Aankhon kay badltey rang mein dekhta raha
Door jatey qadmoon key nishan mai dekhta raha
Haath churaa kar wo ye boli vasl muhabat ki takmeel nahe
Lafz bantey teer lub hotey kamaan mai dekhta raha
Saahil ki rait pe betha tasveer-e-jaanan bana raha tha
Toofan aye aur usay mit-ta mai dekhta raha
Raat key pichley pehar roz pukara karta tha tujhey
Sadaoon ko nakaam-o-namuraad lout-ta mai dekhta raha
Gham-e-hijr bukhsh kr jis pal lout gaye they
Sagar ke uss kinarey mouj ko hansta mai dekhta raha
Uss raat ke dard ka aalam kia btayen tum ko
Chandni ko chup chaand ko jalta mai dekhta raha
Ay jaan-e-Qais aa dekh kaise roshan hai teray naam ka diya
Khud ko khud me pal pal pighalta mai dekhta raha
_________________
No comments:
Post a Comment