Friday, June 11, 2010

mujhe likhne ki kwahish hai


mujhe likhne ki kwahish hai
magar lkha nahen jata
mere alfaz dil ki aahanai dewar se sar phorte hain
aur inhen izhaar ka rasta nahen milta
meri ankhen jinhen dil mein chupe jazbat ko askhon ki boli mein
'bata dene pe qudrat thee
wo ab kuch bhi nahen kehten
! mere ye lab
jo dil ki an kahi baton ko kehne se nahen darte thai
wo lab kuch bhi nahen kehte
! meri ye ungliyan
jo dil mein chupe jazbat ko izhar ka rasta batati theen
wo an kuch bhi nahen likhten
meri ankhen, ye lab, meri ungliyan mujh se kehte hain
ke ab jazbat ko izhar ka rasta nahen dena
ke moo zoor hote hain
faqat rasta ke milne se
inhen manzil talak jane ki hajat hi nahen rehti
nayee raste pe jate hain
nahyee rahen banate hain
magar phir wapsii ke sab nishan bhool jate hain
inhen rasta nahen dena
! inhen tum dil mein rehne do
wagarna khoon rulayen ge
inhen rasta nahen dena
!inhen tum dil mein rehne do
mujhe likhne ki khwahish hai -

sonu .. aissa nahe kertay

sonu .. aissa nahe kertay
suno ! jis dil main raihtay hon
ussay tora nahe kertay
bina jis kai na jee payin
ussay chora nahe kertay
suno ! kuch dair rok jao
koi tadbeer ker lain gay
ju saray khowab daikhan hain
unhain tabeer ker laingay
ju hathon main lakeerain hain
unhain takdeer ker lain gay
sonu ! kuch dair rok jao
khodara yon tu mat jao
bina tairay yai jeewan hum
kaho kaisay beetayin gay
sonu ! tum yad aa a tu
bohat khod ko rolayin gay
suno ! jub dard hoga tu tarap ker mar he jayingay
sunoooo ! kuch dair rok jao
sunoo kuch dair rok jao ..

Agar agar wo badshah hota


Agar!!!
agar wo badshah hota
to koi baat bhi hoti
suna hai badshahon ko
dain aisa koi nazrana
jo sab cheezon se barh kar ho
to apni badshahat hi tak luta dete hain wo aksar
mohabbat hai hamare pas
magar wo badshah kab hai!

Kabhi Jo Zeest Ka Apni Hisaab Kerna


Kabhi Jo Zeest Ka Apni Hisaab Kerna 
Deyhaan Rakhna,Khayaal Kerna 

Main Jo Tumhaari Aarzoo Mein 
Musaaftoon k Kathin Safar Mein 
Sitam Zareefi Ki Manziloon Ko 
Bey Aytnaai k Sarkhoi Sey 
Guzar k Jaanay Kahaan Khara Hoon 
Tumhaari Raah Tak Rahaa Hoon 
Kabhi Jo Qissey Sunaaney Betho 
Khud Ko Yunhi Dohraaney Betho 
Safar Karo Jo Maazioon Ka 
Kabhi Jo Waqt Ka Hisaab Kerna 

Khayaal Kerna, Dhyhaan Rakhna 

Main Jo Tumhaari ik Muskuraahat, 
Ik Ik Lafz k Hazaar Maaney 
Talaashta Hoon, Sanwaarta Hoon 
Diloon Mein Apney Utaarta Hoon 
Tumhaari Aankhoon k Jugnoun Ki Roshni Mein 
Ajab Nagar Mein Aa Gaya Hoon 
Na Manoosiyat, Bey Tawajjuhi Ka 
Azaab Sehtey Sehtey Uktaa Gayaa Hoon 
Andher Nagri Mein Aa Gayaa Hoon 
Talaash-e-Yaraan Mein Sergardaan 
Nishaan-e-Manzil Talaashta Hoon 

Suno ..... ! 

Agar Jo Diya Utha k Tum 
Kabhi Andheyri Raah Pey Niklo 
Khuda Karey Roshni k Humraah 
Usi Raastey Pey Nikal Paro k 
Jis Raah Pey Main Roshni Ki 
Talaash Mein 
Taweel Arsey Sey Muntazir Hoon 
Tumhaari Aankhoon k Jugnoun Ney 
Idher Ka Rasta Hi Bhula Diya Hai 
Bey Amaan Manzil, Be Nishaan Manzil 
Kisi Diye Ki Hi Muntazir Hai 

Suno ..... ! 

k Main Tumhaara Muntazir Hoon 
So, 
Kabhi Jo Raah Mein Ujaala Kerna 
Deyhaan Rakhna, Khayal Kerna 
Kabhi Jo Apna Ahteysaab Kerna 
Meri Wafa Ka Khaayal Rakhna ..... !!!!!

Aik wahem tha dil main Shayad kabhi milo tum


Aik wahem tha dil main
Shayad kabhi milo tum
kuch dair ruk ker poocho
beetay dinoon ka moosam
aawaz main ho larzish
aankhoon main ho tajassus
Mazay ka koi lamha
shayad atak gaya ho
sab bhool ker bhi shayad
kuch yaad agaya ho
phir main tumhain bataoon
apni khushi ki baatain
har dukh ko chupa ker dil main
aasoodgi ki baatain
wo chand chudhween ka
taroon bhari wo aankhain
dilkash haseen shamain
maasoom wardatain
wo piyaar ka tasawwor
wo bandagi ki batain
Wo rooz rooz marna
Aur zindagi ki baatain
Tum dukh say muskurao
Dheeray say muskurao
Dheeray say paas aao
Sar ko jhuka kay apnay
Chup chaap loot jao
Phir main bhi muskuraon
Maan kay diyay jalaon
Duhraon apnay dil main
Taa'luq say haqeeqat
Aik khuwab zindagi ka
Haan umer bhar jo daikha
Kabhi ho saka na pora
Younhi rah gaya adhoora
Aik khuwab-e-zindagi tha

Tumhara khat mila jana


Tumhara khat mila jana!! 
Wo jis mein tum ne poocha hai 
k aab halaat kaise hain 
Mere din raat kaise hain 
Mehrbani tumhari hai k 
tum ne is tarhan mujhe se 
Mere halat pooche hain 
Mere din raat pooche hain 
Tumhien sab kuch bta don ga 
Mujhe itna bta do k 
Kabhi sagar kinare per 
Kisi machali ko dekha hai 
k jis ko lehrain pani ki 
kinare tak to lati hain 
Magr phir chorr jati hain' 
Mere halat asey hain 
Mere din raat asey hain

Tanha rehna seekh raha hoon


Tanha rehna seekh raha hoon
Mar kay jeena seekh raha hoon

Mang kay pana seekh liya hai
Pa kay khona seekh raha hoon

Sabar ko zad-e-rah bana kar
Kanch pay chalna seekh raha hoon

Phirtay, phirtay sehra, sehra
Pyaas ko peena seekh raha hoon

Marham to rakhna na aaya
Zakhm khoorachna seekh raha hoon

Jeenay kay hain ajab taqazay
Zinda rehna seekh raha hoon

Madhooshee nay bohat sataaya
Hosh main rehna seekh raha hoon

Barson guzray phir bhi ab tak
Maan say bichcharna seekh raha hoon

Dar kar zehar kay pyaalay say
Such ko chupaana seekh raha hoon

Rotay rotay auron par
Khud pay hasna seekh raha hoon

Ghum nay mujh ko bohat hai khaya
Ab gham khana seekh raha hoon

Is pay hairan hotee hoon
Kartab, kya kya seekh raha hoon

Mang kay pana seekh liya hai
Pa kay khona seekh raha hoon

Sabar ko zad-e-rah bana kar
Kanch pay chalna seekh raha hoon

Pata Nahin Kaunsay Halaat Say Majboor Tha


Pata Nahin Kaunsay Halaat Say Majboor Tha
Woh Shaks Jo Apni Chahaton Main Mashoor Tha

Woh Dil Band Dil Daar Dil Ruba Dil Nasheen
Mere Dil Ka Chain Mere Aankhon Ka Noor Tha

Mere Shanay Per Uskee Ghangoar Ghata Zulfain
Ek Waqt Main Uski Khushboo Say Makhmoor Tha

Pathar Ankhain Bejaan Wujood Majzoob Kergia
Woh Dil Nawaz Jub Mere Nigah Say Door Tha

Kub Tak Is Ujaar Dil Ko Tassallian Dun Schaa?
Mere Chahat Ke Siwa Rab Ko Kuch Manzoor Tha

Titliyon ke mausam mein nochna gulabon ka

Titliyon ke mausam mein nochna gulabon ka,
daikh ker parindon ko bandhna nisahon ka
reet is nagar ki hai aur
jaane kab se hai ..

tum abhi naey ho na
Aasman ki janib is terha se mat dekho
aaftein jab aani hon tootna sitaron ka,
reet is nagar ki hai
aur jaane kab se hai ..

is sheher ke log to nafraton ko bo ker bhi
intizar karte hain Fasal ho muhabbat ki
chor ker haqeeqat ko dhondna sarabon ka,
reet is nagar ki hai
aur jaane kab se hai ..

ajanbi fizaon mein ajnabi musafir se
apne her taaluq ko daimi samjh lena
aur jab bichar jana, maangna duaaon ka
reet is nagar ki hai aur jaane kab se hai ..


khamshi mera sheva .. guftgu hunar un ka
meri be-gunahi ko log kase maane ge??
baat baat per jab mangna hawalon ka ..
reet is nagar kia hai
aur jaane kab se hai !!

Hai Dua Yaad Mager Harf-e-Dua Yaad Nahi

Hai Dua Yaad Mager Harf-e-Dua Yaad Nahi
Mere Naghmaat Ko Andaz-e-Nawa Yaad Nahi

Hum ne Jin K Liye Rahon Mein Bichaya tha Lahoo
Hum se Kehtey hain Wohi Ehd-e-Wafa Yaad Nahi

Zindagi Jabr-e-Musalsal Ki Tarhan Kaati hai
Janey Kis Jurm ki Pai hai Saza* Yaad Nahi..

Main Ne Palakon Se Darr-e-Yaar Pay Dastak di hai
Main* Woh Saail Hoon Jissay Koi Sadaa Yaad nahi

Kaise Bhar Aain Sar-e-Shaam Kisi ki Aankhain
Kaise Tharrai Charaghon ki Zayya Yaad nahi

Sirf Dhundlaye Sitaron ki Chamak daikhe hai
Kab Hua Kon hua Mujhse Khafa Yaad Nahi

Aaoo ik Sajda kerain Alam-e-Madhoshi main
Log kehte hain K Saghar* ko Khuda yaad nahi


wo apne ishq mein kesa kamaal rakhta hai


wo apne ishq mein kesa kamaal rakhta hai
ke berukhi mein b, mera khiyaal rakhta hai
-
jo aj mera nahin hai woh kal tu mera ho ga
ke her zamana urooj-o-zawaal rakhta hai
-
ajab nahi wo jahan bhar ko bewafa samjhe
nazar mein meri wafa ki misaal rakhta hai
-
kahan talak koi dast-e-karam ko zehmat de
tamaam shehar he dast-e-sawaal rakhta hai
-
mera urhaan ke aage hai kis qadar be bas
yeh aasman jo sitaron ka jaal rakhta hai
-
tera khiyal he kuch mehrabaan hai warna
jahan mein kon kisi ka khiyaal rakhta hai

Phirse Mausam Baharon Ke Aane Ko Hai


Phirse Mausam Baharon Ke Aane Ko Hai, 
Phir Se Rangeen Zamana Badal Jayega, 
Ab Ki Bazm-E-Charagaan Saja Lenge Hum, 
Ye Bhi Armaan Dilka Nikal Jayega...

Aap Kar Dein Jo Mujhpe Nigah-E-Karam 
Meri Ulfat Ka Reh Jayega Kuch Bharam, 
Yun Fasana To Mera Rahega Yahin,
Sirf Unwan Uska Badal Jayega, 

Fiki Fiki Si Kyon Shaam-E-Maikhana Hai, 
Lutf-E-Saaqi Bhi Kam Khali Paimana Hai, 
Apni Nazron Se Hi Kuch Pila Dijiye, 
Rang Mehfil Ka Khud Hi Badal Jayega...

Mere Mitne Ka Unko Zara Gam Nahi, 
Zulf Bhi Unki Aye Dost Bharam Nahi, 
Apne Hone Na Hone Se Hota Hai Kya, 
Kaam Duniya Ka Yun Hi To Chal Jayega, 

Aapne Dil Jo Mera Toda To Kya, 
Aapne Uski Duniya To Chhoda To Kya, 
Aap Itne To Aakhri Pareshan Na Ho, 
Wo Samhalte Sambhalte Sambhal Jayega...

Mujhey naseeb hoa us key dheyaan men rehna

Mujhey naseeb hoa us key dheyaan men rehna
Zameen pey hotey hoey aasmaan men rehna

men janti hoon key wo mera ho nahiN sakta 
mujhey pasand hey lekin gumaan men rehna

muhobatoon men jo dil beyqaraar hojaen 
unhen naseeb kahan itmenaan men rehna

kisi kisi ko dia mertaba khuda ney ye
kisi ka hona kisi ki amaan men rehna 

Mujhey naseeb hoa uskey dheyaan men rehna
Zameen pey hotey hoey aasmaan men rehna

Ulfat Ka Jab Kisine Liya Naam Ro Pade


Ulfat Ka Jab Kisine Liya Naam Ro Pade, 
Apni Wafa Ka Soch Ke Anjaam Ro Pade, 

Har Shaam Ye Sawal Mohabbat Se Kya Mila, 
Har Shaam Ye Jawab Ke Har Shaam Ro Pade, 

Raah-E-Wafa Mein Humko Khushi Ki Talash Thi, 
Do Gaam Hi Cahle The Ke Har Gaam Ro Pade, 

Rona Naseeb Mein Hai To Auron Se Kya Gila, 
Apne Hi Sar Liya Koi Ilzaam Ro Pade...

Sardiyon Ke Mausam Mein, Do Udaas Chehro Ne


Sardiyon Ke Mausam Mein,
Do Udaas Chehro Ne
Zindagi Ke Kagaz Se
Lafz Kuch Churaye The, 
Be-Imaan Rishtone
Be Nishaan Chehron Se 
Aas Aur Ummidon Ka 
Aashiyana Banaya Tha, 
Dukh Ki Tapti Kiron Ne, 
Sukh Ki Gheri Chhanv Se, 
Haadso Ki Thandak Ka, 
Ek Jahan Banaya Tha, 
Dil Ki Aarzuon Ko
Khwahishon Ki Basti Mein,
Tootna Bikherna Tha, 
Waqt Ke Thapdedon Mein,
Zard Zard Patton Ko
Gard Gard Hona Tha, 
Jitne Ehad Baandhe The, 
Saath Saath Rehne Ke, 
Unko Toot Jana Tha, 
Apni Apni Baaton Ko, 
Apne Apne Hathon Se, 
Maslayhat Ki Mitti Mein
Humko Dafan Karna Tha, 
Ek Saath Chal Kar Bhi
Door Door Rehna Tha, 
Hum Ko Jaan Jaana Tha, 
Sab Gharonde Sapne Ko
Jinko Humne Aur Tumne 
Khwab Ke Jharonkon Se
Zehen Mein Sajaya Tha, 
Unko Tod Kar Khud Hi 
Rasta Banana Tha
Phir Judayi Honi Thi,
Hum Ko Laut Jana Tha, 
Hum Ko Laut Jana Tha...

muhabbat mein wafa dari se bachiye

muhabbat mein wafa dari se bachiye
jahan tak ho, adakari se bachiye
-
her ek soorat bhali lagti hai kuch din
lahoo ki shobda-kaari se bachiye
-
sharafat, aadmiyat, dard mandi
barhe shehron mein beemaari se bachiye
-
zaroori kia her ek mehfil mein ana?
taqalluf ki rawadaari se bachiye
-
bina pairon ke sar chalte nahin hain
buzurgon ki samajhdaari se bachiye

Subh Ki Pehli Kiran Yoon Tau Jaga Deti Mujeh


Subh Ki Pehli Kiran Yoon Tau Jaga Deti Mujeh
Band Khirki Se Magar Kese Sada Deti Mujeh

Mein Teri Yaadon Mein Khoya Muntazir Hota Tera
Koi Khushboo Teri Amad Ka Pata Deti Mujeh

Sheher Se Urr Ker Bhi Tere Pass Aa Sakta Tha Mein
Gar Tera Pagiham Gaon Ki Hawa Deti Mujeh

Malgajay Kaghaz,kitabein,phool Patay Shairi
Zindagi Ke Pass Kia Tha Jo Sawa Deti Mujeh

Mere Lafzon Mein Ghina Ka Zaika Mojood Tha
Woh Kabhi Ik Sheir Tau Mera Suna Deti Mujeh

Uska Ghar Safdar Kahin Anghoor Ki Beilon Mein Tha
Zindagi Ki Dhoop Mein Yeh Tau Bata Deti Mujeh 

Mera derd phir sai ghazal buney


Mera derd phir sai ghazal buney 
Kabhi gunganao tou iss trha 
Merey zakham phir sai gulab hon 
Kabhi muskarao tou iss trha 
Meri derkhanain bi tou larz uthain 
Kabhi chott Khao tou iss trha 

Jo nahi tou phir barey shoq sai 
sabhi rabtey sabhi zabtey 
Kabhi dhoop chaoon mein tor do! 
Na shakast-e-dil ka sitam saho 
Na suno kisi ka azab-e-jaan 
Na kisi sai apni Khalash kaho 
Yunhi khush phiro'Yunhi Khush raho 

Na ujer sakain Na sanwr sakain 
Kabhi dil dukhao tou iss trha 
Na simat sakain Na bikher sakian 
Kabhi bhol jao tou iss trha 
Kabhi tor jaan sai guzer sakain 
Kabhi Yad aao tou Iss trha!

Kahin Aik Masoom Nazuk Si Larki

Kahin Aik Masoom Nazuk Si Larki
Bohat Khubsurat Magar Saanwali Si
Mujhay Apne Khuaboon Ki Bahoon Main Pakar
Kabhi Khuwab Main Muskarati To Hogi
Issi Khuwab Main Kasma-Kasam Kar 
Sarhane Se Takeye Girati To Hogi
Wohi Khuwab Din Ki Mundaioon Pe Aakar
Issi Maan Hi Maan Main Lubhati To Hoonge 
Kai Saaz Seene Ki Khamoshiyoon Main 
Mere Yaad Se Jhinjhate To Hoonge 
Woo Besakhta Dheme Dheme Suroon Main 
Mere Dhun Main Kuch Gungunati To Hogi
Chalo Khat Likhain Jee Main Aata To Hoga 
Magar Ungaliyaan Kapkapati To Hoonge 
Qalam Haath Se chhoot Jata To Hoga 
Umangain Qalam Phir Uthati To Hoonge 
Mera Naam Apni Kitaboon Pe Likh Kar
Woo Dantoon Main Ungaliyaan Dabati To Hogi
Kabhi Moon Se Aah Nikalti To Hogi
Badan Dhere Dhere Sulagta To Hoga
Kahin K Kahin Paoun Parte To Hoonge 
Dupata Khande sebaar Baar Sarakta To Hoga
Kabhi Subha Ko Sham Kehti To Hogi
Kabhi Raat Ko Din Batati To Hogi
Kahin Aik Masoom Nazuk Si Larki
Bohat Khubsurat Magar Saanwali Se

Ek paheli si ban gai hai zindagi ab to

Ek paheli si ban gai hai zindagi ab to
Kaya ho raha hai, nahi kuch khabar ab to

Kab mile the hum sapno mei tumse
Kuch yaad nahi, kuch khabar nahi ab to

Teri wo baate, wo kahani teri
Kuch yaad bhi hai, kuch yaad nahi ab to

Tu rehta hai aas paas mere
Phir dil mera mayoos kayon hai ab to

Teri kavita mei tha jo pyar kabhi
Dard ban ke chalkata hai ab to

Pyar ka socha na tha, ikrar tha dosti ka
Kab huey dushmani, kuch khabar nahi ab to

Na sawal ban kay mila karoo

Na sawal ban kay mila karoo, na jawab ban kay mila karo 
Meri zindagi meray khuwab hain,Mujhay khuwab ban kay mila karo 
Mujhay achay log buhat milay main un kay qaraz say mer gaya 
Jo ho sakay to kabhi kabhi mujhay kharab ban kay mila karo 
sitam karo ya karam karo hum gila nahi kerte.. 
yaqinan khizaan mein phool khila nahi kerte.. 
mila do khak mein hum ko magar yaad rakhna.. 
hum jese dost phir mila nahi kerte 
Humnay Dil Tora Dharkanoun Kay Khauf Say 
Apni Basti He Mita Di Barishoun Kay Khauf Say 
Kon Kehta Hai Hamein Mohabbat Ras Agaye? 
Hum Tu Youn He Hans Daitay Hain Ansoun Kay Khauf Say 
Dil Ne Tere Pyar Par Majbor Mujhe Kar Diya 
Is Jahan Ki Har Khushi Se Duur Mujhe Kar Diya 
Jis Qadar Chaha Tha Dil Ne Paas Tere Aane Ka 
Us Qadar Dunya Ne Tujh Ko Duur Mujh Se Kar Diya 
Kia poochtay hoo hijir mai kia kiya kartay hain 
Teray loot aanay ki din raat dua kartay hain 
Kabhi yadoon mai tujhay bahoon mai bhar laytay hain 
Kabhi khuwaboon main chum lateen hain

Popular Posts