Monday, June 14, 2010

Suna hai rayegaani ki kahaani likh rahe ho tum


Suna hai rayegaani ki kahaani likh rahe ho tum
Kahaan se lafz laaogay
Ibaarat kya banaaogay
Jo lehjay mein hai dukh ka zaiqa
Kaise chupaogay?
Agar thehreer likhogay
Muhabbat ki gawaahi se
Judae ki seyaahi se
Qalam ki aankh royegi
Sabhi asloob
Saray ist'eaaray rooth jayenge
Jo dil per band baandhay hain
Woh saaray toot jayenge
Kisi likh kar mutaee satar per
Jab dheyaan thehrayga
Tu ek be-naam rishta
Zeest ka unwaan thehray ga
Ussay jhutlaaogay kaisay
Bayaan kar paaogay kaisay?
Azzeyyat ke hawaaloon ko
Muhabbat ki musaaloon ko
Kisi kirdaar ke dil per paray
Zakhmoon ko, chaaloon ko
Bikhartay khwaab likhogay
Kahaani mein jahaan per hijar ka tum baab likhogay
Kahoo hai taab?
Likhogay?
Kahaani mein umooman aakhri safhay pe aa kar hi
Diloon ke chaak siltay hain
Ya wirsay dukh ke miltay hain
Magar tum khol bethay ho yeh safha shaam se pehlay
Muqaam-e-sabar se pehlay
Hadd-e-ilzaam se pehlay
Kahaani khatam hi karni hai gar
Anjaam se pehlay
Tu yeh bhi faisla kar do
Ke hum likhain tu kya likhain
Tumhare naam se pehlay ...

Ek Khwahish Hai, Jhalak Mil Jaye Us Chehre Ki


Ek Khwahish Hai, Jhalak Mil Jaye Us Chehre Ki,
Ke Is Deedaar Ke Baad Koi Tamanna Na Rahe

Ek Khwahish Hai, Us Dil Tak Pohoche Ye Sadaayein,
Ke Do Dilon Ki Dhakano Mein Koi Doori Na Rahe

Ek Khwahish Hai, Rishta Jur Jaye Us Naam Se,
Ke Phir Juda Rehne Ki Koi Majboori Na Rahe

Ek Khwahish Hai, Woh Pyar Mile Unse,
Ke Is Dil Ki Koi Aur Aarzoo Na Rahe

Ek Khwahish Hai, Woh Haath Thaam Le Is Tarah,
Ke Phir Is Dil Ki Koi Kamzori Na Rahe

Ek Khwahish Hai, Tanhaii Mein Uska Saath Mile,
Ke Phir Kisi Mehfil Ki Zaroorat Na Rahe

Ek Khwahish Hai, Maut Aa Jaye Unki Baahon Mein,
Ke Phir Zindagi Se Koi Shikayat Na Rahe

ab teri yaad se wehshat nahi hoti mujhko


ab teri yaad se wehshat nahi hoti mujhko
zakhm khulte hain aziyat nahi hoti mujhko

ab koi aaye,chala jaye main khush rehta hon
ab kisi shaks ki aadat nahi hoti mujhko

aesa badla hon tere shehr ka paani pee kar
jhoot boloon to nadamat nahi hoti mujhko

hai amaanat mein khayaanat,so kisi ki khatir
koi marta hai to hairat nahi hoti mujhko

itna masroof hoon jeene ki hawas mein Mohsin
saans lene ki b fursat nahi hoti mujhko . . .

Wo raah badalney main hawaon ki tarah tha

Wo raah badalney main hawaon ki tarah tha
Jo shakhs karri dhoop main chaaon ki tarah tha

Ek wo tarahdaar bahaaron se ziyada
Ek main ke ziyaankar khizaon ki tarah tha

Ik wasl ki janat main guzara huva lamha
IK hijr ke dozakh ki sazaon ki tarah tha

Us shakhs ki manzil thi kahin qaaf ke aagey
Main raah main partey kisi gaaon ki tarah tha

Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga


Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga

Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga

Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaiee Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga

Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap
Dekhna Aik Din Sanam Aapko Pashtaana Hoga

Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaounga
Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga

Abhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K Aap
Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga

Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aai Sanam
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga

Kuch log sitam karne ko tayyar bethe hain

Kuch log sitam karne ko tayyar bethe hain 
kuch log magar humpe dil har bethe hain 

iss kashmakash main pehchane nahi jate 
kahan dushman or kahan dost yar bethe hain 

ishq ko aag ka darya hi samjh lijyeh huzoor 
koi iss paar to koi uss paar bethe hain 

kon kehta hai k iss sheher main saare hain bewafa 
humare samne wafadar do chaar bethe hain 

kal tak jinhein hasrat thi humein badnam karne ki 
aj wahi log apne kiye pe sharamsar bethey hain 

duniya se rooth jane ki khuwahish hai humari 
kya karoon iss khuwahish pe pehredaar bethey hain

Hijr ki tanha raaton mein

Hijr ki tanha raaton mein 
Hum nay tum ko yaad kiya 
Andheron mein ujalon mein 
Hum nay tum ko yaad kiya 
Bheegi bheegi barsaton mein 
Hum nay tum ko yaad kiya 
Mehaki huai baharon mein 
Hum nay tum ko yaad kiya 
Apni en ruswayiyon mein 
Hum nay tum ko yaad kiya 
Rang barangi shaamon mein 
Hum nay tum ko yaad kiya 
Mohabaton mein sirf soocha tumhay 
Nafraton kay toofanon mein 
Hum nay tum ko yaad kiya 
Khoye huay khuwabon mein 
Hum nay tum ko yaad kiya 
Chahaat kay gulistanon mein 
Hum nay tum ko yaad kiya 
Tanha chaltay rahoon mein 
Hum nay tum ko yaad kiya 
Jeewan ki khathan musafaton mein 
Hum nay tum ko yaad kiya 
Khushi kay tamaam lamhon mein 
Hum nay tum ko yaad kiya 
Khilkhilatay huay mausamon mein 
Hum nay tum ko yaad kiya 
Aksar apni fursoton mein mani 
Hum nay tum ko yaad kiya 
Hijr ki tanha raaton mein 
Hum nay tum ko yaad kiya 
Andheron mein ujalon mein 
Hum nay tum ko yaad kiya

Guzar gaee raat aankhon aankhon main


Guzar gaee raat aankhon aankhon main 
Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main 

Sadiyoun say piyaasi thee mohabbat 
Ho gaee bersaat aankhon aankhon main 

Mil na saka tha dil kabhi dil say 
Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main 

Ahad-e-wafa or qasmoon ki bhi 
Ho gaee shuruaat aankhon aankhon main 

Day diya dil aik doojay ko 
Ho gaee soghaat aankhon aankhon main 

Sab rasmoon riwajoon ko Saqi 
Ho gaee maut aankhon aankhon main 

Apna Ehsas mar na jaye kahin


Apna Ehsas mar na jaye kahin 
Dard had se Guzar na jaye kahin 

Un ko dekhey hoye hoi Sadyan 
Un ka Chehra bikhar na jaye kahin 

Ab k Awaz doon to aa jana 
Dil Deewana Sudhar na jaye kahin 

Un ka Wada to hai magar Dil ko 
Darr hai k kafir mukar na jaye kahin 

Dard, Jugnoo, Hawa, Giley Shikwey 
Yeh Mukaddar Sanwar na jaye kahin 

Meri Dunya hai Dard ki Surat 
Gul ki Surat Nikhar na jaye kahin 

Khak se Aab tak to aa pohnchey 
Ab yeh Darya Utar na jaye kahin 

Yeh Mohabbat b ek Bala theri 
Hum ko Darr hai wo Darr na jaye kahin 

Is liye Muskuraye phirta hoon 
Un ki Aankh b na bhar jaye kahin 

Dil se guzra to hai magar Saqi 
Apni Jaan se guzar na jaye kahin 

Muje Pyar Ki Nishani Tum Se Mili


Muje Pyar Ki Nishani Tum Se Mili
Mere Andaz Ko Shola Byaani Tum Se Mili

Hum Ne Tou Kabi Socha Be Na Tha
Achanak Muquder Ki Kahani Tum Se Mili

Jise Mar Kar Be Na Bhool Paaon Ga
Aisi Mohabat Bhri Zindgani Tum Se Mili

Mein Kaise Bhula Doon Wo Haseen Yadein
Wo Jo Ik Shaam Suhaani Tum Se Mili

Asghar Ko Sdaa Mili Khusuian Tum Se
Muje Koi Na Pareshaani Tum Se Mili

Meri Ankhoon Mein Basay Ho Tum


Meri Ankhoon Mein Basay Ho Tum
Ek Dua Ban Kar
Tumhein Zindagi Bhar Yunhi Chahoongi
Aitbaar Karo
Mere Hathoon Par Likha Hai Tumhara Naam
Chahat Kai Rangoon Nai
Isai Dharkan Mein Basaoongi
Aitbaar Karo
Meri Har Soch Mein Shamil Hai Khayal Tumhara
Isai Sansoon Mein Rachaongi
Aitbaar Karo
Yun To Har Pal Tum Rehtay Ho Mere Hi Sath Humdum
Tumhein Saibaaan Mein Banaoongi
Aitbaar Karo
Hai Laboon Par Mere Jo Naam Tumhara Hai
Tumhein Apna Mein Banaoongi
Aitbaar Karo
Hain Kathin Rah-E-Wafa Janaa To Kya Hota Hai
Dil Jala Kar Mein Nibhaoongi
Aitbaar Karo
Mujhe Tumse Hai Mohabbat Tumhein Khabar Hai Yeh
Mein Isai Zindagi Mein Laoongi
Aitbaar Karo
Tumhara Hi Chehra Basa Hai Meri In Ankhoon Mein
Tumhein Tabeer Banaoongi
Aitbaar Karo
Tumhein Pakar Ho Jai Gi Sehal Zindagi Meri
Yehi Dua Bus Mangoongi
Aitbaar Karo
Kabhi Khawaboon Mein Kabhi Khayaloon Mein
Kehti Hoon Tumse Yehi
Mein Zindagi Tum Sang Sajaoongi
Aitbaar Karo

Wo Tum Thay Ya Ek Khayal Tha


Wo Tum Thay Ya Ek Khayal Tha
Mari Soch Ka Hi Kamal Tha

Wo Muhabbatein , Wo Chahaten
Mari Uljhano Ka Hi Jaal Tha

Mujhe Jawab Jis Ka Mila Nahi
Wo Aisa Hi Ek Sawal Tha

Wo Aj Gaya To Ehsaas Hua
Kis Qadar Mujhe Us Se Pyar Tha

Ab Uski Kya Main Misaal Doon
Wo Apni Misaal Aap Tha

Dard Kia Hota Hai Batain Gain Kisi Rooz

Dard Kia Hota Hai Batain Gain Kisi Rooz
Kamal Ki Ghazal Tum Ko Sunain Gain Kisi Rooz

Thi Un Ki Zidd Ke Main Jaoon Un Ko Mananay
Mujh Ko Yeh Veham Tha Woh Bolain Gain Kisi Rooz

Qasam se Main Nay Tu Soocha Bhi Nahin Tha
Woh Itna Merey Dil Ko Dukhain Gain Kisi Rooz

Har Rooz Aainay Say Yeh Hi Poochta Hoon Main
Kia Rukh Pay Tabbassum Bhi Sajain Gain Kisi Rooz

Urrnay Do In Parindoon Ko Azaad Fiza Main
Tumharay Hoon Gain Agar Lout Ke Ayein Gain Kisi Rooz

Apnay Sittam Ka Dekh Lena Khud Hi Assar Tum
Zakhm-E-Jigar Tamaaam Dekhain Gain Kisi Rooz"

hairat se tak rahaa hai jahaan-e-vafaa mujhe



hairat se tak rahaa hai jahaan-e-vafaa mujhe 
tum ne banaa diyaa hai mohabbat mein kyaa mujhe 

har manzil-e-hayaat se gum kar gayaa mujhe 
murD murD ke raah mein vo teraa dekhanaa mujhe 

kaif-e-Khudii ne mauj ko kashtii banaa diyaa 
hosh-e-Khudaa hai ab na Gam-e-naaKhudaa mujhe 

saaqii bane huye hain vo 'Sagar' shab-e-visaal 
is vaqt koii meri kasam dekhataa mujhe

Dharkano Ki Tarhan Meri Har Saans Main


Dharkano Ki Tarhan Meri Har Saans Main
Pyar Apna Basane Ka Waada Karo

Rang Jitne Tumhari Mohabbat Ke Hain
Mere Dil Main Sajane Ka Waada Karo

Sirf Lafzon Se Iqraar Hota Nahi
Ek Janib Se Hi Pyar Hota Nahi

Main Tumhen Yaad Rakhne Ki Khaon Qasam
Tum Mujhe Na Bhulane Ka Waada Karo

Aye Mere Khamosh Sathi Tu kiyoun itna udas hai


Aye Mere Khamosh Sathi
Tu kiyoun itna udas hai 
Tujhe to Khuda ne nemat ata ki hai 
Logon ko hansane ki
Ye tere ansu
Jinhain log dekhne se ghafil hain
Jo apni khushi mein magan hain
Jo apni hasti mein khain gum hain
Tu kiyoun enko khojta hai 
Tu kiyoun enko dhundta hai
K tu to shuru se akaila hai
Aur akhir tak akaila hai
K ye khushi jo do pal ki hai
Tu bhi es mein khush hoja
Aur ji le sari zindagi
Tu kiyoun itna udas hai 
Tu kiyoun afsurda hota hai
K ye to hain musafir apni hi zindagi k
K najane ye safar kab khatam ho jaye
Phir baqi reh jayege aik ehsas
K Ehsasa To Hota Hai Kisi K Jane K Baad
Ye waqt ki rait jo hathon se phisal rahi hai
Kahin tham na jaye
Tu Khush hoja 
Aur ji le ye Sham
K kahin waqt guzar na jaye
Aye mere Khamosh Sathi
Aao es Sham k andhere mein
Hum donon beth k batain karain
Koi bhi na ho hamare aas paas
Kuch tum shikwa karo 
Kuch hum tum ko manayein
Ye mosam to badal jayega
Magar hum na badlenge
K ye waqt to chala jayega
Magar hum yahin rahenge
Aye Mere Khamosh Sathi........!!

lab-e-khamosh se izhar-e-tamanna chahe


lab-e-khamosh se izhar-e-tamanna chahe
bat karne ko bhi taswir ka lahja chahe

tu chale sath to ahat bhi na aye apni
darmiyan ham bhi na ho yun tujhe tanha chahe

zahiri ankhon se kya dekh sakega koi
apne baton pe bhi ham fash hona chahe

jism-poshi ko mile chadar-e-aflak hamain
sar chupane k liye wusat-e-sehra chahe

khwab main roye to ehsas ho sairabi ka
ret par soyen magar ankh main dariya chahe

bhent char jaun na main apne hi khair-o-shar ki
khun-e-dil zabt kare zakhm tamasha chahe

zindagi ankh se ojhal ho magar khatm na ho
ek jahan aur pas-e-parda-e-duniya chahe

aj ka din to chalo kat hi gaya jaise bhi kata
ab Khuda-bande se khairiyat-e-farda chahe

aise tairak bhi dekhe hain 'Muzaffar' hamne
garq hone k liye bhi jo sahra chahe

tera dard tha, teri aas thi


tera dard tha, teri aas thi, main jahan gaya, main jidhar gia
mera din to yunhi guzar gaya, junhi sham hui main bikher gia

is abar ka merey yaar se kitna milta jiulta mizaj tha
kabhi toot ker bikhar gaya, kabhi bey'rukhi sey guzar gia

koi baat bhi na keh saka , bus thori dair ka sath tha
tu mila tha raat khawab main, junhi subah hui bichar gia

jab chorr dun ga woh gali, tujhay yaad aaye gi tab meri
mujhe dhunde ga tu gali gali, aur khabar miley gi main mar gia

Tera chehra in aankhon se bhulaya bhi nahi jaata



Tera chehra in aankhon se bhulaya bhi nahi jaata,
Aise khela hai iss dil se bataya bhi nahi jaata, 
Tera aana,chale jaana,mohabbat mein yoon tadpaana,
Kis se sikha mere saathi,kar ke waada mukar jaana, 
Tumne likha jo iss dil pe mitaya bhi nahi jaata
Sunayein bhi kisi ko kya,batayein bhi kisi ko kya,
Sabhi ko ishq ne loota, koi gam se bacha hai kya,
Chhupayein kaise dil mein gam chhupaya bhi nahi jaata,
Tera chehra in aankhon se bhulaya bhi nahi jaata.

Teri Aankhein Tera Chehra jo mere robaroo nahee rehtay


Teri Aankhein Tera Chehra jo mere robaroo nahee rehtay!! 
Suno janaan tum meri aankhon ko apnay lams sai zinda kar do
ik baar phir in k aaninon mein apna chehra kar do
k ik mudat hui ye saktay mein hein ,in ka dukh nahee rota 
in mein kisi khuwab ka hadisa ab nahee hota
k ye khuwab meri aankhon sai ab surkhuroo nahee rehtay
Teri Aankhein Tera Chehra jo mere roobaroo nahee rehtay..!!
zabt ki shaakh sai toot girtay hein jab ye aansoo
dundhla kar daitatay hein har nazaray ko
tere aansoo chootay hein jab meri aankh k kinaray ko
lahoob ban jatay hein ye ansoo ansoo nahee rehtay
Teri Aankhein Tera Chehra jo mere roobaroo nahee rehtay..!!
duaon k hathon mein kabooliat ki zanjeer nahee parhti
aansoo bikhar jatay hein par jazbon mein taseer nahee utarti
sisaktay hein mere labon pai aa k harf e duua
bai maani ho jatay hein ye alfaaz mehv e justajoo nahee rehtay
Teri Aankhein Tera Chehra jo mere roobaroo nahee rehtay..!!
raah e zeest mein bikhri chaar soo ye tere hijar ki gird janaan
jaisay kisi ajnabi deewar sai lipti ho koi amar bail
aisay hi meri zaat sai liptay hein ye dard janaan
likh dia jo kaatib nay to phir mein ye kaisay keh doon
dukh dard ko meri zaat ki talab nahee ye mehv e aarzoo nahee rehtay
Teri Aankhein Tera Chehra jo mere roobaroo nahee rehtay..!!
tu jo bichra hay to raat k seenay pai sar rakh kar so nahee sakti
tujh ko kho kar sab kho dia ab to kuch bhi kho nahee sakti
ik tera hath chootnay sai fakat tera sath chootnay sai
khuwab k jugnoo ab meri aankh sai mehv e guftagoo nahee rehtay
Teri Aankhein Tera Chehra jo mere roobaroo nahee rehtay..!!
hum jo chaand ki kirnon sai tera aks buna kartay thay
teri aankhon sai aksar sitaray chuna kartay thay
teri saanson ki hidat sai jala kartay thay zeest k jugnoo
suno ab to ye kaafilay roshni k mere chaar soo nahee rehtay
Teri Aankhein Tera Chehra jo mere roobaroo nahee rehtay..!!
suno khizan rut yoon jazbon mein thehar gayee hay
hairat kia hay jo baat meri bikhar gayee hay 
titlion k rang utartay nahee lab o lehjay mein
orhtay nahee jo lams tera mere alfaaz sarapae khushboo nahee rehtay
Teri Aankhein Tera Chehra jo mere roobaroo nahee rehtay!!!!

Zakhm Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Zakhm Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Dard Bhool Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Shabnami Sitaroon Per Phool Khilne Lagte Hen
Chand Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Umar Kat Di Lakin Bachpana Nai Jata
Hum Diye Jalate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Teri Yaad Aaye To Neend Jati Rahti Hai
Hum Khushi Manate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Ab Bhi Teri Aahat Per Chand Muskurata Hai
Khwab Gungunate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Tere Hijr Me Hum Per Ik Aazab Taari hai
Chonk Chonk Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Ab Bhi Teri Aahat Per Aass Lout Aati Hai
Ashq Hum Bahate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN


YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN 

Yaadon Key Khuwaab Dikhati Hain 
Mujhey Saari Raat Jagati Hain 
Kab Dil Ke Raaz Chhupati Hain 
Palkon Ke Dareechey Kholti Hain 
Kuch Apni Zaban Main Bolti Hain 
Bas Apni Baat Manwati Hain 

YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN 

Ek Aan Main Faisla Karti Hain 
Yeh Kab Ruswayi Se Darti Hain 
Yeh Ghungroo Baandh Nachati Hain 
Her Waqt Yeh Jaagti Rehti Hain 
Ek Khoj Main Bhaagti Rehti Hain 
Thak Haar Ke Wapis Aati Hain 

YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN 

Chupkey Sey Kahin Larr Jaati Hain 
Phir Khuwabon Sey Bhar Jaati Hain 
Jab Tootey Shor Machati Hain 
Yeh Royen To Dil Bhi Rota Hai 
Kab In Se Judda Yeh Hota Hai 
Yeh Dil Ko Rog Lagati Hain 
Kyun Pyaar Pey Pachtati Hain 

YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN

Chaloo dard kii intehaa talaashtey heyn


Chaloo dard kii intehaa talaashtey heyn
rag rag mein nass nass mein
ban key lahoo dour raha hey
chaloo dard kii intehaa talashtey heyn
tumharii 
yaadoon sey 
baatoon sey 
wisaal lamhoon sey
chahtoon sey
jurra hey
chaloo dard kii intehaa talashtey heyn
judaii kii azeyatoon kaa
namm aankhoon kaa
bheegtii raatoon ka
boojh zaraa baanttey heyn
chaloo dard kii intehaa talashtey heyn
goo key ye aag hey
jall key aur bhee mahmeez hoona hey issey
hooney doo
qistoon qistoon mein marneyn sey behter hey
jalley ye 
itnaa jalley key raakh hoo jaeyey
khaak hoo jaeyey
chaloo dard kii intehaa talashtey heyn

Ae maut kaash tujhe bhi kabhi aa jaati maut


Ae maut kaash tujhe bhi kabhi aa jaati maut...

...to zindagi yun hairaan na reh jaati
aankhein yun veeran na reh jaati
kuch khwab haqeeqat to ban jaate
aur kuch khwab bas khwab hi na reh jaate
Ae maut kaash tujhe bhi kabhi aa jaati maut...

Ae maut kaash tujhe bhi kabhi aa jaati maut ...
...to kuch lamhe yaadein na ban jaati'n
aur kuch yaadein bas beeti hui baatein na ban jaati'n
khwahishein meri kuch aur nikal jaati'n 
hasratein saari yun dil mein na reh jaati'n
Ae maut kaash tujhe bhi kabhi aa jaati maut...

Ae maut kaash tujhe bhi kabhi aa jaati maut...
...to pyar mera yun adhoora na rehta
dil mera phir khaali na hota
aankhein na talashti kisi ko 
ashk palkon par hi na tham jaate
Ae maut kaash tujhe bhi kabhi aa jaati maut...

Rooh jab wajad me aaye to gazal hote hai


Rooh jab wajad me aaye to gazal hote hai
ya koi dil ko dukhaaye to gazal hote hai


bheegti raat me jab gham ki fizaaon ka sukoot
dil me ik hashar uthaaye to gazal hote hai

ishq ki aatish-e-khaamosh jab chupay chupkay
aag seenay me lagaaye to gazal hote hai

kabi mehfil me kabi goshaa-e-tanhai me
koi reh reh k rulaaye to gazal hote hai



gham-e-jaana hi se mukoof nahen sher-o-gaal
gam-e-duraan b sunaaye to gazal hote hai

Itni Si Ek Dua Hai Ke Aane Wala Har Lamhe

Itni Si Ek Dua Hai Ke Aane Wala Har Lamhe
Haseen Chahaton Ke Phool Bakshe Urooj Bakshe
Tumhari Duniya Mein Roshni Ho
Tumhari Mehfil Mein Khushiyan Ho
Tumhare Honthon Pe Muskurahat Ho

Kabhi Bhi Tum Tak Dukhon Ki Dastak Na Pahuch Paye
Tumhari Aankhon Mein Jo Sitare Chamak Rahe Hai
Yunhi Chamakte Rahe Hamesha
Tumhare Dil Tak
Bewafaiyon Ki
Koi Andheri Kiran Na Pahuche

Khuda Kare Ke Har Dil Kar Qarar Lauto
Magar Tumhari Har Ek Tamanna
Har Ek Khwahish
Tumhare Honthon Tak Aate Aate
Tumhare Qadmon Tak Aan Pahuche
Jo Ho Sake To Tumhare Hisse Ke Sab
Gamon Ko Main Apne Andar Utar Lunn

Janta Hoon Ye Mumkin To Nahi
Lekin Dua To Mera Haq Hai
Ye Mukhtasir Se Dua Ka Tohfa Sambhal Rakhna
Mere Andheron Ki Fikr Chhodo Tum
Tum Bas Apna Khayal Rakhna

Kitne Armano Ko Dil Me Chupa Rakha Hai

Kitne Armano Ko Dil Me Chupa Rakha Hai
Chirago Ki Hifajat Ko Hawao Ko Bula Rakha Hai

Kaash Woh Aake Kahe Hum Bhi Yaad Karte Hai Tumhe
Ek Issi Aas Pe Darwaaza Khula Rakha Hai

Nind Bhi Aa Jaye To Jee Bhar Ke Dekh Lu
Kitne Dino Se Apni Palko Ko Khula Rakha Hai

Dard Se Ab To Muhabbat Si Ho Gai Hai
Sadiyo Se Humne Apne Zakhmo Ko Hara Rakha Hai

Mere Jaane Ke Baad Ghut Ghut Ke Mar Na Jaye Dil
Is Liye Teri Yaad Ko Seene Se Laga Rakha Hai

ishq mein doob jane ko jee karta hai

ishq mein doob jane ko jee karta hai
hadd se guzar jane ko jee karta hai 

jene na dega ye dard hume
ke ab mar jane ko jee karta hai 

pathara gayi ro ro kar ankhein meri 
ke fir se muskurane ko jee karta hai 

jeevan mein bohat kuch kho diya hum ne 
ke ab kuchh pane ko jee karta hai 

kab tak yu pinjare mein band rahe fakta
ke ab azaad ho jane ko jee karta hai 

thokar kha kha kar zakhmi hai dil mera 
ke ab sakoon pane ko jee karta hai 

tanha kar gaye hum ko sab hi
ab kisi ko apna banane ko jee karta hai

Tum apni chaahat ka izhaar jo karo

Tum apni chaahat ka izhaar jo karo…

Sehmi si nigaho me khwaab hum jaga denge,
Is dil ka chain bhi hum lutaa denge,
Tum apni chaahat ka izhaar jo karo,
In palko me hameshaa ke liye tumhe panaah denge…

Apne khaayalo ke har kone me tumhe basaa denge,
phir to hum us chaand ko bhi bhulaa denge,
Tum apni chaahat ka izhaar jo karo,
Tumhaari khushi ke khaatir hum apne aap ko bhi sazaa denge…

Hasaa hasaa ke hum tumhe rulaa denge,
Rulaate hue bhi hum tumhe hasaa denge,
Tum apni chaahat ka izhaar jo karo,
Hamaari tarah hi hum tumhe deewana banaa denge…

Tanhaai me tumhaari hum mehfil sajaa denge,
Labo pe tumhaari ek muskaan jagaa denge,
Tum apni chaahat ka izhaar jo karo,
Us izhaar ke intezaar me hi hum zindagi guzaar denge…

Chaloo chaand key paas chaltey heyn


Chaloo chaand key paas chaltey heyn
beetey lamhoon ko yaad kartey heyn
wo lamhey jin kii tamazat sey
ye beyjaan laashaa jall raha hey
dill unhii lamhoon mein aseer hey jaanaan
tehraa hey woheyn hasrat sey haath mall raha hey
chaloo chaand key paas chaltey heyn
beetey lamhoon koo yaad kartey heyn
iss sey pahley key shaam dhalley 
raat shaamaa kii tarhaa jalley
raakh raakh muhabbat koo 
yaad rakhney kaa eyaadaa kartey heyn
ik doojey ko naa bhulaaney kaa
waadaa kartey heyn
chaloo chaand key paas chaltey heyn
beetey lamhoon koo yaad kartey heyn

Yehi Wafa Ka Silaah Hay


Yehi Wafa Ka Silaah Hay, 
Tu Koiee Baat Nahi
Yeh Dard Tum Ne Diya Hay,
Tu Koi Baat Nahi

Yehi Bohot Hay Kay 
Tum Dekhte Ho Sahil Se
Safeena Doob Raha Hai, 
Tu Koi Baat Nahi

Rakha Tha Aashiyana-E-Dil Main Choopa Kay Tum Ko
Woh Ghar Tum Nay Choor Diya Hai, 
Tu Koi Baat Nahi

Tum Hi Ne Aayena-E-Dil Mera Banaya Tha
Tum Hi Ne Toor Diya Hai, 
Tu Koi Baat Nahi

Kiss Ki Majaal Kay Koi Mujh Ko Deewana Kahay
Agar Yeh Tum Ne Kaha Hai,
Tu Koi Baat Nahi

Abhi Kuch Der Baqi Hai


Abhi Kuch Der Baqi Hai
Khizan Ke Beet Janay Mein
Gulon Ke Muskuraney Mein
Khushi Ke Geet Ganay Mein
Baharon Ke Zamanay Mein
Shehar Ke Jugmaganay Mein
Tumhare Lout Aanay Mein

Abhi Kuch Der Baki Hai
Main Tumko Bhool jaunga
Na Tum Ko Yaad Aaunga
Main Tumse Door Reh Ker Bhi
Tumko Jee Kar Dikhaunga
Tumko Maloom Hai Lekin
Yeh Sab Main Ker Na Paoonga
Kay Tumko Bhool Janay Mein
Abhi Kuch Der Baki Hai

zindagi teri adaa jurm hai


zindagi teri adaa jurm hai
bebasi Jurm hai hauslaa jurm hai
zindagi teri ek-ek adaa Jurm hai

ae sanam tere baare mein kuch soch kar
apne baare mein kuch sochna Jurm hai

yaad rakhna mera ek Jurm thaa
bhool jaana tujhe doosra Jurm hai

kya sitam hai ke tere haseen shehar mein
har taraf gaur se dekhnaa Jurm hai

bebasi Jurm hai hauslaa jurm hai
zindagi teri ek-ek adaa Jurm hai

JATE HUYE LOGON KO PUKARA NAHI KARTE


JATE HUYE LOGON KO PUKARA NAHI KARTE
JO APNE HO UNHEIN BESAHARA NAHI KARTE 

DEKH LO UNKO NIGAH BHAR KE LEKIN
YUN QADAM QADAM PE RO KAR ISHARA NAHI KARTE 

AAJ BARSON BAAD SAJI HAI WOH KISI AUR KE LIYE
WAISE TO ROZ ROZ HUM BHI KUDH KO SANWARA NAHI KARTE 

US SHAKS NE VAADA KIYA THA HUMSE KISI ROZ
AISE TO HUM BHI KISI KO YAAD RAKHNE KA TAMASHA NAHI KARTE 

SUNA HAI YEH ISHQ KA ROG DEEMAK KI TARAH CHAAT JATA HAI
ISI LIYE TO AB HUM IS SE YARANA NAHI KARTE

Bichhad Kar Humse Kabhi Wo Bhi Tadpa To Hoga


Bichhad Kar Humse Kabhi Wo Bhi Tadpa To Hoga
Chand Lamhe Hi Sahi Wo Bhi Roya To Hoga 

Beenayi Chashm Ki Kho Gayi Teer Reh Kar
Uske Naino Ko Bhi AshQone Bhigoya To Hoga 

Dilke Rishte Bhi Kis Kadar Ajeeb Hote Hai
Tujhko Bhi Sanam Kisi Rishte Ne Thukraya To Hoga 

Lab Khamosh Honge Kismat Mein Tanhayi Hogi
Tab Hi Wo Mere Pyaar Mein Dooba To Hoga 

Tere Naseeb Mein Hai Aakhri Saans Jab Tak
Jahan Bhi Jaoge Wahan Pyaar Ka Saaya To Hoga

mere bay-khabar tujhay kiya pata

mere bay-khabar tujhay kiya pata 
teri aarzuoon kay dosh per 
teri kaifiyat kay jaam main 
mai jo kitni sadyon say qaid hoon 
tere naqsh mai tere naam main 
mairay khuwaab meri kahaaniyaan 
mere laikh ki yeh nishaaniyaan 
teri chaah mai hay ruki huwi 
kabhi aansuon ki qataar mai 
kabhi patharon kay hisaar main 
kabhi dasht-e-hijr ki raat main 
kabhi bad-naseebi ki ghaat main 
kai rang dhoop say jal gaye 
kai chaand shaakh say dhal gaye 
kai tan sulag kay pighal gaye 
teri ulfaton kay qayaam main 
teray dard kay der-o-baam mai 
koi kab say sabt-e-saleeb hay 
tujhay kiya khabar tujhay kiya pata…

Jab bhi qareeb aati hoon batanay k liye


Jab bhi qareeb aati hoon batanay k liye
Zindagi door rakhti hai satanay k liye

MehfilOn ki shaan na samajhna mujhay
Main to hansti hoOn gham chupanay k liye

In faaslOn ko na samjho meri be-Wafayi
Main door hoon tumse, paas aanay k liye 

Mat jano haqeeqat mere in AansuOn ko
Main to rooti hoon tumhein rulanay k liye

Koi gila nahi hai mujhay apni barbadi ka
Main to khaili thi aag se jal janay k liye 

Ab duniya kuch bhi kahay, mujhay parwa nahi
Main to jeeti thi zindagi, mar janay k liye

main yeh nahi kehta

main yeh nahi kehta....

key koi dil main na samaye..

main yeh nahi kehta...

key koi Aarzoo na ban paye...

par.......! itna zaroor kehna hai


agar samajh sako...

key dil main kabhi kisi ko..

itni jagha na do..

key dil key liye dharakna hi

mushkil ho jaye

Kash Ke Mein Aik Qalam Hoti

Kash Ke Mein Aik Qalam Hoti

Jab Tum Likhte Tanhai Mein
Dil Ki Baat!
Chupke Se Kaghaz Per Utarti
Aur Tere Haathon Ke Lams Se
Samajh Pati Tere Jazbon Ko
'Shaam Ke Surmai Andheron Mein
Jab Tu Nikalta Almari Se
Mera Dil Khushi Se Jhoomta
Phir Zara Deir Talak Teri Unglion Mein Qaid Rehti
Kaash Tu Mujhe Umer Qaid Dedey!
Phir Teri Baatein Khatam Hoti
Tu Mujhe Chor ker chala jata
Intizar Kerne Ke Liye!
Per Woh Intizar Bhi Bemaza Na Hota
Kuch Milne Ki Tarap Hoti
Kuch Dil Beqarar Hota
Mujhe Aadat Hoti Teri Qurbat Ki
Tu Pyar Ki Baatein , Mere Liye Na Sahi
Per Mujh Se To Likhta...

Ajj barish mujhey afsurda kar gaye


Ajj barish mujhey afsurda kar gaye 
iski hawa saari kushi uraha ley gaye 
kuin! pata nahi 
meara dil dukha gaye 
ajj barish mujhey afsurda kar gaye 
laga easey,jeasey 
roya ho aasman meari tarhan 
nahi samajh ayaa,howa kia 
bas meri aankh num kar gaye 
mera dil tarpa gaye 
ajj barish mujhey afsurda kar gaye 
ajj barish ko choowa bhi nahi 
phir bhi 
mujhey yaadon sey bheego gaye 
ajj barish mujhey afsurda kar gaye 
kar gaye mujhey gum sum 
kyon howa easa,nahi maloom 
har aahat par chonkti hoon 
kaheen na kaheen hoo tum 
par 
nahi thay kaheen tum 
yah baat afsurda kar gaye 
ajj barish mujhey afsurda kar gaye..

Batao Dil Ki Baazi Mein Bhala Kya Baat Gehri Thi

Batao Dil Ki Baazi Mein Bhala Kya Baat Gehri Thi
Kaha Youn To Sabhi Kuch Theek Tha Par Maat Gehri Thi

Suno Barish , Kabhi Khud Sey Bhi Bhar Kar koi Dekha hai
Jawab Aaya Un Aanhon Kii Magar Barsaat Gehri Thi

Suno Tum Nay Holey Sey Kaha Tha Kya, Batao Gey?
Jawab Aaya Kaha To Tha Magar woh Baat Gehri Thi

Deya Dil Ka Sumandar Us Ney Tum Ney Kya Kiya Us Ka?
Humien Bus Doob Jana Tha Keh Woh Soghaat Gehri Thi

Waffa Ka Dasht Kaisa Tha Batao Tum Pey Kya Beeti
Bhatak Jana Hi Tha Hum Ko Wahan Par Raat Gehri Thi

Tum Us Key Zikar Par Kyun Doobey Jatey Ho Khyaalon Mein
Rafaqat Aur Adawat Apnii Us Key Saath Gehri Thi

Nazar Aaya Tumhien Us Ajnabii Mein Kya, Batao Gey ?
Suno Qaatil Nigaahon Ki Woh Zalim Ghaat Gehri Thi

Kabhi Palkoon Pay Ansoo Hain Kabhi Lab Per Shikayat Hay

Kabhi Palkoon Pay Ansoo Hain Kabhi Lab Per Shikayat Hay 
Mager Ay Zindagee Phir Bhi Mujha Tujh Say Mohabbat HAY

Jo AAta hay WOh Ja Taa Hay Ya Dunya Ani JaaNi Hay
Yahan Her Shey Musafir Hay Safer Main Zindaagane HAY
Ujaloon Ki Zaroorat Hay Andhera Meri Kismat Hay 

Kabhi Palkoon Pay Ansoo Hain Kabhi Lab Per Shikayat Hay
Mager Ay Zindagee Phir Bhi Mujha Tujh Say Mohabbat HAY

Zara Aye Zindagee Dum Lay Tera Deedar Tu Ker Lon
Kabhee Dekha Nahin Jis ko Uska Deedaar Tu Ker Loon 
Abhi Say Choor Ker Maat Jaa Abhi Teri Zaroorat Hay

Kabhi Palkoon Pay Ansoo Hain Kabhi Lab Per Shikayat Hay
Mager Ay Zindagee Phir Bhi Mujha Tujh Say Mohabbat HAY

Koi Anjaan Sa (Chehraa)Obher Taa hay Fizaaon Main 
Yeh Kis Ki AAhatain Jageen Meri Khamoosh Rahon Main
Abhi Aye Mout Naa AAnaa Mera Thikaana janat Hay

Kabhi Palkoon Pay Ansoo Hain Kabhi Lab Per Shikayat Hay
Mager Ay Zindagee Phir Bhi Mujha Tujh Say Mohabbat Hay.

Yoon hum ko sataane ki zaroorat kya thi

Yoon hum ko sataane ki zaroorat kya thi,
Dil mera jalaane ki zaroorat kya thi.

Jo nahi tha ishq to keh diya hota,
Dil toor ke jaane ki zaroorat kya thi.

Maloom tha gar yeh khwaab toot jayenge,
Neend mein aa kar uthaane ki zaroorat kya thi.

Ishq par lagti rahegi har daur mein paabandi,
Ashiq ko majboor banaane ki zaroorat kya thi.

Maan loo gar yeh yak tarfa mohabbat thi,
Mujh ko dekh kar muskuraane ki zaroorat kya thi

Kitna gham chupha hai is dard-e-dil me


Kitna gham chupha hai is dard-e-dil me, 
koi begana kya jaane 

Hoti hai kitni takleef shamma ko, 
yeh dastaan parwana kya jane.. 

Hoton pe hansi, aankhon mein gham soya hai, 

koi in aankhon mein dekha kar hi bata de, 
kisi se bichad ke yeh dil kitna roya hai... 

Dekha nahi hai koi tujhsa, 
dekhne tujhe jannat se bhi laut aayange, 

jab tak deedar na ho tera, 
hum mar ke bhi chain na se na mar paayange.. 

Ankho me ansu aa jate hai, 
phir bhi labo pe hasi rakhni padti hai, 
ye mohabbat bhi kya cheez hai yaaro, 
jisse karte hai usi se chhupani padti hai...!!

MERI YADON KI NISHANI RAKHNA

MERI YADON KI NISHANI RAKHNA
KUCH NA KUCH AANKH MAEN PANI RAKHNA  


MEREY KHABON MAEN TUM AATEY REHNA
MEHERBANI MEREY DILBR JANI RAKHNA

KOI PUCHY JO AGR GHAM KYA HAI
SAMNEY MERI KAHANI RAKHNA


PHR KISI MOR PE SHAED MIL JAEY
YAD HAR EHAD ZUBANI RAKHNA


YE ZAMANA HAI KHARAB IS HAD TAK
JAAN! PARDEY MAEN JAVANI RAKHNA


DEKHNA TERA WO MUR MUR K MUJHEY
APNI ADAT WO PURANI RAKHNA


TERA DEEDAR NA MILNEY PE
SHAB BHAR ASKHON KI RAWANI RAKHNA

Hum yeh taslem karty hain

Hum yeh taslem karty hain 

Tumhen fursat nhi milti

Hamare wastay tum ko

Koi sa'at nhi milti

Hamare soch k mehwar

Kabhi aik pal to socho tum

Tumhen hum yad karty hain

Or itna yaad karty hian

K khud ko bhol jaty hain

Jab joban tera dhal jaye

Jab joban tera dhal jaye
jab pyar ki umr nikal jaye
jab chor dy Tujh ko Husan tera
jab chehra pur ho jhurion se
jab zulf ka kham na baqi ho
jab rangat na ho Gaalon mein
jab chandni utre baalon mein
jab aankh ki Masi toot chuke
jab hont bhi surkhi kho jaen
jab chor dein Tujh ko sab sathi
jab koi na Tujh ko apnaaye

Tab.....!
pas mere chale aana
Basti ko sooni galion mein
Ek betha hoga dewaana
jo pyar ka paras pathar hai
jo Tujh ko SONA kr dy ga
Tere jobhan ko wo kya Jane?
Teri umer se usko kya matlab?
Tere Jism se uska kya Rishta?
jise kehte ho TUM harjai!

Hai Tere Naam ka Shedaayi

Tarasti He Meri Aankhen

Tarasti He Meri Aankhen,
Aapke Chahre Par Hasi Dekhne K Liye….
Taraste Mere Honth,
Aapke Labo Ko Chune K Liye….
Tarasti He Meri Suni Bahe,
Aapki Baho K Liye….
Tarasti He Meri Sanse,
Aapki Sanso K Milen Ke Liye….
Taraste He Ye Badal
Hum Dono Ko Bhigone K Liye….
Tarasti He Ye Hawa,
Hamari Ruh Ko Ek Karne K Liye….
Tarasti He Meri Ye Aawaz,
Tera Naam In Vadiyon Me Gujaane K Liye….
Tarasti He Meri Jaan,
Sirf Aap Ko Paane K Liye….

Popular Posts