Sunday, March 7, 2010

Tum Ko Hum Dil Mein Basa Lein Gey Tum Aao To Sahi

Tum Ko Hum Dil Mein Basa Lein Gey Tum Aao To Sahi
Saari Duniya Say Chupa Lein Gey, Tum Aao To Sahi

Ekk Waada Karo, Abb Hum Say Na Bichrro Gey Kabhi
Naaz Hum Saarey Uttha Lein Gey Tum Aao To Sahi

Ikhtelafaat Bhi Mitt Jaayein Gey Rafta-Rafta
Jiss Tarha Hoga Nibha Lein Gey, Tum Aao To Sahi

Be-wafa Bhi Ho, Sitamgar Bhi, Jafa-peisha Bhi
Hum Khuda Tum Ko Bana Lein Gey, Tum Aao To Sahi

Yoon To Har Simt, Nazar Utth-ti Hai Tareeki Hai
Pyar Ke Deep Jala Lein Gey, Tum Aao To Sahi

Dil Ke Veeraano Say Ghabra Ke Na Moonh Ko Morro
Bazm Ye Phir Say Saja Lein Gey.. Tum Aao To Sahi !!!

Ye sunsaan ratein ,ye thandi hawaein

Ye sunsaan ratein ,ye thandi hawaein,ye pheli hui teri yadon ki khushbu

Ye chup chaap se pair,ye gham ke saaye,ye dil ki kasak,ye ulfat ka jadoo

Ye sab jaagte hain

ye sab sochte hain

ye sab karwatein le k hain aah bharte

Nayi manzilon se ,naye raaston se ,naye mor se sab k sab hain guzarte

Her ek mor per jaise koi khada ho,isharon isharon mein kuch ke raha ho

Samajh mein na aaye koi baat us ki

mager

jaise chasma sa ek bah raha ho

Koi jaise meethe madhur geet k bole madham suron mein un hi gungunaye

Koi jaise tufaan dabaye ho dil mein

kisi se mager phir bhi kuch keh na paye

Kuch alfaaz aise jo yun daikhne mein purane se hain aur kitne hi insaan

Un hi k sahare se kehte rahe hain

Dilon ki muradein

Dilon k armaan

Ye Armaan ,ye Aaarzoein hamari

Ye kuch kumhlate hue phool jaise

Jagayein jinhen aa k jhonke hawa k ,jinhein gud guda jayen aa aa k bhanware

Khizaaon ki hawaon k chalne se pehle

Tapakte hue phool k rass mein goya

koi geet sa bun liya hai baharon ne

Gaate hain ab bhi jaise baagh-o-sahra

Jo kunj-E-mohabbat mein pairon ki chanti hui chandni ki zaban se hai kehta

Kaho aaj ki raat kaisi guzaari...??

Koi aaj ki raat milne bhi aaya.....??


*****************

Yahin ki thee muhabbat ke sabaq ki ibteda meine

Yahin ki thee muhabbat ke sabaq ki ibteda meine

Yahin ki jurrat-e-izhar-e-harfe-mudduaa meine

Yahin dekhe thay ishw-e-nazon andaaz-e-haya meine

Yahin pahle suni thee del dharkane ki sadaa meine

Yahin kheto mein pani ke kinare yaad hai ab bhi

Dilon mein izdaham-e-aarzoo lab band rahate thay

Nazar se guftugu hoti thee dum ulfat ka bharate thay

Na mathay par shikan hoti, na jab tevar badalate thay

Khuda bhi bhee muskura deta thaa jab hum pyar karate thay

Yahin kheto mein pani ke kinare yaad hai ab bhi

Woh kya aata ke goya daur mein jaam-e-sharab aata

Woh kya aata rangilee ragani rangin rabab aata

Mujhe ranginiyon mein rangane woh rangin sahab aata

Labon ki may pilane jhumata mast-e-shabab aata

Yahin kheto mein pani ke kinaro yaad hai ab bhi

Haya ke bojh se jab har qadam par laghzishen hoti

Fazan mein muntashar rangin badan ki larzishen hoti

Rabab-e-dil ke taron mein musalsil jumbishen hoti

Khifa-e-raaz ki purlutf baham koshishen hoti

Yahin kheo mein pani ke kinare yaad hai ab bhi

Bah jate thay baithe ishq ke zarri safinay mein

Tamannaon ka tufan karawaten leta tha seene mein

Jo chhu leta tha maine usko woh naha jata pasine mein

May-e-do aatisha ke se mazey aate thay jeene mein

Yahin kheto mein pani ke kinare yaad hai ab bhi

Bala-e-fikre farda hamse koson door hoti thee

Surur-e-sarmadi se zindagi mamur hoti thee

Hamari khilwat-e-masoom rashke toor hoti thee

Mulik jhula jhulate thay ghazal-khwan hoor hoti thee

Yahin kheto mein pani ke kinare yaad hai ab bhi

Na ab woh khet baqi hain na woh aab-e-rawan baqi

Magar us aish-e-rafata ka hai ik dhundhla nishan baaqi

Duniya Ko Mairey Dil Say Shikayaat Ajab Hain

Duniya Ko Mairey Dil Say Shikayaat Ajab Hain
Main Kaisey Kahoon Ke Mairey Haalaat Ajab Hain

Main To Wohi Keh Raha Hoon Jo Beet Raha Hai
Log Kehtey Hain Ke Khayalaat Ajab Hain

Abb Ke Koi Ehsaas Bhi Nahin Honey Deta
Abb Ke To Terey Gham Ke Kamalaat Ajab Hain

Abb To Hai Jung Ki Sab Tayyari Mukamal
Per Mad-e-Muqaabil Ke Bayanaat Ajab Hain

Mashkook Si Khamoshi Hai Be-chain Labon Per
Masoom Sii Aankhon Mein Sawalaat Ajab Hain !

Jo pehle din hi se dil ka kaha na karte ham

Jo pehle din hi se dil ka kaha na karte ham
To ab ye logoN ki baatein suna na karte ham

Agar na haath mein us dilruba k dil dete
To dil pe haath sada dhar lia na karte ham

Us aafat-e-dil o jaaN par agar na mar jaate
To apne marne ki har dam dua na karte ham

Na karte us ki, ba-rang-e-hina, jo paa-bosi
To shakl-e-barg-e-hina yuN pisa na karte ham

Agar na haNsna haNsaana kisi ka bhaa jaata
To baat baat pe yuN ro dia na karte ham

Agar na dekhte wo pyaari pyaari surat, aah!
To eik eik k muNh ko taka na karte ham

Jo gham butoN ka na hota teri tarah 
To dekh charkh ko, " hai hai khuda! " na karte ham

Popular Posts