Saturday, August 7, 2010

abb nahi neend may aingay,chalo wada raha


abb nahi neend may aingay,chalo wada raha,
app ka saath nebhaingay,chalo wada raha,

eyhad yeh tark-e- mohoobat ka meri jan nahi toringay,
app ko hum na bhulaingay chalo wada raha,

shab ki tanhai may tum yaad agar aye kabhi,
ek bhi ansoo na bahaingay,chalo wada raha,

roth janay pe na joringay kabhi apnay hatth,
tujh ko hergiz na maningay,chalo wada raha,

apnay ujtay huye iss dil kay neha khanoo may,
teri suraat na sajingay,chalo wada raha,

lay teray hukum pe hum saher tera choor chalay,
abb na lot kay aingay.chalo wada raha,

abb mohoobat ki na umeed rakhin gay,tujh say,
dil may arman na basaingay ,chalo wada raha...

Kabhi bhool kar bhi dill main Yeh khayal tum na laana


Kabhi bhool kar bhi dill main
Yeh khayal tum na laana
Keh woh aakhri bashar tha..
Nahin doosra milay ga..

Yeh zindagi tumhari..
Itni udaas kiun hay..
Har doosray qadam par..
Koi muntazir milay ga..

Kabhi zindagi ko itnay..
Daikha qareeb say tum nay..
Yeh zindagi hamaari..
Nahin itni aasaan..

Kaiee humsafar milain gay..
Kaiee rehnuma milain gay..
Har humsafar sai itni..
Umeed tum na rakhna..
Keh woh rehbari karay ga..
Aur rehnuma banay ga..

Yeh payar zindagi main..
Aata hay phool ban kar..
Aur jaantay hain hum bhi..
Gul kab talak khilay ga..

Mehrumiyon ko apni..
Na tumm galay lagao..
Mehboob har zamanay..
Aur Har dagar milay ga!!!!

Talash............!!!!


Talash............!!!!

hay mujhay us pahir ki

jis pahir thm nay bhi

socha ho hamaray baray main

tumhara bhi dill dukha ho

talash.........!!!!

hay muj ko us pahir ki

jis pahir tum humko bhi

yaad ker kay rooye ho

talash...........!!!!!

hay muj ko us pahir ki

jis pahir tum bhi kabhi

maira naam sun ker muskoraye ho

talash..........!!!!!!!

hay muj ko us pahir ki

jis pahir

hum ko dhak ker

tumharay caharay per bhi qoos-o-qeza

kay rang aye hoon

talash............!!!!!

hay muj ko us pahir ki

jis pahir

humhara naam tumharay lub per aya ho

aur tum nay geet gungunaya ho

talash..........!!!!!!!!!

hay muj ko us pahir ki

jis pahir

tum kaho

hum nay bhi tumharay naam ka deyaa

apnay dill main jalayaa hay

kise ki ankh ka ansoon ! bara anmool hota hay


kise ki ankh ka ansoon !

bara anmool hota hay

kabhi socha hay ye tum nay

kise ko dhoondti ankhaan

kise ko sochti ankhain

bari batab si ankhian

bouth anmool hoti hain

kabhi socha hay ye tum nay

kisi ki yaad ka mosaam

dill-e-barbad ka mosam

bara ranjur hota hay

kabhi socha hay ye tum nay

kise ki yaad ka badal

kise ki ankh ka kajal

kise ka rashmi anchal

bara nayaab hota hay

kabhi sochha hay ye tum nay

kise ki unkahi batian

kise ki unsuni batian

bouth anmool hoti hain

kabhi socha hay ye tum nay

kise ki ajnabi ankhian

dua dayti howee ankhian

kise ki yaad main barasti howee ankhian

bari anmool hoti hain

kabhi socha hay ye tum nay

kise kay dill main bastay ho

ghari bhar ko jo miltay ho

milan ka bas wohi lamha

bara nayab hota hay

kabhi socha hay ye tum nay

Bholna Itnaa Asan Nahin K Main Tujhay Bhool Jaoon


Bholna Itnaa Asan Nahin
K Main Tujhay Bhool Jaoon
Aaj Dil Buhat Ghabraya
Main Nay Us Ko Yeh Samjhaya
Ka Bhoolna Itna Asaan Nahi Hai
Tu Agar Dil Ki Dharkan Hota
Tu Mera Dil Dharkna Bhool Jata
Tu Agar Sansoon Main Jee Raha Hota
Tu Sansoon Ki Door Tu Hoti Hi Kachi Hai
Tu Agar Khayaloon Ka Markaz Hota
Tu Main Hosh-O-Khird Say Begana Hota
Magar Afsoos
Tu Tu Mari Rooh Ka Humzaad Hai
Us Main Azal Say Lay Kar Abad Tak Abad Hai
Or Rooh Kabhi Fana Hoti Nahin
abhi matti Main Ja Kar Sooti Nahin
abhi Dil Ki Tarhan Rooti Nahin
Sans Ki Door Ki Tarhan Kachi Hoti Nahin
Jab Rooh Say Ta'aluq Toot Sakta Nahin
Aur Khuda Bhi Us Ko Bhool Sakta Nahin
Tu Aye Qarar-E-Dil
Aaj Tu Itna Jaan Lay K
Bhoolna Itna Asaan Nahin Hai.........

Ab Laut Aao Key Aik Bar Phir Mera Dil Apni dharkno


Ab Laut Aao

Key Aik Bar Phir Mera Dil

Apni dharkno Kay Beqaboo Honay Ka Khail

Dekhna Chahta Hai



Ab Laut Aao

Kay Aik Bar Phir Meri Palkien

Tumhari Nazroon Sey Ghabra Ker

Jhukna Chahti Hain



Ab Laut Aao

Key Aik Bar Phir Meray Qadam

Tumharey Qadmon Kay Saath

Unhin Rastoon Per Chalna Chahtey Hain



Ab Laut Aao

Key Aik Bar Phir Mera Wajood

Tumharey Ishq Ki Aag Main

Jalna Chahta Hai



Ab Laut Aao

Key Aik Bar Phir Meri Zindagi

Tumhari Zindagi Sey Jurr Ker

Khud Ko Jeena Chahti Hai...!!!

Kehti rahi par aya na yaQin usko WAFA par meri


Kehti rahi par aya na yaQin usko WAFA par meri
Jo hansta raha auro ka saath deyta raha har baat par meri


Ek taraf tou Lipta raha wujood say merey
Dusri taraf Dushmano ko deyta raha Fouqiat har baat par meri


Merey liyey na sahi kuch lOgo k dar say he KARAM kia
Ehsan tha tumhara YA ikhtiyar tha sirf us saa at par Meri


Thaam na saka jo meri MUHABBAT ko apney mazbOOt kaandho par
Janey q jacha raha wo BEYWAFA ab tak nigah par Meri


us BEYWAFA ki khatir kiya khud ko BARBAAD
Bey naam -o- nishaan kar gaya jo wujood Zindagi par Meri

Dasht main pyas bojhate hua mar jate hain.

Dasht main pyas bojhate hua mar jate hain.
Ham parinde kahin jate hua mar jate hai.

Hum hai sookhe hua talaab pe bathe hua hans.
Jo taluq ko nibhate hua mar jate hain .

Ghar pohanchta hai koi aur hamare jasa.
Hum tare shaher se jate hua mar jate hain.

Kis tarah loog chale jate hain oth kar chup chap
Hum to yeh dihaan main late hua mar jate hain.

Un ke bhi qatal ka ilzaam hamare sar hai.
Jo hamein zahar pilate hua mar jate hain 

Yeh mohabbat ki kahani nahin marti lakin.
Loog kirdaar nibhate hua mar jate hain
.
Hum hain woh tooti hua kashtiun wale shah.
Jo kinaroon ko milate hua mar jate hain.

is pyar se keh do mera dil na jalaey


is pyar se keh do mera dil na jalaey
wo jo nazro se dor he khayalo me b na aye

khushio k dor gaey ab gamo k zamaney aye
aisa kabi hua he jo khab dekho wo tabeer ban jaey

dekhta hu aasma par kitney badal hey chaey
aur sab mil kar ku teri tasveer bananey

mujey gulistan k har phol se teri khushbo ku aye
shayed ye shahid k janon he jo har taraf tu hi nazr aye

Dua hai raho Aabad iss tarha


Dua hai raho Aabad iss tarha
Chaman main ho phool shadab jis tarha
Chand tumain dekhnay aya karay yahan
Sitaray iss nazar k chamkain tumara pass
Khusiyan tumara pass say jayin na kabhi
Tum bhol jayo gham ko kuch iss tarha
Tum soch lo wo ankhain,dekh lo samandar
Shayad mil jaya pyaar ki gehrayi iss tarha
Jis main na ho nami, bas roshni rahay
Bas rahoo hamesha uss aankh ki tarha
Soocho bhi jiss ko tum, tumain mil jaya
Dua hai rakhay Khuda tumain abad iss tarha

Sooraj main tapish chanda main tari kiyoun thi


Sooraj main tapish chanda main tari kiyoun thi
Aay khuda dil main mohabbat bhari kiyoun thi

Sab hi aik say hotey to bhala hota
Koi titly koi bijli koi pari kiyoun thi

Yehi ghum dil say laga rakhain kayee loog
Duniyaan jahan bhula kay mohabbat kari kiyoun thi

Kahin pay sehraoon kay unmit sisilay daykhay
Tu kahin pay roo-e-zameen hari kiyoun thi

Jab fana ho gaya wo aanchal hijaab-e-yar
Phir bichonay ko derd ki dari kiyoun thi

Tufaan bhi kum-zerfon ki dustaras main rahay
Janay husan ki ada itni khari kiyoun thi

Jala dil jab kisi mah-jabeen ka ager
To kehnay lagee main us pay mari kiyoun thi

Kis qadar ujli rah-e-wafa ki manzilain
Lakin qadam qadam pay jafa dhari kiyoun thi

Raat hoti hai roz khayalon main aatey ho


Raat hoti hai roz khayalon main aatey ho
Ay ajnabi kon ho merey kya lagtey ho


Lagta hai k samney TUM mojood ho jaisay
Hount hiLtey bhi nahin hain k Sharmaney lagtey ho


Barhatey tou nahin faasla jab aana chahun paas tumharey
Hounto ko chahun Choomna tOu mukarney lagtey ho


Raaz khultey hian taqdeer k mujh par
Jis ki YAAD main guzarey wo Shab o Roz lagtey ho

Hazroon Phoolon Se Sajaee Gayee Hai Mere Qabar


Hazroon Phoolon Se Sajaee Gayee Hai Mere Qabar..
Ek Phool Ki Mehak Kaafi Thi Jab Tak Tha Zameen Per..

Huta Lete The Kal Jo Apne Lafzoon K Zoor Per..
Huta Na Payee ajj Apne KanDhe Ke Zoor Per..

ZakAm De Jatee Hain Ye Thande Aansoon Mere Kafan Ko Bhigo kar..
Baree Garm The Wo Aansoo Jo Sukh Jate the mere Dil Ko Bhigo Kar..

Diya Jala Jatee Hain Ye Aashiq mere Qabar per..
Kambakth Sath Reh Ker Tu Satatee! The Jab Tak Tha Zameen Per.

meri khamoshi doob gayee hai dill ki be terteeb dharknoon main

meri khamoshi doob gayee hai
dill ki be terteeb dharknoon main
bas ab har teraf shor hi shor hai
ahoon ka
cheekhoon ka
girya zarri ka
khamoshi mere pass tu naheen hai
per yeh sab kab tak chaley ga
dharkanain ruk jain gee
shor naheen rahey ga
ahain thaam jain gee
cheekhain khatam ho jain gee
girya zarri ruk jaye gee
aur phir
khamoshi
sirf khamishi
charoon teraf khamoshi
aur phir sirf khamoshi.........

yaad to hum bhi ayein gein bholey bisrey afsanoo ki terah


yaad to hum bhi ayein gein
bholey bisrey afsanoo ki terah
jaisey koi bohut purani yaad
dill ke kisi nihaaaan khaney main
koi boosedah si koi mitti mitti si
yaad ho
laikin....
phir waqat naheen lout ker aye gaa
tum wapis ana chahoo gey
aa naheen paoo gey
rona chahoo gey
roo naheen paoo gey
kiyoon keh
waqat be wafa hai
tum be wafa hoo
tumharee ankhain bojhal ho jain gee
ye aur baat hai ke tumhari aankhon mein
aansoo nahin ayein gein
tum bas faqat terap ker reh jaoo gey

Yeh dolat bhi ley lo yeh shuhrat bhi ley lo


Yeh dolat bhi ley lo yeh shuhrat bhi ley lo
Bhaley chheen lo mujhsey meri jawani
Mager mujhko lota do bachpan ka sawan
"Wo kagaz ki kashti wo barash ka pani"
Muhalley ki sab sey purani nishani
Wo bhuriya jisey bachey kehtey they nani
Wo nani ki baton mein parion ka dera
Wo chehrey ki jhurion mein sadion ka pehra
Bhulaye nahi bhool sakta hey koi
Wo Chhoti si ratein wo lambi kahani
Kari dhoop mein apney ghar sey nikalna
Wo chiriya wo bulbul wo titli pakarna
Wo guriya ki shadi pey larna jhagarna
Wo jhuloon sey girna or gir ker sanbhalna
Wo peetal key chhalon key piyarey sey tuhfey
Wo tooti huee choorion ki nishani
"Wo kagaz ki kashti wo barash ka pani"
"Wo kagaz ki kashti wo barash ka pani

wo chand phool jo rakhey they kabhi kitaboon mein


wo chand phool jo rakhey they kabhi kitaboon mein
aaj tak un k kaantey dil mein chubha kertey hain

han wohi khuwaab jo daikhey na they kabhi humnay
unhi k khauf say ratoon ko jaga kertey hain

bas ek teyri beyrukhi say dil tarapta hai
werna ye loog kya kuch kam khuwaar kertey hain

kaisay badzook hain jo shair samajhtey he nahein
or ek hum hain k khud shair kaha kertey hain

ki mohabbat to ker dawa ye derna kaisa
naam waloon ko sab badnaam kiya kertey hain

loog baywafa hain is liye hum gila nahi kertey
dard berh jaye to bas yaar-e-khuda kertey hain

hasrat diyas ne rakha na kahin ka hum ko


hasrat diyas ne rakha na kahin ka hum ko
teri furqat mein tarapne ka maza bhool gae

dil ghamgin hai mera aur yeh hasrat raat din afsar
ke apne bhoolne wale ko kab yaad aaenge hum bhi

tum pass nahi woh to ajab haal hai dil ka
yun jaise ke kuch rakh ke kahn bhool gai hoon

hum ne tughe bhula bhi diya satata raha khayal bhi
ba-zahir to koi gham na tha dil ko bhelane bhi

usse bhula ke mein zinda hoon aur khush bhi hoon
yeh bad-duain hain us ki inhen dua na kaho yaaro

kahan aa ke ruke the kahan mor tha usse bhool ja
jo mil gaya hai usse yaad rakh jo nahi mila use bhool ja

na jane kitne iradon mein bat gaya hai wajood
tughe bhula bhi diya,aur be-qarar bhi hoon

ajab tareeqa hai janan tughe bhulane ka
ke teri yaad se ik pal bhi be-khabar na ho

WOh Bekhabar Hai Bakhabar Kabhi Nahin hota

WOh Bekhabar Hai Bakhabar Kabhi Nahin hota....
Hamari Baat Ka Jis Par Asar Nahin Hota...

Charagh-e-Hijar Musalsal Jalaye Bethay Hain......
Kabhi Hawa Ka Udhar Se guzar Nahin Hota...

Khud Apne Wastey Jeena Bhi Koi Jeena Hai....
Safar Yeh Hayat Ka kion Mukhtasar Nahin Hota...

Khud apne Dais Ki Matti Mera Tashakhus Hai...
Diyar-e-Gair Ka Ghar Apna Ghar Nahin hota...

shiekh Yeh Ishq Ki Soghat Bhi Ajab Shai Hai.....
Yeh Woh Shajar Hai Jis Ka Samar Nahin Hota...

Tumhain jab pyaar hojaye Meri chokhat pay aajana


Tumhain jab pyaar hojaye

Meri chokhat pay aajana

Nahin kehna hamay lub say

K hum say pyaar kartay ho

Jhuka lena zara nazrain

Zara sa chup hi reh lena

Tumharay dil ki betaabi

Tumharay dil ki baichaini

Wohi hum jaan jain gay

Woh pal pehchan jain

Tumhain iqraar hay ab to

K thora pyaar hay ab to

Tumhain jab pyaar hojaye

Meri chokhat pay aajana

Nahin yeh soochna tum k...

Maazi main hua kya tha

Chupana phir nahin hum say

K hum say pyaar kartay ho

Haan mana dost to tum ho

Magar yeh.......dosti kaisi

Jo hum say keh na pao

Zara si baat jo dil ki

Chalo phir dost hojana

Zara madhoosh hojana

Tumhain jab pyaar hojaye

Meri chokhat pay aa jana

Dard Kaisa Bhi Ho Ankh Nam Na Karo


Dard Kaisa Bhi Ho Ankh Nam Na Karo
Raat Kaali Sahi Koi Gham Na Karo

Ik Sitara Bano Jagmagate Raho
Zindagii Mein Sada Muskurate Raho

Baant'ni Hai Ager Baant Lo Har Khushi
Gham Na Zahir Karo Tum Kisi Par Kabhi

Dil Ki Gehraai Mein Ghum Chupate Raho
Zindagi Mein Sada Muskurate Raho

Ashk AnmoL Hain Kho Na Dena Kahin
In Ki Har Boond Hai Motiyon Se Haseen

In Ko Har Ankh Se Tum Churate Raho
Zindagi Mein Sada Muskurate Raho

Faasley Kam Karo Dil Milate Raho
Zindagi Mein Sada Muskurate Raho

Musafir to bicharte hain,rafaqat kab badalti hai


Musafir to bicharte hain,rafaqat kab badalti hai
mohabbat zinda rehti hai,mohabbat kab badalti hai

tumhi ko chahte hein,tumhi se pyaar karte hein
yehi barsoun se adat hai aur adat kab badalti hai

tumhein jo yaad rakha hai yehi apni ibadat hai
jo pathar pe likhi jaye, ibarat kab badalti hai

kali ka phool banna aur bikhar jana muqadar hai
yehi kanoon-e-fitrat hai aur fitrat kab badalti hai

jo dil pe naqash kar jaye aur aankon mein simat aye
alamat hai ye chahat ki aur chahat kab badalti hai

ussey chaha,ussey pooja,yehi toqeer hai apni
hamein gumrah mat samjho,ibadat kab badalti hai

purane zakham ko arshad bhula dena hi acha
na chahey aap hi koi to kismat kab badalti hai

Mana K Mohabbat Bhari Nazar Dil Par Gehra Asar Karti Hai


~*~Mana K Mohabbat Bhari Nazar Dil Par Gehra Asar Karti Hai~*~
~*~Usay Pyaar Se Dekh Ker Us Par Koi Jaadoo Kyun Karoon~*~

~*~Mere Liye Ye Mumkin Nahi K Main Tera Banjaoun Kabhi~*~
~*~Lekin Main Tujhse Mohabbat Ka Izhaar Kyun Karoon~*~

~*~Itna Dukhaaya Dil Ko Tunay Mere, Itna Rulaaya Hai Mujhe~*~
~*~Sub Kuch Sahoon Phir Bhi Tujhse Bay Intiha Pyaar Kyun Karoon~*~

Pyar Heyrat Hey Jisey Koi Chupa Bhi Na Sakey


Pyar Heyrat Hey Jisey Koi Chupa Bhi Na Sakey
Pyar Dolat Hey Jisey Koi Chura Bhi Na Sakey
Pyar Afat Hey Jisey Koi Bhula Bhi Na Sakey
Pyar Naghma Hey Jisey Koi Ga Bhi Na Sakey
Pyar Nalah Hey Jisey Koi Daba Bhi Na Sakey
Pyar Shikwa Hey Keh Honton Peh Jo Aa Bhi Na Sakey
Pyar Qisa Hey Jisey Koi Suna Bhi Na Sakey
Pyar Qarza Hey Jisey Koi Chuka Bhi Na Sakey
Pyar Fitna Hey Jisey Koi Sula Bhi Na Sakey
Pyar Kitna Hey Koi Itna Bata Bhi Na Sakey
Pyar Tamgha Hey Jisey Koi Saja Bhi Na Sakey
Pyar Wadah Hey Jisey Koi Nibha Bhi Na Sakey
Pyar Dhoka Hey Koi Khaye To Kha Bhi Na Sakey
Pyar Pardah Hey Jisey Koi Hata Bhi Na Sakey
Pyar Hey Naaz Jisey Koi Utha Bhi Na Sakey
Pyar Shola Hey Jisey Koi Bujha Bhi Na Sakey
Pyar Ki Aanch Sey Dil Koi Bacha Bhi Na Sakey
Pyar Basti Hey Jisey Koi Basa Bhi Na Sakey
Pyar Taqat Hey Jisey Koi Hara Bhi Na Sakey
Pyar Shokhi Hey Jisey Koi Rula Bhi Na Sakey
Pyar Tootey To Koi Us Ko Bana Bhi Na Sakey
Pyar Roothey To Koi Us Ko Mana Bhi Na Sakey

Tum Kiya Jaano Main Khuda Se Kiya Maangti Hoon


Tum Kiya Jaano Main Khuda Se Kiya Maangti Hoon ?
Tumhari Salam-ti Ki Hamesha Duaa Mangti Hoon

Agar Anjaane Main Ho Jaaye Koi Tumse khata
Tou Do Mujhe Uski Saza Yeh Maangti Hoon

Agar Lag Jaaye Koi Chot Tumko Ya Ho Jaao Tum Pareshaan
Tou Meray Haq Main Wo Saari Takleefein Maangti hoon

AeY KHUDA Meray Mehboob Ko Gham Se Door Rakhna
Din Raat Tumhaaray Saaray Gham Maangti Hoon

Tum Ho Hamesha Kaamyaab Tumhaari Her Khwaahish Ho Poori
Buss Ye Chaahti Hoon Aur Tumhari Khushi Maangti Hoon

Main Jaanti Hoon Ke Tum Merey Nahin Ho Lekin
Main Hamesha Khuda Se Tumhaara Saath Maangti Hoon

Yeh jo mai kerta hoon sab dil ki baatein hain


Yeh jo mai kerta hoon sab dil ki baatein hain
Duniya walay kahan kissi ko kuch sikhatay hain
Aap nay piar ko ik chota sa khel samajh liya
Iss ki kia ahmiat hai, aa-yay hum aap ko batatay hain
Aqel mandoon ki yeh basti bohat bari hai janan
Iss main ser-e-raah pather khanay walay qais kehlatay hain
Hum to aap ki gali mai he maut kay khuwa-haan hain
Werna woh rung-o-noor ki mehfilain, woh yaar dost aaj tak hamain bulatay hain
Aap kay sung jo waqt guzray woh bohat acha hai
Werna hum to apnay pehloo main chand ko sulatay hain
Kash kay aap ki hasti ka yeh noor meray ghar ki roshni kehlaye
Hum iss soch mai saara din khud ko jalatay hain

kabhi jo sookhe phool choomo gi to yaad aaon ga


kabhi jo sookhe phool choomo gi to yad aaon ga
bikhri hui choorian ko uthao gi to yad aaon ga

ab to yeh aansoo chura leta hoon palkon se
sham e tanhai main unhe khud pohcho gi to yad aaon ga

kahain mosam aain ge aur aa ker guzar jain ge
barish main jo kabhi beegho gi to yad aaon ga

kabhi jo ser e sham se dariya ke kinare
kissi ajnabi ko dekho gi to yad aaon ga

tu mere aankhon ke tewer bhulla na pao gi
un kahi baton ko samjho gi to yad aaon ga

is andaz mian andaz hota tha mukhatib tum se
khat jo kisi aur ko likho gi to yad aaon ga

kis qadar kam barhdayti hayn yadayn tumhari


kis qadar kam barhdayti hayn yadayn tumhari
nend ankhon say ura dayti hayn yadayn tumhari
maynay chaha jisko usko malom bi nahi
mujko aur bi dewana bana dayti hayn yadayn tumhari
mayn daykhti hon ager rat k andhayray mayn
hosla aur barha dayti hayn yadayn tumhari
jub uthati hon nigahayn kisi aur chehray ki taraf
dil mayn ik tofan utha dayti hayn yadayn tumhari
jub bi dil mayn hota hai guma tumhari rafaqat ka
faslay aur barha dayti hayn yadayn tumhari

Aai meri hayaat meray sath kiya ho gaya


Aai meri hayaat meray sath kiya ho gaya
raat Aa gaye ser per chand kahein kho gaya

akailay kharay hain kathun rahoon mein
meray dil meri manzil ka nishan kahaan kho gaya

haath kholay lambi musafat k baad
meri jaan mera sab kahain kho gaya

mein hon raat hai meri tanhaye hai
Ai meri zaat meri taqdeer ka acha kahain kho gaya

bharkaain meri piyaas ko aksar teri aankhain


bharkaain meri piyaas ko aksar teri aankhain
sehra mera chehra hai samandar teri aankhain
phir kon bhala daad-e-tabussam unhain day ga
roain gi bohot mujh say bicher ker teri aankhain
bojhal nazar aati hain bazahir mujhay lakin
khulti hain bohot dil main uttar ker teri aankhain
ab tak meri yaadoon say mitaaye nahi mitta
bheegi huwi ik shaam ka manzar teri aankhain
mumkin ho to ik taza ghazal or bhi keh loon
phir orrh na lain khawaab ki chadar teri aankhain
yaan daikhtay rehna ussay acha nahi muhsin
wo kaanch ka paikar hai to putthar teri aankhain

Shairy Sach Bolti Hai


Shairy Sach Bolti Hai
Lakh Pardon Mein Rahon Bhaid Mere kholti Hai
Shairy Sach Bolti Hai
Mein Ne dekha Hai Jab Meri Zuban Dolti Hai
Shairy Sach Bolti Hai

Tera Israr Ke Chahat Meri Betaab Na Ho
Waqif Is Gham Se Mera Halka-e-Ahbaab Na Ho
Tu Mujhay Zabt Ke Sehraon Mein Kiun Rolti Hai
Shairy Sach Bolti Hai

Yah bhi Kia baat Ke Aik Chup Chup Ke Tujhay Piyar Karon
Gar Koi pooch Hi Bethay To Mein Inkar Karon
Jab Kissi Ki baat Ko Duniya Ki Nazar Tolti Hai
Shairy Sach Bolti Hai

Mein Ne Is Fikar Mein Katti Kai Raatein Kai Din
Meri Shairy Mein Tera naam Na Aay Lakin
Jab Teri Sans Meri Sans Mein Ras Gholti Hai
Shairy Sach Bolti Hai

Kyun udhas phirte ho Sardiyoon ke samhoon mein


Kyun udhas phirte ho
Sardiyoon ke samhoon mein

Iss tarhan to hota hai
Iss tarhan ke kamoon mein

Sara din akele mein
Raat bhar khaiyaloon mein

Iss tarhan to hota hai
Iss tarhan ke kamoon mein



Chup se ho gaiye ho tum
Baat kyun nahi karte

Choti choti baaton pe
Jeete-e-jee nahi marte

Haath kaley karte ho
Naam likh kar haathon mein

Iss tarhan to hota hai
Iss tarhan ke kamoon mein

Sara din akele mein
Raat bhar khaiyaloon mein

Iss tarhan to hota hai
Iss tarhan ke kamoon mein



Nazam jo sunani thi
Nazam woh suna di hai

Baat samjhani thi
Baat samjha di hai

Waqt ho gaya apna
Phir milein ge khuwaboon mein....

Kyun udhas phirte ho
Sardiyoon ke samhoon mein

Iss tarhan to hota hai
Iss tarhan ke kamoon mein

Sara din akele mein
Raat bhar khaiyaloon mein

Iss tarhan to hota hai
Iss tarhan ke kamoon mein

kesey lafaaz main kehdoon ye muqadar kia hai


kesey lafaaz main kehdoon ye muqadar kia hai
itna gehra hai mera zakham samandar kia hai

mere ashkoon se rawaan hoti hai hasrat meri
toot jaaogey jo dekho gey ye manzar kia hai

zindagi rooz naye gham ko jila deti hai
meri bardashat ke agey koi pathar kia hai

in andheroon main dikhaunga mai rasta kis ko
khud bhatakta ho jo manzil ko wo rahbar kia hai

youn to kehne ko thikana bhi hai mera lakin
jis main maatam ho subo shaam to wo ghar kia hai

kiya main ghabraunga gham se ke main kamzor nahi
maut ka khouf nahi jisko usey dar kia hai

Khamoosh neeghaoon mein aa kar tham sa gaya hai woh


Khamoosh neeghaoon mein aa kar tham sa gaya hai woh
Tufaaa jo kabi apnay utao ocharhoo may tha


Sokoot sa cha gaya ha raah pey aaney kay baad
Nasha woh kuch kam na tha jo bahoo may tha


Kis qadr aah bartey thay us dard ko jhelney may
kiya haseen maaza magar uss ghahoo may tha


humain kya khabar thi doobna hamara muqadar hey
garcha kay iq soorak tu apni hi naaoo may tha


bari hi saadgi sey bayan kartey thay woh haal apna
kamal kuch aisa un kay rak rakhoo may tha


zahain kay khoobsuraat darichoo may aab bhi pinha ha
dil kash andaz-e- bayaa aa JANAA jo teray batoon may tha 

Kiya likhoon, kuch likh na sakhoon Tere kabil kiya hai aisa


Kiya likhoon, kuch likh na sakhoon
Tere kabil kiya hai aisa
Jo mein teri nazar karoon
Le kar duniya ke sab rang
Un mein tere rang baroon
Door ufaq ke paar kahein
Har soo tera naam likhoon
Chanda,Suraj,Sona,Chandi
Tere agey Daan karoon
Apne dil ka haal mein tujh se
Kehne ko hi Sher likhoon!
Tujh sa koi hai our na ho ga
Har ik se mein yehi kehta pirrooon

ajab aik manchali khawhish samandar per ksi k sath chalnay ki


ajab aik manchali khawhish
samandar per ksi k sath chalnay ki
hawaoon main kisi k sath urnay ,raqs karnay ki
ajab aik sar-phiri khawhish
gharonday khud bana k in main us k sath rehnay ki
udas chandni raaton main dil ki baat kahnay ki
ajab aik sard si khawhish
duniya k tammam rishtay natay tor denay ki
usi ki zaat say wabasta har aiik sans lenay ki
ajab aik dard si khawhish
gunwa k apni khuddari,ana,or har tareqay ko
usay apna bananay ki,jabeen apni jhukanay ki
per in sab khawhishon ka aik markaz khas hai jana
tumahri zaat hai jana
tumhara sath hai jana

Meri dastan-e-hasrat wo suna suna ke roay


Meri dastan-e-hasrat wo suna suna ke roay,
meray azmanay walay mujhay azmakey roay,

Koi aisa ehlay dil ho, ke fasana-e-mohabbat,
mein ussay suna ke rahun, wo mujhay suna ke rahay,

Meri arzo ke duniya dil-e-natwaan kee hasrat,
jissay khokay shadma thay ussay aj paa ker roay,

Terry bewafaion per terry kaj adaiyon per,
kabhee sir jhuka ker roay, kabhee mun chupa ker roay,

Jo sunaee anjuman ne shab-e-gham kee ap beetee,
kaee ro ke muskerae, kaee muskera ker roay.

har koi dil ki hatheli pe hay sehra rakhay


har koi dil ki hatheli pe hay sehra rakhay
kis ko serab karay vo kisay piyasa rakhay

umar bhar kon nabhata hay taluq itna
aey mayri jan ke dushman tujay ALLAH rakhay

hum ko acha nahen lagta koi hum naam tera
koi tuj sa ho to naam be tuj sa rakhay

dil be pagal hay ke es shakhs se vabasta hay
kisi aur ka honay de na apna rakhay

hans na itna be faqeroon ke akelay pan per
ja khuda mayri tara tuj ko be tanha rakhay

ye kanaat hay, ataat hay, ke chahat hay faraz
hum to razi hain wo jis hal main jaysa rakhay

yun to ghuzar reha hai har pal khushi ke sath


yun to ghuzar reha hai har pal khushi ke sath
phir bhi koi kami si hai kiyon zindagi ke sath

rishte,wafain,dosti sab kuch to paas hai
kia baat hai pata nahin dil kiyon udaas hai

har lamha hai haseen nayi dilkashi ke sath
phir bhi koi kami si hai kiyon zindagi ke sath

chahat bhi hai,sakoon bhi hai,dilbari bhi hai
ankhon mein khawab bhi hain labhon pe hassi bhi hai

dil ko nahin hai koi shakayat kissi ke sath
phir bhi koi kami si kiyon hai zindagi ke sath

socha tha jaisa waisa hi jeevan to hai magar
abh aur kiss talash mein bechain hai nazar

kudrat ki to meharbani hai daria dili ke sath
phir bhi koi kami si kiyon hai zindagi ke sath

Hamri Ana ko Gawara na tha ke mohabat mang kar lete


Hamri Ana ko Gawara na tha ke mohabat mang kar lete
Aur un main itna zarf na tha ke bin mange luta detey.

Aik muddat tak as dil ki Beqarariyan na gaein
Har Roz tuje khat lekhte aur har Roz jala detey

Khud ko teri mohabat ke qabil hi na samjha warna
Tot ke tuje aisa chahte ke khud ko bhula detey

kabhi Azma kar dekha hota ke teri khawshon ki khatir
Tere kadmon main bekhar jate teri Rahon ko saja detey

Mojza dekh meri mohabat ka ke tuje to Asman kar dia
Aur khud Reh gaye teri galiyon main mohabat ki sada detey

Becharna hi tha to Hijar ke Taqaze to nebhaye hote
main tum ko bhola deta tum mujko bhula detey

Apne Dard ki Tashaheir Hamein gawara na thi
warna Dohai aesi detey ke Zamane ko Rula detey

Wafa k raaste se kion , chala gaya Chup Chaaap


Wafa k raaste se kion , chala gaya Chup Chaaap...,
Main us ko dhoondti rahi, woh kho gaya Chup Chaaap.....

Meri umeed ka diya, dil k aangan mai tha roshan,
Ye kaisi aandhi hai aaye, woh bujh gaya Chup Chaaap.....

Ab Kis Ko Ham Dosh Dain , ApnI Barbaadi KAaa..
Jab Meri Sahar ka Sooraj , Chup gaya Chup Chaaap.....


Jis ki Chahat se khilay , mere Chaman k PhooL..
Isi Chaman ko woh , Aaag laga gaya Chup Chaaap.....

Khud se ziada jin pe, Bharosa tha BatooL,
Bewafaaaye ne Unki , ruladiyaa Chup Chaaap.....

Khizayein sath sath kati hien jab humnay


Khizayein sath sath kati hien jab humnay,
Akaila kis tarah chor doon bahar mein.

Kaheen janay ko jee naheen chahta,
Kese bandha hai tunay apnay hisar mein.

Tum apna naam is dil pe likh du tu,
Zindagi kat jaye ge tere intizaar mein.

Kis tarah karoon mein iqrar-e-wafa tumse,
jab yeh hota he naheen mere ashar mein.

log kehte hein mujhe, bhool jaoon tumhein,
kese samjhaoon! yeh naheen ikhtiar mein.

Yunhi tu naheen dil haray hum janaa
Kuch na kuch tu rakha hai is piar mein.

Meri zindgi ik khwab hai Ik dilkash sa khwab hai


Meri zindgi ik khwab hai
Ik dilkash sa khwab hai

Meri her ada main ghroor hai
Ik ajeeb sa saroor hai

Main ik unchooi kitab hoon
Khwahishon ka azab hoon

Kabhee piyar ka guman hoon
Kabhee nafrton ka nishan hoon

Hai man main meray chah bohat
Aur karna chahon wafa bohat

Par man mera hai ujra hooa
Musafir hoon khude say bichra hooa

Jisay socha thaa kabhee piyar karoon
Apni chahton main shumaar karoon

Uss nain aisa man mara
Main piyar aitbaar sab hara

Raton ko main jagta hoon
Khude ko khude main khojta hoon

Log kya khoob wafaoon ka silla detey hein


Log kya khoob wafaoon ka silla detey hein
Har ek moor per zakham niya detey hein

Tum sey tu khair ghari bhar ki mulaqat rahi
Log sadiyoon ki rafaqat ko bhula detey hein

Kaisey mumkin hai dhuaan bhi na ho aur dil bhi jaley
Chot perti hai tu pather bhi sada detey hein

Kaun hota hai museebat mein kissi ka ai dost!
Aag lagti hai tu patey bhi hawa detey hein

Jin pey hota hai buhat dil ko bharossa
Waqat perney per wohi log daga detey hein.

Hosh waloon ko khabar kiya bekhudi kiya cheez hai


Hosh waloon ko khabar kiya bekhudi kiya cheez hai
Ishq kyjee pheer samajyee zindigii kiya cheez hai

Un sai nazreen kiya miliin roshan fizayeen hoo gayeen
Ajj janaa pyar ki jadugarii kiya cheez hai
Ishq kyjee pheer samajyee zindigii kiya cheez hai

Khultii zulfoon nai sikhaii mousamoon ko shayree
Juktii ankhoon nai batayaa mahkashi kiya cheez hai
Ishq kyjee pheer samajyeee zindigii kiya cheez hai

Hum laboon sai kah na payee un sai haal e dil khabi
Or woo samjay nahi kai khamoshi kiya cheez hai
Ishq kyjee pheer samajyee zindagii kiya cheez hai

har tarannum mein mili hai terii awaz mujhe


har tarannum mein mili hai terii awaz mujhe
ek hii nagmaa sunaataa hai har ek saaz mujhe

ishq kaa bhi koi anjaam huaa karataa hai
ishq mein yaad hai aagaaz hii aagaaz mujhe

jaise wiraane se takaraa ke palatatii hai sadaa
dil ke har goshe se aaii teri awaz mujhe

jo kisi ko bhi na chaahe use chahana
umr bhar apani muhabbat par rahaa naaz mujhe

soch k sahrao me khara hoon main


soch k sahrao me khara hoon main
hath philaey terey intazar me khara hoon main

merey lafzo ki aah ko tu samaj na saki
kali rato me aag me khara hoon main

dil toot kar raiza raiza ho gia he
dil ka dard liey wirano me khara hoon main

khuda k liye koe us se mila de mujey
apney hi anso me doob mara hoon main

koe to merey khabo ko tabeer de
toot na jaey isi liye ankhey band kiey para hoon main

kabi palat ke ik bar dekhna zindagi me
ha aj b unhi raho pe akaila khara hoon main

Sirf Itni See Iltija Hai Mairi K


Sirf Itni See Iltija Hai Mairi K..
Mujay Apni Muhabbat Ki Aghoosh Main Na Loo
Agar Khoo Gaya Main Iss Aghoosh Main
To Na Nikal Paoonga Iss Say Main
Mairi Iss Weraan Duna Ko Tum Khaseen Na Banaoo
Kuch B Acha Muj Ko Raas Nahi Hai Aata
To Tum Mairy Iss Weeran Duniya Ko
Oor Weeran Na Banaoo
Yeh Weeran Zindagi To Main Guzaar Hee Raha Hoon
Oor Guzaarta Hee Rahoon Ga
Laikin Tumhari Ata Ki Hui Weeran Zindagi
Main Na Guzaar Paoon Ga
Tum Bin To Main Zaroor Mar Jaoon Ga
To Iss Zinda Laash Ko Tum
Sirf Laash Na Banaoo
Sirf Itni See Iltijaa Hai Mairy K
Mujay Apni Muhabbat Ki Aghoosh Main Na Loo

Kia Piyaar Issi Ko Kahtay Hain


Kia Piyaar Issi Ko Kahtay Hain..................
Her waqat aati hai yaad usi ki...
Acah lagta hai bister pay laitay
raat ko gantoo ussi ki hi yaad aana oor
ussi k khialaat aana..
Kia Piyaar Issi Ko Kahtay Hain..................

Kia Piyaar Issi Ko Kahtay Hain..................
Nahi acha lagta kisi say baat karna..
jab hoota hoon main saath uss k khialoon mian..
Na bookh lagay na hi kisi kaam main man lagay.
bas usii say bat karnay ko man karay..
Kia Piyaar Issi Ko Kahtay Hain..................

Kia Piyaar Issi Ko Kahtay Hain..................
Jab hoti hai subah parinday chehchahatay hain
mairi aankhoon main hoota hain ussi ka chehra
oor soochta hoon k aaj uss say kia kia baatain karoon ga
jab aati hai woo samnay to dil ki darknoo ki raftaar
bar jati hai oor sab bhool jata hoon jaisay
kuch soocha hi nahi tha k uss say kuch kahna hai..
Kia Piyaar Issi Ko Kahtay Hain................

Zakham seenay ki baat karo saath jeenay ki baat karo


Zakham seenay ki baat karo saath jeenay ki baat karo
tamam shab tasnagi main basar ki aab tou peenay ki baat karo

dil tak utrnay ke ham nahi hain kaail
tum rooh tak utrnay ki baat karo

ansoo ban kar girnay se kia faida
khawab ban kar basnay ki baat karo

paa gai ho agar tum raza hayat
yu iss qatray se samandar ki baat karo

tarikion main doob kar aiy aihlay wafaon
charagay laho se ojaloon ki baat karo

qafas ka panchi bana hamain gawara nahi
aoo in khuli fizaon ki baat karo

walion se aiy bilal hamain nahi ikhtilaf
par koi tou mansoor si baat karo

wo sazaa yaad aaye bhulaane ke baad


wo sazaa yaad aaye bhulaane ke baad
zindagii barh gai zehar khaane ke baad

dil sulagataa rahaa aashiyaane ke baad
aag ThanDii howi ik zamaane ke baad

roshani ke liye ghar jalaanaa para
kaisi zulmat barhi tere jaane ke baad

jab na kuchh ban para gham kaa jawaab
wo Khafaa ho gaye muskuraane ke baad

kaise kaise gile yaad aaye hum ko
un ke aane se qabl un ke jaane ke baad

Popular Posts