Sunday, July 11, 2010

Ankhoon Mein Nami Ka Raaz Rakhta Hoon


Ankhoon Mein Nami Ka Raaz Rakhta Hoon
Mein Tanhaiyon Se Dosti Ka Jawaz Rakhta Hoon

Woh Ager Chaly Mere Sath Do Qadam
Phir Dekho Mein Kesi Perwaaz Rakhta Hoon

Aaina Chor Meri Ankhoon Mein Jaahank Zara
In Bestion Mein Sirf Tere Hi Naaz Rakhta Hoon

Khawahishon Pe Daal Rakhi Hai Kamand Sabr Ki
Dabaa Ke Dil Mein Jazboon Ki Awaaz Rakhta Hoon

Ajnabi shehar kay ajnabi rastey


Ajnabi shehar kay ajnabi rastey
meri tanhayi per muskuratey rahe

Main bohut dair tak yunhi chalta raha
Tum bohut dair tak yaad atay rahe

Zehar milta raha, zehar peetey rahe
Roz marte rahe, roz jeetey rahe

Zindagi bhi humein azmati rahi
Aur hum bhi issey azmatey rahe

Zakham jab bhi zehan-o-dil per laga
Zindagi ki taraf ik dareecha khula

Hum hi goya kisi saaz ki taar hain
Chaut khatey rahe, gungunatey rahe

Kal kuch aisa huwa, main bohut thak gaya
Iss liye sun kay bhi un'suni kar gaya

Kitni yaadon kay bhatkey huwe karvaan
Dil kay zakhmoon kay dar khatkhatey rahe

Kehne ko ik ainaa toota..bikher gaya


Kehne ko ik ainaa toota..bikher gaya!
Lekin mere wujood ko kirchiyon se bhar gaya

Main tu kissi khayal kay tanha safar mein tha
Phir kyun laga, qareeb se koi guzar gaya

Ik aashna se dard ne chonkaa diya mujhe
Main tu samanjh raha tha mera zakham bhar gaya

Shayed kay intezaar issi pal ka tha ousse
Kashti kay doobtey hi woh dariya utar gaya

Muddat se ous ki chhaon mein betha nahin koi
Woh saya'daar pairr issi gham main marr gaya

Shayed tamaam nisbatein ous ko mujhi se thiin
Apni har aik yaad mere naam kar gaya

Ik aur shaam dhal gayi sochoon kay dasht mein
Ik aur din bhi khaak urate guzar gaya

Mere hi saath SHAAD safar khatam ho gaya
Main ruk gaya jahan waheen rastaa thehar gaya

Daher mein,naqsh-e-wafa wajah-e-tasalli na hua


Daher mein,naqsh-e-wafa wajah-e-tasalli na hua
Hai ye woh lafz k sharmindah-e-maani na hua

Mein ne chaha tha k anduah-e-wafa se chutun
Woh sitamger mere marne pe bhi raazi na hua

Dil guzar gaahe khyaal-e-ma'e-o-saghar hi sahi
Ger nafas jaadah'e sir'e -manzil-e-taquwa na hua

Kis se mahroomi-e-kismat ki shikayat kijye
Hum ne chaha tha k mer jayen,so woh bhi na hua

Mer gaya sadma-e-yak jumbish-e-lab se 'Ghalib'
Natawani se hareef-e-dam-e-eisa na hua

Us morr say shuru karain phir yeh zindagi



Us morr say shuru karain phir yeh zindagi,
Her sheh jahan haseen thi hum tum thay ajnabi.

Lay ker chalay thay hum jinhain jannat ke khuwab thay
Pholoun kay khuwab thay woh mohabbat ke khuwab thay

Laikin kahan hai un may woh pehli si dilkashi ?
Us mor se shuru karain phir yeh zindagi

Rehtay thay hum haseen khayalou ki bheer mein
Uljhay howay hain aaj sawaloun ki bheer mein

Aanay lagi hai yaad woh mohabbat ki her ghari
Us mor say shuru karain phir yeh zindagi

Shayad yeh waqt hum say koi chaal chal gaya
Rishta wafa ka aur he rangoun may dhal gaya

Ashkoun ki chandni say thi behter woh dhoop he
Us mor say shuru karain phir yeh zindagi

Her sheh jahan haseen thi hum tum thay ajnabi.
uss mor se shoro karain phir yeh zindagi

Mera Sochna Teri Zaat Tak


Mera Sochna Teri Zaat Tak
Meri Guftago Teri Baat Tak

Na Tum Milo Jo Kabhi Mujhay
Mera Dhoondna Tujhay Paar Tak

Mane Apna Sab Kuch Ganwa Diya
Teri Nafraton Se Pyaar Tak

Kabhi Fursatain Jo Milain To Aa
Meri Zindagi Ke Hesaar Tak

Main ne Jana Ke Main Kuch Nahe
Tere Pahlay Se Tere Baad Tak....!

Har rooz bhula daitay ho kamal kartay ho


Har rooz bhula daitay ho kamal kartay ho
hastay ko rulaa daitay ho kamal kartay ho..

Nahi hai mohabbat toh saaf keh do
kyon umeed brhaa daitaay ho kamal kartay ho..

Hum tumhain bholnay lagtay hain jb b
aa kay pyaar jata daitay ho kamal kartay ho

jantay b ho kay aik hi diaa hay mere ghar main
phir b hawa daitay hoo kamal kartaay ho.

Bholnay ka jo mujhay har roz kehtay ho
yun yaad dilaa daitay ho kamal kartay ho

khud hi kehtay ho k nashaa haraam hai
aur jaam thmaa daitay ho kamal kartay ho

kabhi nazren milane main zamane beet jate hain



kabhi nazren milane main zamane beet jate hain
kabhi nazren churane main zamane beet jate hain

kisi ne aankh bhi kholi to sone ki nagriii main
kisi ko ghar banane main zamane beet jate hain

kabhi kali seyah ratain hamain pal pal ki lagti hain
kabhi soraj ko aane main zamane beet jate hain

kabhi khola ghar ka darwaza tu samne thi manzil
kabhi manzil ko pane main zamane beet jate hain

dost lamhon main toot jate hain umer bher ke woh bandhan
woh bandhan jo banane main zamane beet jate hain

Meray wajood ki mujh mai talash chhor gaya



Meray wajood ki mujh mai talash chhor gaya..
Jo pori na ho kabhi, aisi aas chhor gaya..

Yehi karam nawazi us ki mujh pe kum hai kya..!
K khud to door hai yaadein to paas chhor gaya..

Jo khwahishen thien kabhi, hasraton mai dhal gain ab..
Merey labon pe wo ek lafz "KASH" chhor gaya..

Ye mera zarf hai ek roz us ne mujh se kaha..
"K aam logon mai ek tujh ko KHAS chhor gaya.."

Baharon se mujhay isi liye to nafrat hai..
Inhi ruton mai mujhay wo udaas chhor gaya

Her Kisi Ko Duniya Mein Shuhratain Nahi Milti



Her Kisi Ko Duniya Mein Shuhratain Nahi Milti !!
Zindagi Ke Lamhon Ki Kimatain Nahi Milti !!

Fateh Ki Khwashish Mein Amaal Bhi Tu Lazim Hai !!
Sirf Kuch Iradon Se Musartain Nahi Milti !!

Faiseley Ye Chahat Ke Asamano Pe Hote Hain !!
Do Dilon Ke Milne Se Kismatain Nahi Milti !!

Deen Or Duniya Ko Sath Rakhna Parta Hai !!
Masjadon Mein Rehne Se Janatain Nahi Milti

Baadalon kaa kaafilaa aataa huaa achaa lagaa


baadalon kaa kaafilaa aataa huaa acha lagaa
pyaas kii dhartii ko har saavan baDaa acha lagaa

us bharii mahafil mein us kaa chand lamhon ke liye
mujh se milnaa baat karnaa dekhnaa acha lagaa

jin kaa sach honaa kisii suurat se bhii mumkin na thaa
aisii aisii baatein aksar sochnaa achaa lagaa

vo to kyaa aataa magar Khush_fahamiyon ke saath saath
saarii saarii raat ham ko jaagnaa acha lagaa

Ab Aye Meray Ehsaas-e-Junoon, Kya Muje Dena


Ab Aye Meray Ehsaas-e-Junoon, Kya Muje Dena...!!
Daryaa Ussey Baksha Hay Toa Sehra Muje Dena...!!

Tum Makaan Jab Karoo Taqseem Toa Yaroo...!!
Ghirtii Howi dewaar Ka Saya Muje Dena...!!

Jab Waqt Ki Murja'ee Howi Shaakh Sambalo...!!
Uss Shaakh Say Toota Howa Lamha Muje Dena..!

Tum Mera Badan Aurh Kay Phirtey Raho.....Laikin..!!
Mumkin Hoo Toa Ek Din Mera Chehra Muje Dena...!!

Chuu Jaye Hawa Jiss Say Toa Khushbo Teri Aye..!!
Jaatey Howey Eik Zakhm Toa Aisa Muje Dena...!!

Shab Bhar Ki Musafat Hay Guwahee Ki Talabgaar...!!
Ayee Subah-e-Safar, Apna Sitara Muje Dena...!!

Ek Dard ka Mela Kay Laga hay Dil-o-Jaan Mein ..!!
Ek Rooh Ki Awaaz Kay "Rasta Muje Dena"...!!

Ek Taza Ghazal Azn-e-Sukhn Maangh Rahi hay ..!!
Tum Apna Mehakta Howa Lehjaa Muje Dena..!!

Woh Mujse Kahein Bahr Kay Museebath Mein Tha Mohsin..!!
Reh Reh Kay Magar Uska Dilaasa Muje Dena..!!!...

Jo aansoo dil mein girtey hein wo aankhoon mein nahi rehte


Jo aansoo dil mein girtey hein wo aankhoon mein nahi rehte
Buhat se haarf aise hein jo lafzon mein nahi rehte

Kitaabon mein likhey jaatey hein dunya bhar kay afsaaney
Magar jin mein haqeeqat ho wo kitabon mein nahi rehte

Bahaa’r aaye to har aik phool pe saath aati hai
Hawa jin ka muqaddar ho wo shakhon mein nahi rehte

Liye phirtey hein kuch ehbaab aise muztarib lamhey
Jahan darbaar mil jaaye jabeenon mein nahi rehte

Mehek aur titlioon ka naam bhanwrey se juda kion ho
Kay yeh bhi to khizaan aaney pe phoolon mein nahi rehte

Dar-e-Fana Main Naqsh-e-Baqa Chor Jaon Ga

Dar-e-Fana Main Naqsh-e-Baqa Chor Jaon Ga
Main Apnay Baad Apni Sada Chor Jaon Ga,

Hain Or Bhi Chaman Meri Khushbo Ke Muntazir
Main Is Chaman Ko Misl-e-Saba Chor Jaon Ga,

Doonga Kai Kaliyuon Ko Payam-e-Shaguftagi
Gulshan Main Ek Husn-e-Adaa Chor Jaon Ga,

Le Jaon Ga Main Apni Wafa Ko Bhi Apnay Sath
Or Un Ke Paas Yaad-e-Wafa Chor Jaon Ga,

Jo Mere Dil Pe Zakham Lagatay Rahe Yunhi
Main Un Ke Waaste Bhi DUA Chor Jaon Ga...

Dastaras main nahee halaaat, tujhey kia maloom


Dastaras main nahee halaaat, tujhey kia maloom
Ab zarooree hay mulaqaaat, tujhey kia maloom

Raat kay pichlay pahar, neend shikan tanhaee
Kaisey kartee hay sawalaaat, tujhey kia maloom

Tu bazid hay kay sar e aam parastish ho taireee
Main hoon paaband e rawayaaat, tujhey kia maloom

Jashan sawan kaa yun barh charh kay mananey waley
Zulm kiaa dhaatee hay barsaaat, tujhey kia maloom

Shana e waqt pay ab zulf e pareeshaan kee tarhaa
Bikhree rahtee hay mairee raaat, tujhey kia maloom

Main usay kaise aikaila chor don is rah main


Main usay kaise aikaila chor don is rah main
sath jo chalta raha majboriyon k baad bhi.

ban k khusboo rach gya hy yun mere ehsas main
door ho paya nahi woh dooriyon k bad bhi

rafta rafta us ko bhi ye duniya raĆ¢s aa gye
muskra k woh mila hy ranjishon k bad bhi

fasly kb kum howay hain rabton k bad bhi
ajnabi thay ajnabi hain "mohabbaton" k baad bhi

Woh Apni Sari Nafratein Mujhpe Lutata Raha


Woh Apni Sari Nafratein Mujhpe Lutata Raha
Mera Dil Jissko Sada Muhabbatein Sikhata Raha

Uski Yaad Ka Zara Yeh Pehlu Toh Dekho
Mujhse Kiye waday Woh Kissi Aur Se Nibhata Raha

Kuch Khabar Nahi Woh Shakhs Kya Chahta Tha
Ke Taaluk Tor Kar Bhi Mujhko Aazmata Raha

Tootay Hue Taaluk Mein Bhi Kitni Mazbooti Hai
Main Jitna Bhulata Raha Woh Utna Yaad Ata Raha

Koi Zanjeer Ho Usko Muhabbat Torr sakti hai


Koi Zanjeer Ho Usko Muhabbat Torr sakti hai
Jidhar Chahe ye Bagein Zindagi ki Morr Sakti hai,

Muhabbat Roak Sakti hai Kisi Girtey Sitarey Ko
Kisi Jaltey Shararey Ko , Fana Kay Shuaarey ko,

Ye Chalna Choor Aaenay Ki krichein Jorr Sakti hai
Koi Zanjeer Ho, usko Muhabbat Torr sakti hai,

Muhabbat Per kisi bhi Rasm ka Pehra nahin chalta
Kisi Aamr ,Kisi Sultan ka Sikka nahin Chalta ,

Ye her Zandaan Ki Aandhi Salakhein Torr sakti hai
Koi Zanjeer Ho Usko Muhabbat Torr Sakti hai,

Ye Jab chahe Kisi Bhi khwab ki Tabeer Mil Jaye
Kisi Rastey mein Raasta Poochti ,Taqdeer Mil jaye,

Samey kay Taiz Dharoon ko Ye pichey Chorr Sakti hai
Koi Zanjeer Ho , Uss ko Muhabbat Torr Sakti hai

Is Main Shamil Dasht o Sehra Aur Weranay Ki Baat



Is Main Shamil Dasht o Sehra Aur Weranay Ki Baat
Ahl e Mehfil Sa Juda Ha TERAY dewanay Ki Baat

Mohtasib hum Gunah Garoon Ko Na Dey iLzam e Maa
Tishnagi Ma Aaa Gai Honton Pa Maay Khanay Ki Baat

Han Abhi Bholi Nahi Jor e Khizan Ki Dastan
Ahtayatan hum Nahi Kartay Bahar Anay KI Baat

Ban Gai Ha Surkhi Husn e Bahar e Jaodan
Aa Gai Zulf e Muabar Ka Bikhar Janay Ki Baat

Hur Nafs Ma Shola ZUn Hain Garmian Halat Ki
Zindagi Ha In Dino Bay Mout Mar Janay Ki Baat

Mahkada Badla Hova SAGAR Shikasta Hal Hain
Hur Haqeqat Ban Gai Ha Aaj Afsanay Ki Baat

Us Ne Kaha Kon Hai Tumhay Bohat Aziz


Us Ne Kaha Kon Hai Tumhay Bohat Aziz
Main Ne Kaha DIl Pay Jis Ka Ikhtiyar Hai

Us Ne Kaha Kon Sa Tofha Do Main Tumhay
Main Ne Kaha Wahi Sham Jo Abhi Tak Udhar Hai

Us Ne Kaha Khizan Main Milnay Ka Jawaz
Main Ne Kaha Qarb Ka Mutlab Bahar hai

Us Ne Kaha Sekron Gham Zindagi Main Hain
Main Ne Kaha Ghum Nahi Jub Sath Ghum Guzar Hai

Us Ne Kaha Sath Kahan Tak Nibhao Gay
Main Ne Kaha Jub Tak Yah Sanson Ki Taar hai

Humne Kaati Hain Teri Yaad Mein Raatein Aksar


Humne Kaati Hain Teri Yaad Mein Raatein Aksar
Dil Se Guzri Hain Sitaaron Ki Baraatein Aksar

Unn Se Poocho Kabhi Chehre Bhi Pare Hain Tumne
Jo Kitaabon Ki Kiya Karte Hain Baatein Aksar

Humne Unn Tund Hawaaon Mein Jalaaye Hain Chiraagh
Jin Hawaaon Ne Ulat Di Hain Bisaatein Aksar

Aur Tho Kaun Hai Jo Mujh Ko Tasalli Deta
Haath Rakh Deti Hain Dil Par Teri Yaadein Aksar

Haal Kehna Hai Kissi Se Tho Mukhaatib Hai Koi
Kitni Dilchasp Hua Karti Hain Baatein Aksar

Apney Uljhey Huwey Din Raat Bhi Suljha Na Sakey


Apney Uljhey Huwey Din Raat Bhi Suljha Na Sakey
Itney Be-faiz Hain Khud Apney Hi Kaam Aa Na Sakey

Saaya-e-Zeest Ko Dhaltey Huwey Daikha Lekin
Taptey Sehra Pay Koi Naqsh-e-Khushi Paa Na Sakey

Dil Bhi Machla Tha Nigahein Bhi Palat Jaati Theen
Unn Ki Dehleez Pay Lekin Ye Qadam Jaa Na Sakey

Dil Ki Taskheer Hi Darasal Fatah Mandi Hai
Unn Ko Paa Kar Bhi Magar Hum Unhein Apna Na Sakey

Daastan Kehney Ki Kuch Waqt Ne Mohlat Hi Na Di
Lab Kusha Ho Na Sakey Dil Unhein Dilkhla Na Sakey

Khilti Kaliyon Ke Tabasum Ki Haqeeqat Kya Hai
Bikhrey Phoolon Say Jo Poocha To Woh Samjha Na Sakey

Kuch log sitam karnay ko tayyar bethay hain


Kuch log sitam karnay ko tayyar bethay hain
Kuch log magar hum pe dil haar bethay hain

Is kashmakash may hum se pehchanay nahi jatay
Kahan dushman our kahan dost yaar bethay hain

Ishq to aag ka darya hai samjh lijiye huzur
Wo is paar hai to hum us paar bethay hain

Kon kehta hai k is shehar may saray hain bewafa
Humaray samnay to do chaar wafadar bethay hain

Duniya se rooth janay ki arzoo hai
Kia karoon is arzoo pey pehredaar bethay hain

Mujhe kisi k tassawur may doob janay do


Mujhe kisi k tassawur may doob janay do
Bohat nahi thora sa he jal janay do

Main janta hon mohabbat nahi usay mujh se
Magar main khush hon k mujko fareb khanay do

Main bhool jaon usay ye to ho nahi sakta
Wo bhoolta hai mujhay to bhool janay do

Meri wafain kal usay bohat rulayengi
Meri wafa pe usay aj muskuranay do

Tum Bhi Janaa Kamaal Karte Ho


Tum Bhi Janaa Kamaal Karte Ho
Kaise Kaise Sawaal Karte Ho

Aik Hi Pal Ma Toot Jaati HooN
Kaisi Tum Dekh Bhaal Karte Ho

Jhoot Saabit Na Kar Sake Koi
Guftaguu Ba'Kamaal Karte Ho

Rog Jitne The Mere Naam Kiye
Mera Kitna Khayaal Karte Ho

Tark-e-Ulfat Ko Garche Arsa Hua
Dil Ko Ab Bhi Nidhaal Karte Ho

Dil Chaahe Pooch LooN Us Se
KyunN Bayaan Apna Haal Karte Ho

Dunya se kuch darta tha wo Sehma sehma rehta tha wo


Dunya se kuch darta tha wo
Sehma sehma rehta tha wo

Janay kia baat the us mein
Itna hasin kion lagta tha wo

Ik bhool hoi mujh se magar
Wafa he wafa karta tha wo

Kehte kehte ruk jata tha
Aksar aisa karta tha wo

Jo bhi kahna hai wo keh do
Mujh se yahi bus kehta tha wo

Shouq-e-wafa mein aksar apnay
Haath dikhaya karta tha wo

Aksar mujh se baithay baithay
Ehd nibah ka leta tha wo

Jab bhi mujh se milkar jata
Pholay nahin samata tha wo

tere ghazal ye parh ker
Aksar roya karta tha wo..!

Hoton pe hansi dekh li ,dil k ander nahi dekha


Hoton pe hansi dekh li ,dil k ander nahi dekha
Yaaron ne mere gham ka samander nahi dekha

Kitni haseen hai duniya ye dekha hai aapne
Mar mar ke jeene walon ka manzar nahi dekha

Sheshe ka makan tumne bana to liya ae dost
Lekin waqt ke haath ka pathar nahi dekha

Rishtoon ke tutne ka dard aap kya samjhein
Vo lamha kabhi aap ne jee kar nahi dekha

Bhatke roshni ki talaash mein na jaane kahan kahan
Afsos ki apni rooh ke ander nahi dekha

Wo husn-e-Mujassam kamal uski aankhain


Wo husn-e-Mujassam kamal uski aankhain
Sarapa-e-Mohabat jamal uski aankhain

Main jab bhi poochon sawal us se koi
Mujhe roz deti hain tall uski aankhain

Jo baichey to do jahaan de ke le loon
Wo chehra wo zulfain wo gall uski aankhain

Ager koi poochey ke dunia main kia hai
Zamaanaa de ga misaal uski aankhain...!

Aaj to mera dil kehta hai, Tu is waqt akela hoga


Aaj to mera dil kehta hai, Tu is waqt akela hoga
bachapan ki yaadoN ka Dil MaiN, lagaa ek Mela hoga.

Bheeg chaleeN ab raat kee palke, Tu ab thak kar soya hoga
Rail kee gehree seetee sun kar, Raat ka jangal goonja hoga.

Sheher ke khalee station par, Koi musafir utra hoga
Aangan me phir chidiyaaN boleeN, Tu ab so kar utha hoga.

YadoN kee jaltee shabnam se, Phool sa mukhda dhoya hoga
Motee jaisee shakl bana kar, Aaeene ko takta hoga.

Shaam hooee ab tu bhee shayad, Apne ghar ko lauta hoga
Neelee dhundlee khamoshi maiN, Taron kee dhun sunta hoga.

Mera saathi shaam ka taaraa, Tujh se aankh milata hoga
Shaam ke chalte haath ne tujh ko, Mera salaam to bhaija hoga.

Pyasee kurlaatee koonjon ne, Mera dukh to sunaya hoga
MaiN to aaj bohot roya hooN, Tu bhee shayad roya hoga.

MaiN to tera meet purana, Tujh ko yaad to ata hoga
Dil Main mujh ko yaad karke, Tu bhi to Muskuraya hoga.

Wo jazbon ki tejarat thi ye dil kuch aur samja tha


Wo jazbon ki tejarat thi ye dil kuch aur samja tha
usey hansne ki aadat thi ye dil kuch aur samja tha,

Muje us ne kaha aao nai dunya basate hain
usey soojhi shararat thi ye dil kuch aur samja tha,

Hamesha us ki ankhon main dhanak se rang hote thy
ye us ki aam halat thi ye dil kuch aur samja tha,

Wo mery paas bethi der tak ghazlen meri sunti
usey khud se mohabat thi ye dil kuch aur samja tha,

Mery kandhe per ser rakh ker kahin per kho gae thi wo
ye ik waqti enayat thi ye dil kuch aur samja tha,

Muje wo dekh ker aksar nigahen pher leti thi
ye dar parda haqarat thi ye dil kuch aur samja tha.

Teri Socho Mai Teri Soch Ke Mehver Mai Kiya Hai


Teri Socho Mai Teri Soch Ke Mehver Mai Kiya Hai
Tu Mujh Se Sunn Teri Khudi Ki Tamanaa Kiya Hai

Mai Teri Rooh Mai Uttra Tha Kahan Kab Kaise
Tujhe Maloom Hai Sun-ney Ka Bahana Kiya Hai

Mai Terey Hijr Mai Sadiyan Guzaar Sakta Hon
Ye Chaar Din Ki Judayee Ka Nibhana Kiya Hai

Mai Teri Zaat Pe Khud Ko Bhi Waar Sakta Hon
ye Suraj ~Chand~Sitaron Ka Lutana Kiya Hai

Apni Ulfat Ke Ek Lamhey Se Nawaz Mujhe
Us Ek Lamhey Mai Sadiyon Ka Guzar Jana Kiya Hai

Her Ek Jannam Mai Musalsal Mera Hasil
Tum Ho Terey Liye Faqat Ek Umr Lutana Kiya Hai

Meri Dua Mere Allah Tak Bhi Puhanchey Gi
Mujhe Zamii Ko Is Falaq Ko Hilana Kiya Hai

Meri Ankhon Ki Jheelon Mai Wo Izteraab Aaya
Ke Samander Ke Tufanon Ka Fasana Kiya Hai

Kahi Phir Se Na Ankhain Toot Barsain Sawan Si
Mujh Se Na Pooch Ke Ashkon Ka Fasana Kiya Hai

To Kisi Shajar Ke Ujjrey Hovey Pattey Se Pooch
Tujhe Ro Ro Ke Sunaye Ga Fasana Kiya Hai...!

ye chiragh be'nazar hai ye sitara be'zubaan hai


ye chiragh be'nazar hai ye sitara be'zubaan hai
abhi tujh sey milta julta koi doosra kahan hai

wohi shakhs jis pey apney dil'o'jaan nisaar ker doun
wo ager khafa nahi hai tu zuroor badgumaan hai

kabhi paa ke tujh ko khona kabhi kho ke tujh ko pana
ye janam janam ka rishta terey merey darmiyaan hai

merey saath chalney waley tujhey kia mila safar mein
wohi dukh bhari zameen hai wohi gham ka aasman hai

mein isi gumaan mein barsoon bara mutmai'en raha houn
tera jism be'taghayyur hai mera pyaar jawedaan hai

unhi rastoon ne jin per kabhi tum they saath merey
mujhey rok rok poocha tera humsafar kahan hai...!

Jhuki jhuki si nazar beqarar hai ke nahi



Jhuki jhuki si nazar beqarar hai ke nahee
Daba daba sa sahi dil main pyar hai ke nahee

Tu apne dil ki jawan dharkano ko gin k bata
Meri tarah tera dil beqarar hai ke nahee

Woh pal ke jis main mohabbat jawan hoti hai
Us ek pal ka tujhe intizar hai ke nahee

Teri umeed pe thukraa raha houn duniya ko
Tujhe b apne per yeh aitbaar hai ke nahee...!

Us Ki Aanhon Main Eik Saya Hai,


Us Ki Aanhon Main Eik Saya Hai,
ChotH Kha Ker Jo Muskuraya Hai

Yaad Ban Ke Jo Ruch Gaya Kho'n Main
Osko Such Much Bohat Bhulaya Hai.

Log Kioun Aa Gaye Mitane Ko
Humne Kab Shehr-e-Dill basaya Hai

Soch Lo nend Roth Jaye Gi
Khuwab Aankhon Main Kioun Sajaya Hai

Humne Din Hain Duayein Os Os Ko,
Dill Ko Jis Jis Ne Bhi Dukhaya Hai

Jane Wala To Kheir Kia Ata !
Han Magr Dard Lout Aya Hai

Osne Her Bar He Fareeb Dia,
Bar'ha Humne Aazmaya Hai.

Ab Wo Toofan Hai Na Wo Shoor Hawaon Jaisa


Ab Wo Toofan Hai Na Wo Shoor Hawaon Jaisa...
Dil Ka Aalam Hai Tere Baad Khalaon Jaisa.....

Kash Duniya Mery Ehsas Ko Wapis Kar De......
Khamoshi Ka Wohi Andaaz Sadaon Jaisa...

Paas Reh Kar Bhi Hamesha Wo Bohat Door Mila.....
Uska Andaz-e-Tagaful Tha Khudaon Jaisa.....

Phir Teri Yaad Ke MoKam Ne Jagaya Mehshar....
Phir Mere Dil Main Utha Shoor Hwaon Jaisa....

Baar'ha Khuwab Main Paa Kar Mujay Payasa "MOHSIN".....
Uski Zulfoon Ne Kiya Raqs Ghataon Jaisa.....!

Mujhe Khud Nahi Pata K Main kiya Chahti Hon


Mujhe Khud Nahi Pata K Main kiya Chahti Hon
Sazaa Chahti Hon ya Jazaa Chahti Hon,

Wo Pochay Jo Mujh Say Main Kia Chahti Hon
Main Keh Don Gi Hans K Wafa Chahti Hon,

Bohat hi Hein Piyasi Yeh Meri Nighahein
Tumhay inn Main Jalwa Numa Chahti Hon,

Gehray Hon Badal Barsay jo Barish
Kadam Ba Kadam Saath Chalna Chahati Hon

zara si dairr ko aye they khwab ankhon mein



zara si dairr ko aye they khwab ankhon mein
phir us k bad musalsal azab thay ankhon mein

wo jis k naam ki nisbat se raushan tha wajood
khatak raha hai wahi aftab ankhon mein

jinhen mata-e-dil-o-jan samajh rahe they ham
wo ainey bhi hue behijab ankhon mein

ajab tarah ka hai mausam k khak urti hai
wo din bhi they k khile the gulab ankhon mein

mere gazal teri wahshaton ki khair ki hai
bahut dinon se bahut iztarab thay ankhon mein

na jane kaisi qayamat ka peshkhema hai
ye uljhane teri be-intasab ankhon mein...!

usey yaad ker k na dil dukha, jo guzar gia wo guzar gia


usey yaad ker k na dil dukha, jo guzar gia wo guzar gia,
kahan lout ker koi aye ga, jo guzar gia wo guzar gia,

Nai subah hay, nai shaab hay, naya shahar hay, naya naam hai,
Woh chala gaya usay bhool jaa, jo guzar gia woh guzar gia,

Koi aye ga koi jaye ga, koi jaye ga koi aye ga,
Suno raston ki sada, jo guzar gaya wo guzar gia,

Teray paas tera habib hay, jo nahin mila woh naseeb hay,
Koi phool kehta hai muskura, jo guzar gaia woh guzar gia,

Mujhey pat jharon ki kahanian na suna suna kay udaas ker,
Naye mausamon ka pata bata, jo guzar gia wo guzar gia,

Yahan aetbar-o-yaqeen hai, yeh haqiqaton ki zameen hay,
Zara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gia wo guzar gia

Tumhara saath mil jaye to sab dukh bhool jaaon gi


Tumhara saath mil jaye to sab dukh bhool jaaon gi
woh kehti thi k her soorat tumhein apna banaon gi
nichawar khwaab ker don gi tumharay her ishaaray per
kabhi peepal ki chaaon men kabhi nadya kinaray per
tumhein thandak ata ker don gi ik barsaat ki maanand
bikhartay chaand jharnon men ujalti raat ki maanand
mujhay tum se muhabbat he men logon ko bataon gi
woh kehti thi k her soorat tumhein apna banaon gi
men chahon gi tumhein jaana umangon se ujaalon tak
khudi k dasht se lay ker naye janmoon k saalon tak
meri thandi si tanhaai sulagti raat jaisi ho
mujhay bas saath lay jaao bhalay baraat jesi ho
tumharay surkh jooray main hi dulhan ban k aaon gi
woh kehti thi k her soorat tumhein apna banaon gi...!

chala aata hai ek mast-e-shabaab aahista-aahista


chala aata hai ek mast-e-shabaab aahista-aahista
duaaeiN ho rahii haiN mustejaab aahista-aahista

haya kushta hooN maiN uThe naqaab aahista-aahista
sukooN se ham_baghal ho izteraab aahista-aahista

sharaab-e-naab de lekin zara ruk-ruk ke jhuk-jhuk ke
nigaah-e-mast kar mast-o-Kharaab aahista-aahista

khud apne husn ka parda hai noor-e-sarmadi teraa
bane jis tarah mehar apnii naqaab aahista-aahista

tasallii ki ye baateiN haiN, ke taRhpane ki baateiN haiN
khaamoshi, phir tabassum, phir Khitaab aahista-aahista

be_hamdillah shoKhii se hua sheer-o-shakar aaKhir
ghula mauj-e-tabassum meN hijaab aahista-aahista

mujhe kyaa niiNd aaegii ke ham-dam maiN ne dekhii haiN
woh aaNkheiN baNd hote, waqt-e-Khwaab aahista-aahista

shabaab-e-husn kii garmii meN hai raNg-e-hayaa shaamil
gul-e-aariz se khiNchtaa hai gulaab aahista-aahista

mohabbat raah kartii hai yooNhii mahboob ke dil meN
ke jaise nashaa kartii hai sharaab aahista-aahista

khulii jo aaNkh, ufaq par ek sitara jhilmilaata thaa
maiN samjha tha ke jaaega shabaab aahista-aahista

''Asar'' is tarah meN misra ''Walii'' ka to suna hogaa
"khitaab aahista-aahista jawaab aahista-aahista"

Mere ashkon ko palkon pe machalna bhi nahi aata


Mere ashkon ko palkon pe machalna bhi nahi aata
Hisaar-e-zabt se mujh ko nikalna bhi nahi aata

Gaye ho aisi raahon main akela chor ke mujh ko
Ke jin pe theek se mujh ko chalna bhi nahi aata

Mujhe lagta hai main gham ka woh sooraj hoon
Ke jis ko shaam ho jane pe bhi dhalna nahi aata

Na rehte muntazir tere to or kia karte ?
Hamen teri tarhan rastay badalna bhi nahi aata

Yeh dunya bhi jalati hai umar bhar unhi ko
Ke jin ko mom ki tarhan pighalna bhi nahi aata...!

Aey Dil Tu Mohabbat Karta Kyun Hai



Aey Dil Tu Mohabbat Karta Kyun Hai
Jo Karta Hai To Phir Tarapta Kyun Hai

Jo Beth Gaya Hai Dil Main Pyaar Ka Dard Ban Ke
Woh Aankhon Ke Raste Nikalta Kyun Hai

Main Tere Saath Hoon Har Raah Main Mujh Se Kehta Tha Woh
To Phir Aaj Yeh Raasta Mujhe Sunsaan Lagta Kyun Hai

Main Dharkan Hoon Us Ke Dil Ki Woh Kehta Tha Mujhe
Phir Aaj Uska Dil Mere Bina Dharakta Kyun Hai

Woh Mera Nahi Hai Yeh Jaanta Hoon Main Phir Bhi
Kisi Or Ke Saath Dekh Ke Us Ko Dil Machalta Kyun Hai

Ek Lamhe Me Unhone Zindagi Sawar Di


Ek Lamhe Me Unhone Zindagi Sawar Di,
Doosre Lamhe Me Unhone Zindagi Ujad Di,

Kusoor Unka Nahi Hamara Hai
Un Do Lamho Mein Hamne Zindagi Guzar Di.

Saza Dene Wale Raza Puchte Hain,
Jeene Ki Humse Wajah Puchte Hain,

Dete Hain Khud He Zahar Humko Aakar,
Phir Kitna Hua Hai Asar Puchte Hain,

Ye ajeeb marhalay haiN, Ye ajeeb silsilay haiN


Ye ajeeb marhalay haiN, Ye ajeeb silsilay haiN
ke jahaaN say hum chalay thay, ussi moR pe khaRay haiN

Wuhii raasta humaraa, hay wuhii daGar humaari
jo na jaaey manziloN tak ye wuhii tou raastay haiN

rahay saath saath har pal na gumaaN huwaa ye mil kar
jissey dostii thay kahtay wuh kuch aur sisliay haiN

ye saraab tou nahiN hay koii khawaab tou nahiN hay
zaraa aap hii bataaiN ye jo hum meiN faasilay haiN

nahiN mumkin uss ko paana tou phir uss say kyuN milaiN hum
karaiN justuju bhii kyuN hum issi soch meiN paRay haiN

teray naam zindgaani, hay yehii meri kahaani
merii zindagii meiN roshan terii yaad kay diye haiN

merii qurbatoN say pehlay, zara juratoN say pehlay
merii jaan soch lenaa keh ye raastay kaRay haiN

Thezeeb e Be-NaQaab Kii Aankhien Nikal Do


TheZeeb e Be-NaQaab Kii Aankhien Nikal Do
Us Qoum Key Shabab Kii Aankhien Nikal Do

Jis Ki Sada Ney WaQt Ko BeDaar Kar Deya
Us Saahib e Kitaab Kii Aankhien Nikal Do

Ab Manzil e Vaffa Ki ZarOorat Nahe Rahii
Har Azam e Kamyaab Kii Aankhien Nikal Do

Jis Ney Sma'atOun Ko Deya Dars e Be-KhUdii
Us NaGhma e rUbaab Kii Aankhien Nikal Do

Jis Mein Na Ho BaSeerat e InSaa'n Kii Chandni
Us SheeSha e Sharab Kii Aankhien Nikal Do

MakhmOor GaiSOoun Kii GhataOun Ka Wazn hAi
Pur nOor Mahtaab Kii Aankhien Nikal Do

"SaGhar" NiKhar Sakey Na Jhaan NiGhat e KhUdii
Us Qarya e gUlaab Kii Aankhien Nikal Do

Ankhon main sama jao, Is Dil main raha karna


AnkhOn main sama jao, Is Dil main raha karna
TarOn main hansa karna, PhoolOn main khila karna

Jab se tumhein dekha hai, Jab se tumhen paya hai
Kuch hOsh nahi mujhko, Ek nasha sa chhaYa hai
Ab baat jo karni ho, Aankhon se kaha karna

Aey kaash dharkta Dil, Kuch dair Thehar jaaye
Ye raat Mohabbat kii, U hi na Guzar Jaye
Baqi hai abhi tum par, Ye jaan fidaa karna
Aankhon main samaa jao, Is Dil main raha karna

Qismat na dikhaye ab, Ghariyan hUmein furqat ki
Har raat U hi chamke, Taqdeer Mohabbat ki

Aey chand sitaarOn tum mil jul k Dua karna
Aankhon main sama jaao, Is dil mein raha karna

Kuch asmaaN se aaye thay, kuch ghar se aaye thay


Kuch asmaaN se aaye thay, kuch ghar se aaye thay
Aur ham ke kha ke ThokareN, dar dar se aaye thay

Ek apni dushmani maiN wo dunya se chHup gaya
Sab log milnay jis haseeN paikar se aaye thay

Wo bazm-e-dostaaN maiN bhi poori na hosaki
Jis aarzoo maiN koo-e-sitamgar se aaye thay

Har roz kioN na daikhtay tum ham ko karb maiN
Har sub'h apni zaat ke mehshar se aaye thay

Jo haal poochHta hai, usay kaisay ye kahaiN
Sab zakhm ham ko us ke hi khanjar se aaye thay

Un ke muqaddaroN maiN faqat bad-tareen tha
Behter ki aarzoo maiN jo bad-tar se aaye thay

Apni khudi se be-khabar aisay bhi log thay
Qatray ki aarzoo maiN samandar se aaye thay

Aye kaash! daikh laitay wo ham se badal ke aaj
Shikwa jo kartay apnay muqaddar se aaye thay

AuroN ke saath in ko bhi khairaat mil na jaaye
Takheer se Saraab isi Dar se aaye thay

Us Ke Honton Ka Tabbasum Rahe Qayam Ya Rab



Us Ke Honton Ka Tabbasum Rahe Qayam Ya Rab
Us Ke Jeevan Main Khushiyon Ka Basera Kar de

Tu Meri Karb Ki Raaton Ko Bhale Khatam Na Kar
Us Ki Har Sham Ke Aakhir Main Sawera Kar de

Us Ke Dil Ke Kisi Konay Main Jaga De Mujh ko
Us Ki Ankhon Ko Mere Sapnon Se gehra Kar de

Yeh Mere Dil Ki Dua Hai Mere Maula Sun le
Saari Dunya Se Chupa Kar Usay Mera Kar de

Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain


Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain
So Uske Shaher Mein Kuch Din Thaher Ke Dekhte Hain

Suna Hai Ki Dard Ki Gahak Hai ChasmENaaz Uski
So Hum Bhi Uski Ghali Se Guzar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Rabt Hai Usko Kharab Haalon Se
So Apne Aap Ko Barbad Kar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Usko Bhi Hai SherOShairi Se Sharaf
So Hum Bhi Mozize Apne Hunar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Bole To Baton Se Phool Jhadte Hain
Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Din Ko Use Titliyan Satati Hain
Suna Hai Raat Kozugnu Thaher Ke Dekhte Hain

Suna Hai Hasr Hain Uski Ghzaal Si Aankhein
Suna Hai Usko Hiran Dast Bhar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Uski Siyah Chashmagi Qayamat Hai
To Usko Surma Farosh Aah Bhar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Aeena Tamsaal Hai Jabeen Us Kee,
Joo Sada Dil Hai Usay Ban Sawer K Dekhtay Hain

Suna Hai Us K Laboon Say Gulaab Jaltay Hain,
So Hum Bahaar Pay Ilzaam Dher K Dekhtay Hain

Suna Hai Us K Badan Kee Taraash Asi Hai,
Ki Phool Apni Qabaaeein Quter K Dekhtay Hain

Rokay To Gerdeshain Us Ka Tawaaf Kertee Hain,
Chalay To Us Ko Zamanay Thaher K Dekhtay Hain

Mubalgein Hi Sahi Sab Kahaniyan Hi Sahi
Agar Woh Khawab Hai Tabeer Kar Ke Dekhte Hain

Ab Us K Shaher May Thahray K Koooch Ker Jaaeein,
Faraaz Aaoo Sitaray Safer K Dekhtay Hain

Hai apne usoolon se pyar mujhe to


Hai apne usoolon se pyar mujhe to
samjha hai zamane ne khatawaar mujhe to,

har roz bulati hai mujhe raah badi ki,
roke hai meri rooh ka israar mujhe to,

jo shaqs na ho apne farayaz se muqhatib,
lagta hai faqat maut ka haqdaar mujhe to,

tohfa ye mujhe meri mohabbat ne diya hai,
tanhayi main rehne de giraftaar mujhe to,

har mulq ko sarhad main izaafe ki lalak hai,
lagte hain kisi jang k aasaar mujhe to,

dushman to hai dushman magar bahut kuch,
rehna hai habeebon se khabardaar mujhe to

Dil Main Teri Mahobbat Ke woh Khayalaat Nahin Hain


Dil Main Teri Mahobbat Ke woh Khayalaat Nahin Hain
Ashqon Main Sab Beh Gaye Koi Jazbaat Nahi Hain

Rishton Ki Bheed Mai Khud Se Ajnabee Hon Is Qadar
Doston Ko Pahchaan Sakon woh Nazar Saath Nahi Hain

Gham ne Meri Pith Par Khanjar Aise Hain Chuben
Mud Kar Bhi Aah Bhar Sakon woh Haalaat Nahi Hain

Raaton Ki Karvaton Se Maraasim Puraane Hain
Tere Khwaabon Ke Anjuman Ki Kaynaat Nahi Hain

Zikra Bhi Ho Tera Kahin To Jhook Jaati Hai Nigahen
Khamoshi Ke Siva Ab Labon Par Koi Baat Nahi Hain

Rona Bhi Agar Chaahon To Ro Bhi Na Paaunga Main
Gham Mai Habib Ashkon Ki Ab woh Barsaat Nahi Hai

Wo samne aye to Nazron ko Jhukaa loon ga


Wo samne aye to Nazron ko Jhukaa loon ga
Dekhoon ga nahi phir bhi Tasweer bana loon ga

Aana ho to aa jao Ruswayee nahi hogi
Dekhega nahi koi Palkon mai chupa loon ga

Jo Hum per guzarni hai ek bar guzar jaye
Her Gham ki tarha Tujh ko Seene se laga loon ga

Weeran agar Dil ho Aankhon mai Andhera ho
Yaadon ke Diye apni Palkon mai saja loon ga

Manzoor agar hogi Ruswayi Teri Mujh ko
Mai beth ke Sahil se Toofaan utha loon ga

Naraz agar wo hain Mere Nasheman se
Mai apne Nasheman ke Tinkon ko hata loon ga

Kyun Mujh se Khafa ho ker wo Door gaye
Baanhon mai wo aa jayaen mai un ko Mana loon ga

Aik aansu meri palkon pe numanyan hi sahi


Aik aansu meri palkon pe numanyan hi sahi
Laog kehtay hain charaghaan to charaghaan hi sahi

Hum ne har daor mein raaton se baghawat ki thi
Aaj pabandi-e-aaien shabistaan hi sahi

Meri taqdeer mein phoolon ka tassawur bhe mahal
Koi gulshan bakaf-o-khuld badamaan hi sahi

Mujh pe jo beet gai beet gai beet gai
Meri hasrat teray chehray se numayan hi sahi

Mar.ghaton per nai bunyaad-e-makan rakhain gai
Kar-e-tehzeeb Raqeeb-e-ser- o-samaan hi sahi

Kitni Aankhain huien be nar tujhay kiya maloom
Kar-e-nazarah teri bazm mein asaan hi sahi

Jabr Ke Zulm Laye huway san.natay mein
Koi shorsh koi halchal koi toofaan hi sahi

Yeh bhe kya kam hai ke hum chonktay hain jagtay hain
Zindegi silsila-e-khuwaab perishaan hi sahi

Bhairriyon ko nah yeah tareekh khula choray gi
Bhairriye asmat-e-aadam ke nigehbaan hi sahi

Zulm har rang mein pehchaan liya jaye ga
Tera daman hi sahi mera girebaan hi sahi...!

Pyaar ka meetha "Ehsaas" dilane laga hai tu



Pyaar ka meetha "Ehsaas" dilane laga hai tu
Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu

Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadar
Har pal har jagah nazar aane laga hai tu

Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle
Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu

Har pal mujhe hota hai bas tera hi "Ehsaas"
Is qadar meri saansoN mein samaane laga hai tu

Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main
Hoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu

Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan
Ke ban saaya saath mere aane laga hai tu

Naam koi bhi looN to naam aaye tera labooN pe
Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu

Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar mera
Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein samaane laga hai tu

Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati hai
Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu

Tasvvur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey
Chorr k duniya meri baNhooN mein samaane laga hai tu

Yeh to bata ke kya naam dooN iss deewangi ko
Bechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga hai tu

Tere khayalooN se mehekne lagti hai zindagi meri
Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu

Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri
Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu

Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf
Apney pyaar ki barish ko barsane laga hai tu

Kya is baat ka tujhey "Ehsaas" hai "Jaan"
Mere har sher mein har Gazal mein aane laga hai tu.

Tu wafa kar wafa ka sila wafa jaany khuda jaany


Tu wafa kar wafa ka sila wafa jaany khuda jaany
too diya jalaaty rahna hawa jaany khuda jaany

khizan ka khauf maali ko buzdil nahen kar sakta
chaman aabad rakh baad-e-saba jaany khuda jaany

Mareez-e-ishq dawaey dil samajh dilbar ko
Maraz jaany dawa jaany Shifa jaaany khuda jaaany

Tum mujhe pyari ho ab bhi yeh aas mat rakhna



Tum mujhe pyari ho ab bhi yeh aas mat rakhna
Haseen lamhay jo guzray hain pass mat rakhna

Jo gham mila mujhe tum se woh ek khazana hai
Tum apne paas magar yeh asaas mat rakhna

Tumhare pyare hi ho jayenge baadzan tum se
Tum apne lehjay main itni mithaas mat rakhna

Hazaar gham se hai barh kar gham-e-tanhai magar
Tumhen milonga dobara yeh aas mat rakhna

Hamesha khush raho chahe kisi ke sath raho
Kabhi MERA tum khauf-o-hiraas mat rakhna

Daldal thi zindagi so dhansta chala gaya



Daldal thi zindagi so dhansta chala gaya
Main apni bebasi pe yun hi hansta chala gaya

Pehle dikha raha tha mujhe manzilon ke khawab
Phir mere saamnay se woh rasta badalta chala gaya

Main ro para tha jis ki judai ko soch kar
Woh shakhs mere haal pe hansta chala gaya

Main khud lipat gaya tha jise Dost jaan kar
Woh saanp ki tarhan mujhe dasta chala gaya

Yeh zaat yeh firqay to ek bahana tha


Yeh zaat yeh firqay to ek bahana tha
Usay to yun bhi mujhe chor kar hi jana tha

Hum us ke ghar ko hi apna sada samajhte rahe
Par us ka to har mor par aashiyana tha

Qasoor us ka nahin woh bhi ho shayad Majboor
Ya us ki Fitrat main hi dil dukhana tha

Mujhe talab thi faqat us ke pyar ki lekin
Or us ki chahat to saara zamana tha

Ansu'oon ! Shaam ki Palkon Pe Larazty Rehna


Ansu'oon ! Shaam ki Palkon Pe Larazty Rehna..!
Dob Jaye Jo Ye Manzar To Barastay Rehna!

Us ki Aadat Wohi Her Baat Adhori karna.!
Or Phir Baat ka Mafhom Badaltay Rehna!

Aaj Se Seekh Lia Hai Ye Qareena Hum Ne.!
Bujh Bhi Jana To Bari Dair Tak Sulagtay Rehna..!

Jany kis Umer Main Jaye Gi Ye Aadat Us ki..!
Rothna Khud Se To Auron Se Ulajhtay Rehna

us ko ehsaas ki khushboo say rihaa karna tha


us ko ehsaas ki khushboo say rihaa karna tha
Phool ko shaakh say khiltey he juda karna tha

Poch Barish say woh hanstey huwe roaii kiun hae
Mosam ous ney toh nashaa bar zarah karna tha

Talkh lamhey nehi deity hain kabhi piyasoon ko
Saans kay sath na zeihar ab rawah karna tha

Kis Qadar garam hai shaamon ki khanak ranngini
Mujhy ko luuh say kisi chehrey pe rawa karna tha

Chaand pura tha ousey yoon bhi na taktey shab bhar
Yoon bhi yaadon ka har ik zakham hara karna tha

Dono simaaton ko he murna tha mukhalif janib
SAth apna humain shairoon mein likha karna tha

Kurbb say aai hai NAINA mein yeh neelahat bhi
Dard ki neeili raghain dil mein rakha karna tha

pal Bhar Main Tamam umer ki sochain Badal jati Hain



pal Bhar Main Tamam umer ki sochain BaDal jati Hain
jin Rahon Pe chalte Hain wohi Rahein BaDal jati Hain

karney ko kia nahi Karte log MuhaBBat Main
sirf Hamare liye He kyun Rasmein BaDal jati Hain

Woh Aisa Hia k us k Naam sunne k Tasawwer Se He
Hamari Tamaam Tar Saatein BaDal jati Hain

sochti Hoon jane kaise Keh Paoon gi Main us se
Milti Hoon To Dil ki sari Batein BaDal jati Hain

Chahe Manzil Dushwar Ho Aur Door Bhi
Humsafer us jaisa Ho To Musaftein BaDal jati Hain

Yoon to Raat ka Alam Haseen Hota Hia Madhosh Bhi
Magar chand Dekhoon To Mari Ratein BaDal jati Hain

Mat chaho k Mujhe Aadat Nahi itna chahne walon ki
Yeh Na Ho log kahein jald He Adatein BaDal jati Hain

ik Khalish ko haasil-e-umr-e-ravaaN rahne diyaa


ik Khalish ko haasil-e-umr-e-ravaaN rahne diyaa
jaan kar ham ne unhein naameharabaaN rahne diyaa

kitanii diivaaron ke saaye haath phailaate rahe
ishq ne lekin hame.n beKhvaanamaaN rahne diyaa

apane apane hausale apanii talab kii baat hai
chun liyaa hamne unhein saaraa jahaaN rahne diyaa

ye bhii kyaa jiine men jiinaa hai baGair un ke "Adeeb"
shama gul kar dii gaii baaqii dhuaaN rahne diyaa ..

Chup Rehta Hai Wo Or Aankhain Bolte Rehti Hain,



Chup Rehta Hai Wo Or Aankhain Bolte Rehti Hain,
Or Kia Kia Bheed Nazar Ke Kholti Rehti Hain.

Wo Hath Mere Ander Kia Mousam Dhondhta Hai,
Wo Ungalian Kia Khuwab Tatolti Rehte Hain.

Ekk Waqt Tha Jab Yahe Chand Tha Sanata Tha,
Or Ab Yahe Shamain Moti Rolte Rehte Hain.


Yaad Aati Hain Os Ki Piyaar Bhari Batain Shab BHar,
Or Sare Jism Main Amrit Kholti Rehte Hain.

Qissa-e-gham mein tera naam likha hai


Qissa-e-gham mein tera naam likha hai,
Ashk ke kataron se yeh kalam likha hai,

Uff humein chedne ki yeh ada to dekhaye,
Ghair ko khat mein hamein salaam likha hai,

Ek nigah is taraf ke tishnagi bhuji nahi,
Phir qabool sab aap ne jo anjaam likha hai,

Koi padh na le mere gham ke afsane ko,
Aap ki ankhoon mein sab tamaam likha hai,

Kiya karein taaruf apna, aap se doston,
Humne to takhalus apna "nakaam" likha hai...

kyaa ye bhii zindagii hai ki raahat kabhii na ho


kyaa ye bhii zindagii hai ki raahat kabhii na ho
aisii bhii to kisii se mohabbat kabhii na ho

vaadaa zaruur karate hai.n aate nahii.n kabhii
phir ye bhii chaahate hai.n shikaayat kabhii na ho

shaam-e-visaal bhii ye taGaaful ye beruKhii
terii razaa hai mujhako masarrat kabhii na ho


ahabaab ne diye hai.n mujhe kis tarah fareb
mujhasaa bhii ko_ii saadaa tabiiyat kabhii na ho

lab to ye kah rahe hai.n ke uTh, ba.Dh ke chuum le
aa.Nkho.n kaa ye ishaaraa ke jurr'at kabhii na hO

dil chaahataa hai phir vahii fursat ke raat din
mujhako to tere Khayaal se fursat kabhii na ho

Najane q meri shairi ka unwan ban jate ho tum


Najane q meri shairi ka unwan ban jate ho tum
Sub kuch jante howe bhi anjan ban jate ho tum

Na koi rishta hay tum se na koi talluk
phir bhi na jane q mera man ban jate ho tum

Me jo bhi likhta hon bat zara qarene se
Mera geet meri shaira mera deewan ban jate ho tum

Dil se jo nikalti hai, labon pe aa k dum tor deti hay
Woh tamanna, wo hasrat wo arman ban jate ho tum

Main lakh karon koshish tum se tark-e-tlluq ki
Phir bhari mehfil main meri pehchan ban jate ho tum

mujhe dil se,na bhulana,chahe roke yeh zamana

mujhe dil se,na bhulana,chahe roke yeh zamana
tera bin mera jiwan kuch nahiiii
tera bin mera jiwan kuch nahiiii
kuch nahi
kuch nahi
kuch nahi
mujhe dil se,na bhulana,chahe roke yeh zamana
tera bin mera jiwan kuch nahiiii
tera bin mera jiwan kuch nahiiii
kuch nahi
kuch nahi
kuch nahi

jub se dekha tujhe 
kuch na chaha sanam 
sub kuch mujhe mil geya
sub kuch mujhe mil geya
aur chahoon kia khuda say 
kia aur mangoon dua aaaa oooo aaaaa
tera bin mera jiwan kuch nahiiii
tera bin mera jiwan kuch nahiiii
kuch nahi
kuch nahi
kuch nahi
main abhi rastoon say guzarta hoon 
jahan diloon meh phool khilay thay
tumara hasna phir kabi miltay chupana 
main yeh kabi nahi bhool na paoon ga i love u always
phool ban kar khilay 
ghum na koi milay 
tu muskurata rahay
tu muskurata rahay
yeh dua hai mera jiwan jitna hai tujhko milayyy oooo hoooo aaaa
tera bin mera jiwan kuch nahiiii
tera bin mera jiwan kuch nahiiii 
tera bin mera jiwan kuch nahiiii
kuch nahi
kuch nahi
kuch nahi

kuch nahi

kuch nahi  

Popular Posts