Saturday, October 8, 2011

kaheen tot-ta taara aasman pe jo kabhi tum dekho


kaheen tot-ta taara aasman pe jo kabhi tum dekho
aankhon se meri rawani-e-daryea-e-ashk kabhi tum dekho

bakhshain hain jo tu ne zakham-e-ulfat mujhey
buntey houay naasor-e-jan sabhi tum dakho

ghum-e-hijraan ke dard ka aalam kiyun kar ho biyaan
kisi zakhmi taiyer ka tarpna kabhi tum dekho

waqt-e-kalaam munh se uskay phool jhartey hain
laboon ki janbish pe hotey raqs-e-tabussam kabhi tum dekho

silsilaa zaat-e-Qais ki dharkanon ka qaim hai kaise
palkoon ka uski girna aur uthna kabhi tum dekho

Gayi rutoon key kuch khawab sunbhal rakhna


Gayi rutoon key kuch khawab sunbhal rakhna
Sard shaamon key chand azaab sunbhal rakhna

Muhabbt may rawa rakhay hain tu ne sada asol-e-tijarat
Aye jaan-e-wafa sood-o-ziyan kay wo sub hisaab sunbhal rakhna

Teri chahat may ta-umr shair kehtay rehay
Ab ghazal ki wo mehakti kitab sunbhal rakhna

Tareeq-e-wafa kay sub asloob aik shab-e-vasl nay sikha diye
Ulfat kay wo sub nisaab sunbhal rakhna

Dastaan-e-safar jo usay suna suna kay roye hum Qais
Sisaktey hurfoon ki wo sisakti kitaab sunbhal rakhna

Fasloon ko manzil se shikwa kiyun hai


Fasloon ko manzil se shikwa kiyun hai
Tawaalt-e-safr ko musaafir se shikwa kiyun hai

Zameen bhi simmat jati gr tu do gaam chalta
Sehar-e-husn may kohney waley saahir se shikwa kiyun hai

Daagh chaand may jo dekha tu tanha tarapta choor ayea
Aye aashiq-e-baatin tujhey zaahir se shikwa kiyun hai

Dar-e-maqtal lagzish teray qadmoon ki tujhey ruswa kr gaye
Jab tehri rasm mar kay amr hona tu jaabir se shikwa kiyun hai

Uss nay jab dil-e-naashad ko thokar may udaa diya Qais
Iss aday-e-be-niyazi pe uss haseen saahir se shikwa kiyun hai

Kabhi gulaab wo kitaboon may rakhti thi


Kabhi gulaab wo kitaboon may rakhti thi
Kahtoon ke meray jawab kitaboon may rakhti thi

Zamaana shanaas thi wo bhaut
Har qadam phoonk kar rahoon may rakhti thi

Chehra shanaasi may kaml maharat hasil thi usay
Sadaa hi bhaut sawal nighaoon may rakhti thi

Usay aitmad tha bhaut apni taqdeer per
Roshan diye aksr toofani hawaoon may rakhti thi

Sagar ki bhiparti lehroon se usay ishq tha bhaut
Issi zoum may naam mera paaniyun pe likhti thi

Usay shayed baharon se adawat thi bhaut
Wafaoon ka naam zard patton pe likhti thi

Wo jo Milan rut may dagh-e-judai de gaye
Suna hai hijr ki shab wo aansoon se roti thi

Ab kay bars saawan ko sulagtey dekha hai


Ab kay bars saawan ko sulagtey dekha hai
Dasht ki sookhi piyaas may aab ko sulagtey dekha hai

Uss roz se ankh ne meri neend se dushmani kar dali
Jis shab se teri palkoon pe khawab ko jaltey dekha hai

Paani pe wo likhta raha dil-e-nashad ka fasaana
Hum ne tu kitab-e-ishq kay har baab ko jaltey dekha hai

Mansob har qissa jafaoon ka mujh se kr detay hain tere shehar kay log
Shayed kisi ne teri wafaoon ki kitab ko sulagtey dekha hai

Yaad key anokhey jugnu tawaaf krtey hain shajr-e-be-saya ka
Yaadon key uffaq pe mahtaab ko sulagtey dekha hai

Kali qaba mein lipta uska haseen wajood


Kali qaba mein lipta uska haseen wajood
Tarpa jaye khilti kaliyun ko bhi
Chaandni jo bhikarti hai teri galiyun may
Sharma jaye hai tera haseen mukh dekh kar
Per
Jaanan!
Dil-e-sharminda naadim hai teri wafaoon pay
Jo rang badl gayen mosam ki tarah
Ab
Aag barsati hai teri haseen muskaan
Shoulay ugalti hain teri haseen jheel si aankhain
Pathar barstay hain lafzon ki surat terey gulaab pankriyun se laboon se

Wafaa dhoondne walo Kabhi sehraa ki rait chahni hai


Wafaa dhoondne walo
Kabhi sehraa ki rait chahni hai
Kabhi sagar ki lehroon ko ginna hai
Kabhi aasman key taaron ko shumar kiyea hai
Nahi
Tu
Jaan lo wafa nahi milti
Zidagi se
Sanam ki zulfoon se
Wafa milti hai
Tu
Sirf aur sirf
Dhalti shaam se
Utartey samandar se
Gheri chahti taareki-e-shab se
Dil may sulagti aatish-e-ishq se
Aur
Wafe milti hai
Rah-e-adum pe
Tu
Aye mutalashi-e-wafa
Chal oorh lay matti ki chaader
Aur gum hoja amr hoti wafaoon may



_________________

Yaad ke unjaan jazeroon se Kaisi ye sadaa aa rahi hai


Yaad ke unjaan jazeroon se
Kaisi ye sadaa arahi hai
Sadaa hai ya bazghast hai
Guzrey kisi toofan ki
Ya
Sadaa hai betay kisi gulaab lamhon ki
Kia hai ye kaisa hai mouamaa
Aye jane-e-jaanan
Lout aa us unjaan jazeeray se
Aur sadaaon ko apni mushoor awaz
Se amar kardey
Lout aa jaanan
Kay
Saahil pey aik musafir muntazir khada hai
Sadiyuon se
Kaie rat-jagon se
Lout aa kay uski piyaas bujhey
Teri deed se
Teray wajood ki mehak se
Teri aik nazr-e-qaatil se
Lout aa us yaad key unjaan jazeeron se
Lout aa



_________________

aye jaan-e-wafa aaj sharminda hai wafaiyein bhi tujh se


aye jaan-e-wafa
aaj sharminda hai wafaiyein bhi tujh se
naraaz hain jafayen bhi tujh se
sub behr-o-bar keh rahain hain
kia kiyea tu ne
aik dil toor diyea nazuk sa
kaanch ki tara ka sa tha
moom ki tara pighal gayea
sirf
teri
aik nazr-e-berukhi se
ab bachien hain
kuch khatayen kuch sazayen
chalo jaanan
apne apne hisay ki
sazayen chun lain
kuch un-cahai wafaon ki tammana may
chalo jaanan



_________________

Bey-naam se jazboon ko kia naam atta karon


Bey-naam se jazboon ko kia naam atta karon
Duhaan hote chehron ko kia naam atta karon

Aab-e-jharne ki mannind hain wafain uski
Chalo bheegtey patharon ko kalaam atta karon

Wosat-e-sehraa key bhataktey musafir lout ayen hain jaanan
Shab-e-dard key inn piyasoon ko jam atta karon

Shehar-e-muhabbat may jafaoon ka nazul-e-ballaa hai
Taarikie may chupay ujaalon ko piyaam atta karon

Qafs-e-hijr may machalti hain khawhishain vasl ki kaie
Kaisey aye jaan-e-Qais inn diyeoon ko shaam atta karon

Kabhi lamhoon ki ghulam ghardishon se niklo tu dekhna


Kabhi lamhoon ki ghulam ghardishon se niklo tu dekhna
Kabhi aanhkon ki madhoshiyun se nikalo tu dekhna

Wo sagar kinarey bethay do ajnabiyun se kehnaa
Khud ki sarghoshiyun se niklo tu dekhna

Wo chandni raaton may tera aanchal lehraa kr hansnaa
Un hawaoon ki sarmastiyun se niklo tu dekhna

Teri muskaan ka ashkoon se ajab Milan aasman ne jheela hai
Aye zameen-e-dil aanson key paaniyun se niklo tu dekhna

Wo aaj bhi shajr-e-bekaraan se lipat kr misl-e-qais roota hai
Aye hum-nasheen kabhi samey ki gardishoon se niklo tu dekhna

Jab bhi kaheen muskrahatain girti dekho


Jab bhi kaheen muskrahatain girti dekho
Aangan may meray shikasta devareen girti dekho

Aansoon se labraiz teri khamosh palkain dastaan hain ghum-e-ishq ki
Aaiyena bana kar meri aankhon ko udaas shaamain utarti dekho

Ab kis baat ka hai dukh kis baat pe pachtawaa jaanan
Ab kay saawan may bin boondon ki baarishain barasti dekho

Aaghaz-e-safar-e-vasl may kabhi tanha choor gaye thay tum
Dar-o-baam pe meray ab qadmoon ki be-awaaz aahatain tarsti dekho

Yadoon kay jazeroon pe aksr toofan bapaa rehtay hain
Nasheman pe meray ab tum saatain girti dekho

Aankhon kay badltey rang mein dekhta raha


Aankhon kay badltey rang mein dekhta raha
Door jatey qadmoon key nishan mai dekhta raha

Haath churaa kar wo ye boli vasl muhabat ki takmeel nahe
Lafz bantey teer lub hotey kamaan mai dekhta raha

Saahil ki rait pe betha tasveer-e-jaanan bana raha tha
Toofan aye aur usay mit-ta mai dekhta raha

Raat key pichley pehar roz pukara karta tha tujhey
Sadaoon ko nakaam-o-namuraad lout-ta mai dekhta raha

Gham-e-hijr bukhsh kr jis pal lout gaye they
Sagar ke uss kinarey mouj ko hansta mai dekhta raha

Uss raat ke dard ka aalam kia btayen tum ko
Chandni ko chup chaand ko jalta mai dekhta raha

Ay jaan-e-Qais aa dekh kaise roshan hai teray naam ka diya
Khud ko khud me pal pal pighalta mai dekhta raha



_________________

Yun tu rahoon may kaie moor atey hain


Yun tu rahoon may kaie moor atey hain
Hum apney hi naqsh-e-pa kaheen choor atey hain

Shabastan-e-sanam se mutasil kaie aik meikhaney hain
Jo khataoon may pi bethey tu peymaney kaie toor atey hain

Saqi mera jo rok leta hai hatoon ko apne
Shiddat-e-gham se jam khud hi dor atey hain

Log kehtain hain sharab haram shai hai magar
Hum tu madhoshiyan shehar-e-yar me kahen choor atey hain

Hum tu pi kar lahoo apna khud hi bekhud hojatey hain
Chaloo Qais piyale sharab key kaheen toor atey hain

Hum yun aksar beth kr tumhey soocha kartey hain


Hum yun aksar beth kr tumhey soocha kartey hain
Khud ko jaise khud may kohja kartey hain

Talaash-e-zeest ka safar kab taamam hoga
Qadmoon key nishaan mujh se poocha kartey hain

Tujh se bichar kr soochain mehw-e-raqs hain
Tareeq-e-vasl kaie andaz se khiyalon may soojha kartey hain

Hum tu ban kr jogi-e-ishq dar pe uskey jatey hain
Dekh kr na-aashna ki tarah bhikari samjha kartey hain

Aaj bhi uss chamman se aah-o-fighaan buland hote hain jaanan
Lagta hai shajr-e-besaya pe naam koi kohdaa kartey hain

aksar wo yunhi mujh se khafa rehta hai


aksar wo yunhi mujh se khafa rehta hai
jaise daryea sehra sa judaa rehta hai

anjuman-e-dostaan me tanhayian tawaaf karti hain
shab-e-hijr me per yaadon ki uska meela sa laga rehta hai

suna hai wo shab bhar mehw-e-khawab hota hai
mudat hoi ankhon may meri rat-jaaga rehta hai

khouf-e-beyabaan ab nahi raha mujhe
muthi may jo aik jugnu chupa rehta hai

kal jo ankh pur-nam dekhi uski Qais
dil may chubhta sa dard basa rehta hai

gurezaan hota houa saawan hal-e-sehraa kia janey


gurezaan hota houa saawan hal-e-sehraa kia janey
hiyat-e-boond kia hai ye sehraa kia janey

uthtey hain kaie toofan qalb-e-sagar may
saahil ka ye khamoosh kinara kia janey

tum tu rehtay ho un-ginnant chahaton may
jalta hai wajood aalo-e-nafrat may be-sahara kia janey

madhoshi chahiye thi isqadar teri nigah-e-meharban ki
kab dil-e-naadan mujrim-e-muhabt tehra kia janey

laala-o-gul udusiyun may garq hain sub gulshan-e-Qais ke
kab hoga nazul-e-bahar, kab hoga bulbul ka baseera kia janey

yun mujhe ruswa-e-zamana kar gaya aik shakhs


yun mujhe ruswa-e-zamana kar gaya aik shakhs
sure-e-mehfil alzam-e-bewafie dhar gayea aik shakhs

adda-e-muskrahat pe jisey hasil bhaut kamal tha
misl-e-ashk aankh me meri tehar gayea aik shakhs

parhte rahey ta-umar jisey oraaq-e-muqadas ki tarah
ban kar dard lafzoon may tehar gayea aik shakhs

ehad-o-peymaan baandhne may shab guzaar di usnay
chiraagh-e-sehar jo bujha tu mukr gayea aik shakhs

rooh-e-Qais tarap rahi hai qafs may muddat se jaanan
nuzul kab ho nidaa-e-aasman ka kay mar gayea aik shakhs

ay raat tehar ja kis baat ki jaldi hai


ay raat tehar ja kis baat ki jaldi hai
ashkon ka tu savera hai kis baat ki jaldi hai

hawao zara tham tham kar chalna dar-o-bam pe meray
roshan hai abhi ye jeevan ka diyea kis baat ki jaldi hai

shehar-e-khamoshan may muntazir hain deed-e-akhir ko meri
utarne tu do ujalon may andhera kis baat ki jaldi hai

manzir hain abhi samne bahut dilkush-o-pur khasish
dhundla ne do nazar chahne do kohra kis baat ki jaldi hai

mai khud hi mit jaon ga kisi unchahie aarzo ki maanind
bus parakhne do taqdeer-e-mubaram ko aur thoda kis baat ki jaldi hai

ye wafaon ka tarapna tum kia jano


ye wafaon ka tarapna tum kia jano
ye jazbon ka bilakna tum kia jano

aabla pa chaltey rehay unjani rahon pe
un zakhmon ka sisakna tum kia jano

shab bhar firaq-e-yaar ki tapish may basera kiyea
sooni subah may ooas qatroon ka jalna tum kia jano

kabhi gul tum, chaman hum tehray thay
us gulistaan ka ujarna tum kia jano

hum tu lamha lamha zindagi se mout kasheed kartey rahey
zehan-o-dil pe chahie yaadon ka khurachna tum kia jano

shajar pe likhi teri tehreer ka ashk ashk hona
wo qiyamt manzr ka dekhna tum kia jano

aa dekh zara hasti-e-Qais ka reza reza hona
per jaanan khak ka bikharna tum kia jano

Uske badley houay lafzoon nay para para kar diya


Uske badley houay lafzoon nay para para kar diya
Uske uljhe houay raviyun ne para para kar diya

Kis se pochon us mutageyar tarz-e-takalum ka sabab
Kal tak jeevan may jin muskaanon ney saveera kar diya

Wo jin may sajti thi hina, khanakti thi choriyaan
Un komal hathoon nay be-sahara kar diya

Usay junoon tha bheegney ka sawan ki boondon may
Takmel-e-khuwahish may uski bin mangi barishon nay sehra kar diya

Mai tu sagar tha jo dukh ke dariyea pi gaya
Dekh uss chattan ko jisay ghamoon nay reza reza kar diya

kuch pal yaad kay jazeroon mein bitaye hum ne


kuch pal yaad kay jazeroon mein bitaye hum ne
guzray maazi ke wo lamhe andheron may bitaye hum ne

Kuch un-kahey fasanay naasor ban gaye thay jaanan
natamaam qissay wo saaray pattoon ko sunaye hum ne

Ashjaar ki muhabat may kaanton ko lagayea galay
shiddat-e-zakham jo milay zakhmoon ko dekhaye hum ne

Muskratay laboon pe siskiyun may liptay qehqehay
din kay roshan ujaloon ko sunaye hum ne

Uthtay they jo haath thaamnay ko humain Qais
unko bhaut sunwara chahatoon may hum nay

Yun teri hasti ko muatabr bana dala


Yun teri hasti ko muatabr bana dala
khud rehay diya tujhey aftaab bana dala

aasmaan pe ye kaisi hain sarghushiyan
aatish-e-ishq ne mujhe shahab bana dala

sadiyun se tha wo garq udasiyun may
lafz aik muhabat nay usay mahtaab bana dala

hum tu rehay arzaan zamaney se aalam may
choo kar usney kisey kumyaab bana dala

baseera raha khaak nashenoon may sada Qais
choo kar hinai-e-haathon se mujhey gohar-e-nayab bana dala

Popular Posts