Sunday, May 2, 2010

Who masoom se pyari se Bachi

Who masoom se pyari se Bachi
Who masoom se pyari se Bachi
Jo tetlioon ko pakerti thi
Khushbo se khilti thi
Rang us k dost thay
Pholo ke Who sathi thi
Shour bhi kafi karti thi

Khilti thi, Hasti thi, Gatti thi
Phir yon howa k barri Who ho gai
Asoloon k samnay khari Who ho gai
Aandhion k rukh us nay moor diay
Rawajoon k kilay us nay toor diay
Us ko ranj bhi mila gham bhi

Dukh bhi mila setam bhi
Sub ko bardash karti rahi
Roz jeti rahi roz marti rahi
AKHIR KAAR
Zamin pay thay Paon Zamin Asman
Chup ho gai Who

Kahi kho gai Who
Kuch na kheti thi Who
Chup hi rehti thi Who
Us main Sabar a gaya
Usay koi bha gaya
Naye khwab Who bonnay lagi

Muskuranay lagi Gungunanay lagi
App hi App Who Sharmanay lagi
Mujh se khenay lagi
Hai mujh ko kuch hogaya
Mara chain kho gaya
Yeh kai bat hai
Na din hai na raat hai

Mainay sirf itna kaha
Hain sabhi BEWAFA
Na yoon Dil ko laga
Be Aqal maan jah
Dil ko appnay samjha
Meri halat bhi dekh

Tha yeh hi minay kiya
Mager tooh Palat ja
Na mani who meri bat ko
Chal pari kisi k sath Who

Ajj Who hi main hoon
Who hi sub hain
Who hi saray nazaray hain
Mager
Who nahi rahi Weasi
Main nay suna eik din

Who bhi thi keh rahi
Kisi or se yeh hi
Meri halat bhi dekh
Tha yeh hi mainay kiya
Mager
Tooh palat JA
Mager tooh palat JA

No comments:

Popular Posts