Saturday, December 24, 2011

Phool khil Jaein To Us Shakhs Se kam kam Milna



Phool khil Jaein To Us Shakhs Se kam kam Milna
"Mohsin"
Aksar December Mein Mohabbat Pe zawaal Aata Hai

Thitharti Hoi Shab e siyah woh Bhi taweel Tar


Thitharti Hoi Shab e siyah woh Bhi taweel Tar
"Mohsin"
Hijar kay Maroon pe Qayamat hai Yeh December

Labon Pay Aa Gayi Thi Ik Baat Harf-e-Haq Ban Kar

Labon Pay Aa Gayi Thi Ik Baat Harf-e-Haq Ban Kar
Khabar Ye Phaili Shehar Main K Zubaan Daraaz Hain Hum.

Ishq k ilaqay mein Hukm-e-yar chalta hai

Ishq k ilaqay mein
Hukm-e-yar chalta hai
Zaabtay nahi chaltay
Husn ki adalat mein aajzi toe chalti hei
Mertabay nahi chaltay
Dosti k Rishton ki Perwerish Zroori hei
Silsley ta'aluq k khud say bun toe jatay hein
Lekin in shagoofon ko
Tootnay bikhernay say
Rokna bhee perrta hei
Chahaton ki matti ko
Aarzu k poday ko
seenchna bhi parta hai
ranjishon ki baaton ko
bhoolna bhee parta hai
kyoon k
ishq k ilaqay main
hukm-e-yaar chalta hai
zaabtay nahi chaltay!!

Aag k shehr mein tinke ki haqiqat kya thi

Aag k shehr mein tinke ki haqiqat kya thi
Dasht par phool ka saya tha Mohabat kya thi.

Zakhm thy dard tha tanhai thi Veerani thi
Kya bataon ke tere ishq mein rahat kya thi.

Tujko chaha hi nahi teri Ibadt ki hai..
Ek pathar ko magar us ki zarurat kya thi.

Aik muddat huwi Izhar-e-Mohabat kar ke
Aaj tak soch rahi hun k himaqat kya thi.

Kya bataon k yahan pooch rahe hain sab log
Wo jo guzri hai mere Dil pe Qayamt kya thi.

Koi thukra de chahat ko to haans kar seh lena



Koi thukra de chahat ko to haans kar seh lena
Muhabat ki tabiyat me zabardasti nahi hoti

Kuch toh apne muqadar mein anderey thay



Kuch toh apne muqadar mein anderey thay
Kuch teri yaad mein diye bujha kar rona acha laga

Aaj phir Tumhari Yaad ne Cheen Liye Hosh-o-hawaas mere

Aaj phir Tumhari Yaad ne Cheen Liye Hosh-o-hawaas mere
Pagal ho jayenge hum ek din, agar ye silsila jaari raha

Tujh se wabastagi ka yeh aalam hai



Tujh se wabastagi ka yeh aalam hai
Hum wo saans bhi nahi lety jis mein teri yaad na ho

Wajood sheeshay ka ho to pathron se Mohabbat

Wajood sheeshay ka ho to pathron se Mohabbat nahi karty
"Mohsin"
Ehsaas-e- Chahat na mily to wajood bikhar jaya karty hain

hosla tujh mein na tha mujh se juda hone ka

hosla tujh mein na tha mujh se juda hone ka
warna kajal teri aankhon mein na pheala hota

Behisi Ki Duniya Main Do Sawal Meray Bhi



Behisi Ki Duniya Main Do Sawal Meray Bhi
Kis Liye Jiya Jaye Kis Tarha Jiya Jaye...

teri ibtida bhi aansoo,teri inteha bhi aahain

teri ibtida bhi aansoo,teri inteha bhi aahain
tu hi bata mohabbat tujhe kis bina pe chahain

Be-faiz rafaqat mein samar kis ke liye tha

Be-faiz rafaqat mein samar kis ke liye tha
jab dhoop thi qismat tu shajar kis ke liye tha

Pardes mein suna tha, tu chhat kis liye daali
baher hi nikalna tha tu ghar kis ke liye tha

Jiss khak se phoota hai ussi khak ki khushboo
pehchaan na paya tu huner kis ke liye tha

Aaye madar-e-geeti! teri hayrat bhi baja hai
tere hi na kaam aya tu sar kis ke liye tha..

Youn shaam ki dehshat se sar-e-dasht-e-irada
rukhna tha, tu phir sara safar kis ke liye tha

Main Chahta Bhi Yahi Tha Wo Bewafa Nikle

Main Chahta Bhi Yahi Tha Wo Bewafa Nikle
Use Samajhne Ka Koi To Silsila Nikle

Kitaab-E-Mazi Ke Panne Ulat Ke Dekh Zara
Najaane Kaun Sa Panna Muda Hua Nikle

Jo Dekhne Me Bahut Hi Kareeb Lagta Hai
Usi Ke Baare Me Socho To Faasla Nikle

Dil Mere Tu Kiske Liye Dhadakta Hai



Dil Mere Tu Kiske Liye Dhadakta Hai
Tere Ehsaaso Ko Kaun Yaha Samajhta Hai

Tu Kyun Kisipe U Marta Hai
Har Koi Is Matlabi Duniya Me Jeeta Hai

Khusi K Liye Kyun Har Pal Tarasta Hai
Yaha Toh Gamh Hi Khubsurat Lagta Hai

Armaano Ko Liye Kyun Machalta Hai
Unko Adhura Rehte Dekh Jeeya Jalta Hai

Tuth Kar Bhi Kyun Tu Sambhalta Hai
Yaha Tuje Phir Bikharna Padhta Hai

Bharosa Kyu Itna Karta Hai
Yaha Har Ghadi Insan Chehra Badalta Hai

Tu Kyun Jaan U Chidakta Hai
Woh To Tera Katil Bana Phirta Hai

Pagal Dil,Tu Kyun Nahi Samajhta Hai
Teri Halat Dekh Har Koi Hasta Hai

Tere Liye Kisika Nafrat Hi Acha Hai
Yaha Toh Pyar Bhi Bahot Sasta Hai..

Mohabbaton Main Kuch Aise Bhi Haal Hote Hain

Mohabbaton Main Kuch Aise Bhi Haal Hote Hain
Khafa Hoon Jin Se Unhi K Khayal Hote Hain.

Machalte Rehte Hain Zehnon Main Waswason Ki Tarhan
Haseen Loog Bhi Jaan Ka Wabaal Hote Hain

Main Dil K Zakhm Chupaon Teri Tarhan Kaise
K Tere Paas To Lafzon K Jaal Hote Hain

Bas Ek Tu Hi Sabab To Nahin Udaasi Ka
Tarhan Tarhan K Dilon Ko Malaal Hote Hain

Siyah Raat Main Jalte Hain Jugnuon Ki Tarhan
Dilon K Zakham Bhi Kitne Kamaal Hote Hain.

Roog Aisay B Ghamm-e-Yaar Say Lag Jate Hain

Roog Aisay B Ghamm-e-Yaar Say Lag Jate Hain...!!
Darr Say Uth'te Hain To Deewar Say Lag Jate Hain...!!

Ishq Aghaaz Main Hal'ki See Khalish Rakhta Hai..!!
Baad Main Saink'roon Azaar Say Lag Jate Hain.....


Pehlay Pehlay Hawas Ak Aah Dukaan Khulte Hai...!!
Phir TO Bazar K Bazar Lag Jate Hain.......

Bai'basee B Kabi Qurbat K Sabab Banti Hai.....
Roo Na Paa'ein To Galay Yaar Say Lag Jate Hain....!!


Qutar'ne Ghaam Ki Galiyoon Main Jo Oree Phirtee Hen...!!
Ghar Main Lai Aoo To Ambaar Say Lag Jate Hain...!


Daagh Daman K Hon' Dil K Hon' Ya Chahre' K FARAZ
Kuch Nishaan Umer Ki Raftaar Say Lag Jate Hain..!

sab log thay manzil ko rawan dawan

sab log thay manzil ko rawan dawan
aur main tha keh kinaray ko na chu saka
mare chashm nam hoen bi gar
mujhay khumar-e-qalb na puhncha saka
mare khwahishon ke amartain,
veraan bastion main sutoon milay
mare aik aik jo dewaar the,
usay phir say tameer na kar saka
meray chaman main jo khizaan aye,
usay moj-e-bahar na dila saka
meray dast badast main jo dhul the
usay aik he aah nay ura dia
mare ainay mein jo tasveer the
usay rooh-e-imaan na dila saka
mare nao thi keh mojon mein rawan dawan
aur main tha keh kinaray ko na chu saka

Shab wahi lekin sitara aur hai

Shab wahi lekin sitara aur hai
ab safar ka isteaara aur hai

mauj ke murrne mai kitni der hai
naao daali aur dhara aur hai

sukh k mausam unglyon par gin liye
fasl e gham ka ghoshwara aur hai

dair se palken nahi jhapki meri
teshe jaan ab k nazara aur hai

aur kuch pal uska rasata dekh loon
aasma’n par aik tara aur hai

sath to mera zamee deti magar
aasma’n ka hi ishara aur hai

Bey Basi Akhri Hadoon Par Hai

Bey Basi Akhri Hadoon Par Hai
Zindagi Akhri Hadoon Par Hai

Janay Ab Dil Ka Kia Banay Yaroon
Bey Kali Akhri Hadoon Par Hai

Sang Honay Main Koi Deer Nahi
Bey Hisi Akhri Hadoon Par Hai

Roshni Lotnay WAli Hai
Teragi Akhri Hadoon Par Hai

Iss Say Bar Kar Karay Kia Farhat
Maut Bhi Akhri Hadoon Par Hai

Usey kehna December aa gaya hai

Usey kehna December aa gaya hai..
December k guzartay hi..
Baras ek aur mazi ki ghupa mein doob jaaye ga..
Usey kehna December laut aaye ga..
Magar jo khoon so jaayega jismon mein na jaaye ga..
Usey kehna hawayen sard hain..
Aur zindagi k kohray deewaroN main larzaan hain..
Usey kehna shagoofay tehniyon mein so rahay hain..
Aur un par barf ki chadar bichi hai..
Usey kehna agar sooraj na niklay ga..
To kaisay barf pighlay gi...
Usey kehna..
K...
Lot Aaye...!

December Jab bhi ata hai

December Jab bhi ata hai
wo pagli...
phir se beety mosumo'n ki
talkhion ko
yad karti ha
purana card perhti hai
k jis main os ne
likha tha
Main Lauton ga December main
Nai Kapry bnati hai
wo sara ghar sjati hai
December k her ik din ko
wo gin gin ker bit'tati hai
junhi 15 guzarti hai
wo kuch kuch toot jati hai
magar phir bi
purani albumo'n ko khol ker
mazi bulati hai !!!
nahi maloom ye osko
k beety waqt ki khushian
Bohat takleef deti hain
mehaz dil ko jalati hain...
yunhi din beet jaty hain
December laut jata hai
magar wo Khush feham larki...
dobara se calendar main
December k maheeny k safhy ko
mord ker, phir se
Phir se
December ke sahar main
Doob jati hai
k akhir os ne likha tha....
Main Lauton ga December main

december Sunehri Shamein



DECEMBER

*Sunehri Shamein,
Thatharti Ratein,
Mehekti Coffee,
Woh Bheeni Khushboo,

Khamosh Kamra,
Aatish Daan Sulaghta,
Mein Aur,
Teri Yaadon Ki Khushboo,

Haan Yehi DECEMBER Hai.

December Ki Barish Mein

December Ki Barish Mein


December Ki Barish mein
Beeghtay Pairoon Se Pocho
Akela pan Kia Hai
Tanhaayee kise Kehtay hain
Seh Pehr Ki Dhoop Ko Tarasna
aur Barish mai Beghtay Rehna
Jangle Ki Rahoon mai Akelay jana
Uss kay Garam Hathoon Ki Chaah Ko Tarasna
aur Barish mai Beeghtay Rehna
December Ki Barish mai
Lehr der lehr Mehakti Hawa Se Pocho
Khushboo Sa Khayal Rakhnay Walay Tanha Kaisey Rehtay Hain
Beeghtee Hain Jab Sard Ratein
December Ki Barish Se kaho
Kabhi Jangle Kay Uss Paar Milay
dhaltay hoon Shaam Kay Saaye
Tu Inn Ankhoon se Milay

December mein Chalay aao

December mein Chalay aao
December mein Chalay aao
Kabal Iss Kay..!!
December Ki Hawawoon Se Ragoon mai Khoon Ki Gardish Tehr Jaye
Jism Be jaan Ho Jaye
Tumhari Muntazir Palkain Jhapak Jayen
Basa Jo Khawb Ankhoon mai Hai Woh Armaan Ho Jaye
Barsoon Ki Riyazat Se
Jo Dil Ka Ghar bana Hai..woh Makaan Ho Jaye
Tumharey Naam Ki Tasbeeh Bhuladein Dharkanain Meri
Yeh Dil Nadaan ho jaye
Teri Chahat Ki Khushboo se Basa Angan jo Dil KA hAi
Woh Phir Weeran ho jaye
Qareeb ul marg honay ka koi Samaan ho jaye
Kabal iss kay..!
December Ki Yeh Nanni Dhoop Ki Kirnain
Shararoon Ki Tarah ban Kar'mera daman jala dalain
Bohot Mumkin hai
Phir Dil bhi barf ki manind peghal jaye
Mumkin Phir bhi yeh hai Janaan..! Keh Teri Yaad Bhi
Kaheen Aah Ban Kar Nikal Jaye
Mausam Badal Jaye
Ya Pehlay Ki Tarah Ab phir December na dhal jaye
Kabal Iss kay Keh..!
December aur Ham teri Rahoon mai baithay Tujhko Awaz detay hain..
Keh Tum milnay Chalay aao
December mein Chalay aao..

aah December Laut Aaya Hai

aah December Laut Aaya Hai
aah december lout aaya hai
yakh basta thhithharti hui taweel raatein
yaadoo'N ka aanchal aurh keR
meray dil kay taqchon meiN
aashaao'n kay deep jalaati hein
meray mann mein bajti ghantiyoun ney
barff ki chaadar aurhi hai
rooh pehlay sey khwaaboun per
koher ka perda chhaya hai
hijar ki lambi raato'n may
chhat per tanha teheltey howey
shaal ka kouna dhalak gaya hai
balconey kay hairaan chaand per
meray aansoo'n ka saaya hai
aah december lout aaya hai

Kia hi udhtay hain teray hijr ke shararay mujh mein

Kia hi udhtay hain teray hijr ke shararay mujh mein
Taiz hawaoo’n mein jhoolay shakh-e-shajar jaisay!
Baat uthay jo meray fusoo’n ki namakdani ki…!
Aankh roti hai phir samandaro’n ke pani ki!
Aah ke jaan mere ab bhi simat jati hai
Garm baho’n mein koi roh pighal jati hai!
Aah jana’n ke ab jism ka rua’n rua’n…
Tery nargasi lams ko tarasta hai!
Narm baho’n ki hiddat ko maira badan
Sard raton mein phir misl-e-sahama jalta hai!
Toot jatay hain bazoo us hawalay se…
Halq-e-ja’n mein aaya wo taira paikr-e-gull!
Ja’n se roh talak aa gie taseer-e-damak
Us hiddat ko mairee rag-o-pe machalti hai!
Rok le khama ke sagar baat badhti hai..
Sard mausum ki ab jub rut badalti hai
Tairee qurbat ko mere jaan youn machalti hai
Jaisay parawanay ko shama se koi door kerday!
Jaisay machlee ko pani se koi juda kerday…!!!

Yeh jaatay baras ke aakhri lamhay

Yeh jaatay baras ke aakhri lamhay
Guzarti saa'atoo ke dhundelkay
Aur
Palkoon pe yadoo ke sitaaray
Pal bhar ko yun laga jaisay
Unhi yaadon unhi kahaaneyoon ke beech
Wakt tham sa gaya ho jaisay
Woh jo chiraag jala thaa roshni ke liye
Madham hogaya ho jaisay
Aur jo dariya muhabbatoon ka tha
Ab utar gaya ho jaisay
Aakhri shaam ka doobta suraj
Kuch keh raha ho jaisay
Un chaahatoon ka suraj bhi
Doob raha ho jaisay

Magar ab dil mein yaadoon ke siwa
Aur aankh mein aanso'oon ke siwa
Aur bacha hi kya hai
Jo ab aakhri saa'atoon ke naam karoon
Woh sab chaahatain aur sab muhabbatain
Aur un muhabbatoon ki saari shiddattain
Sab kuch tu ussi ke naam kar diya thaa

Haan, magar ab tak yaad hai
Us wakt bhi suraj yunhi doob raha thaa
Aur... woh bhi
December ki aakhri sard shaam thee
Jab us ne dheeray se kaha thaa
"Naya Saal Mubarak"... !!!

Sochti hoon tujhe ab kay baras kia bejhoon



Sochti hoon tujhe ab kay baras kia bejhoon
Jaan bejhoon tujhe yah dil ka dharakna bejhoon

Maang loon apnay khuda se koi lamha aisa
Jis peh tu aa keh tehr jaye who rasta bejhoon

Sakht sardee mai Mohabbat ki Samoo doon Garmi
Aur garma mai khunk mausam-e-aasa bejhoon

Chand ratoon ka fasoon ab kay tere naam likhoon
Din Ki Hiddat kay liye shajr gahna sa bejhoon

Tashangee ab kay baras tujh se bohot duur rahay
Piyaas umroon ki bujha dey who maseeha bejhhoon

Tu Chalay gar Tu cheraagaan sitaare saath chalay
Dil ase jo nikli dua usska khazeena bejhoon

Umri khawhish keh Bahar aa ke tere ghar mein rahay
Aur barsaat mein rhim jhim ka sandeesa bejhoon

Kaash koi aisee Kiramat ho mere pass keh mein
Duur Tak mausam-e-gul na ho main tujhe gancha bejhoon

Bheega bheega sa yeh december hai


Bheega bheega sa yeh december hai
Bheegi bheegi si.. tanhai hai
In kitaabon main jee nahin lagta
Hum ko sajni ki ya..ad aai hai
Bheega bheega sa december hai

Shaam ki kaali aankhain jab palkon ko chapkaati hain
Kissi pair kay neechay kuch yaadain gungunaati hain
Kuch pyar kay aadhay nagmay
Aadhi pyar ki kahaani..
Aik shehar ka raja..
Aur ek gaon ki rani
Donon baray premi thay
Ban main aaya kartay thay
Unkay pyar kay meethay nagmay
Panchi gaaya kartay thay
Ab na premi hain
Na woh baatain hain
Aur yaadain hi apni kamai hai..
In kitaabon main jee nahin lagta
Hum ko sajni ki ya..ad aaaai hai....

Is kamray ki khirki baarish ka shor sunati hai
Aur tumhari aahat hum ko yeh rog lagaati hai..
Ab kay saal december main jab ban main mein jaoon ga
Neeli jheel darakhton kay saayay aur sookhay pattay
Saaray tera poochain gain
Kahan hai tera poochain gain
Tera premi yaar kahan hai
Saaray tera poochain gain
Kia bataoon ga
Kia kahaani hai
Ab to qismat main apni judai hai..
In kitaabon main jee nahin lagta
Hum ko sajni ki yaa..ad aai hai...

Shaam dhallay jab panchi
Apnay apnay ghar jaatay hain
Koi mujhay batlayay
Mujhko yeh kiyoon tarpaatay hain
Mainay bhi ek sapna dekha tha apnay ghar ka..
Kho na jaye mera panchi
Lekin mujhko darr tha
Mera yeh afsaana hai
Saara yeh afsaana hai
Mera panchi rasta bhoola
Pagal hai anjaana hai
Tu gaya hai to
Mainay jaana hai
Mera dil ab bhi tera deewana hai
In kitaabon main jee nahin lagta
Hum ko sajni ki ya..ad aai hai...

Bheega bheega sa yeh december hai
Bheegi bheegi si.. tanhai hai
In kitaabon main jee nahin lagta
Hum ko sajni ki yaad aai hai

December mein tanha khadi

December mein tanha khadi
apne aap mein gum,
Kuch beete lamhe dhuund rahi hoon
Haa main tumhein yaad kar rahi hoon

Is maah mai ek aas mei hoon
Main tumahri raho mei
Ke le lo shayad mujhe tum apni baho mei

Dinn beet'te jaa rahee haii..or yeh bheega
December ko khatam hote dekh rahii hoon..
issi intezaar mein ke tum laut aaao,
aur tumko khud mein dhoond rahii hoon

hai akhri guzarish tumse
mohabbat ko ruswaiyo se bachana
duniya ki fikr chord is mahe December
mai meri jaan tum laut aana tum laut aana

Gul-e-zaban pay wohi sardion ka mosam hay

Gul-e-zaban pay wohi sardion ka mosam hay
tumhare 'haan' pay wahee sardion ka mosam hay

darkhat par khabhi jo churion say dala tha
us aik nisaan pay wahee sardion ka mosam hay

yeh aik hum kay nayee bolian sada bolein
tere zaba pay wahee sardion ka mosam hay

sulg rahe hay dahan mayn qabayein lafzoon ke
magar zaba pay wahee sardion ka mosam hay

tumharay anay pay suraj kay hath chamkay gayein
meray makaa'n pay wahee sardion ka mosam hay

her aik simat peghlnay lagay hayn sanatay
teray beeaan pay wahee sardion ka mosam hay

jahaan jahaan tere khusbo kay rang bekhray hayn
wahan wahan pay wahee sardion ka mosam hay

tere judaee kay pal say hoaa hai ishk kanoot
ke is jahaan pay wahee sardion ka mosam hay

wo 'haan' karay gee baharoon mein uska wadaa tha
us aik 'haan' pay wahee sardion ka mosam hay

woh mujhe ko sonp gaya faraktein december mayn
darkhat-e-jaa pay wahee sardion ka mosam hay

hamaray lab to duaain jalayay rakhtay hain
per asman pay wahee sardion ka mosam hay

kuch neem gham mein

kuch neem gham mein...!

Aaj tum na phone kia aur na hi koi mail
Din bhar tumharay phone ka intizar raha..
Phir majboranan mein ne khud he kar lia
Tumhai bura to nahin laga….jana’n!


Bus Itna Yaad Hai...

Chandni shab thi..
Hawa bhi sard thi…
Kuch bhi zehn mein nahi
Bus itna yaad hai…
Tumharay kaandhay per mera ser tha
Aur mere kaandhay per tumharay bazoo…

her saal jaunary

her saal jaunary
humain kuch sapnay dikhati hai
jis ko poora kernay main
december aa pohanchta hai
zindagi aur akheer bi mano
umer kay january aur december hain
zindagi ki january bi jo khwab dikhati hai
admi umer ber un ko poora kerta rehta hai
aur umer ka december aan pohanchta hai
aur saal ki terha
saans bi khutum ho jati hai

december ki thatharti hoi shamien

december ki thatharti hoi shamien
kohar mein lipti dhundali se subhien
darakhto'N se girtey huay
khushk zard pattey
wo gao'n k tama'm raste
mohabbato'N k tama'm rishtey
khiyaal abad kaRte HaiN
tumheiN sab yaad karte hain...!!!

suno December ussay mila do

Naye hekayat mohabbaton ke
shikayatoon ke
bhujay bhujay say haroof lay kar
kohar mayn doobi seyaahoon kay
warq warq per utaarna hay
udaas shamoo'n kay phool chun kar
suno December
ussay pukaaro
ussay bulaaoo
suno December .. ussay mila do
ab is say pehlay kay saans niklay
ab is say pehlay kay saal guzray
wohe lakeerayn wohe sitara
mere lakeroon mayn qaid kar do
ya aakhri shab kay aakhri pal
koi bara ikhtetaam kar do
yeh zindagi bhi tamaam kar do
suno December ussay mila do ...

Abhi hijr ka qayaam hai aur December aan pahuncha hai



Abhi hijr ka qayaam hai aur December aan pahuncha hai
Ye khabr shahar main aam hai December aan pahuncha hai

Aangan mein utar ayi hai manoos si khushboo
Yadon ka azdahaam hai December aan pahuncha hai

Khamoshiyon ka hai raaj khizaan taaak main hai
Udasi bhi bahot aam hai December aan pahuncha hai

Tere aanay ki ummid bhi ho chuki maadoom
Naye saal ka ahtamaam hai December aan pahuncha hai

Khunak rut main udasi bhi chaukhat pe khadi hai
Jaday ki udaas shaam hai December aan pahuncha hai

Tum Aao to mere mausamon ki bhi takmeel ho jaye
Nayi rut to sar e baam hai December aan pahuncha hai..!

december ki akhri sham



december ki akhri sham


Usy kehna....!

December ja reha hay

Or December ki aakhri shaam hay

Aur December k guzartay hi

Baras ik aur maazi ki fiza mein doob jaye gaa

Usy kehna, December k guzarnay say zara pehly

Muhabat ki kahani ko koi takmeel day jana

Usy kehna, December ka maheena jaisy hi guzray ga

Umeeden doob jayen gee

Wo sapnay toot jayen gay

Usy kehna, December k guzarnay say zara pehly
Mohabat ko koi tabeer dai jaye

Usy kehna, Muqadar ko hamaray doob jany say
bacha lena..!!!

december se judai ka dhukh

december se judai ka dhukh..
Tuj say judai ka dukh

Tere hijer ka karb

Dekh ! phir say aa gaee hain

December ki sard ratain

Azab ratein

Tere karb main dobi

Khowfanak ratain


Teri wo pur noor ratain

Tujhey kiya khaber

December kee sard ratoon main

Tere sang beeti sardion key

Khushgawar khobsurut shamoon ko yaad kertha hoon

Ik mohoom si tamana kay sahray

Teri talash mein

Sarkoon per awara phirth hoon


Aatay jatay chehroon main tujhey khoja kerta hoon

Shayad kay wo tum ho

Aur thak haar ker jo lautta hoon

To khud per khoub hansta hoon

Phir !

Phoot phoot ker roota hoon

December k haseen din thay

December k haseen din thay

Murree ki yakh fizaon mein

Hamare chaar haathon nein

Mujasma ek banaya tha

Kaha tha ek dooje ko

Nishani pyar ki apni

Bari he khoobsoorat hai

Mujhe ab yaad aata hai

Mujasma barf ka tha wo

Usse aakhir pighalna tha

Usse to mitt he jana tha

Usse to mitt he jana tha..!!

december ne rula diya

Afsoos us ne mera naam tak bhula diya
is saal december ne behad rulaa diya.


her sal december mein barasta raha paani
is saal december ne bhi aanso baha diya


aab ajnabi sa lagta hai her shakhs mujhe q?
bazar-e-ishq ne mujhe kis se milaa diya


is sard raat mein bhi tapish tan badan mein hai
teri judaayi ne mujhe esa jala diya


chadar wafa ki orhh kar khud chain se soye
tanhayi k takiya per mujhe tanha sula diya


aanso k samander mujhe tohfey mein dey diye
meri wafa ka tu ne kiya acha sila diya


rakha tha saal bhar jise sambhaal kar
aatey he december ne wo diya baha diya....

Beet Gaye Sare Mahine Saal Ke

Beet Gaye Sare Mahine Saal Ke
Ab Phir Laut Aya Hain December,

Mere Gamo ka mausam Jata Nahi,
Ya Allah Kuch Mujh Par Karam Kar,

Jab bhi uski yaad ati hain Mujhko,
Nahi So Pata Hun Ek Karwat Par,

Ab tu Sardi bhi nahi lagti december main,
Nahi Rakhta main ek bhi Kapda Badan Par,

Allah tu Lauta de phir se wo mahine aur sardiyan,
Ya phir ye Sara Mamla hi Khatam Kar,

december hamare haal pe roya

Humare hal per roya DECEMBER
Woh dekho toot ker barsa DECEMBER


Guzar jata hai sara saal yun toh
Nahi katta magar tanha DECEMBER


Bhala barish se kya sarab ho ga?
Tumhare wasal ka payasa DECEMBER


Woh kab bichra? nahi aab yaad lekin
Bas itna illm hai k tha DECEMBER


Yun palkein bheegati rehti hain aise
Meri aankhon main jaise aa thehra DECEMBER


Jama ponjhi yehi hai umer bhar ki
Meri tanhai aur mera DECEMBER


Sabab na pooch mere aanson ka
Hai pehle hijr ka pehla DECEMBER


Main inn yaadon se bach k jaon kaise
K mellon dor hai phela DECEMBER


Meri aankhon se ger deko toh jano
K hai barsaat main jalta DECEMBER


Abhi tak kohr main dooba hai aangan
Abhi tak yaad hai pechla DECEMBER...!!!

sulag rahi hain dahan mein kibaein lafzon ki

sulag rahi hain dahan mein kibaein lafzon ki
magar zubaan pe wohi sardion ka mosam hai

tumhare aane pe suraj k haath chamkein ge
mere makan pe wohi sardion ka mosam hai

har ek simt pighalne lage hain san'nate
tere beyaan pe wohi sardion ka mosam hai

teri judai k pal se hua hai ishq hanoot
k iss jahan pe wohi sardion ka mosam hai

wo mujh ko soonp gya furkatein DECEMBER mey
darkhte jaan pe wohi sardion ka mosam hai

humare lab to duaein jalay rakhte hain
par asmaan pe wohi sardion ka mosam hai..!!

Teri yaadon ki rawaani aur yeh december

Teri yaadon ki rawaani aur yeh december
 “Meri baatein Teri kahani aur yeh december

“Mera hath Tera sath lambi sarak aur yeh,december
“Gum sum shamein sunehri raatein aur yeh december

“Bhigey din madham suraj halkey badal aur yeh december
“Behti nidia gaatey panchi yeh december

Tanha Main tanha chaand Mera kamra aur yeh december
“Meri ankhein Meri neend Tere khawab aur yeh december

Akela December

Akela December

"sard ratoon ki bhegi tanhai,
barasti boond ke choote hi sulagta sa badan,
beti yadoon beete lamhon main sulagta hoa dil,
youn guzre saal ke sare dukh aur saree gham,
akela aik december seh leta hai

Yeh kesa Alwidai geet gaaya december ne

Yeh kesa Alwidai geet gaaya december ne
jatey jatey nargissi mausam ko rulaya
khain pe lalazar banya
gulab motia chambeli se
tulip ki larioon se goond ke
pyar ke rangoon se sainch ke
parioon si khawishoon ke jhoormat
main
hamare laboon pe
duaaon ke alwidi kalmaat
tum hamesh raho mere saat
marmareen hatehlioon pe naii
umeedoon ke roshan chiragh
sadioon se chand ke devi
kaat rahi hai charqha
narm narm galoon se
prem ki dhank se dhunak rahi hai
hur ane wali subha ko
Rub ne dia hai sub ko ye hi pegham
ajj jati december ki sham
insaanyat ke naam
mohabbat azaadi shanti amaan hai
sub ki jaan
nafratoon ko kar do tammam
choti se hasti hai ye
pyar se basti hai
hamesha se hai
hamesha rahingain
Main or Nelaa Asmman

Agar tark-e-taaluk hi wafaoun ka taqaza hai

Agar tark-e-taaluk hi wafaoun ka taqaza hai
khushi say bhool jao tum,
wo shab dhalay ki khamoshi main meray nam likhay khat,
Taveel wo shairoun say, phooloun say laday sab card,
meray mobile per wo jagmagaty pyar k qissay,
wo khushbu bat ki yadain, wo mehki rat ki batain,
Adhooray sab fasanay or adhoori sab mulaqatain,
tumhain meri ijazat ha,
bhula do saray qadoun ko, bhula do sari yadoun ko,
Jala do meri sab nazmain,
lota do pyar k tohfay,
Qalam jis per tumhara nam chaandi se likhaya tha,
wo tie jo galay ka haar ban k rehti thi aksar,
Kitabain…. Jo tumhari khwab gah ki ab bhi zeenat hain,
wo Cd jo tumhari gari main ab bhi amanat ha,
Romaloun per tumhara nam ham ne khud hi garha tha,
agar tark e ta’aluk hi wafaoun ka taqaza ha,
suno phir aaj hi is be mehr sa’at k saye main,
har ik shart e wafa se ham tumhain aazad karty hain,
K khud hi Qatl hoty hain, khud bedaad karty hain,
chalo dil pe chataan rakh kar,
gulistaan e muhabbat ko,
khud barbaad karty hain,
tumhara nam tak lety nahi tanhaiyoun main ham,
magar is dil ki dharkan ko bana kar raz dan apna,
tumhain hum yaad karty hain,

December aa ker guzer jaye ga

December aa ker guzer jaye ga
Ik pair kay na jaaney kitnay pattey giraa jaaey ga
December aa ker guzar jaye ga
Chiriyaa'n chehkein gee yakh-basta raato'n may
Aur pairo'n pey aa ker yeh gumsum rahein gee
Na koi hari shaakh ho gee
Na koi patta ho ga
December aa ker guzar jaye ga
Kitney parindey be-ghar ho jaain gey
Jalaa dey gee unn ko december ki thandi hawa
Na jaaney kitney khwaab bin taabeer dhal jaain gey
December aa ker guzar jaye ga
Ik pair kay na jaaney kitney pattey giraa jaye ga

Suno December usay pukaro

Suno......!
Suno December usay pukaro
Suno December usay mila do
Ab is sai pehlay keh saal guzray
Ab is sai pehlay keh jaan niklay
Wo hi sitara meri lakeeron main qaaid kar do'
Is aakhri shab kai aakhri pal koi bara ikhtitaam kar do
Ye zindagi bhee tamaam kar do....
Suno December usay bula do...!!

Neya saal aya...!!

Neya saal aya...!!
Veera'n subho'n ki Neeli teho'n se obhrta..
Kheyyaba'n-o-Dasht-o-Jabal ki Thatharti khamoshi me..
Barfeeli seeti bajata..
Dabey paao'n aya..
Yukh Aalooda shamo'n ki khamoshia'n..
Oss ke Qadmo'n ki Aahat sametey...
Guzr-gaho'n per, saybano'n me, Noha kina'n hain..
Der ati hi sham ko, Daricho'n ki Dararo'n se...
pur-shor Jhonko'n ki be-mohr Thandak..
Brodat zada panio'n per, prindey..
Kinaro'n per Aistaadah pairo'n ki gham-nak...
shakho'n ki Janib orey ja rahey hen...
Makee'n Aangano'n me, chatto'n per..
Dharktey Dilo'n me hazaro'n kheyyalo'n ki shmaie'n jalaye..
Dabey paao'n atey hoye saal ko dekhtey hain...

Lambay safar ki oat mein pal bar nahin ruka

Lambay safar ki oat mein pal bar nahin ruka
Mein waqt k fareeb mein aa kar nahin ruka

Phir aa gaya aik naya sal dosto...
Is bar bi kisi say december nahin ruka

Lay kar kisi nain haath mein kashkol-e-waqt
Aisa safar kia k kahin per nahin ruka

Manzar kay aks mein koi chera chatakh gaya
Sheshay kay pas aa kay jo pathar nahin ruka

Chalta raha adoo ki safin rondta howa
Lakhon ka khoun-e-jigar kar k b lashkar nahin ruka

Bas yeh howa k Akhri lamha bi aa gaya
Dil ka tawaf koocha-e-dilbar nahin ruka

Wafa ka Sila

Wafa ka Sila

Yehi wafa ka sila hai to koi baat nahi
Ye dard tu nay dia hay to koi baat nahi
Yahi bohat hay k tum dekhti ho Sahil se
K safena dhoob raha hay to koi baat nahi
Rakha tha aina-e-dil main choopa ka tum ko
Wo ghar choor dia hay to koi baat nahi
Tum nay hi aina dil mara banaya tha
Tum nay hi toor dia hay to koi baat nahi
Bilakhar zeesat k kabal bana hoon
Bari moshkal se pathar dil bana hoon
Wo aay hain sarapa-e- jesim ban kar
Main ghabra k mujasma-e-dil bana hoon.
Jahan maqtool hi theray hain mujram
Yahi kuch soch k katal bana hoon
Bara mohtat hon tari mahfil main
Tari janib se so gafil bana hoon
Main kha kar thookrain tari ghali ki
Bra murshad bara kamil bana hoon
Koi samjay ga kiya mujko
Main khod apnay liey mushkal bana hoon

Kaho phir kiya kia jai…?

Kaho phir kiya kia jai…?
Mujhe tum achi lagti ho
Tumhai’n main Acha lagta ho’n
Kaho Phir kiya kia jai…?Tumhari jagmagati, Muskurati,
Geet gati, Dil ruba Aankhai’n
Boht gehri Badi katil nihayat
Kushnuma Aankhai’n
Mere Dil se meri Be’tabiyo’n se
Khailti Aankhai’n
Kamoshi ki zuba’n me
mujh se kiya kuch Bolti Aankhai’n
Bazahir Dosto’n me Khil-kilati
Chor Nazro’n se mujhe Muskurati
Aawaz deti Dhunty Aankhai’n
wo meri Rouh K Rukhsar ko
ek faasle Chumti Aankhai’n
Ye sb Batai’n btati hay
Main tum ko Acha lagta ho’n
wo mere Zabth Kho Denay
pe Pemaish bhari Nazrai’n
Ada-e-be’niazi ka wo ek
naa-kaam sa manzar
wo ek Kamzor si be’ittifaqui,
be’rukhi k sir pe ek
Mohoom se kawish
Mujhe ha’n mujhe
yu’n he Nazar andaz
karne ki wo ek
Dil-Chusp si koshis
Sar-e-Mehfil tumhara Raaz
Khul jane k Dhar se
Be’irada gher ehem Logo’n se
Rasm-e-guftogu’n karna
Ye sb Batai’n btati hay
Tumhai’n main Acha lagta ho’n
kaho phir kiya kia jai…?
Mere be’sakhta fikre
mere Lehjay ki hr Shoki
Mera hr waqt hr ek Simt
tum ko Dhunttai’n rehna
Nazar partay he tum pr
Zor se Dil ka Dharak uthna
Ye sb batai’n btati hay
Mujhe tum Achi lagti ho
Tumhai’n main Acha lagta ho’n
Kaho phir kiya kia jai…?
Hamaray Darmiya’n Rasmo’n, Riwajo’n ka
Samaji martabe ka Umr ka or Khandano’n ka
Boht gehra khala hay
Usay Kesay, Kesay, Kesay pur kiya jai…?
Kaho phir kiya kia jai…?
Kaho phir kiya kia jAi…?

   

KABHI AISA BHI HOTA HAI



KABHI AISA BHI HOTA HAI
KOI BE NAAM SI WAHSHAT MUJHE YU’N GHAIR LETI HAI
HAR IK SHA’I ZEHAR LAGTI HAI
KOI CHEHRA, KOI PEKAR MUJHE ACHA NAHI LAGTA
NIHAYAT DIL RUBA BE HAD HASEE’N, RANGEEN QURBAT BHI
MUJHE BE QAIF KARTI HAI
MUJHE APNI PASANDEDA
WO IK NAMKEEN SI SURAT
PHEKI PHEKI LAGTI HAI
TANAZUR HI BADAL JATA HAI
MERI KHUSH NIGAHI, KHUSH MIZAQI KA
MERE SUNNE MERE CHAKHNE MERE MEHSOOS KARNE KI
HAR IK HISS MAR SI JATI HAI
BUHAT MAQBOOL MERI KHUSH KALAMI BHI
NIHAYAT BE RAAS-O-MAJHOOL LAHJA OORH LETI HAI
PASANDEDA MERA MASHROOB
YANI AAB-E-SARD-O-SADA-SHEEREE’N BHI
SERABI NAHI DETA
ZAROOF-E-KHUSH NUMA MAIN BHAANP DETE
MERI MAA K MEHARBAN AUR TAAQ HATOON SE BANE
LAZAT BHAREY KHANO KI RUGHBAT
UTH SI JATI HAI
KISI K DAST-E-NAZUK SE BANI STRONG COFFEE BHI
MUJHE APNE ANARI HAATH KI CHAI SI KAGTA HAI
AJAB SAFAAK WAHSHAT HAI
MERE DIL KI LUGAT SE
LAFZ KHUSH K JITNE BHI HAI’N
LAHIQE AUR SABQE SAB CHEEN LETI HAI
MAIN IS WAHSHAT SE GHABRA KAR
NISHAT-E-SHER-O-NAGMA MAIN PANAH LENE KO AATA HON
MAGAR IK BE-KALI
IK JAAN LEWA BE-KALI DASTI HI RAHTI HAI
NIHAYAT SAAD-O-PURKAAR LAHJEY MAIN
BAHTER MEER K NASHTAR
WO DIL SOOZI ALAM NAKI
MUSALSAL AAH-O-GIRYA
YAAS-O-HARMA
KUCH BHI TOU MAYAL NAHI KARTE
MERI WAHSHAT K QATIL ZEHAR KO ZAYIL NAHI KARTE
MUJHE GALIB KI UMDA SHAIRI
BHARPOOR SHOKHI, DIL NAWAZI
FALSAFA, GHARAI SAB BE-MANI LAGTEY HAI’N
TA’AJUB HAI K HASRAT KA BUHAT DILKASH TAGAZUL BHI
MERE DIL KO NAHI CHOOTA
JIGAR KI ISHQ MAIN DOOBI TARANUM REEZ GAZLAIN BHI
MUHABBAT KA NASHA TARI NAHI KARTI’N
MIJAZ-E-LAKHNOW KI SHEHAR-E-AFAAQ AAWARA
MERI WAHSHAT K ATISH DAAN MAIN EENDHAN SA BHARTI HAI
MUJHE AKHTAR KI SALMA, JAN.NISAAR AKHTAR KI ANJUM
MUSTUFA ZAIDI KI QATIL LALA RUKH SHAHNAZ BHI
DILKASH NAHI LAGTI
DIYAAR-E-SHARQ KI ABADIYO’N K OONCHEY TEELO PER BHATAKTA
AKHTAR-UL-EEMAAN KA HUMZAAD LARKA BHI MUJHE ACHA NAHI LAGTA
MUJHE MAKHDOOM KI UHD-E-JAWANI KA NIHAYAT DIL NASHEE’N
ROMAAN PARWAR RANG BHI BE-RANG LAGTA HAI
MUJHE SAHIR KI DIL KO AANCH DETI SHAIRI
BEZAAR KARTI HAI
HAMARE FAIZ SAHAB K BUHAT MADHAM SULAGTEY NARM LEHJE KI KASAK
YUNHI SI LAGTI HAI
MUJHE RASHID KI WAHSHAT KHAIZ BANHO MAIN THIRAKTI
DILRUBA JIDDAT TABA HUM RAQS BHI
KOHNA SI LAGTI HAI
MAJEED AMJAD K MISROO’N KA TASALSUL
MUNFARID MOUZOO, KAMAL-E-NAZM GOI AUR TA’ASUR
MUJH PE KOI KAIFIAT TARI NAHI KARTE
MAIN APNE DIL SE AKSAR POCHTA HO’N
AE DIL-E-WAHSHI
YE AALAM KAISA AALAM HAI
YE WAHSHAT KAISI WAHSHAT HAI
MUJHE KYUN GHAIR LETI HIA
BADAN MAIN GOONJTI, MERE LAHOO MAIN SANSANATI HAI
YE WAHSHAT KAISI WAHSHAT HAI
KAHAN SE HO K AATI HAI
YE KIS RAHLAT KA NOHA HAI
YE KIS HASRAT KA HASIL HAI
GUZISTA SHAB YAHI WAHSHAT
MERE DIL PER MUSALAT THI
MUSALSAL KARWATAIN THI’N, JAAN LEWA BE-KALI SI THI
ACHNAK DIL KI BE-TARTEEB DHARKAN NE
SUKOOT-E-SHAB KO YU’N TOORA
“SUNO HARE HOE INSAA’N!!
BHALA KAB TAK TUMHARI KHUD FAREBI
TUM KO IS WAHSHAT MAIN RAKHE GI?
JINHAIN TUM ZINDAGI SE BE-DAKHAL KAR K
BAZAHIR FATEHANA SHAAN SE ITRATE PHIRTE HO
ABHI TAK ZEHAN-O-DIL PER
ROOH PER QABZA UNHI KA HAI
YE WAHSHAT IK KASAK HAI, GUMSHUDA LOGOO K KHONE KI
YE WAHSHAT HI SABAB HAI IS TARHA BE-ASHK RONE KI”

Mohabbat bohat possessive hoti hai

Mohabbat bohat possessive hoti hai
Es lye mai bhi bohat possessive hon
Tumhary mamlay me koi shirkat, koi batwara koi taqseem
Mujhe qubool nahi hai, bilkul bhi nahi hai, hargiz nahi hai
Es liye kah mohabbat possessive hote hai
Ho sakta hai tumhe mai bohat narrow minded lagon
Ho sakta hai k tum kaho k yeh shaks kitna akhar hai
Kitna proud aur kitni feudal lords jaisi eske zahaniyat hai
Mohabbat me ijarah dari kyon karta hai
Magar mujhe pata hai jab tum akalay me baith k socho ge jab mai nahi hounga
To tum kaho ge uska possessive hona mujhe kitna acha lagta tha
Pyar to haq jatanay ka naam hai na wo kaisy bhala yeh baat gawara karta
Koi aur mujhe dekhay, koi aur meri tareef karay, koi aur mujhe mehsoos karay, koi aur mujhse baat karay
Wo kaisy gawara karta uskay mohabbat thi na, aur mohabbat to possessive hote hai
Aj wo nahi hai magar aye Allah, mai usay kitna yaad karte hon, ab kon hai jo mery lye possessive ho
 Main tanha reh gaye hon, es liye k mohabbat to possessive hote hai.

Tumhain dekha nahi jana nahi phir bhi ye lagta hai

Tumhain dekha nahi jana nahi phir bhi ye lagta hai
QABILA aik hai apna

Wohi dard-e-judai, wohi bhegi hoi palkain
NASEEBA aik hai apna

Kisi se kuch nahi kahna, koi shikwa nahi karna
QAREENA aik hai apna
Kisi ki yaad se, verana dil jagmaga lena
KHAZEENA aik hai apna

Yaqeen ki akhri haad tak, milan ki khush gumani hai
NATEEJA aik hai apna

UnKahi K Lehjay Main



UnKahi K Lehjay Main
Kya Kya Nahi Kaha Hum Ne
Un Soo’Ne K Parday Main
Kya Kya Nahi Sona Tum Ne

Raaz Jo Nahi Khulta!
Jante Hain Hum 2no

Bat Jo Nahi Karte
Mantey Hain Hum 2no

Dhund Chayee Rehti Hai
Ke’hair Jaisa Alaam Hai
Dil ‘Zadoo Ki Basti K
Kya Ajeeb Mosaam Hai

Ak Mehak Fasorda See
Jaisay FAIZ Ki Naz’men
Yaad Ki Kasak Ho Jaisay
FARAZ Ki Ghaz’lein

Soch Ak Jaisee Hai
Khuwab Ak Jaisay Hain
Door Door Reh Kar Bhi
Sath 7 Chalte Hain
Khush’Gomaniyaan Dil Ki
Kaan Main Ye Kehti Hain

Doo’riyoon Say Darna Kya
Aahh’Hay’Sard Bharna Kya

Asee Roth Bhi Ayee Ge
Jab K Shak’khay’Farwa Par

Mas’lay Gul Khe’lain Gay Hum
Ak Din Melain Gay Hum……………!

Popular Posts