Jab bhi qareeb aati hoon batanay k liye
Zindagi door rakhti hai satanay k liye
MehfilOn ki shaan na samajhna mujhay
Main to hansti hoOn gham chupanay k liye
In faaslOn ko na samjho meri be-Wafayi
Main door hoon tumse, paas aanay k liye
Mat jano haqeeqat mere in AansuOn ko
Main to rooti hoon tumhein rulanay k liye
Koi gila nahi hai mujhay apni barbadi ka
Main to khaili thi aag se jal janay k liye
Ab duniya kuch bhi kahay, mujhay parwa nahi
Main to jeeti thi zindagi, mar janay k liye
No comments:
Post a Comment