Saturday, December 24, 2011

sulag rahi hain dahan mein kibaein lafzon ki

sulag rahi hain dahan mein kibaein lafzon ki
magar zubaan pe wohi sardion ka mosam hai

tumhare aane pe suraj k haath chamkein ge
mere makan pe wohi sardion ka mosam hai

har ek simt pighalne lage hain san'nate
tere beyaan pe wohi sardion ka mosam hai

teri judai k pal se hua hai ishq hanoot
k iss jahan pe wohi sardion ka mosam hai

wo mujh ko soonp gya furkatein DECEMBER mey
darkhte jaan pe wohi sardion ka mosam hai

humare lab to duaein jalay rakhte hain
par asmaan pe wohi sardion ka mosam hai..!!

No comments:

Popular Posts