udaas raaton me tez kaufi(cafe') ki talkhiun me...
woh kuch ziada hi yaad aata he serdiun me..
mujhe ejaazat nahi us ko pukaarne ki
jo goonjta he lahoo mein seene ke dherkano mein..
woh bachpana jo udaas raaton me kho gaya
me dhoondhta hun use tumhaari sharaarton mein..
use dilaasa to de rahaa hun magar ye sach he
kahin koi khouf badh raha he tasalliun mein..
tum apni poron se kia likh gae the jaana
chiraagh roshan hein meri hatheliun mein..
jo tu nahi to wo mukammal na ho sakengi
teri yeh ehmiat he meri kahaniun mein..
mujhe yaqeen he wo thaam lega wo bheram rakkhe ga
yeh maan he to diye jalaae hein aandhiun mein..
her ik mousam me roshni bikherte hein
tere gham ke chiraagh meri udaasiun mein..!!

No comments:
Post a Comment