Thursday, April 22, 2010

Agar tum dhondhna chaho



Agar tum dhondhna chaho
to mein tum ko
khizan-aasaar be-saya darakhton main milon ga!

Jahan par chandni se mehroom raton mein
khizan aram karti hai!

Jahan girtay huye patton kay matam main,
hawa ka aks shamil hai !!

Agar tum dhondhna chaho
tu mein tum ko...

kisi veeran basti mein
kisi be-aab sehra mein milon shayad...

K mein sehra ki urrti rait K zarron ka hissa hon !
koi bhuli kahani hoon
koi be-naam qissa hoon!

Kisi din tum jo aa niklo kisi weeran qariye mein
kisi esay kharaby mein jahan koi nahi rehta...

Jahan tareek raton me
Khamoshi chekhti hai apnay makanon mein!

Kisi veeran rastey py,
kisi sunsaan rastey py
Kahin betha hua dekho kisi tanha musafir ko
to phir itna samajh lena

K tum ne pa liya mujh ko!!!

No comments:

Popular Posts