Tuesday, May 11, 2010

gazab kiya, tere vade pe aitabar kiya

gazab kiya, tere vade pe aitabar kiya 
tamam rat qayamat ka intezar kiya 

hansa hansa k shab-e-vasl ashk-bar kiya 
tasalliyan mujhe de-de k beqarar kiya 

ham aise mahv-e-nazara na the jo hosh ata 
magar tumhare tagaful ne hoshiyar kiya 

fasana-e-shab-e-gam un ko ek kahani thi 
kuch aitabar kiya aur kuch na-aitabar kiya 

ye kisne jalva hamare sar-e-mazar kiya 
k dil se shor utha, hae! beqarar kiya 

tarap phir ai dil-e-nadan, k gair kahte hain 
akhir kuch na bani, sabr ikhtiyar kiya 

bhula bhula k jataya hai unko raz-e-nihan 
chipa chipa k mohabbat ko ashkar kiya 

tumhen to vada-e-didar ham se karna tha 
ye kya kiya k jahan ko ummidavar kiya 

ye dil ko tab kahan hai k ho malandesh 
unhone vada kiya ham ne aitabar kiya 

na puch dil ki haqiqat magar ye kahte hain 
vo beqarar rahe jisne beqarar kiya 

kuch age davar-e-mahashar se hai ummid mujhe 
kuch ap ne mere kahne ka aitabar kiya

gam se kahin najat mile chain payen ham


gam se kahin najat mile chain payen ham 
dil khun main nahae to ganga nahayen ham 

jannat main jayen ham k jahannum main jayen ham 
mil jae tu kahin na kahin tujh ko payen ham 

mumkin hai ye k vade pe apne vo a bhi jae 
mushkil ye hai k ap main us vaqt ayen ham 

naraz ho Khuda to karen bandagi se khush 
mashuq ruth jae to kyon kar manayen ham 

sar doston k kat kar rakhe hain samane 
gairon se puchte hain qasam kis ki khayen ham 

saunpa tumhen Khuda ko chale ham to namurad 
kuch parh k bakhshna jo kabhi yad ayen ham 

ye jan tum na loge agar ap jayegi 
is bevafa ki khair kahan tak manayen ham

ham-saye jagate rahe nalon se rat bhar 
soye huye nasib ko kyon kar jagayen ham 

tu bhulane ki chiz nahin khub yad rakh 
ai "Dag" kis tarah tujhe dil se bhulayen ham

dil ko kya ho gaya Khuda jane

dil ko kya ho gaya Khuda jane 
kyon hai aisa udas kya jane 

kah diya main ne hal-e-dil apna 
is ko tum jano ya Khuda jane 

jante jante hi janega 
mujh main kya hai abhi wo kya jane 

tum na paoge sada dil mujh sa 
jo tagaful ko bhoi haya jane

dil gaya tum ne liya ham kya karen

dil gaya tum ne liya ham kya karen 
janevali chiz ka gam kya karen 

pure honge apne arman kis tarah 
shauq behad waqt hai kam kya karen 

baksh den pyar ki gustakhiyan 
dil hi qabu main nahin, ham kya karen 

tund khu hai kab sune vo dil ki bat 
aur bhi baraham ko baraham kya karen 

ek sagar par hai apni zindagi 
rafta rafta is se bhi kam kya karen 

kar chuke sab apni-apni hikmaten 
dam nikalta hai ai mere hamadam kya karen 

dil ne sikha sheva-e-beganagi 
aise namuharim ko muharim kya karen 

mamala hai aj husn-o-ishq ka 
dekhiye vo kya karen ham kya karen 

kah rahe hain ahal-e-sifarish mujhse "Dag" 
teri qismat hai buri ham kya karen

darte hain chashm-o-zulf, nigah-o-ada se ham

darte hain chashm-o-zulf, nigah-o-ada se ham 
har dam panah mangte hain har bala se ham 

mashuq jaye hur mile, may bajaye ab 
mahshar main do saval karenge Khuda se ham 

go hal-e-dil chupate hain par is ko kya karen 
ate hain khud khud nazar ik mubtala se ham 

dekhen to pahle kaun mite uski rah main 
baithe hain shart bandh k har naqsh-e-pa se ham

butan-e-mahvash ujri hui manzil main rahte hain

butan-e-mahvash ujri hui manzil main rahte hain 
k jis ki jan jati hai usi k dil main rahte hain 

hazaron hasraten vo hain k rok se nahin ruktin 
bahot arman aise hain k dil k dil main rahte hain 

Khuda rakhe muhabbat k liye abad donon ghar 
main un k dil main rahta hun vo mere dil main rahte hain 

zamin par panv nakhvat se nahin rakhte pari-paikar 
ye goya is makan ki dusari manzil main rahte hain 

koi nam-o-nishan puche to ai qasid bata dena 
takhallus "Dag" hai aur ashiqon k dil main rahte hain

ajab apna hal hota jo visal-e-yar hota

ajab apna hal hota jo visal-e-yar hota 
kabhi jan sadqe hoti kabhi dil nisar hota 

na maza hai dushmani main na hai lutf dosti main 
koi gair gair hota koi yar yar hota 

ye maza tha dillagi ka k barabar ag lagti 
na tumhen qarar hota na hamain qarar hota 

tere wade par sitamagar abhi aur sabr karte 
agar apni zindagi ka hamain aitabar hota

arazu hai vafa kare koi

arazu hai vafa kare koi 
ji na chahe to kya kare koi 

gar marz ho dava kare koi 
marne vale ka kya kare koi 

koste hain jale hue kya kya 
apne haq main dua kare koi 

un se sab apni apni kahte hain 
mera matalab ada kare koi

tum sarapa ho surat-e-tasvir 
tum se phir bat kya kare koi 

jis main lakhon baras ki huren hon 
aisi jannat ko kya kare koi

afat ki shokhiyan hain tumhari nigah main

afat ki shokhiyan hain tumhari nigah main 
mehshar k fitne khelte hain jalwa-gah main 

wo dushmani se dekhte hain dekhte to hain 
main shad hun k hun to kisi ki nigah main 

ati bat bat mujhe yad bar bar 
kahata hun daur daur k qasid se rah main 

is taubah par hai naz mujhe zahid is qadar 
jo tut kar sharik hun hal-e-tabah main 

mushtaq is ada k bahot dard-mand the 
ae Dag tum to baith gaye ek ah main

dard-e-dil pas-e-vafa jazba-e-iman hona

dard-e-dil pas-e-vafa jazba-e-iman hona
adamiyat yahi hai aur yahi insan hoa 

nau-giraftar-e-bala tarz-e-fugan kya janen 
koi nashad sikha de inhen nalan hona 

rah ke duniya men yun tark-e-havas ki koshish 
jis tarah apne hi saye se gurezan hona 

zindagi kya hai anasir main zahur-e-tartib 
maut kya hai inhin ijza ka pareshan hona 

dil asiri main bhi azad hai azadon ka 
valvalon ke liye mumkin nahin zinda hona 

gul ko pamal na kar lal-o-gauhar k malik 
hai ise turah-e-dastar-e-gariban hona 

hai mera zabt-e-junun josh-e-junun se bharkar 
nang hai mere liye chak gareban hona

sarfaroshi ki tamana ab hamare dil main hai


sarfaroshi ki tamana ab hamare dil main hai
dekhna hai zor kitna bazu-e-qatil main hai

karta nahi kyon dusara kuch bat-chit
dekhata hun main jise vo chup teri mahfil main hai

ai shahid-e-mulk-o-millat main tere upar nisar
ab teri himat ka charcha gair ki mahfil main hai

vaqt ane de bata denge tujhe ai asman 
ham abhi se kya batayen kya hamare dil main hai

khinch kar lai hain sab ko qatl hone ki ummid
ashiqon ka aj jamghat kucha-e-qatil main hai

Dil pe karte hain dimagon pe asar karte hain

Dil pe karte hain dimagon pe asar karte hain 
ham ajab log hain zehnon main safar karte hain 

jab sarape pe kahin us ke nazar karte hain 
mir sahab ki tarah umr basar karte hain 

bandishen ham ko kisi hal gavara hi nahin 
ham to vo log hain divar ko dar karte hain 

vaqt ki tez-kharami hamain kya rokegi 
janbish-e-kalk se sadiyon ka safar karte hain 

naqsh-e-pa apana kahin rah main hota hi nahin 
sar se karte hain mohim jab koi sar karte hain 

ham-nashin khub hai ye mahafil-e-yaran ke yahan 
vo saliqa hai ke aibon ko hunar karte hain 

kya kahen hal tera ai mutamaddin duniya 
janvar bhi nahin karte jo bashar karte hain 

ham ko dushman ki bhi taqlif gavara na hui 
log ehbab se bhi sarf-e-nazar karte hain 

marqadon pe to charagan hai shab-o-roz magar 
umr kuchh log andheron main basar karte hain 

tazakara mir ka Galib ki zaban tak aya 
aitaraf-e-hunar, arbab-e-hunar karte hain

zindagi k mele main




zindagi k mele main
khvahishon k rele main 
tum se kya kahen jana
is qadar jhamele main
vaqt ki ravani hai
bakht ki girani hai 
sakht bezamini hai 
sakht lamakani hai 
hijr k samandar main
takht aur takhte ki
ek hi kahani hai
tum ko jo sunani hai

bat go zara si hai
bat umr bhar ki hai
umr bhar ki baten kab
do ghari main hoti hain
dard k samandar main
anginat jaziren hain
beshumar moti hain
ankh k dariche main 
tum ne jo sajaya tha
bat us diye ki hai
bat us gile ki hai
jo lahu ki khilvat main
chor ban k ata hai
lafz k fasilon par
tut tut jata hai

zindagi se lambi hai
bat ratjage ki hai
raste main kaise ho
bat takhliye ki hai
takhliye ki baton main
guftagu izafi hai
pyar karne valon ko
ik nigah kafi hai
ho saky to sun jao
ek din akale main
tum se kya kahen jana
is qadar jhamele main

yahi bahut hai k dil us ko dhund laya hai


yahi bahut hai k dil us ko dhund laya hai 
kisi k sath sahi vo nazar to aya hai

karun shikayaten takta rahun k pyar karun 
gaye bahar ki surat vo laut aya hai

vo samane tha magar ye yaqin na ata tha 
vo ap hai k meri khvahishon ka saya hai

azab hup k kaise hain barishen kya hain 
fasil-e-jism giri jab to hosh aya hai

main kya karunga agar vo na mil saka 'Amjad' 
abhi abhi mere dil main Khayal aya hai

mohabbat ki tabiyat main


mohabbat ki tabiyat main 
ye kaisa bachpana qudarat ne rakha hai

k jitni purani jitni bhi mazbut ho jaye
ise taid-e-taza ki zarurat phir bhi rahti hai
yaqin ki aKhiri had tak dilon main lahlahati ho
nigahon se tapakti ho lahu main jagmagati ho
hazaron tarah se dilkash hasin hale banati ho
use izhar k lafzon ki hajat phir bhi rahti hai

mohabbat mangati hai yun gavahi apane hone ki
k jaise tifl-e-sada sham ko ik bij boye
aur shab main baura uthe
zamin ko khod kar dekhe 
k paudha ab kahan tak hai

mohabbat ki tabiyat main ajab takrar ki Khu hai
k ye iqrar k lafzon ko sunane se nahi thakati
bicharne ki ghari ho ya koi milane ki sa'at ho
ise bas ek hi dhun hai 
kaho mujh se mohabbat hai
kaho mujh se mohabbat hai

kuch aisi besakuni hai vafa ki sarzaminon main
k jo ahal-e-mohabbat ko sada bechain rakhti hai
k jaise phul main Khsuhbu k jaise hath main tara
k jaise sham ka tara
mohabbat karne valon ki sahar raton main rahti hai
gumanam k shakhchon main ashiyan banata hai ulfat ka
ye ain visal main bhi hijr k khadshon main rahti hai

mohabbat k musafir zindagi jab kat chukte hain
thakan ki karachiyan chunte vafa ki ajarakn pahne
samay ki rahguzar ki aKhiri sarhad pe rukte hain
to koi dubati sanson ki dori tham kr
dhire se kahta hai
k ye sach hai na
hamari zindagi ik dusare k nam likhi thi
dhundhalaka sa jo ankhon k qarib-o-dur phaila hai
isi ka nam chahat hai
tumhen mujh se mohabbat thi
tumhen mujh se mohabbat hai

mohabbat ki tabiyat main
ye kaisa bachpana qudarat ne rakkha hai

Teri zat se nikalna chahta hai

Teri zat se nikalna chahta hai
ye dariya rukh badalana chahata hai

vo sapna jis ki surat hi nahi hai
meri ankhon main chalna chahta hai

dilon ki mandagi pe kya ta'ajjub
k suraj bhi to dhalna chahta hai

nashist-e-dard badali hai to ab dil
zara pahlu badalna chahta hai

mujhe bhi samana hai karbala ka
mera sar bhi uchalna chahta hai

nahi hai tarjuman-e-gam ye ansu
ye pani ab ubalna chahta hai

tabassum zer-e-lab kahta hai 'Amjad'
koi jazba machalna chahta hai

na shikayaten na gila kare

na shikayaten na gila kare 
koi aisa shaKhs hua kare 
jo mere liye hi saja kare 
mujh hi se baten kiya kare

kabhi roye jaye vo bepanah 
kabhi betahasha udas ho 
kabhi chup k chup k dabe qadam 
mere piche a kar hansa kare

meri qurbaten meri chahaten 
koi yad kare qadam qadam 
main tavil safar main hun agar 
meri vapasi ki dua kare

sitare jo damakate hain

sitare jo damakate hain 
kisi ki chashm-e-hairan main 
mulaqaten jo hoti hain 
jamal-e-abr-o-baran main

ye na abad vaqton main 
dil-e-nashad main hogi 
muhabbat ab nahi hogi 
ye kuch din bad main hogi

guzar jayenge jab ye din 
ye un ki yad main hogi

kuch aise ghao bhi hote hain

kuch aise ghao bhi hote hain 
jinhen zakhmi ap nahi dhote
bin roye huye ansuon ki tarah 
sine main chupa k rakhte hain
aur sari umr nahi rote

ninden bhi muhaiya hoti hain
sapne bhi dur nahi hote
kyun phir bhi jagte rahte hain
kyun sari rat nahi sote

ab kis se kahen ai jan-e-vafa
ye ahal-e-vafa kis ag main jalte rahte hain
kyun bujh k rakh nahi hote

kisi ki ankh jo purnam nahi hai

kisi ki ankh jo purnam nahi hai 
na samajho ye ke us ko Gam nahi hai 

savad-e-dard main tanha khara hun 
palat jaun magar mausam nahi hai 

samajh main kuch nahi ata kisi k
agarche guftagu mubham nahi hai 

sulagta kyun nahi tarik jangal 
talab ki lau agar maddham nahi hai 

ye basti hai sitam parvar digan ki 
yaha koi kisi se kam nahi hai 

kinara dusara dariya ka jaise 
vo sathi hai magar mahram nahi hai 

dilon ki raushani bujhne na dena 
vajud-e-tiragi mahkam nahi hai 

main tum ko chah kar pachta raha hun 
koi is zaKhm ka marham nahi hai

jo koi sun sake 'Amjad' to suna dena 
ba-juz ek baz gasht-e-Gam nahi hai

Khud apne liye baith k sochenge kisi din

Khud apne liye baith k sochenge kisi din
yun hai k tujhe bhul k dekhenge kisi din

bhatake hue phirte hain kai lafz jo dil main
duniya ne diya vaqt to likkhenge kisi din

hil jayenge ik bar to arshon k dar-o-bam
ye khaknashin log jo bolenge kisi din

apas ki kisi bat ka milta hi nahi vaqt
har bat ye kahae hain k baithenge kisi din

ai jan teri yad k be-nam parinde
shakhon pe mere dard ki utrenge kisi din

jati hai kisi jhil ki gahrai kahan tak
ankhon main teri dub k dekhenge kisi din

khushbu se bhari sham main jugnu k qalam se
ik nazm tere vaste likkhenge kisi din 

soyenge teri ankh ki khlvat main kisi rat 
saye main teri zulf k jagenge kisi din

khushbu ki tarah ,asl-e-saba khak numa se
galiyon se tere shahar ki guzrenge kisi din

'Amjad' hai yahi ab k kafan bandh k sar se
us shahar-e-sitamgar main jayenge kisi din

kahan aa k rukne the raste kahan mor tha use bhul ja


kahan aa k rukne the raste kahan mor tha use bhul ja 
vo jo mil gaya use yad rakh jo nahi mila use bhul ja

vo tere nasib ki barishen kisi aur chat pe baras gai 
dil-e-bekhabar meri bat sun use bhul ja use bhul ja

main to gum tha tere hi dhyan main teri as main tere guman main 
hava kah gai mere kan main mere sath a use bhul ja

tujhe chand ban k mila tha jo tere sahilon pe khila tha jo 
vo tha ek dariya visal ka so utar gaya use bhul ja

jo utar ke zina-e-sham se teri chashm-e-Khush main sama gaye

jo utar ke zina-e-sham se teri chashm-e-Khush main sama gaye 
vahi jalte bujhte se mahar-o-mah mere bam-o-dar ko saja gaye 

ye ajib khel hai ishq ka main ne ap dekha ye mojeza 
vo jo lafz mere guman main the vo teri zuban par a gaye 

vo jo git tum ne suna nahi meri umr bhar ka riyaz tha 
mere dard ki thi dastan jise tum hansi main ura gaye 

vo charag-e-jan kabhi jis ki lau na kisi hava se nigun hui 
teri bevafai ke vasava use chupke chupke bujha gaye 

vo tha chand sham-e-visal ka k tha rup tere jamal ka 
meri ruh se meri ankh tak kisi raushani main naha gaye 

ye jo bandagan-e-niyaz hai ye tamam hai vo lashkari 
jinhen zindagi ne aman na di to tere huzur main a gaye 

teri beruKhi k dayar main main hava ke sath hava hua 
tere aine ki talash main mere Khvab chehara ganva gaye 

tere vasvaon k fishar main tera sharar-e-rang ujar gaya 
meri khvahishon k gubar main mere mah-o-sal-e-vafa gaye 

vo ajib phul se lafz the tere honth jin se mahak uthe 
mere dasht-e-khvab main dur tak koi bagh jaise laga gaye 

meri umr se na simat sake mere dil main itne saval the 
tere pas jitne javab the teri ik nigah main a gaye

mera tamam fun meri kavish mera riyaz

mera tamam fun meri kavish mera riyaz 
ik na-tamam git k misre hain jin k bich 
mani ka rabt hai na kisi kafiye ka mel 
anjam jis ka tay na hua ho ik aisa khel 
meri mata bas yahi jadu hai ishq ka 
sikha hai jis ko main ne bari mushkilon k sath 
lekin ye sahir-e-ishq ka tohfa ajib hai 
khulta nahi hai kuch k haqiqat main kya hai ye 
taqdir ki ata hai ya koi saza hai ye 
kis se kahen ai jan k ye qissa ajib hai 
kahne ko yun to ishq ka jadu hai mere pas 
par mere dil k vaste itna hai is ka bojh 
sine se ik pahar-sa hatta nahi hai ye 
lekin asar k bab main halka hai is qadar 
tujh pe agar chalaun to chalata nahi hai ye

dil k dariya ko kisi roz utar jana hai


dil k dariya ko kisi roz utar jana hai 
itna besimt na chal laut ke ghar jana hai

us tak ati hai to har chiz thahar jati hai 
jaise pana hi use asl main mar jana hai 

bol ai sham-e-safar rang-e-rihai kya hai 
dil ko rukana hai k taron main thahar jana hai 

kaun ubharate hue mahatab ka rasta roke 
us ko har taur su-e-dasht-e-sahar jana hai 

main khila hun to isi khak main milna hai mujhe 
vo to khushbu hai use agle nagar jana hai 

vo tere husn ka jadu ho k mera gam-e-dil 
har musafir ko isi ghat utar jana hai

chuke chupke asar karta hai

chuke chupke asar karta hai
ishq kainsar ki tarah barhta hai

jo koi ji na sake mar jaye
ap ka nam abas leta hai

kaun sunata hai kisi ki vipada
sab k mathe pe yahi qissa hai

koi darta hai bhari mahfil main
koi tanhai main hans parta hai

yahi jannat hai yahi hai dozakh
aur dekho to yahi duniya hai

sab ki qismat main fana hai jab tak
asmanon pe koi zinda hai

vo Khuda hai to zamin par aye
hashr ka din to yahan barpa hai

sans roke hue baitho 'Amjad'
vaqt dushman ki tarah chalta hai

chehre pe mere zulf ko phailao kisi din

chehre pe mere zulf ko phailao kisi din
kya roz garajate ho baras jao kisi din

razon ki tarah utaro mere dil main kisi shab
dastak pe mere hath ki khul jao kisi din

peron ki tarah husn ki barish main naha lun
badal ki tarah jhum k ghir ao kisi din

Khushbu ki tarah guzro mere dil ki gali se
phulon ki tarah mujh pe bikhar jao kisi din

phir hath ko khairat mile band-e-qaba ki
phir lutf-e-shab-e-vasl ko dohrao kisi din

guzaren jo mere ghar se to ruk jayen sitare
is tarah meri rat ko chamkao kisi din

main apani har ik sans usi rat ko de dun
sar rakh k mere sine pe so jao kisi din

Bhir main ik ajnabi ka samana acha laga

Bhir main ik ajnabi ka samana acha laga 
sab se chup kar vo kisi ka dekhna acha laga 

surmai ankhon k niche phul se khilne lage 
kahte kahte kuch kisi ka sochna acha laga 

bat to kuch bhi nahi thi lekin us ka ek dam 
hath ko honton pe rakh kar rokna acha laga 

chay main chini milana us ghari bhaya bahut 
zer-e lab vo muskurata shukriya acha laga 

dil main kitne ahad bandhe the bhulane ke use 
vo mila to sab irade torna acha laga 

beirada lams ki vo sansani pyari lagi 
kam tavajjo ankh ka vo dekhna acha laga 

nim shab ki Khamushi main bhigti sarkon pe kal 
teri yadon k jalo main ghumna acha laga 

us udu-e-jan ko 'Amjad' main bura kaise kahun 
jab bhi aya samne vo bevafa acha laga

aisi hi sard sham thi vo bhi

aisi hi sard sham thi vo bhi
jab vo mahndi rachaye hathon main
apni ahat k khauf se larazan
surkh anchal main munh chipaye hue
apne khat mujh se lene ai thi
us ki sahmi hui nigahon main
kitni khamosh iltijayen thin
us k chehre ki zard rangat main
kitni majaburiyon k saye the
mere hathon se khat pakarte hi
jane kya soch kar achanak vo
mera shana pakar kar roi thi
us k yaqut rang honthon k
kapkapate hue kinaron par
saikaron ankahe fasane the
sard shamon main der tak aksar
jab ye manzar dikhai deta hai
ek lamha hinai hathon se
mujh ko apani taraf bulata hai
hamnashin ruth kar na ja mujh se
aisi hi sard sham thi vo bhi

tulu-e-shams-e-mufaraqat hai

tulu-e-shams-e-mufaraqat hai
purani kirnen naye makanon k anganon main laraz rahi hain
fasil-e-shahar-e-vafa k rozan chamakte zarron se bhar gai hain
gaye dinon k aziz baten nigar subahen gulab raten
bisat-e-dil bhi ajib shay hai hazar jiten hazar maten
judaiyon ki havayen lamhon ki Khush matti ura rahi hain
gai ruton ka malal kab tak
chalo k shakhen to tutati hain
chalo k qabron pe khun rone se 
apni ankhen hi phutti hain
ye mor vo hai jahan se mere tumhare raste badal gaye hain
purani rahon ko lautana bhi hamari qatadir main nahi
k raste bhi hamare qadamon k sath age nikal gaye hain

tulu-e-shams-e-mufaraqat hai
tum apani ankhon main jhilmilate huye sitaron ko maut de do
gai ruton k tamam phulon tamam kharon ko maut de do
naye safar ko hayat bakhsho
k pichli rahon pe sabt jitne nuqush-e-pa hain
vo bar honge
hava uraye k tum urao

mumkin hai ke tu jisako samajhata hai baharan

mumkin hai ke tu jisako samajhata hai baharan 
auron ki nigahon mein wo mausam ho khizan ka 

hai sil-sila ehwal ka har lahja dagargun 
ae salek-rah fikr na kar sudo-zayan ka 

shayad k zamin hai wo kisi aur jahan ki 
tu jisko samajhta hai falak apne jahan ka

tu abhi rahguzar mein hai qaid-e-makam se guzar

tu abhi rahguzar mein hai qaid-e-makam se guzar 
misr-o-hijaz se guzar, paires-o-sham se guzar 

jis ka amal hai be-garaz, us ki jaza kuch aur hai 
hur-o-khayam se guzar, bada-o-jam se guzar 

garche hai dilkusha bahot husn-e-firang ki bahar 
tayarek buland bal dana-o-dam se guzar 

koh shigaf teri zarab tujhse kushad sharq-o-garab 
teze-hilahal ki tarah aish-o-nayam se guzar 

tera imam be-huzur, teri namaz be-surur 
aisi namaz se guzar, aise imam se guzar

tere ishq ki intaha chahta hun

tere ishq ki intaha chahta hun 
meri sadgi dekh kya chahta hun 

sitam ho k ho wada-e-behijabi 
koi bat sabr-azma chahta hun 

ye jannat mubarak rahe zahidon ko 
k main ap ka samna chahta hun 

koi dam ka mehman hun ai ahl-e-mahfil 
chirag-e-sahar hun, bujha chahta hun 

bhari bazm mein raz ki bat kah di 
bara be-adab hun, saza chahta hun

sitaron se age jahan aur bhi hain

sitaron se age jahan aur bhi hain 
abhi ishq k imtihan aur bhi hain 

tahi zindagi se nahin ye fazayen 
yahan saikaron karawan aur bhi hain 

kanat na kar alam-e-rang-o-bu par 
chaman aur bhi, ashiyan aur bhi hain 

agar kho gaya ek nasheman to kya gam 
maqamat-e-ah-o-fugan aur bhi hain 

tu shahin hai parwaz hai kam tera 
tere samne asman aur bhi hain 

isi roz-o-shab mein ulajh kar na rah ja 
k tere zamin-o-makan aur bhi hain 

gae din k tanha tha main anjuman mein 
yahan ab mere razadan aur bhi hain

sakhtiyan karta hun dil par gair se gafil hun main

sakhtiyan karta hun dil par gair se gafil hun main
hay kya achi kahi zalim hun main jahil hun main 

hai meri zillat hi kuch meri sharafat ki dalil
jis ki gaflat ko malak rote hain wo gafil hun main 

bazm-e-hasti apni araish pe tu nazan na ho
tu to ik taswir hai mahfil ki aur mahfil hun main 

dhundhata phirta hun ai "Iqbal" apne ap ko
ap hi goya musafir ap hi manzil hun main

sach kah dun ai brahman gar tu bura na mane

sach kah dun ai brahman gar tu bura na mane
tere sanam kadon k but ho gaye purane

apnon se bair rakhna tu ne buton se sikha
jang-o-jadal sikhaya waiz ko bhi Khuda ne

tang ake akhir main ne dair-o-haram ko chora
waiz ka waz chora, chore tere fasane

patthar ki muraton mein samjha hai tu Khuda hai
khak-e-watan ka mujh ko har zarra dewata hai

a gairat k parde ik bar phir utha dein
bichron ko phir mila dein naqsh-e-dui mita den

suni pari hui hai muddat se dil ki basti
a ik naya shiwala is des mein bana den

dunya k tirathon se uncha ho apna tirath
daman-e-asman se is ka kalas mila dein

har subah mil k gayen mantar wo mihe mihe
sare pujariyon ko mai pit ki pila dein

shakti bhi shanti bhi bhakton k git mein hai
dharti k basiyon ki mukti prit mein hai

nahin minnat-kash-e-tab-e-shanidan dastan meri

nahin minnat-kash-e-tab-e-shanidan dastan meri 
khamoshi guftagu hai, bezubani hai zaban meri 

ye dastur-e-zaban-bandi hai kaisi teri mahfil mein 
yahan to bat karne ko tarasti hai zaban meri 

uthaye kuch waraq lala ne kuch nargis ne kuch gul ne 
chaman mein har taraf bikhri hui hai dastan meri 

ura li kumariyon ne tutiyon ne andlibon ne 
chaman walon ne mil kar lut li tarz-e-fugan meri 

tapak ai shama ansu ban k parwane ki ankhon se 
sarapa dard hun hasrat bhari hai dastan meri 

ilahi phir maza kya hai yahan duniya mein rahne ka 
hayat-e-jawidan meri na marg-e-nagahan meri

mohabbat ka junun baqi nahin hai

mohabbat ka junun baqi nahin hai 
musalmanon mein khun baqi nahin hai 

safen kaj, dil pareshan, sajda bezuk 
k jazba-e-andrun baqi nahin hai 

ragon mein lahu baqi nahin hai 
wo dil, wo awaz baqi nahin hai 

namaz-o-roza-o-qurbani-o-haj 
ye sab baqi hai tu baqi nahin hai

lab pe ati hai dua ban k tamnna meri

lab pe ati hai dua ban k tamnna meri 
zindagi shamma ki surat ho Khudaya meri 

dur duniya ka mere dam andhera no jaye 
har jagah mere chamakne se ujala ho jaye

ho mere dam se yun hi mere watan ki zinat 
jis tarah phul se hoti hai chaman ki zinat 

zindagi ho meri parwane ki surat ya rab 
ilm ki shamma se ho mujhko mohabbat ya rab 

ho mera kam garibon ki himayat karna 
dard-mandon se zaifon se mohabbat karna 

mere Allah burai se bachana mujhko 
neik jo rah ho us rah pe chalana mujhko

utho meri dunya k garibon ko jaga do

utho meri dunya k garibon ko jaga do
khak-e-umra k dar-o-diwar hila do

garmao gulamon ka lahu soz-e-yaqin se
kunjishk-e-phiromaya ko shahin se lara do

sultani-e-jamahur ka ata hai zamana 
jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aye mita do

jis khet se dahqan ko mayassar nahin rozi
us khet k har khosha-e-gandum ko jala do

kyon khaliq-o-makhluq mein hayal rahen parde
piran-e-kalisa ko kalisa se hata do

main nakhush-o-bezar hun marmar k silon se
mere liye mitti ka haram aur bana do

tahazib-e-nawin kargah-e-shishagaran hai
adab-e-junun shayr-e-mashriq ko sikha do

khird k pas khabar k siwa kuch aur nahin


khird k pas khabar k siwa kuch aur nahin 
tera ilaj nazar k siwa kuch aur nahin 

har muqam se age muqam hai tera 
hayat zauq-e-safar k siwa kuch aur nahin 

rangon mein gardish-e-khun hai agar to kya hasil 
hayat soz-e-jigar k siwa kuch aur nahin 

urus-e-lala munasib nahin hai mujhse hijab 
k main nasim-e-sahar k siwa kuch aur nahin 

jise qasad samajhte hain tajran-e-firang 
wo shay mata-e-hunar k siwa kcuh aur nahin 

giranbaha hai to hifz-e-khudi se hai warna 
gauhar mein ab-e-gauhar k siwa kuch aur nahin

kabhi ai haqiqat-e-muntazir nazar a libas-e-majaz mein

kabhi ai haqiqat-e-muntazir nazar a libas-e-majaz mein 
k hazaron sajde tarap rahe hain teri jabin-e-niyaz mein 

tarab ashna-e-kharosh ho tu nawa hai mahram-e-gosh ho 
wo surur kya k chaya hua ho sukut-e-parda-o-saz mein 

tu bacha bacha k na rakh ise tera aina hai wo aina 
k shikasta ho to aziz tar hai nigah-e-aina-saz mein 

dam-e-tauf kar mak-e-shamma na ye kaha ke wo asr-e-kohan 
na teri hikayat-e-soz mein na meri hadis-e-gudaz mein 

na kahin jahan mein aman mili jo aman mili to kahan mili 
mere jurm-e-khanakharab ko tere azo-e-banda-nawaz mein 

na wo ishq mein rahin garmiyan na wo husn mein rahin shokhiyan 
na wo gaznawi mein tarap rahi na wo kham hai zulf-e-ayaz mein 

jo main sar-ba-sajda kabhi hua to zamin se ane lagi sada 
tera dil to hai sanam-ashana tujhe kya milega namaz mein

jinhen main dhundhta tha asmanon mein zaminon mein


jinhen main dhundhta tha asmanon mein zaminon mein
wo nikle mere zulmat-e-khana-e-dil k makinon mein

mahine wasl k ghariyon ki surat urte jate hain
magar ghariyan judai ki guzarti hai mahinon mein

mujhe rokega tu ai nakhuda kya garq hone se
k jin ko dubna hai dub jate hain safinon mein

jala sakti hai sham-e-kushta ko mauj-e-nafas un ki
ilahi kya chupa hota hai ahal-e-dil k sinon mein

tamanna dard-e-dil ki ho to kar khidmat faqiron ki 
nahin milta ye gauhar badshahon k khazinon mein

muhabbat k liye dil dhundh koi tutnewala
ye wo mai hai jise rakhte hain nazuk abginon mein

bura samajhun unhen mujh se to aisa ho nahin sakta
k main khud bhi to hun "Iqbal" apne nuktachinon mein

ham mashriq k musalmanon ka dil magrib mein ja atka hai

ham mashriq k musalmanon ka dil magrib mein ja atka hai 
wahan kuntar sab billori hai, yahan ek purana matka hai 

is daur mein sab mit jayenge, han baqi wo rah jayega 
jo qayam apni rah pe hai, aur pakka apni hat ka hai 

ae shaikh-o-brahman sunte ho kya ahl-e-basirat kahte hain 
gardon ne kitani bulandi se un qaumon ko de patka hai

gulzar-e-hast-o-bu na beganawar dekh

gulzar-e-hast-o-bu na beganawar dekh 
hai dekhne ki chiz ise bar bar dekh 

aya hai to jahan mein misal-e-sharar dekh 
dam de najaye hasti-e-napayedar dekh 

mana k teri did k qabil nahin hun main 
tu mera shauq dekh mera intzar dekh 

kholi hain zauq-e-did ne ankhein teri to phir 
har rahguzar mein naqsh-e-kaf-e-pay-e-yar dekh

ajab waiz ki din-dari hai ya rab

ajab waiz ki din-dari hai ya rab 
adawat hai ise sare jahan se 

koi ab tak na ye samjha k insan 
kahan jata hai ata hai kahan se 

wahin se rat ko zulmat mili hai 
chamak taron ne pai hai jahan se 

ham apni dard-mandi ka fasana 
suna karte hain apne razdan se 

bari barik hain waiz ki chalen 
laraz jata hai awaz-e-azan se

ata hai yad mujhko guzara hua zamana

ata hai yad mujhko guzara hua zamana 
wo bag ki baharen wo sab ka chah-chahana 

azadiyan kahan wo ab apne ghonsale ki 
apni khushi se ana apni khushi se jana 

lagti ho chot dil par, ata hai yad jis dam 
shabnam k anson par kaliyon ka muskurana 

wo pyari pyari surat, wo kamini si murat 
abad jis k dam se tha mera ashiyana

zist azar hui jati hai


zist azar hui jati hai
sans talwar hui jati hai
jism bekar hua jata hai
ruh bedar hui jati hai
kan se dil main utarati nahi bat
aur guftar hui jati hai
dhal ke nikli hai haqiqat jab se
kuch purasrar hui jati hai
ab to har zakhm ki munband kali
lab-e-izhar hui jati hai
phul hi phul hain har simt 'Nadeem'
rah dushwar hui jati hai

Zehno main khayal jal rahe hain


Zehno main khayal jal rahe hain
sochon ke alav-se lage hain


duniya ki girift main hain saye
ham apna wajud dhundate hain


ab bhuk se koi kya marega
mandi main zamir bik rahe hain


mazi main to sirf dil dukhate the
is daur main zehan bhi dukhe hain


sir katate the kabhi shahanshah
ab log zuban katate hain


ham kaise churain shab se daman
din nikla to saye chal pare hain


lashon ke hujum main bhi hans dain
ab aise bhi hausale kise hain

wo koi aur na tha chand Khushk patte the

wo koi aur na tha chand Khushk patte the

shajar se tut k jo fasl-e-gul pe roye the





abhi abhi tumhain socha to kuch na yad aya

abhi abhi to ham ek-dusare se bichre the





tumhare bad chaman par jab ik nazar dali

kali kali main Khizan k chirag jalate the





tamam umr wafa ke gunahgar rahe

ye aur bat ki ham adami to ache the





shab-e-Khamosh ko tanhai ne zaban de di

pahar gunjte the dasht sansanate the





wo ek bar mare jin ko tha hayat se pyar

jo zindagi se gurezan the roz marte the





naye Khayal ab ate hain dhal ke zahan main

hamare dil main kabhi khet lahlahate the





ye irtiqa ka chalan hai k har zamane main

purane log naye admi se darte the





'Nadeem' jo bhi mulaqat thi adhuri thi

k ek chehre ke piche hazar chehre the

sham ko subah-e-chaman yad ai

sham ko subah-e-chaman yad ai

kis ki Khushbu-e-badan yad ai



jab Khayalon main koi mor aya

tere gesu ki shikan yad ai



yad aye tere paikar ke Khutut

apani kotahi-e-fan yad ai



chand jab dur ufaq par duba

tere lahje ki thakan yad ai



din shuaon se ulajhte guzara

rat ai to kiran yad ai

marun to main kisi chehre main rang bhar jaun


marun to main kisi chehre main rang bhar jaun

'Nadeem' kash yahi ek kam kar jaun



ye dasht-e-tark-e-muhabbat ye tere qurb ki pyas

jo izan ho to teri yad se guzar jaun





mera wajud meri ruh ko pukarta hai

teri taraf bhi chalun to thahar thahar jaun





tere jamal ka parau hai sab hasinu par

kahan kahan tujhe dhundun kidhar kidhar jauan





main zinda tha k tera intazar Khatm na ho

jo tu mila hai to ab sochta hun mar jaun





ye sochta hun k main butparast kyun na hua

tujhe qarib jo paun to Khud se dar jaun





kisi chaman main bas is Khauf se guzar na hua

kisi kali pe na bhule se paun dhar jauain





ye ji main ati hai taKhliq-e-fan ke lamhon main

k Khun ban ke rag-e-sang main utar jaun

labon pe narm tabassum racha ke dhul jayen

labon pe narm tabassum racha ke dhul jayen

Khuda kare mere ansu kisi ke kam ayen



jo ibtada-e-safar main diye bujha baithe

wo badnasib kisi ka surag kya payen



talash-e-husn kahan le chali khuda jane

umang thi k faqat zindagi ko apanayen



bula rahe hain ufaq par jo zard-ru tile

kaho to ham bhi fasane ke raz ho jayen



na kar Khuda ke liye bar-bar zikr-e-bahisht

ham asman ka mukarrar fareb kyon khayen



tamam maikada sunsan maigusar udas

labon ko khol kar kuch sochati hain minayen

lab-e Khamosh se afsha hoga


lab-e Khamosh se afsha hoga

raz har rang main ruswa hoga



dil ke sahra main chali sard hawa

abr gulzar pe barsa hoga



tum nahi the to sar-e-bam-e-Khayal

yad ka koi sitara hoga



kis tawaqqo pe kisi ko dekhain

koi tum se bhi haseen kya hoga



zinat-e-halqa-e-agosh bano

dur baithoge to charcha hoga



zulmat-e-shab main bhi sharmate ho

dard chamkega to phir kya hoga



jis bhi fankar ka shahkar ho tum

us ne sadiyon tumhain socha hoga



kis qadar karb se chatkhe hai kali

shakh se gul koi tuta hoga



umr bhar roye faqat is dhun main

rat biti to ujala hoga



sari duniya hamain pahachanati hai

koi ham-sa bhi na tanha hoga

kis ko qatil main kahun kis ko masiha samjhun

kis ko qatil main kahun kis ko masiha samjhun

sab yahan dost hi baithe hain kise kya samajhun



wo bhi kya din the k har waham yaqin hota tha

ab haqiqat nazar aye to use kya samajhun



dil jo tuta to kai hath dua ko uthe

aise mahul main ab kis ko paraya samjhun



zulm ye hai ke hai yaqta teri beganaravi

lutf ye hai ke main ab tak tujhe apna samjhun

kaun kahata hai ke maut ai to mar jaunga

kaun kahata hai ke maut ai to mar jaunga

main to darya hun samandar mein utar jaunga





tera dar chor ke main aur kidhar jaunga

ghar mein ghir jaunga sahara mein bikhar jaunga





tere pahlu se jo uthunga to mushkil ye hai

sirf ik shaKhs ko paunga jidhar jaunga





ab tere shehar mein aunga musafir ki tarah

saya-e-abr ki manind guzar jaunga





tera paiman-e-wafa rah ki divar bana

warna socha tha ke jab chahunga mar jaun ga





charasazon se alag hai mera mayar ke main

zaKhm khaunga to kuch aur sanvar jaun ga





ab to Khurshid ko dube hue sadiyan guzrin

ab use dhundne main ta-ba-sahar jaunga





zindagi shamma ki manind jalata hun 'Nadeem'

bujh to jaunga magar subah to kar jaunga

jab tera hukm mila tark muhabbat kar di

jab tera hukm mila tark muhabbat kar di

dil magar is pe wo dharka k qayamat kar di



tujh se kis tarah main izhar-e-tamanna karta

lafz sujha to mani ne bagavat kar di



main to samjha tha ki laut ate hain jane wale

tune jakar to judai meri qismat kar di



mujh ko dushman ke iradon pe bhi pyar ata hai

teri ulfat ne muhabbat meri adat kar di



puch baitha hun main tujh se tere kuche ka pata

teri halat ne kaisi teri surat kar di

Popular Posts