Sunday, May 2, 2010

Who masoom se pyari se Bachi

Who masoom se pyari se Bachi
Who masoom se pyari se Bachi
Jo tetlioon ko pakerti thi
Khushbo se khilti thi
Rang us k dost thay
Pholo ke Who sathi thi
Shour bhi kafi karti thi

Khilti thi, Hasti thi, Gatti thi
Phir yon howa k barri Who ho gai
Asoloon k samnay khari Who ho gai
Aandhion k rukh us nay moor diay
Rawajoon k kilay us nay toor diay
Us ko ranj bhi mila gham bhi

Dukh bhi mila setam bhi
Sub ko bardash karti rahi
Roz jeti rahi roz marti rahi
AKHIR KAAR
Zamin pay thay Paon Zamin Asman
Chup ho gai Who

Kahi kho gai Who
Kuch na kheti thi Who
Chup hi rehti thi Who
Us main Sabar a gaya
Usay koi bha gaya
Naye khwab Who bonnay lagi

Muskuranay lagi Gungunanay lagi
App hi App Who Sharmanay lagi
Mujh se khenay lagi
Hai mujh ko kuch hogaya
Mara chain kho gaya
Yeh kai bat hai
Na din hai na raat hai

Mainay sirf itna kaha
Hain sabhi BEWAFA
Na yoon Dil ko laga
Be Aqal maan jah
Dil ko appnay samjha
Meri halat bhi dekh

Tha yeh hi minay kiya
Mager tooh Palat ja
Na mani who meri bat ko
Chal pari kisi k sath Who

Ajj Who hi main hoon
Who hi sub hain
Who hi saray nazaray hain
Mager
Who nahi rahi Weasi
Main nay suna eik din

Who bhi thi keh rahi
Kisi or se yeh hi
Meri halat bhi dekh
Tha yeh hi mainay kiya
Mager
Tooh palat JA
Mager tooh palat JA

Ik batt kaho agar sunty hoo

Ik batt kaho!!!!!!
Ik batt kaho agar sunty hoo
Tum mujh ko achi lagty hoo
Kuch chikhal chikhal c kuch chup chup c
Kuch pagal pagal lagty hoo
Ha chahnay waly or buhat
Per tum mai batt hai ik buhat
Tum apni apni lagty hoo
Ik batt kaho gar sunty hoo
Tum mujh ko achi lagty hoo
Ya batt batt pay kho jana
Kuch kahty kahty ruk jana
Ya kis uljhan mai rahty ho
Kaya batt hai jo ham say kah dalao
Ik batt kaho gar sunti hoo
Tum mujh ko achi lagty hoo

ye jo aaj tumhari bewafai nay

**ANSOO KAHAN SA LAOON *
ye jo aaj tumhari bewafai nay
tumhari bay etanai hai
mujko tanha karfdia
kirchi kirchi kardia
ab ronay k liay itnay ansoo kahan sday laon :?:
aaj ki rat katay gi kaysay
kal ka din katay ga kaysay
zindagi mayri katay gi kaysay
ab ronay k liay itnay ansoo kahan say laon :?:
weo jo tumhari batyn
wo jo tumhary iraday
kahan gay wo waday :?:
jo tum sub bhol chokay ho
ab ronay k liay aitnay ansoo kahan say laon :?:

Karti hon jo acha tu loog samjhtay hain mojhay bura

Karti hon jo acha tu loog samjhtay hain mojhay bura
Jo karti hon wafa tu loog samjhtay hain isko daga
Yaqin tu sab kartay hain par koi samjh na paya mojhay
Maray dil main kitna dard hai koi jaan na paya isay
Karti hon jis par aetibar jaisay apna manti hon
Aisay tora daitay hian maray dil ko jaisay koi shisha
Dunya main itnay gam milay kay ankhon main har waqt khof rahta hai
Waqt nay diya itna dard kay ab har khushi say bhi dar lagta hai

Kahti hai yeh hawa Kahti hai yeh fiza

Kahti hai yeh hawa
Kahti hai yeh fiza
Kal koi tha yaheen
lakin ab who nahien
who kahiin aur hai
dard ka daur hai
kitna gahra hai ghum
kaisa hai yeh sitam
kahti hai yeh hawa kahti hai yeh fiza
jitna bhi ghum saho uttne hi chup raho
aarzoo so gayi,har khushi kho gayi
sooney hain raastey,aaja mere waastey
sirf ek yaad hai ek faryad hai
sirf tanhaiyyan,sirf parchahiyyan
ansoo-o-n ki nadi
dil main hai bah rahi
kahti hai hai Zindagi
tuhi yahan nahien

udaas raaton me tez kaufi(cafe') ki talkhiun me

udaas raaton me tez kaufi(cafe') ki talkhiun me...
woh kuch ziada hi yaad aata he serdiun me..

mujhe ejaazat nahi us ko pukaarne ki
jo goonjta he lahoo mein seene ke dherkano mein..

woh bachpana jo udaas raaton me kho gaya
me dhoondhta hun use tumhaari sharaarton mein..

use dilaasa to de rahaa hun magar ye sach he
kahin koi khouf badh raha he tasalliun mein..

tum apni poron se kia likh gae the jaana
chiraagh roshan hein meri hatheliun mein..

jo tu nahi to wo mukammal na ho sakengi
teri yeh ehmiat he meri kahaniun mein..

mujhe yaqeen he wo thaam lega wo bheram rakkhe ga
yeh maan he to diye jalaae hein aandhiun mein..

her ik mousam me roshni bikherte hein
tere gham ke chiraagh meri udaasiun mein..!!

Jin ko Hum Kabhi Jantay bhe nahi Unhi saay Mohabbat Ho jati hai

Jin ko Hum Kabhi Jantay bhe nahi Unhi saay Mohabbat Ho jati hai
Chund Din Chund Lamhay Saath Guzartay hain Mohabbat ho jati hai

Khayalat Miltay Hain Sochain bhe Milti hai Mohabbat ho jati hai
DiL ke Chund Batain bhe Hoti hain jin saay Mohabbat ho jati hai

Sochon main Khayalon main aur najanay kyun Mohabbat ho jati hai
Kisike Kuch Batain DiL main utar jati hain Mohabbat ho jati hai

Yehto Mohabbat hai na dekhay hua bhe lakin Mohabbat ho jati hai
Hazaroon Faslay Hotay hain Dil ek hota hai Mohabbat ho jati hai

meri her ik ada mai chupi thi teri muhabat

meri her ik ada mai chupi thi teri muhabat
to nay mahsoos na ki ye aur baat hai

mai nay her dam teray hi khuwaab dekhay
mujhay tabeer na mili ye aur baat hai

mai nay jub bhi tujh se baat kerna chahi
mujahy alfaaz na milay ye aur baat hai

mai teri muhabat k samander mai duur tak nikla 
mujhay sahil na mila ye aur baat hai

qudrat nay likha tha tujh ko meri taqdeer main
teri qismat mai main na tha ye aur baat ha

Uthaa kay haath Khuda say bas maangi yahi dua

Uthaa kay haath Khuda say bas maangi yahi dua,
naseeb hon khushiyan tumhain tum khush raho sada..

Tum ko rahat milay , tum ko chahat milay,
tumhain saray jahan ki muhabbat milay..

Jahan main sab se hon achay tumharay naseeb,
koi dukh kabhi bhi na aaye qareeb tumharay..

Dil ki har aarzooo poori Khuda karay,
tumhain chahnay walon ko kabhi bhi na juda karay..

Mil jayen tum ko meray bhi naseeb ki khushiyaan,
dua hay yeh bas tum ko kabhi gham na milay yahan

un jheel si gheri aankhon mein ik shaam kahin abaad to ho

***Un Jheel si gheri Ankhon mein***

un jheel si gheri aankhon mein ik shaam kahin abaad to ho...
us jheel ke kinaare pal do pal
ik khawaab ka neela phool khile!
wo phool baha dein lehron me
ik roz kabhi hum shaam dhale...
us phool ke behte rangon mein
jis waqt larazta chaand chale !
us waqt kahin un aankhon me us guzre pal ki yaad to ho!
un jheel si gheri aankhon me ....ik shaaam kahin abaad to ho!

phir chaahe umr samandar ki
her moj pareshaan ho jaae!
phir chaahe aankh dareeche se
her khawab garezan ho jae!
phir chahe phool ke chehre ka...
her dard numayan ho jaae!

us jheel kinaare pal do pal woh roop nagar ejaad to ho!
din raat ke is aaine se wo aks kabhi aazaad to ho!
un jheel se gheri aankhon me ik shaam kahin aabaad to ho!!!

muhabbat k saagar chalaknay lagay hayn

muhabbat k saagar chalaknay lagay hayn
wo dil ban k dil mayn dharknay lagay hayn

ye kaysi wafaon ki rut agai hai
khiyalon mayn ik baykhudi cha gai hai
qadam zindagi k behehknay lagay hayn

umangon k pholon say daman bhara hai
mayra khuwab kaysay haqeqat bana hai
nigahon mayn jugno chamaknay lagay hayn

sitaron say agay hai dunia wafa ki
magar hum nay ki hai tamana wafa ki
jahan aaj hayrat say taknay lagay hayn

Mohabbat Aisa Naghma he


Mohabbat Aisa Naghma he
Zara bhi jhol ho lay me
to sur qaem nahi hota

Mohabbat aisa shola he
Hawa jesi bhi chalti ho
Kabhi Mudham nahi hota

Mohabbat aisa rishta he
ke jisme bandhne walo ke
Dilon me gham nahi hota

Mohabbat aisa poda he
jo tab bhi sabz rehta he
ke jab mousam nahi hota

Mohabbat aisa rasta he
Agar pairon me larzish ho
to ye mehram nahi hota

Mohabbat aisa Derya he
Ke baarish rooth bhi jae
To Paani kam nahi hota...

Wo sham us mokam ki ik payr k saay talay

Wo sham us mokam ki
ik payr k saay talay
hathon mayn mayra hath lay k
us nay kaha tha hayn garam bohot tumharay hath
phir mayray ik sawal par usnay kaha tha
hai nishani hathon ki garmi
sachi mohobat sachi wafa ki
jany kitnay mousam beet gay
jany kitnay payr sokh gay
aaj phir usi maqam par
usi payr k say talay
sochta hon mayn ye k
hath us k sard thay

Ager kabi tum janna chaho

Ager kabi
tum janna chaho
k tum mayray liay kia ho
to sun lo
mayri har sans mayn tum ho
mayri har dharkan mayn tum ho
mayri har ahat mayn tum ho
mayri har chahat mayn tum ho
mayray har lafz mayn tum ho
har nam tumhara nam hai
har bat tumhari bat hai
har lafz jo mayray lab par hai
wo tumhara kaha hoa hai
har lamhay mayray zehen mayn tum ho
har khuwab mayn tum ho
har nazar mayn tum ho
har lamhayn mayray khiyalon mayn tum ho
har yad tumhari yad hai
har yadoon mayn tumhari yadayn hayn
har chehray mayn tumhara chehra hai
har sitary mayn lagta hai
tumhara kangan chamakraha hai
har khushbo tumharay
badan ki khushbo lagti hai
chand mayn tumhara chehra dikhta hai
mayri har adat tumhari adat hai
mayra ye jewan tumhara nam hai
mayri zindagi tumhary nam hai
mayri zindagi tumsay hai
mayri payhli aur akhri mohobat tum ho

Mujh say apna pyaar kabhi wapas mat lena

Mujh say apna pyaar kabhi wapas mat lena
Mujh say ya iqrar kabhi wapas mat lena

Kehtay rehna mujh ko har pal main tera hoon
Mujh say ya izhaar kabhi wapas mat lena

Sajta rehna jhoomar ban kar matha par
Mujh say ya singhar kabhi wapas mat lena

Ankhain roshan rakhna apni yadoon say
Mujh sa ya deedar kabhi wapas mat lena 

Khsboo ban kar basna mera tan man main
Mujh say ya mehkar kabhi wapas mat lena

Poochh Lo Tum Bhi Iss Zamaane Se

"Poochh Lo Tum Bhi Iss Zamaane Se,
Pyaar Chhupta Nahin Chhupaane Se.

Paas Aate Ho Chhoote Ho Baat Karte Ho,
Kabhi Matlab Se Kabhi Bahaane Se.

Pyaar Dil Mein Hai To Laao Zabaan Pe,
Aag Badhti Hai Ye Bujhaane Se.

Tumhein Na Paana Shaayad Behtar Hai,
Paa Ke Phir Se Tumhein Ganwaane Se.

Chalo Ek Dua To Apni Poori Huyee,
Mil Liye Apne Ek Deewaane Se.

Roye Jaate Ho, Bas Roye Jaate Ho,
Kya Hoga Ye Dhan Lutaane Se.

Karo Koshish Ki Kurbatein Hee Rahein,
Dooriyan Badh Jaati Hain Badhaane Se.

DIL ka sukoon cheen ke asbab le gaYa

* DIL ka sukoon cheen ke asbab le gaYa

woh shakhs meri neend mereY khuwaab le gaYa


* in aateY jateY lamhon se ibarat hai zindagii

haqeeqaT hain kabhi, kabhi hain yeh saraab lamheY


* barri mushkil se daman mein samaiteY hain inheyn choo ke na dekh

bareY nazuk hain mereY khuwaab bikher jayen gey


* apneY aanChal se sitar0n pe mera naam na likh

mein tera khuwaab h0on palk0n mein chupa le mujh ko


* aesa na ho ke khuwahishon ke sheher mein

khuwaab mein dekhoon lekin ta'abeer kissi or ko mileY


* haQeeqat khul gaYi HasraT teri tark-e-mohabbaT ki

tujhey to ab woh pehleY se bhi barrh ker Yaad aatey hain


* hamein bhi khuwab0n ki duniYa azeez hai lekin

zameen pe rehneY ka ehSaas maareY deta hai


* khuwabon mein khuwaab us ke , yaadon mein yaad us ki

Neendon mein ghull gaYa ho jaiseY ke rat-jaga sa Gya

hansi ke raste pe chala karo

hansi ke raste pe chala karo
khushiyo ki mahak liya karo
pyar se dilon ko chuha karo
jahan tumhe gum nazar aaye
is nacheez ko yaad kiya karo

har kali tujhse khushboo udhaar mange
aftab tujhse noor udhaar maange
Rab kare tu dosti aesi nibhaye ke log
teri dosti tuj se udhaar maange

kehte hai gam baatne se hota hai kam
aesa hi kabhi pele maante the hum
tere pyar ki nishani tera gam hi to mere pass
wo bhi baat do to rahega kya mere pass

sochta hoon in sagar ki lehro ko dekh kar
kyon yeh kinaro se takra kar palat jaati han
karti hain vo kinare se bewafai ya phir
sagar se wafa nibhati hain

tumko chahne waale kam na hoon ge
waqt ke saat magar ham na honge
apna pyar chahe kisi ko bhi dena
par teri yaad ke hakdaar sirf ham hi honge

har phool khushbudaar nahi hota
har pathar chamakdar nahi hota
dosti dekh kar karna dost
kyon ke har dost humsa dildaar nahi hota

koi aankhon se baat kar leta hai
koi aankhon main mulaqat kar leta hai
bara mushkil hota hai jawab dena
jab koi khamosh reh kar sawal kar leta hai

who aate to hain magar tan se nahi
wo bhetthe to hain magar man se nahi
kaun kehta hai ke woh pyar nahi karte
karte to hain magar hum se nahi

kaash dil ki awaz main itna asar ho jaaye ke
hum aap ko yaad kare or aap ko khabar ho jaaye
aaj rab se yehi dua hai meri ke
jise aap chahe who aap ka humsafar ho jaai

hum kabhi aap se khafa ho nahi sakte
yehi dil ke rishtey bewafa ho nahi sakte
aap bhale hame bhulake so jaao
hum aap ko yaad kiye bina so nahi sakte

hasna hamara kisi ko gawara nahi hota
har musafir zindagi ka sahara nahi hota
milte hain bohat log is tanha zindagi main
par har koi tum sa pyaara nahi hota

chand ke liye sitare bohat hain
lekin stiaron ke liye chaand ek hai
aap ke liye to hazaro hoon ge
lekin hamare liye aap hi ek hain

kanto ke badle phool kya do ge
aansu ke badle khushi kiya do ge
hum chahte hain aap se umar bhar dosti
hamare is sawal ka jawab kiya do ge

har nazar me ek kashish hoti hai
har dil me ek chahat hoti hai
mumkin nahi har ek ke liye taj mahal banana
kiyo ke har dil main 4-5 mumtaz hoti hain

aap har manzil ko mushkil samajte hain
hum aap ko manzil samajte hain
bara fark hai aap ke aur hamare nazariye main
aap hame sapna, aur hum aap ko apna samajte hain

door hote hoi bhi dosti ka rishta nibhate hain aap
na jaane kiyon dil ko lubhate hain aap
yeh kaisa karishma hai aap ka
jo hum ko itna yaad aate hain aap

tammana umar zindagi se door rahe
teri khushi ke liye apni khushi se door rahe
isse bari wafa ki saza kya ho gi
tere ho kar bhi hum tumse door rahe

khushbu ki tarha aap ke pass bikhar jayenge
sukun bankar dil me utar jayenge
mehsus karne ki koshish karna
door hote hove bhi pas nazar aayenge

pyar nahi karna tha humse
dillagi to na ki hoti
ae bewafa beech samandar main lakar mara

Mat karo mujh se itni mohabat mein tumhre pyaar ke kabil nahi

"Mat karo mujh se itni mohabat mein tumhre pyaar ke kabil nahi. .....Mein jis rah per hun us ki koi manzil nahi. .....Chaho to chaordo sath mera,Chaho to tor do phir dil mera. ......Jab us ne nahi kiya gila mujh se to mein kya karonga. ....Mujh se door reh kar khush raho yahi dil se dua karonga. ......kabhi yun bhi aa meri aankh mai meri nigah ko bhi khabar na hoo.....mujhe ek raat nawaz dey ke us ke baad sahar na ho..........woh bara raheem o kareem hai mujhe yeh sifaat bhi atta kare.....tujhe bholne ki duwa karon meri duwa mai bhi asur na ho..........tumhe jab kabhi milain fursatien meray dil say bojh utar do-----------main buhat ruttun say udaas hoon mujhay koi sham udhar do-------mujhay apnay roop ki dhoop do key chamak sakain meray khal-o-khad--------mujhay apnay rang main rang do meray saray rang utar do------kisi ko meray haal say na koi arz hai na wasta----main bikher gaYa hoon samet lo main bigher gaya hoon sanawar do------meri wehshaton ko barha dia hai judaion key azab nai-----meray dil per haath rakho zara meri dharkano ko qarar do----------kaho subah kaise lagi meri khahisho key diar ki----jo bhali lagi ho yaheen raho issay chahaton say nikhar do Ansuo Se Palak Bhigo Leta Hu,Yaad Teri Ati hain To Ro Leta Hu.....Socha ke Bhoola Du Tujhey Mager,Har baar Faisla Badal Deta Hu..........Woh Firaq Ho Ya Visal Ho Teri Yaad Mehkegi Ek Din.....Woh Gulab Bun Ke Khilega Kya Jo Chiragh Bun Ke Jala Na Ho......Kabhi Dhoop Dey Kabhi Badliyan Dil O Jaan Se Dono Qabool Hain ....Magar Us NAgar Mai Na Qaid Ker Jahan Zindagi Ki Hawa Na Ho........mere qadam jahan pare sajde kiye the yaar ne.......mujh ko rula rula diya jaati hui bahaar ne .....apni nazar mai aaj kal din bhi andheri raat hai......saaya hi apne saath tha saaya hi apne saath hai ......Hoton pe hasee dekh li ,dil ke ander nahi dekha.....Yaaron ne mere gam ka samander nahi dekha ......Kitni haseen hai duniya ye dekha hai aapne.......Mar mar ke jeene walon ka manzar nahi dekha.....Sheshe ka makan tumne bana to liya ae dost.....Lekin waqt ke haath ka pathar nahi dekha........Rishtoon ke tutne ka dard aap kya samjhein ......Vo lamha kabhi aap ne jee kar nahi dekha......Bhatke roshni ki talaash mein na jaane kahan kahan.....Afsos ki apni rooh ke ander nahi dekha........mujhse bichar kar roti ho gigham ko kitna samajti ho gi jin rahoon per chalti ho gimeri yaad main tahrpti ho gimujhse jo na Keh sakti thiab wo khod se kheti ho giguzri battain guzre lamhain yaad kar ke wo roti ho gifursat tum ko ho ke na hokhat phir bhi likhti ho giaur likh ke, jalane se kuch pheleun ko wo khod bhi parhti ho gi

Ba awaz-e-buland ya sar basjood, sajda karo iltija karo

Ba awaz-e-buland ya sar basjood,
sajda karo iltija karo
Jo dil se nikley tumhare mere liye,
aisi ik dua karo

Kitni sadiaan guzri is baat ko,
tumhain milney ko ab ankheen tarsi
Jo tum se mujh ko mila sake tum
aisa koi silsila karo

Jaiz hai us rishte ka tootna
jis mein milne ki chah na ho
Chahte ho gar pana mujh ko
tu har roz mujh se mila karo

guzra zamaana teri mohabbat ka

guzra zamaana teri mohabbat ka
Ek bhooli hui kahani hai
Tere qoochay mein umy bhar na gahe
Saari duniya ki khaak chaani hai
Lazzat-e-wisl ho kay zakm-e-firaaq
Jo bhi ho teri maharbaani hai
Kis tamanna se tujhko chaha tha
Kis mohabbat se haar maani hai
Apni kismat pe naaz karta hoon
Jab tere shaher se guzarta hoon

Har taraf dhund hai, jugnu hai na charag koi

Har taraf dhund hai, jugnu hai na charag koi,
Kaun pehchanayga, basti mein agar jaaoonga !

Zindagi, main bhi musaafir hoon teri kashti ka,
Tu jahan mujh say kahegi main utar jaaoonga !

Phool rah jayeengay guldaan mein yaadon ki nazar,
Main to khushboo hoon fhizaon mein bikhar jaaoonga !

Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga,
Ab agar aur dua dogay to mar jaaonga !

man mausam kaa kahaa, chhaai ghataa, jaam uthaa

man mausam kaa kahaa, chhaai ghataa, jaam uthaa
aag say aag bujhaa, phol khilaa, jaam uthaa 

pi mayray yar tujmay apni qasam dayta hon
bhol ja shikva gila hath mila jam utha

hath mayn jam jahan aaya muqadar chamka
sab badal jay ga qismat ka likha jam utha 

ik pal bi kabi hojata hai sadio jaysa
dayr kia karna yahahath barha jam utha

piyar hi piyar hai sub log barabar hayn yahan
mayqaday mayn koi chota na bara jam utha

paas itna kyon mere aa rahe ho

paas itna kyon mere aa rahe ho
pyaar itna kyon jataa rahe ho
manzoor nahi humko pyaar tumhara
phir kyon mere peeche aa rahe ho
thak gayin hoon main zakhm bharte-bharte
tum kyon inhe aur barhaa rahe ho
andheron mein seekh liya hai jeena
chiragoN ko kyon jalaa rahe ho
tanhaaii mein umar hai guzri
kyon mehfilon mein bulaa rahe ho
uljhi huyi hai merii zindagani
tum kyon ise suljhaa rahe ho
ghamoN se hai apna rishta purana
tum kyon inhe cheene jaa rahe ho
ho sakta nahi sach jo kabhi bhi
sapney aise kyon dikha rahe ho
rahne bhi do mujhe mere haal pe
kyon tum mujhe samjhaa rahe ho
mar chuka hu main kabka
laash meri,ab kyon jala rahe ho

Aap Bohat Yaad Aatay Hain

Aap Bohat Yaad Aatay Hain

Ghanghoor Ghataey Aate Hain Jab
Nadyaan Jhomte Gaate Hain Jab
Lahrain Shoor Machate Hain Jab
Aap Bohat Yaad Aatay Hain


Badal Baras Kar Chat Jatay Hain
Qatray Mouti Ban Jatay Hain
Kirnay Rang Bikhrate Hain Jab
Aap Bohat Yaad Aatay Hain


Do Dewanay Jab Miltay Hain
Phool Mohabbat Kay Khiltay Hain
Dewaray Bhi Gaate Hain Jab
Aap Bohat Yaad Aatay Hain


Chanda Tumhari Yadain Lay Kar
Kirnoon Ke Barsatain Lay Kar
Chaandni Ratain Aate Hain Jab
Aap Bohat Yaad Aatay Hain

dil liyaa jis ne bevafaaii kii

dil liyaa jis ne bevafaaii kii
rasm hai kyaa ye dil-rubaai kii

tum ko a.ndeshaa-e-giraftaarii hai
yaa.N tavaqqo nahii.n rihaai kii

vasl me.n kis tarah huu.N shaadi-e-marg
mujh ko taaqat nahii.n judaaii kii

ek din tere ghar me.n aanaa hai
baKht-e-taale ne gar rasaaii kii

dil lagaayaa so naasaho.n ko kyaa
baat jo apane jii me.n aai, kii

'Shefta' vo ki jis ne saarii umr
diin-daarii-o-paarasaaii kii

Main Jis Kay Dil Ki Kitab Banta

Main Jis Kay Dil Ki Kitab Banta
Main Jis Ki Chahat Ka Khawab Banta

Main Hijar Mosam Ki Lambi Raaton Main Yaad Ban Kar Azaab Banta
Koi To Hota?
Jo Meri Khwaish Main Uth Kar Raaton Ko Khoob Rota
Dukhon Ki Chadar Lapait Kar Hajoom Duniya Say Door Hota
Main Rooth Jaata Manata Mujh Ko Kay Chahe Mera Kasoor Hota
Koi To Hota?
Jo Mujh Ko Dil Ka Karar Kehta
Ragoo Ka Apni Fishar Kehta
Udaas Mosam Main Tazgi Ki Biyar Ban Kar
Jo Meri Bahoon Ko Arzoo Ka Diyar Kehta
Koi To Hota?
Dua Say Apni Jo Dukh Bhi Meray Samait Leta
Woh Iss Jahan Say Ghamon Ka Meray Hisab Leta
Woh Sari Duniya Ki Rafaqaton Kay Tamam Rishtay
Koi To Hota?
Main Jis Kay Itna Kareeb Hota
Na Paas Koi Rakeeb Hota
Main Tanha Uss Ka Habbib Hota
Yeh Silsila Bhi Ajeeb Hota
Koi To Hota? Aye Kaash
Koi To Hota?

laoon kahan se dhoond ke yaadon ki roshni

laoon kahan se dhoond ke yaadon ki roshni
tareeq hogaya hai mohabbat ka yeh safar

andhere mangne aae the roshni ki bheek
hum apna gher na jalate to aur kiya kerte

resham hoon roshni ka hawaoon mein ur na jaoon
tu mughe ko pane lims ke anchal mein de panah

tum bhi dene lage dunya ko andheron ka pata
roshni bhi bhi to the aik zamane ke liye

yeh kiya khabar thi ke daka pare ga ankhon per
hamare gher mein humein roshni ne luta hai

milti hai mughe ko iss ki lakiron mein roshni
mein jab shafeeq dekhta hoon apne haath ko

use dekaho jo tumahrye terf dekhta hai

"use dekaho jo tumahrye terf dekhta hai
usse muhabat karo jo tum se muhabat kerta hai
us ki suno jo tumahrye sunta hai
or apna hath use jo thamna chata hai
jo umda guftogo kerta hai
wo muhbat kerny main der nhi kerta
afreen hai us muhabat per jo izhar
jo izhar se qabool hujaye
muhabt apny ap ko peash karty hai
ise kahreda nahi jasakta hai
muhabat ek ase cheez hai
jo sekhnye or batnye ki nahi
muhabat or shak ek dil
main jama nhi hutye
muhabat dukhon ki ser zameen
or anooson ka samander hai
yeh moot ki wady or zindagye ka kahtma hai
muhabt ager suchye hoto manzil
tak phunchna asan hai
muhabat kerty hai to zindagye
baher ke liye karoo
chand dinon ke liye kise ke
jazabat;ahsasat;azmashon or
khuwahisth se mat kahilo

ek jhonka chu kar guzra hay

ek jhonka chu kar guzra hay
koi yaar purana guzra hay

phir yadain dil main jagi hain
koi khusbo lay kar guzra hay

phir zindagi yahan per tahar gai
koi waqat thaam kar guzra hay

phir beeti batain yaad ain
koi sapna dikha kar guzra hay

phir tere baywafai yaad ai
koi rukh moor kar guzra hay

phir pair hara sa gir gia
koi dil toor kar guzra hay

zaraa sii baat pe har rasm tor aayaa thaa

zaraa sii baat pe har rasm tor aayaa thaa
dil-e-tabaah ne bhii kyaa mizaaj paayaa thaa



muaaf kar naa sakii merii zindagii mujh ko
vo ek lamhaa ki mai.n tujh se tang aayaa thaa



shaguftaa phuul simaT kar kalii bane jaise
kuchh is tarah se tuune badan churaayaa thaa 


guzar gayaa hai ko_ii lamhaa-e-sharar kii tarah
abhii to mai.n use pahachaan bhii na paayaa thaa

pataa nahii.n ki mere baad un pe kyaa guzarii
mai.n chand Khvaab zamaane me.n chor aayaa thaa

khamo0sh hou khoay khoay hou

khamo0sh hou khoay khoay hou
us sakhs kee yaad main roay hou
woh jis nay tumhay barbad kiya
bho0lay say kabhi na yaad kiya
woh jis k piyar main barsun say
tum jagey aur na soay hou
jo saray rishtay cho0r giya
aur tanha tum ko cho0rr giya
tum ab bhi dil kee duniya main
us sakhs kee yaad samoay hou

Popular Posts