Thursday, April 22, 2010

Agar tum dhondhna chaho



Agar tum dhondhna chaho
to mein tum ko
khizan-aasaar be-saya darakhton main milon ga!

Jahan par chandni se mehroom raton mein
khizan aram karti hai!

Jahan girtay huye patton kay matam main,
hawa ka aks shamil hai !!

Agar tum dhondhna chaho
tu mein tum ko...

kisi veeran basti mein
kisi be-aab sehra mein milon shayad...

K mein sehra ki urrti rait K zarron ka hissa hon !
koi bhuli kahani hoon
koi be-naam qissa hoon!

Kisi din tum jo aa niklo kisi weeran qariye mein
kisi esay kharaby mein jahan koi nahi rehta...

Jahan tareek raton me
Khamoshi chekhti hai apnay makanon mein!

Kisi veeran rastey py,
kisi sunsaan rastey py
Kahin betha hua dekho kisi tanha musafir ko
to phir itna samajh lena

K tum ne pa liya mujh ko!!!

Woh kehti hai k kiya Ab Bhi kissi kay

Woh kehti hai k kiya Ab Bhi kissi kay
Liye laal Hari choriyan kharedtay Ho
Main Kehta Hon Ab kisi ki kalai pe
Yeh Rang Acha nahi Lagta

Woh kehti hia k kia Ab Bhi kisi k
Anchal ko Aakash likhte Ho
Main kehta Hon Ab kisi kay Aanchal
Main itni Wosaat kahan hia

Woh kehti hia k kia mere baad kisi
larki se muhabbat howi hia tumhain
Main kehta hon Muhabbat sirf
larki Per Mushtamil Nahi hoti

Woh kehti hia k janan!
lehjay Main Bohat udasiyat si hia
Main kehta Hon k Titliyon ne Bhi
Mare Dukh ko mehsoos kiya hia

Woh kehti hia k kia Ab Bhi Mujhe
Bewafa k naam say Yaad karte Ho
Main kehta Hon k Mare Nisaab
Main Yeh lafz shamil He nahi

Woh kehti hia k kabhi Mare
zikar per ro0 Bhi late Ho Gay
Main kehta Hon k mari Ankhon
ko Har waqt ki phowar Achi lagti hia

Woh kehti hia k tumhari baaton
main itni gehrai Kyun hai
main kehta hon k teri judaYi k Baad
Mujh ko yeh aizaaz mila hai....

Kyun Rulate HO Mujhe

Kyun Rulate HO Mujhe?
Kyu rulaate ho mujhe ?
Kyu bhool jaate ho mujhe?
Tere he sahaare to jee rahe hain hum..

To phir kyu akela chodh jaate ho ?
Har baat ko chupana ataa hai tumko,
Roothon ko manana ataa hai mujhe.
Roothe ho tum na jaane kis baat par mujh se...
To phir wo baat kyu nahi bataate ho tum mujhe?

Jaan jaati hai meri ,
Jab yaad aati hai tumhari.
Tum to mujhe bhula dete ho...
To phir kyu yaad aate ho mujhe?
Hum jeene ke bahaane marte rahenge,

Pyaar hum tumse karte rahenge.
Pyaar to tum bhi karti ho na..
To phir kyu yu sataati ho mujhe?
Ya keh do zeher peene ko,
Ya kaho phir mujhe jeene ko.

Agar mere saath main nahi chalna tha tumko...
To phir kyu mujhe raasta zindagi ka dikhaya ?
Beech raaste main kyu is tarah akela chodh diya?
kaho ...kuch tho kaho
Kyu akela chodh diya ..

Dilber ne kaha aik roz dilruba se




WAFA-0-HAYA

Dilber ne kaha aik roz dilruba se

kabhi milo tum mujhey is adda se

nazar aaey esse rukh-e-zeba tera

chand nikalta hey jesse kali ghata se

kab tak tarsoon mein deed ko teri

kar lo toba ab tu tum bhi jafaa se

mana keh sharam hey hayaa ka taqaza

esse tu nah imtehan lo mujh se sharma ke

churra ke daman kahan tak jaogey tum

maang liya hey meine tumko apne Khuda se

waqt ne kar diya tum ko mujhse door

rahoon ga ik roz sab fasle mein mita ke

seiaha andheri raat mein sochta hoon kash

tum bhi aa jao ab sharm-0-haya bhula ke

chat pe makan ki apne muntazir hey tera jimmi

aao mil bethein aaj tu hum chupp chuppa ke

Aankhon ki zubaan ye aansoon kehte hain



Aankhon ki zubaan ye aansoon kehte hain
Chup rehte hain lekin phir bhi behte hain
In aansuon ki kismat to dekhiye
Yeh unke liye behte hain jo aankhon mein hi rehte hain……..


Na jane us par itna yaqeen kyon hai?
Us ka khayal itna hasin kyon hai?
Suna hai pyaar ka dard mitha hota hai.
To phir ankhose nikale ansu namkeen kyon hai?

Ankho me aansuo ko ubhar ne na diya,
Mitti ke motiyo ko bikhar ne na diya,
Jis raah pe pade the tere kadamo ke nishan,
Us raah se kisi ko gujar ne na diya

Shama Jalti hai to parwane chale aate hain,
Dil Jalta hai to deewane chale aate hain,
Magar mere marne par wo nahin aayi,
Aise mauko par to begaane chale aate hain….

Humne to unki raah mein nazarein bichadi thi,
Apne har pal mein unki yaad bitha di thi,
Hum kya jaante thhe ke woh bhi isi dunaiya ke niklenge,
Ki humari khushi ko bhi ek mazak bana denge…

Chalo Ek Nazm Likhtay Hain




Chalo Ek Nazm Likhtay Hain

Chalo ek nazm likhtay hain
Kisi k naam kartay hain

Magar yeh sochna hai ab
K us mein zikar kis ka ho

k us mein baat kis ki ho
K us mein zaat kis ki ho

Aur yeh bhi farz kartay hain
K jis pay nazm likhtay hain

Humein us say muhabbat hai
Hamary saray jazbon ko

Bus uski hee zaroorat hai
Chalo ek kaam kartay hain

K hum jo nazm likhtay hain
Tumhary naam kartay hain

Tum hee unwaan ho is ka
Tumhara zikr hai is mein

Tumhari baat hai is mein
Tumhari zaat hai is mein...!!!

Teri Chahto Ke Jo Pehar Mile



Teri Chahto Ke Jo Pehar Mile,


Meri Hasraton Ke Nagar Khile,


Is zameen ke Hum Yoon Ho Chale


Ke aasman ki bi na Khabar Mile


Meri Zindagee Meri AAs too


Meri hasratein meri Piyas too,


Tu jo Ho khafa Tu jo ho Alag,


To ye zindagi Bhi zeher Lage,


Humein Tumse Aise Piyar Hai,


Na kise ki Humko Talash Hai.


Mere Hamnasheen Mere AAshna,


Kabhi Ik Inayat Ki ker Nazar,


Tere ishq ka aisa Asar Lage,


Tujhe Boolne Ki Jo khata Karen


Humein Apna AAp Qabar Lage.


Jabh Bhi Hasraton Ka muqam Ho,


Labon Pe tera hi nam Ho.


Tujhe Yad kerte Rahein Sada,


Jo Bhulen Zindagi Tamam Ho.

Tanha KaTti Nahi Ye Zindagi

Tanha KaTti Nahi Ye Zindagi


Hum isko Kaise Basar Karen.


Koi Humko Yunhi Ja Mil Jaye


Jiske dil Pe Kuch Aisa Asar Karein


Wo Bhula ke Na Humko Bhula sake


Hum Aise uski Fikar Karein


Ye Rawaj-e-Duniya hai Kiyoon Ye Hai


Hum Jan Apni Bhi War Den


Our Wo Karam Ki Ik Na Nazar Karen?

Aiye Hath Uthaen Hum Bhi


Aiye Hath Uthaen Hum Bhi
Hum Jinhay Rasm e Dua Yaad Nahi
Hum Jinhay Soz e Muhabbat K Siwa
Koi Butt Koi Khuda Yaad Nahi

Aiye Arz Guzarain K Nigaar e Hasti
Zehr e Amroz Main Shirni e Farda Bhar De
Wo Jinhay Taab E Garaan Baari e Ayaam Yaad Nahi
Un Ki Palkon Pe Shab o Roz Ko Halka Kar De

Jin Ki Ankhon Ko Rukh e Subh Ka Yara bhi Nahi
Un Ki Raaton Main Koi Shamma Munawar Kar Dain
Jin K Qadmon Ko Kisi Rah Ka Sahara Bhi Nahi
Un Ki Nazron Pe Koi Raah Ujagar Kar Dain

Jin Ka Din Pairavi e Kazb o Riya Hai un Ko
Himmat e kufr Milay,Jurrat e Tehqiq Milay
Jin K Sar Muntazir e Tegh e Jafa Hain Un Ko
Dast E Qatil Jhatak Denay Ki Taufiq Milay

Ishq Ka Sarr e Nihaan Jaan Tapaan hai Jis Se
Aaj Iqrar Karain Aur Tapish Mit Jae
Harf e Haq Dil Main Khatakta Hai jo Kaantay Ki Tarha
Aaj Izhar Karain Aur Khalish Mit Jae....

Kabi Khood hi Mere paas aa

Kabi Khood hi Mere paas aa,
Meri Baat sun Mera Saath de
Jo Khalish


Dil se Nikal ker,


Mujhe Uljhano se Nijaat de




Tujhe Sochna Mera Mashghala,
Tujhe Dekhna Meri Aarzoo




Mujhe Dil de apne Khayal ka,
Mujhe Karb ki ek Raat de




Meri Zindagi Mere saath chal,
Mere Haath mai apna Haath de




Mujhe Ghum b Khushi se Qabool hai,
Jo Tu agar Mera Saath de...

Jab Panchi Saray Urr Jayen

Jab Panchi Saray Urr Jayen,
Har Simt Andhaira Chaa Jaye,

Jab Guzri Baatain Yaad Aayen,
Aur Beetay Lamhe Tarpayen,

Mat Tanha Tanha Ghabrana,
Tum Pass Humaray Aa Jana,

Jab Koi Din Mein Shaam Karay,
Ya Lab Ki Hansi Badnaam Karay,

Jab Wehshat Dil Ke Naam Karay,
Ya Aankh Ki Neend Haraam Karay,

Mat Tanha Tanha Ghabrana,
Tum Pass Humaray Aa Jana,

Dil Preet Humari Dohraaye,
Ya Reet Purani Yaad Aaye,

Jab Milnay Ko Dil Ghabraye,
Mat Tanha Tanha Ghabrana,

Tum Pass Humaray Aa Jana..!!

Bay Zubaan Logoon Ko

Bay Zubaan Logoon Ko
Bay Qaraar Ankhoon Ko
Budnaseeb Qadmoon ko
Jis Taraf Bhi Lay Jain
Rastoon Ki Marzi Hay
Bay Nishaa’n Jazeeron Par
BudGumnaan Shehroon Main
Bay Zubaa’n Musafir Ko
Jis Taraf Bhi Bhatkaa Dain
Rasotoon Ki Marzi Hay
Ajnabi Koee Lay Kar
Humsafar Bana Dalain
Saath Chalnay Waloon Ki
Rakh Bhi Ura Dalian
Ya Musafatain Saree
Khak Main Milaa Dalain
Rastoon ki Marzi hay
Rastoon ki Marzi hay…

kaha tha jab ussay main nay

kaha tha jab ussay main nay
zara mujh ko batao to
mohabbat kis ko kehtay hain
bhala kaisay yeh hoti hai
meri woh baat sun k to
zara dheemay say muskaya
labon ko bheench k uss nay
tha palkon ko bhi jhapkaya
zara sa soch k uss nay
lya tha saans ik gehra
hua tab mujh say yon goya

mohabbat naam hai jisska
naseebon say he milti hai
shoro ankhon say hokar to
yeh qabza man pe karti hai
suna hai me nay logo say
k khon-e-dil pay palti hai
kabhi yeh seher ki manind
kabhi yeh shaam lagti hai
kabhi kanton ki yeh chilman
kabhi pholon bhara gulshan
kabhi yeh man ki mehmaan hai
kabhi ye dushman-e-jan hai
kabhi yeh jeet ka paikar
kabhi yeh haar lagti hai
kabhi tan mun jalati hai
lahoo bhi yeh rulati hai
kabhi masroor karti hai
kabhi ranjoor karti hai
kabhi khudsur banayay yeh
kabhi majboor karti hai
kabhi yeh zakham deti hai
kabhi marham lagayay yeh
kabhi yeh dar badar karday
kabhi sehra nagar karday
kabhi kaanton pay sulwayay
kabhi patharon pay chalwayay
kabhi taano ka mojib hai
kabhih khud pe he hasayay
mohabbat jog bhi to hai
yeh dil ka rog bhi to hai
mohabbat dhoop ki shiddat
mohabbat gul ki narmahat
mohabbat chandni bhi hai
mohabbat ragni bhi hai
mohabbat phool main khushboo
mohabbat chamakta jugnoo
mohabbat aik qehqaha bhi
mohabbat ankh ka ansoo
mohabbat raat ki rani
kabhi jharno ka yeh pani
kabhi yeh ablaa dil ka
kabhi yeh ooas ka qatra
ajab sanjoog hai yeh to
musalsal rog hai yeh to
mohabbat jan ki dushman
kahin yeh aan ki dushman
jaha tak hosakay mumkin
bachana iss say tum daman

KAY ANKHAIN NUM NAHI KARNA
MOHABBAT TUM NAHI KARNA...!!!

Udas hogaya safar

Udas hogaya safar
Khili hoi kali bhi ro pari lab-e-hisar-e-gham
Fishar-e-gham bata gaya
Khayal kham zindagi
Ye subha subha mout si
Ye sham sham zindagi
Ye bam bam zindagi
Khud aagahi ka shouq bhi hai
Dhiyaan main racha hua
Tou bayhisii ka ranj bhi
Naseeb main basa hua
Ye baybasi ye baybasi
Ye ashq ashq maykashi
Thathak thathak gaya sama
Khamoshiyan khamoshiyan
Kisi k rukh per ak pall bhi tiktiki
Na jam saki
Baras gai jo chashm-e-dill
Tou dill say bhi na tham saki
Shab-e-panah aaah main na jaany kab
Badal gai
Subuk subuk sadaye dill
Chanan chanan radaye dill
Hawa hawa khayal sab
Juda juda malal sab
Khuda khuda sawal sab
Kabhi tou shah zindagi kabhi ghulam zindagi
Ye subha subha mout si
Ye shaam shaam zindagi
Ye shaam shaam zindagi………..!!

Kaho ab kiya kahoon tum say

Kaho ab kiya kahoon tum say...
bataoo kiya likhoon tum koo....
mujhay tumheed do koi ....
mujhay umeed do koi....
niya aik lafz ho koi.....
jahan say bat chal niklay....
meri mushkil ka hul niklay...
bataoo lahja kaisa hooo...
k tum say baat karni hay.....
mujhay thora ujala dooo...
basar aik raat karni hay....
tum apni roshan aankhoon koo....
agar kholo to main likhoon.....
tumharay lub say aayaya ga........
sukhan main aik kuteela pun....
tumhari aankh day day gi.....
takhatib ko nasheela pun....
kahoo ab kiya irada hay .....
mujhay izhar karna hay.....
k baytabi ziada hay...

Jo Meri aankhon se Khuaab dekho


Jo Meri aankhon se Khuaab dekho
To Aik shab bhi na So sako Gay
Ke Laakh Chaho Na Hans sako gay
Hazaar chaho na Ro Sako gay’
Ke Khuaab kya hain Azaab Hain ye
Mere Dukhon ki kitaab hain ye
Rifaqatain In main Chotti hain
Mohabbatain in main Roothti hain
Pinapti Hain In main Vahshatain see
Azyatain In main Photti hain
Un hi ke Dar se Khizaan Hain Jazbay
Un hi se shakhain see tot’ti hain
Ghamon ki Bandish hain Khuaab mere
Ahal Raha hai Dukhon ka Lava
Rahen Aatish hain khuaab Mere
Khayal sare Jhulaas gay hain
Sulagti Khuahish hain khuaab Mere
Ukharrti Sansain hain Zindagi ki
Lahu ki Sazish hain Khuaab Mere
Jo Meri aankhon se Khuaab dekho
To Aik shab bhi na So sako Gay!!!

Gaya zamaana bohat suhaana

Gaya zamaana bohat suhaana
Jo yaad aaye to..
Laut aana
Woh aankhon aankhon me baat karna
Woh Baaton baaton me raat karna
Kabhi hansana
Kabhi rulaana
Jo yaad aaye to
Laut aana...
Humen tumhari hi justuju hai
Tumhari chahat ki aarzoo hai
Yeh baat tum bhi kabhi to samjho
Humari chup men bhi Guftugu hai
Samajh sako ager yeh baaten to
LAUT AANA
LAUT AANA..!!!

Zindgi k wo lamhy


*~*~* ZINDGI K wO LAMHY *~*~*.

Ab tu Khawab lagty hain
Zindgi k wo lamhy
JIn main kuch Ltafat thi
Peyar ki Halawt thi
Go k Un dino Hum se
Shehar ko Adawat thi
Phir b Meri Aey jaana
Hans k zakham Seh jana
Apni aik adat thi
Qehqhy na dabty thy
KHush dili Rawaeyt thi
Zindgi k wo lamhy
Ab tu Khawab lagty hain
Zindgi k ye lamhy
Ik Azaab lagty hain...!!!

Mujhe Fursat Hi Fursat Hai


Mujhe Fursat Hi Fursat Hai


Savere Jald Uthna Hai

Na Shab Ko Der Se Sona Hai


Kahin Bahar Nahi Jana

Kisi Se Bhi Nahi Milna


Na koi Fikr Lahaq Hai

Na Koi Yaad Baqi Hai


Mager Ye Akhiri Misra

Zara Sa Jhoot Lagta Hai…

Chalo Khuch Baat Kartey Hein

Chalo Khuch Baat Kartey Hein
K Khamoshiyon ka sehar toote
Chalo Khuch Baat Kartey Hein
wafaoon ki jafaoon ki..
Chalo Khuch Baat Kartey Hein
Bicharney ki Bikharney ki..
Bikhar kar Phir Simatney ki..
Bikhar kar phir se milne ki..
Mein tum se door ho jaoon
Jab bhi talab ho mujh se milne ki..
Kisi Vairaan saahil par khare ho kar
Mujhey sada dena...
Teri Palkoon ki chokhat par
Jo dastak de samajh lena K wo mein Hoon...

Kuch khawaab hain


Kuch khawaab hain

Jin ko rakhna hai

Taabeer ky soorat deni hai

Kuch log hain

Ujhray dil waalay

Jinhen muhabbat deni hai

Kuch neendain abhi baaky hen

Jinhen baantana hai kuch loghun mein

Ae umar.e.rawaan aahista chal

Ahista chal

Abhi khaasa qarz chukaana hai...

Batao Be Sabab Kion Rooth Jatii Ho


Wo Kehta Hay...
Batao Be Sabab Kion Rooth Jatii Ho?
Main Kehtii Hoon...
Zara Mujh Ko Manaao... .Acha Lugtaa Hay

Wo Kehta Hay
Mera Dil Tum Se Aakhir Kion Nahi Bhartaa?
Main Kehtii Hoon...
Mohabat Ki Koi Hadd Hi Nahii Hotii...

Wo Kehta Hay...
Batao...Main Tumhain Kion Bhaa Gaya Itna?
Main Kehtii Hoon...
Merii jaan Hadsay To Ho Hii Jatay Hain!

Wo Kehta Hay...
Achanak Main Tumhain Yoon Hii Rulaa Doon Tu?
Main Kehtii Hoon...
Mujhay Darr Hay K Tu Bhii Bheeg jaaye Ga...

Wo Kehta Hay...
Batao..Baarishon Ki kiya Haqeeqat Hay?
Main Kehti Hoon...
K Yeh To Baadilon Ki Aankh Rotii Hay...

Wo Kehta Hay...
Tumhaaray Khwaab Saaray Kion Adhooray Hain?
Main Kehtii Hoon...
Merii Jaan Tum Inhain Takmeel De Do Na...

Wo Kehta Hay...
Batao..Chooriaan Kaisi Lageen Tum Ko?
Main Kehti Hoon...
Mujhay Yeh Toot Kar Takleef Deti Hain...

Wo Kehta Hay...
Batao...Shaam Men Khunkii Hay Kion Itni?
Main Kehti Hoon...
Judaai Men Kisi Ki Aankh Rotii Hay...

Wo Kehta Hay...
Karon Jab Phone Sun Nay Kion Nahii Aatii?
Main Kehtii Hoon...
Terii Aawaaz,Sun,K Zabtt Rota Hay...

Wo Kehta Hay...
K Itnii Be Yaqeenii Kis Liye Aakhirr?
Main Kehtii Hoon...
K Itnii Be Yaqeenii,Sukh Men Rakhtii Hay...

Wo Kehta Hay...
Udaasi Par Kabhii Kuchh Likh K Dikhlaa Do...
Main Kehtii Hoon...
Meray Aagay Karo Sheesha...Main Likhtii Hoon...

bheegi palkain dard say chalkti surkhi

bheegi palkain
dard say chalkti surkhi
ankhon main laal doray
galoon pe phisalty mooti
lab kat ty hoay
main aksar ussay
bari mehwiat say dekhta hoon
pagli!
tujhy kya maloon
tujhy rula kar
main teri ankhon main
sary jahan ka hussan dekhta hoon........

Popular Posts