Sardiyon Ke Mausam Mein,
Do Udaas Chehro Ne
Zindagi Ke Kagaz Se
Lafz Kuch Churaye The,
Be-Imaan Rishtone
Be Nishaan Chehron Se
Aas Aur Ummidon Ka
Aashiyana Banaya Tha,
Dukh Ki Tapti Kiron Ne,
Sukh Ki Gheri Chhanv Se,
Haadso Ki Thandak Ka,
Ek Jahan Banaya Tha,
Dil Ki Aarzuon Ko
Khwahishon Ki Basti Mein,
Tootna Bikherna Tha,
Waqt Ke Thapdedon Mein,
Zard Zard Patton Ko
Gard Gard Hona Tha,
Jitne Ehad Baandhe The,
Saath Saath Rehne Ke,
Unko Toot Jana Tha,
Apni Apni Baaton Ko,
Apne Apne Hathon Se,
Maslayhat Ki Mitti Mein
Humko Dafan Karna Tha,
Ek Saath Chal Kar Bhi
Door Door Rehna Tha,
Hum Ko Jaan Jaana Tha,
Sab Gharonde Sapne Ko
Jinko Humne Aur Tumne
Khwab Ke Jharonkon Se
Zehen Mein Sajaya Tha,
Unko Tod Kar Khud Hi
Rasta Banana Tha
Phir Judayi Honi Thi,
Hum Ko Laut Jana Tha,
Hum Ko Laut Jana Tha...
No comments:
Post a Comment