Sunday, May 2, 2010

DIL ka sukoon cheen ke asbab le gaYa

* DIL ka sukoon cheen ke asbab le gaYa

woh shakhs meri neend mereY khuwaab le gaYa


* in aateY jateY lamhon se ibarat hai zindagii

haqeeqaT hain kabhi, kabhi hain yeh saraab lamheY


* barri mushkil se daman mein samaiteY hain inheyn choo ke na dekh

bareY nazuk hain mereY khuwaab bikher jayen gey


* apneY aanChal se sitar0n pe mera naam na likh

mein tera khuwaab h0on palk0n mein chupa le mujh ko


* aesa na ho ke khuwahishon ke sheher mein

khuwaab mein dekhoon lekin ta'abeer kissi or ko mileY


* haQeeqat khul gaYi HasraT teri tark-e-mohabbaT ki

tujhey to ab woh pehleY se bhi barrh ker Yaad aatey hain


* hamein bhi khuwab0n ki duniYa azeez hai lekin

zameen pe rehneY ka ehSaas maareY deta hai


* khuwabon mein khuwaab us ke , yaadon mein yaad us ki

Neendon mein ghull gaYa ho jaiseY ke rat-jaga sa Gya

No comments:

Popular Posts