Sunday, July 11, 2010

Aaj to mera dil kehta hai, Tu is waqt akela hoga


Aaj to mera dil kehta hai, Tu is waqt akela hoga
bachapan ki yaadoN ka Dil MaiN, lagaa ek Mela hoga.

Bheeg chaleeN ab raat kee palke, Tu ab thak kar soya hoga
Rail kee gehree seetee sun kar, Raat ka jangal goonja hoga.

Sheher ke khalee station par, Koi musafir utra hoga
Aangan me phir chidiyaaN boleeN, Tu ab so kar utha hoga.

YadoN kee jaltee shabnam se, Phool sa mukhda dhoya hoga
Motee jaisee shakl bana kar, Aaeene ko takta hoga.

Shaam hooee ab tu bhee shayad, Apne ghar ko lauta hoga
Neelee dhundlee khamoshi maiN, Taron kee dhun sunta hoga.

Mera saathi shaam ka taaraa, Tujh se aankh milata hoga
Shaam ke chalte haath ne tujh ko, Mera salaam to bhaija hoga.

Pyasee kurlaatee koonjon ne, Mera dukh to sunaya hoga
MaiN to aaj bohot roya hooN, Tu bhee shayad roya hoga.

MaiN to tera meet purana, Tujh ko yaad to ata hoga
Dil Main mujh ko yaad karke, Tu bhi to Muskuraya hoga.

No comments:

Popular Posts