Zindagi dard ki baho mai simat aayi hai

Khuda ke baad ek tera tha sahara mujhko,
Dobi kashti leke doba hai kinara mujhko,
Omr bhar doobta jaonga..mai gham ke.. is samandar mai,
Samandar se bhi ziyada mere gham ki howi gehrai hai

Sookh ker rehgai mere chaman ki daaliyan saari,
Rooth gaye rang morjhagai khilti howi kaliya sari,
Saray parindo ne bhi badal diya ashiyan apna,
Meri mohabbat ke chaman mai kuch aisi khiza aayi hai

Teri bas ek jhalak ke liye tarasta ho mai,
Har gali teri talash mai bhatakta ho mai,
Teri yaadon ne apna qaidi banaliya hai mujhe,
Deakh phir sham teri yaadon ki zanjeer le ayi hai

Zindagi bhar mai tujhko bhula nahi sakta,
Tera pyar mere dil se ja nahi sakta,
Meri mohabbat ko tune kabhi samjha hi nahi,
Meri mohabbat mai na kami ayi thi aur na aayi hai

Basgai hai tu meri ankhon mai ansowo ki tarha,
Zeher bhi lagta hai meetha teri baaton ki tarha,
Uthrahay hai mere armano ke janazay,
Tere bin har khushi kafan mai lipti howi nazar ayi hai

Mujhko tere honto ki tabassom ki qasam,
Moat bhi mujhko aker bhi nahi aayi hai
Dil-e-veeran hai, teri yaad hai, tanhai hai
Zindagi dard ki baho mai simat aayi hai

ye din bahaar ke ab ke bhii raas na aa sake


ye din bahaar ke ab ke bhii raas na aa sake
ki Gunche khil to sake khil ke muskuraa na sake


merii tabaahii dil par to raham khaa na sakii
jo raushanii mein rahe raushanii ko paa na sake


na jaane aah! ki un aansuuon pe kyaa guzarii
jo dil se aankh tak aaye mishgaan tak aa na sake


rahen Khuluus-e-muhabbat ke haadasaat jahaan
mujhe to kyaa mere naqsh-e-qadam miTaa na sake


karenge mar ke baqaa-e-davaam kyaa haasil
jo zindaa rah ke muqaam-e-hayaat paa na sake


nayaa zamaanaa banaane chale the diivaane
naii zamiin, nayaa aasamaan banaa na sake

Wo sahilon pe gane wale kya hue


Wo sahilon pe gane wale kya hue
Wo kashtiyan jalane wale kya hue

Wo subah ate ate rah gai kahan
Jo qafile the ane wale kya hue

Main jin ki rah dekhata hun rat bhar
Wo raushani dikhane wale kya hue

Ye kaun log hain mere idhar udhar
Wo dosti nibhane wale kya hue

Imaraten to jal ke rakh ho gain
Imaraten banane wale kya hue

Ye ap ham to bojh hain zamin ka
Zamin ka bojh uthane wale kya hue

Bhool chuka hoon apni daastaan zara phir se kehna


Bhool chuka hoon apni daastaan zara phir se kehna.
Aai kis tarah gulshan mein khizan zara phir se kehna.

Sirnigoon hona wo ghunchon ka ab tak yaad hy.
Kiya Qissa tha khoonchikan zara phir se kehna.

Qadam kabhi iss tarah dagmagaae to na thay kabhi.
Simat kiyun raha hy jahan zara phir se kehna.

Dil jo dharakta tha mari yaad k saayon talay.
Huwa kaisay jazbon se anjaan zara phir se kehna.

Yoon to her sham ko pegham-e subah diya tu ne.
Taareek sa kiyun lagta hy samaan zara phir se kehna.

Taqdeer ki laghzish thi k nafas parasti ka janoon.
Ajnabi sa tha andaz-e biyaan zara phir se kehna.

Taray labon pe machalti hui khamosh si junmbish.
Kiyun na kahaun lafzon ka ziyan zara phir se kehna.

Muskrahaton mein jhalaktay huway ashak kiy maani.
Koi to ho ga iss mein raaz pinhaan zara phir se kehna.

Zindagi ki veeran raahon mein aaey gi bahar.
Kiya tera bhi hy ye emaan zara phir se kehna.

Armaanon ki chita jalanay se kiya haasil
Huwa hy aub ye raaz nihaan zara phir se kehna...

Popular Posts