Saturday, July 24, 2010

Tujhe Kya Malum Kya Se Kya Hua Hoon Main


Tujhe Kya Malum Kya Se Kya Hua Hoon Main,
Bas Itna Jaan Le Ke Teri Ek Dua Hoon Main,

Jo Kheench Lati Hai Mujhko Janab Janib,
Teri Wo Der Se Suni Hui Sada Hoon Main,

Teri Talash Mein To Khud Hi Hogaya Tha Gum,
Tu Mujhe Mil Gaya To Khudko Mila Hoon Main,

Hath Ye Tham Ke Chalna Na Bhatak Jaun Main,
Tere Is Sheher-E-Musarrat Mein Kuch Naya Hoon Main,

Kathin Safar Hai To Kya Raah Andheri Hai To Kya,
Teri Har Raah Mein Jalta Diya Hoon Main...

Ek Pagal Si Ladki Yakh Basta December Ki Raaton Mein


Ek Pagal Si Ladki,
Yakh Basta December Ki Raaton Mein,
Apne Kamre Ki Khidki Se,
Chandko Dhundti Rehti Hai,
Har Soo Takti Rehti Hai,
Aur Kehti Hai,
Chhup Se Gaye Ho Tum Bhi Aise,
Jaise Mera Chand Chhupa Hai,
Mera Chand Jo Tum Ko Mile To
Usse Kehna
Sangdili Ki Had Hoti Hai,
Laut Chalo Ke Teri Khatir,
Raahon Mein Palkon Ko Bichhaye,
Kabse Aansu Samet Rahe Hai,
Ek Pagal Si Ladki...

Ajab Din The Mohabbat Ke Ajab Mausam Hai Chahat Ke


Ajab Din The Mohabbat Ke,
Ajab Mausam Hai Chahat Ke,
Kabhi Gar Yaad Aa Ajyein To Palkon Par Sitare Jhilmilate Hai,
Kisiki Yaad Mein Raaton Ko Jagna Mamool Tha Apna,
Kabhi Gar Neend Aa Jaati To Hum Ye Soch Lete The,
Abhi To Wo Hamare Waste Roya Nahi Hoga,
Abhi Soya Nahi Hoga,
Abhi Hum Bhi Nahi Rote,
Abhi Hum Bhi Nahi Sote,
So Phir Hum Jagte The Aur Usko Yaad Karte The,
Akele Baith Kar Veeran Dil Abad Karte The,
Hamare Samne Taaron Ke Jhurmat Mein Akela Chand Hota Tha,
Jo Uske Husnke Aage Bahut Hi Mand Hota Tha,
Falaq Par Raqs Karte Anginat Roshan Sitaron Ko,
Jo Hum Tarteeb Dete The,
To Uska Naam Banta Tha,
Hum Agle Roz Jab Milte To Guzri Raat Ki Har Bekali Ka Zikr Karte The,
Har Ek Qissa Sunte The,
Kahan? Kis Waqt? Kis Tarah?
Dil Dhadka Batate The,
Main Jab Kehta Tha Jana! Aaj To Main Sari Raat Ek Pal Nahi Soya,
To Wo Khamosh Rehti Thi,
Par Uski Neend Mein Dubi Hui,
Do Jheel Si Aankhein,
Achanak Bol Uthti Thi,
Main Jab Usko Batata Tha,
Ke Maine Raatko Roshan Sitaron Mein,
Tumhara Naam Dekha Tha,
To Wo Kehti Thi,
Razi Tum Jhuth Kehte Ho,
Sitare Maine Dekhe The,
Uar Un Roshan Sitaron Mein,
Tumhara Naam Likha Tha,
Ajab Masoom Ladki Thi,
Mujhe Kehti Thi,
"Lagta Hai Ke Ab Apne Sitare Mil Hi Jayenge",
Magar Usko Khabar Kya Thi,
Kinare Mil Nahi Sakte,
Mohabbat Ki Kahani Mein,
Mohabbat Karne Walon Ke,
Sitare Mil Nahi Sakte...

Tere Gam Mein Na Jaane Kabse Behte Rahe Mere Aansu


Tere Gam Mein Na Jaane Kabse, Behte Rahe Mere Aansu,
Teri Har Berukhi Par Baraste, Rahe Mere Aansu,

Tujhse Hoti Hai Shuru Inki Ye Dasnta,
Tujhpe Hi Khatam Hogi Kehte Hai Mere Aansu,

Tumhe Sukoon Milta Raha Inhe Dekh Kar Isliye,
Gam Mein Bhi Muskurate Hai Mere Aansu,

Baaghban Khush Hota Hai Kaliyon Ko Dekh Kar,
Tumhe Jab Dekhti Hoon Ubhar Aate Hai Mere Aansu,

Tumhe Rang Badalte Jab Aankhon Ne Dekh Ilya,
Bhar Aate Hai Mere Aansu,

Na Jane Kitni Baar Tune In Aankhon Ko Aansu Diye,
Na Jaane Kitni Baar Ab Tak Zakhm Diye,
Mohabbat Mein Kuch To Mila, Dua Dete Hai Mere Aansu...

Thaki Thaki Si Aas Hai, Ye Dil Bahut Udaas Hai


Thaki Thaki Si Aas Hai, Ye Dil Bahut Udaas Hai,
Koi To Dard Raas Hai, Ye Dil Bahut Udaas Hai,

Ye To Hai Ya Lata Pata Hua Koi Khayal Hai,
Koi To Aas Paas Hai, Ye Dil Bahut Udaas Hai,

Nidhal Yun Hue Ke Sab Zarooratein Hai Mar Gayi,
Na Bhukh Hai Na Pyaas Ahi, Ye Dil Bahut Udaas Hai,

Na Jane Kis Khayal Se, Bujha Bujha Hai Aajkal,
Yehi Jo Tera Udaas Hai, Ye Dil Bahut Udaas Hai,

Har Ek Ek Se Yehi Pakar Ke Puchhte Rahe,
Kahan Wo Gam-E-Hehnaashay, Ye Dil Bahut Udaas Hai,

Ajab Tarah Ke Wason Mein Ghir Gayi Hai Zindagi,
Ummid Hai Na Aas Hai, Ye Dil Bahut Udaas Hai,

Na Jao Jism Par Saje Hue Haseen Libaas Par,
Badan To Khush Libaas Hai, Ye Dil Bahut Udaas Hai...

Khuda Kare Teri Zindagi Ke Dukh Saare


Khuda Kare Teri Zindagi Ke Dukh Saare,
Mere Naseeb Mein Chupke Se Aake Mil Jaye,

Hai Mere Liye Jeevan Ki Jitni Khushiyan,
Tere Naseeb Mein Chupke Se Jaakar Mil Jaye,

Khushi Ka Har Mausam Teri Khushi Ye Tabyin Ho,
Chahe Jab Tu Khizan Mein Phool Khil Jaye,
Chubhan Zara Si Na Ho Aur Zakhm Mil Jaye,

Kuch Aise Log Jinhe Tune Kho Diya Hai,
Chalo Talash Karo Shayad Wo Kahin Mil Jaye..

Muqaddar Mein Tu Nahi Teri Koi Khabar Bhi Nahi



Muqaddar Mein Tu Nahi Teri Koi Khabar Bhi Nahi,
Dil Teri Yad Se Ek Palko Bhi Magar Gafil Nahi,

Khudko Bhulaya Hai Teri Yaad Mein Hazar Baar,
Ek Palko Bhi Tujhko Dil Se Magar Bhulaya Nahi,

Patjhad Mein Bhi Raha Teri Yaad Ka Sawan,
Magar Ek Ashq Bhi Aankh Se Bahaya Nahi,

Dil To Kya Hum Kar Dete Apni Jaan Bhi Qurbaan,
Tumne Ek Kadam Pyaar Se Aage Badhaya Hi Nahi...

Bas Subah Ka Intezar Na Kar Andhere Mein Bhi Kar Jehad Tu



Bas Subah Ka Intezar Na Kar,
Andhere Mein Bhi Kar Jehad Tu,

Nazar Ka Dhoka Hai Saari Duniya,
Na Karna Khudko Barbaad Tu,

Khuda Karega Sawal Tujhse,
Phir Kya Dega Jawab Tu,

Mushkil Pade To Ye Soch Lena,
Rab Ki Nazar Mein Hai Khas Tu,

Kho Na Jana Nafs Ke Rang Mein,
Na Karna Aakherat Kharab Tu...

Bahut Khauf Hai Mujhko Is Bebas Afsurdaadili Se


Bahut Khauf Hai Mujhko Is Bebas Afsurdaadili Se,
Kya Hasil Hua Mujhko Is Beshumar Rehemdili Se,

Jitne Rang Bhare Maine Apni Be-Rang Tasveer Mein,
Utni Hi Ghul Gaye Mit Gaye Ab Teri Sangdili Se,

Kyon Chaha Maine Tumko Is Qadar Aye Berehem,
Kuchal Diye Tune Dilke Phool Mere Kaise Zindadili Se,

Suna Tha Aashiq Ho Jate Hai Mashhoor Aashiqui Mein,
Tumne To Mohabbat Bhi Ki Mujhse Itni Tangdili Se,

Mohabbat Ki Talash Ki Maine Har Beete Shaam-O-Seher,
Ab Beet Rahi Hai Umar Meri Bas Yunhi Bedili Se...

Kal Jo Dekha Maine Tumko To Yaad Aa Gayi Tumhari Baatein



Kal Jo Dekha Maine Tumko,
To Yaad Aa Gayi Tumhari Baatein,
Rota Tu Shayad Na,
Par Rula Gayi Wo Tumhari Yaadein,

Tum To Gum Ho Apni Duniya Mein O Zalim,
Yehi Dukh Bas Jala Gaya Humko,

Tum To Bhool Gaye Wo Waade Nibhane Ke,
Jo Kiye Na The Humne, Hum Nibha Gaye Unko,

Kya Bhool Gaye Tum Wo Lamhe,
Jo Rula Gaye Aaj Mujhko,

Wo Tumhara Rooth Jaana,
Wo Mera Tumko Manana,
Wo Tumhara Mujhko Manana,
Aur Mera Tumko Satana,

Kya Bigada Hai Humne Tumhara,
Pyaar Karna Kya Jurm Hai O Jaane Jaana,

Agar Pyar Karna Bhi Ek Jurm Hai,
To Ye Saza Na De Humko Jo,
Saza-E-Maut Se Bhi Khaufnaak Ho O Mere Jaana,

Yaad Rakhna Pachtaoge Ek Din Tum,
Par Yaad Bahut Aaoge Tum,
Par Hum Tab Na Honge Shayad,
Tab Yehi Geet Shayad Gaoge Tum,
Phir Yaad Bahut Aaoge Tum,

Kal Jo Jaana Maien Tumhara Pyaar,
Tab Waqt Ne Na Diya Meri Kismat Ka Sath,
Phir Meri Yaad Mein Tab Mahal Banaoge Tum,
Phir Yehi Gazal Likhwaoge Tum,
Ke Bahut Yaad Aaoge Tum...

Tere Hothon Ke Phoolon Ki Chahat Mein Hum


Tere Hothon Ke Phoolon Ki Chahat Mein Hum,
Daar Ki Khushk Tehni Pe Vaare Gaye,
Tere Haathon Ki Shammon Ki Hasrat Mein Hum,
Neem Tarik Raahon Mein Maare Gaye,

Suliyon Par Hamare Labonse Pare,
Tere Honthon Ki Laali Lapakti Rahe,
Teri Zulfon Ki Masti Barasti Rahi,
Tere Haathon Ki Chand Si Damakti Rahi,

Jab Khuli Teri Raahon Mein Shaam-E-Sitam,
Hum Chale Aaye, Laaye Jahan Tak Qadam,
Lab Pe Harf-E-Gazal, Dil Mein Qandil-E-Gam,
Apna Gam Tha Gawahi Tere Husn Ki,
Dekh Qaayam Rahe Us Gawahi Par Hum,
Hum Jo Taarik Raahon Mein Maare Gaye,

Na Rasaa'ii Agar Apni Takdeer Thi,
Teri Ulfat To Apni Hi Tadbeer Thi,
Kisko Shikwa Hai Gar Shauq Ke Silsile,
Hijr Ki Qatl-Gaahon Se Sab Jaa Mile,

Qatl-Gaahon Se Chun Kar Hamare Ilm,
Aur Niklenge Ushshaaq Ke Qaafile,

Jinki Raah-E-Talab Se Hamare Qatam,
Mukhtasar Kar Chale Dard Ke Faasile,
Kar Chale Jin Ki Khatir Jahangir Hum,
Jaan Ganwa Kar Teri Dilbari Ka Bharam,
Hum Jo Taarik Raahon Mein Maare Gaye...

Unko Fursat Nahi Zamane Se Hum ko Sapne Naye Sajane Se


Unko Fursat Nahi Zamane Se,
Humko Sapne Naye Sajane Se,

Waadi-E-Khwab Hi To Hai Ke Jahan,
Phool Khilte Hai Muskurane Se,

Aur Badh Jayegi Ye Ruswayi,
Zakhm-E-Dil Aap Ko Dikhane Se,

Dard Ke Is Bayaan Se Kya Hoga,
Kuch Bhi Haasil Nahi Sunane Se,

Tu Sitamgar Sahi Magar Phir Bhi,
Kya Milega Hamein Rulane Se,

Yaad-E-Maazi Tu Laut Ke Maat Aa,
Baaz Aa Jaa Hamein Satane Se,

Bhool Jaa Hum Khata Shuaron Ko,
Koi Jaake Kahe Zamane Se,

Ab Tu Aajiz Hi Aa Chuke Hai Hum,
Dard Ke Bojh Ko Uthane Se...

Tujhko Aate Hi Nahi Chhupane Ke Andaz Abhi


Tujhko Aate Hi Nahi Chhupane Ke Andaz Abhi,
Mere Seene Mein Hai Larzaan Teri Awaz Abhi,

Usne Dekha Hi Nahi Dard Ka Aagaz Abhi,
Ishq Ko Apni Tamannaon Pe Hia Naaz Abhi,

Tujhko Manzil Pe Pahuchane Ka Hai Dawa Humdam,
Mujhko Anjaam Nazar Aata Hai Aagaz Abhi,

Kis Qadar Gosh-Bar-Awaz Hai Khamoshi-E-Shab,
Koi Naala Ki Hai Fariyaad Ka Ka Dar-Baaz Koi,

Mere Chehre Ki Hansi Rang-E-Shikasta Mera,
Tere Ashqon Mein 'Tabassum' Ka Hia Andaz Abhi...

Zindagi Ke Chehre Ka Naqsh Jab Bigad Jaaye


Zindagi Ke Chehre Ka
Naqsh Jab Bigad Jaaye,
Doston Ki Aankhon Mein,
Dushmani Ubhar Aaye,
Kaanch Ki Sunehri Bat,
Zeer-E-Lab Bikhar Jaye,
Lafz Beyaqeeni Ke,
Jangalon Mein Ghir Jayein,
Sakht Be-Sabati Ho,
Baat Baat Zaati Ho,
Is Tarah Ke Mausam Mein,
Aayina Zaroori Hia...

Tumhe Jaan Ijaazat Hai Koi Bhi Faisla Kar Lo


Tumhe Jaan Ijaazat Hai,
Koi Bhi Faisla Kar Lo,
Hamare Muntazir Thehro,
Ya Humko Alwida Keh Do,
Hamare Naam Se Mansoob Kar Do Naam Ko Apne,
Ya Apna Naam Dekar Tum Kisike Meet Ban Jao,
Tumhe Jaan Ijazat Hia,
Koi Bhi Raasta Chun Lo,
Hamare Paanv Mein To Waqt Ki Zanjeer Lipti Hia,
Bahut Nidhaal Hia Hum To Dukhon Ki Aazmayish Hai,
Bahut Mumkin Hai Thak Jao Hamare Sath Chal Kar Tum,
Mohabbat Ki Thakawat Tumko Hum Se Badgumaan Karde,
To Ise Qubul Keh Har Ek Wapsi Ki Raah Kho Jaye,
Jo Socha Bhi Nahi Humne Kabhi Wo Kal Ho Jaye,
Tumhe Jaana Ijaazat Hai,
Koi Bhi Faisla Karlo,
Hamara Tumse Wada Hai Tumhari Yaad Ko Hum To,
Sada Dil Ke Dareeche Mein Yunhi Abaad Rakhenge,
Ke Dil Rota Rahe Har Pal Labon Ko Shaad Rakhenge,
Tumhe Hum Yaad Rakhenge,
Tumhe Jaan Ijazat Hia,
Tum Apne Hauslon Mein Jab Thakawat Si Kabhi Paao,
Ulajh Jao Masayil Mein Wafa Ko Na Nibha Pao,
Kisi Pyaare Se Mukhde Ki Haseen Aankhon Mein Kho Jao,
Ijazat Hai Tumhe Jaan,
Agar Us Pal Jo Tum Chaho,
Koi Bhi Faisla Karlo,
Hamare Muntazir Thehro,
Ya Humko Alwida Keh Do...

Ek Dil Walon Ki Basti Thi Jahan Chand Aur Suraj Rehte The


Ek Dil Walon Ki Basti Thi,
Jahan Chand Aur Suraj Rehte The,
Kuch Suraj Man Ka Pagal Tha,
Kuch Chand Bhi Shokh Aur Chanchal Tha,
Basti Basti Phirte The,
Har Pal Hanste Rehte The,
Phir Ek Din Dono Rooth Gaye,
Aur Saare Sapne Toot Gaye,
Ab Chand Bhi Us Waqt Aata Hia,
Suraj Jab So Jaata Hai,
Badal Shab Se Kethe Hia,
Suraj Uljha Rehta Hai,
Chaand Ke Sath Sitare Hai,
Par Sooraj Tanha Rehta Hai...

Talash Uski Hai Jisko Kabhi Dekha Bhi Nahi


Talash Uski Hai Jisko Kabhi Dekha Bhi Nahi,
Khayal Uska Hai Dil Mein Jise Socha Bhi Nahi,

Khuda Se Apne Liye Iltija Main Kya Karta,
Talab Hai Uski Ke Jisko Kabhi Maanga Bhi Nahi,

Sakoot-E-Dil Mein Ye Eshaas-E-Zindagi Kya Hai,
Qareeb Paata Hoon Usko Jise Chaha Bhi Nahi,

Qasaas Mujhe Wo Kiske Lahoo Ka Maangte Hai,
Wo Khoon Hai Mere Haathon Pe Jo Baha Bhi Nahi,

Ilaaj Mujhse Bhi Mumkin Nahi Mohabbat Ka,
Wo Zakhm Hai Mere Seene Pe Jo Saha Bhi Nahi...

Jab Rishte Tootne Lagte Hai Teri Yaad Bahut Tadpati Hia


Jab Rishte Tootne Lagte Hai Teri Yaad Bahut Tadpati Hia,
Tanha Jab Rone Lagte Hai Teri Yaad Bahut Tadpati Hia,

Dukh Ke Suraj Ki Dhoop Tale Tanha Jab Khudko Paata Hoon,
Sab Khwaab Bikharne Lagte Hai Teri Yaad Bahut Tadpati Hia,

Maazi Ke Ujde Gulshan Ke Auraan Palatne Lagta Hoon,
Jab Zakham Sulagne Lagte Hai Teri Yaad Bahut Tadpati Hia,

Mere Sheher Mein Aksar Aati Hai Chahat Ki Nasheeli Thandi Hawa,
Jab Log Behekne Lagte Hai Teri Yaad Bahut Tadpati Hia,

Sansaar Ke Haathon Jab Bhi Kabhi Do Pyaar Se Hanste Baste Dil,
Ro Ro Kar Bichhadne Lagte Hai Teri Yaad Bahut Tadpati Hia,

Jab Saste Daamon Mein Bikne Lage Ehsaas Ke Moti Gali Gali,
Jazbaat Sisakne Lagte Hai Teri Yaad Bahut Tadpati Hia,

Yun To Din Ke Hungamon Mein Ehsaas Magan Hi Rehta Hai,
Lekin Jab Soone Lagte Hai Teri Yaad Bahut Tadpati Hia...

Dukh Ki Leher Ne Chheda Hoga Yaad Ne Kankad Phenka Hoga


Dukh Ki Leher Ne Chheda Hoga,
Yaad Ne Kankad Phenka Hoga,

Aaj To Mera Dil Kehta Hai,
Tu Is Waqt Akela Hoga,

Mere Chume Hue Haathon Se,
Auron Ko Khat Likhta Hoga,

Bheeg Chalin Ab Raat Ki Palkein,
Tu Ab Thak Kar Soya Hoga,

Rel Ki Gehri Seeti Sunkar,
Raat Ka Jangal Gunja Hoga,

Sheher Ke Khali Station Par,
Koi Musafir Utra Hoga,

Aangan Mein Phir Chidiya Boli,
Tu Ab So Kar Utha Hoga,

Yaadon Ki Jalti Shabnam Se,
Phool Sa Mukhda Dhoya Hoga,

Moti Jaisi Shakl Banakar,
Aayine Ko Takta Hoga,

Sham Hui Ab Tu Bhi Shayad,
Apne Ghar Ko Lauta Hoga,

Neeli Dhundli Khamoshi Mein,
Taaron Ki Dhun Sunta Hoga,

Mera Saathi Shaam Ka Taara,
Tujhse Aankh Milata Hoga,

Shaam Ke Chalte Haath Ne Tujhko,
Mera Salam To Bheja Hoga,

Pyaasi Kurlati Kunjun Ne,
Mera Dukh To Sunaya Hoga,

Main To Aaj Bahut Roya Hoon,
Tu Bhi Shayad Roya Hoga,

'Nasir' Tera Meet Purana,
Tujhko Yaad To Aata Hoga...

Mar Bhi Jaun To Kahan Log Bhula Denge


Mar Bhi Jaun To Kahan Log Bhula Denge,
Lafz Mere 'Mere' Hone Ki Gawahi Denge,

Log Thehrenge Jis Waqt Manadi Aayi,
Aaj Paigam Naya Zille Ilahi Denge,

Jhonka Kuch Aise Thapakte Hia Gulon Ke Rukhsaar,
Jaise Is Baar To Pathjad Si Bichha Denge,

Hum Wo Shab Zaad K Esuraj Ki Inayat Mein Bhi,
Apne Bachhon Ko Faqt Koor Nigah Hi Denge,

Sher Ki Cabiyaan Ada Ke Hawale Kar Ke,
Thufatan Phir Unhe Maqtal-E-Sipayi Denge,

Mar Bhi Jaun To Kahan Loge Mujhe Bhula Denge,
Lafz Mere 'Mere' Hone Ki Gawahi Denge...

Dekho Tumhari Chah Mein Hum Jee Rahe Hai Kis Tarah


Dekho Tumhari Chah Mein,
Hum Jee Rahe Hai Kis Tarah,
Ke
Na Hosh Hai Na Khabar Koi,
Na Hai Rasta Na Safar Koi,
Na Hai Mushkilein Na Bhanwar Koi,
Bas Intezaar Hi Intezaar,
Ke
Tu Kab Karega Ek Nazar,
Aur Bolega Ye Satar,
Hamein Tumse Pyaar
Hamein Tumse Pyaar
Dekho Tumhari Chah Mein,
Hum Jee Rahe Hia
Kis Tarah...

Use Baarishon Ne Chura Liya Ke Wo Badalon Ka Makeen Tha


Use Baarishon Ne Chura Liya Ke Wo Badalon Ka Makeen Tha,
Kabhi Mud Ke Ye Bhi To Dekhta Ke Mera Wajood Zameen Tha,

Wo Hi Ek Sach Tha Uske Baad Saari Tohmatein Jhuth Hai,
Mere Dilko Pura Yaqeen Hai Wo Mohabbaton Ka Ameen Tha,

Use Shauq Tha Ke Kisi Jazeere Pe Uske Naam Ka Phool Ho,
Mujhe Pyaar Karna Sikha Gaya Mera Dost Kitna Zaheen Tha,

Kabhi Sahilon Pe Phirenge To Tumhe Sipiyan Hi Batayengi,
Meri Aankh Mein Jo Simat Gaya Wohi Ashq Sabse Haseen Tha...

tne Baras Ki Doori Aur Majboori Ke Afsoon-E-Safar Mein Lipta Hua


Itne Baras Ki Doori Aur Majboori Ke,
Afsoon-E-Safar Mein Lipta Hua,
Ek Shakhs Achanak Aan Mila,
Main Isko Dekh Kar Shishid Tha,
Wo Mujhse Hua Hairan Mila,

Ye Waqt Bhi Kitna Zalim Hai,

Uski Yaad Mein Kya Kya Roye The Hum,
Uski Yaad Mein Kya Kya Khoye The Hum,

Kuch Der To Dono Chup Se Rahe,
Phir Isne Kaha,
Tum Kaise Ho,
Aur Maine Kaha
Bas Achha Hoon

Phir Isne Kaha,
"Ye Itne Din Ke Baad Milna Khoob Raha,
Koi Purana Dost Miel To Bhala Sa Lagta Hia,
Ye Sheher To Bilkul Badal Gaya,
Achha
Ab Main Chalti Hoon"

Phir Maine Kaha,
"Maine Shaam Samay Roz Yahan Par Aata Hoon,
Jab Waqt Mile Tum Bhi Aa Jana,
Is Waqt Mujhe Bhi Jaldi Hai,
Achha
Ab Chalta Hoon,"
Ye Waqt Bhi Kitna Zalim Hia...

Duniya Bani To Hamd-O-Suna Ban Gayi Gazal



Duniya Bani To Hamd-O-Suna Ban Gayi Gazal,
Utra Jo Noor Noor-E-Khdua Ban Gayi Gazal,

Gunja Jo Naad-Brahm, Bani Raqs-E-Mahar-O-Maah,
Zarre Jo Thartharaye Sada Ban Gayi Gazal,

Chamki Kahin Jo Barq To Ehsaas Ban Gayi,
Chhayi Kahin Ghata To Ada Ban Gayi Gazal,

Aandhi Chali To Qaher Ke Saanch Mein Dhal Gayi,
Baad-E-Saba Chali To Nasha Ban Gayi Gazal,

Haiwan Bane To Bhook Bani Bebasi Bani,
Insaan Bane To Jazb-E-Wafa Ban Gayi Gazal,

Utha Jo Dard-E-Ishq To Ashqon Mein Dhal Gayi,
Bechainiyan Badhi To Dua Ban Gayi Gazal,

Zaahid Ne Pee To Jaam-E-Panah Banke Reh Gayi,
Rindo Ne Pee To Jaam-E-Baqa Ban Gayi Gazal,

Arz-E-Dhadkan Mein Jaan To Dilli Mein Dil Bani,
Aur Sheher Lakhnau Mein Heena Ban Gayi Gazal,

Dohe Rubayi Nazmein Sabhi 'Tarz' The Magar,
Asnaaf-E-Shayri Ka Khuda Ban Gayi Gazal...

Yun Hi To Shaakh Se Patte Gira Nahi Karte


Yun Hi To Shaakh Se Patte Gira Nahi Karte,
Bichhad Ke Log Zyada Jiya Nahi Karte,

Jo Aane Wale Mausam Hai Inhe Shumar Mein Rakh,
Jo Din Guzar Gaye Unko Gina Nahi Karte,

Na Dekha Jana Ke Usne Koi Sabab Hoga,
Isi Khayal Se Hum Dil Bura Nahi Karte,

Munafaqat Pe Jinhe Ikhtiyar Haasil Hai,
Wo Arz Karte Hai Tujhse Gila Nahi Karte...

Justuju Khoye Huwon Ki Umaron Bhar Karte Rahe


Justuju Khoye Huwon Ki Umaron Bhar Karte Rahe,
Chand Ke Humrah Hum Har Shab Safar Karte Rahe,

Raaston Ka Ilam Tha Humko Na Simaton Ki Khabar,
Sheher-E-Namaloom Ki Chahat Magar Karte Rahe,

Humne Khud Se Bhi Chhupaya Aur Saare Sheher Ko,
Tere Jaane Ki Khabar Deewar-O-Dar Karte Rahe,

Wo Na Aayega Hamein Malum Tha, Us Shaam Bhi,
Intezaar Uska Magar Kuch Soch Kar Karte Rahe,

Aaj Aaya Hai Hamein Bhi Un Udano Ka Khayal,
Jinko Tere Zaem Mein Be Baal-O-Par Karte Rahe...

Aankhon Ko Band Karke TumDhire Se Jab Hanste Ho


Aankhon Ko Band Karke Tum,
Dhire Se Jab Hanste Ho,
Jhuth Nahi Main Kehta Hoon,
Mere Dil Mein Tum Hi Rehte Ho,
Wo Shakhs Aakhir Kahan Gaya,
Gamon Ka Aanchal Dekar,
Khushiyon Ka Daaman Chheen Liya,
Wo Shakhs Aakhir Kahan Gaya,
Jisne Hamein Barbaad Kiya,
Bhari Duniya Mein Tanha Chhod Diya,
Kyon Humse Naata Tod Liya,
Kahin Se To Dhund Ke Laa Do,
Wo Shakhs Jo Humse Rooth Gaya,
Gali Gali Nagar Nagar,
Har Jagah Ise Dhoond Liya,
Iska Pata Kahin Na Mila,
Jisne Hamein Barbaad Kiya...

Sochti Aur Jaagti Saanson Ka Ek Dariya Hoon Main


Sochti Aur Jaagti Saanson Ka Ek Dariya Hoon Main,
Apne Gumgashta Kinaron Ke Liye Behti Hoon Main,

Jal Gaya Sara Badan In Mausamon Ki Aag Mein,
Ek Mausam Rooh Ka Hai Jis Mein Ab Zinda Hoon Main,

Mere Hothon Ka Tabassum De Gaya Dhoka Tujhe,
Tune Mujhko Baagh Jana Dekh Le Sehra Hoon Main,

Dekhiye Meri Pazeerai Ko Ab Aata Hai Kaun,
Lamha Bhar Ko Waqt Ki Dehleez Par Aaya Hoon Main...

Mayoos Mat Hona Yeh Aik Gunnah Hota Hai


Mayoos Mat Hona Yeh Aik Gunnah Hota Hai
Milta Wahi Hai Jo Qismat Main Likha Hota Hai

Har Cheez Miley Humain Yeh Zaroori Tou Nahi
Kuch Cheezon Ka Zikar Doosre Jahan Main Hota Hai

Jo Khud Ko Kostey Hain Woh Shayed Bekhabar Hain
Kuch Paalene Ka Ikhtiyar Khud Pe Bhi Hota Hai

Har Aik Ko Barsar-E-Ilzam Kiun Thehrayein Hum
Apne Samne Bhi Tou Aik Ayeena Hota Hai

Hum Apni Zindagi Se Kiun Haar Jayein
Gar Doobta Hai Sooraj Tou Kal Bhi Ujala Hota Hai

Kya Kahoon Kaisi Ada Rakhta Hai



Kya Kahoon Kaisi Ada Rakhta Hai,
Apne Har Rang Mein Be Misl Rakhta Hai,

Kis Qadar Shokh Nigahon Mein Haya Rakhta Hai,
Mera Mehboob To Nazrein Hi Jhuka Ke Rakhta Hai,

Garmi-E-Haath Mein Wo Lams Ajab Rakhta Hai,
Jisse Zahir Hai Ke Wo Sidq Wafa Raktha Hai,

Bewajah Honthon Ko Jumbish Mein Nahi Rakhta Hai,
Jo Bhi Kehta Hai Us Mein Wazan Rakhta Hai,

Apni Zulfon Mein To Wo Khali Ghata Rakhta Hai,
Sach To Ye Bhi Hai Ke Wo Chehra Haseen Rakhta Hai,

Apne Farhan Ka Ehsaas Bahut Rakhta Hai,
Uske Jazbat Ka Bharpoor Bharam Rakhta Hai...

Haath Ki Lakeeron Mein Kya Talash Karte Ho?


Haath Ki Lakeeron Mein
Kya Talash Karte Ho?
In Fazool Baaton Mein
Kis Liye Ulajhte Ho?
Jisko Milna Hota Hai,
Bin Lakeer Dekhe Hi
Zindagi Ke Raaston Par
Sath Sath Chalte Hai,
Phir Kahan Bichhadte Hai,
Jo Nahi Muqaddar Mein,
Kab Hamein Wo Milta Hai,
Kab Wo Saath Chalta Hai,
Haath Ki Lakeeron Mein
Kya Talash Karte Ho???

Sakoot-E-Jaan Ka Matlab Bata Do Phir Chale Jaana



Sakoot-E-Jaan Ka Matlab Bata Do Phir Chale Jaana,
Ya Phir Sargoshiyan Dilki Suna Do Phir Chale Jaana,

Jo Mera Aur Tumhara Waqt Guzra Hansne Rone Mein,
Use Puri Tarahse Tum Bhula Do Phir Chale Jaana,

Ye Saare Ped Paudhe Tum Bin Kayi Raat Jaage Hai,
Tum Aake Ek Baar Inko Sula Do Phir Chale Jaana,

Kisiko Chahne Ka Aur Kisise Chaahe Jaane Ka,
Jo Hai Ehsaas Tum Usko Bhula Do Phir Chale Jaana,

Bas Ek Murda Hansi Se Apne Ashqon Ko Chhupane Ka,
Jo Fann Aata Hai Tumko, Wo Sikha Do Phir Chale Jaana,

Wo Jo Ek Lafz-E-Ulfat Hai, Juda Hai Apne Maani Se,
Bas In Alfaz-O-Maani Ko Mila Do Phir Chale Jaana,

Jo Kehte Kehte Ruk Gaye, Un Saari Baaton Ki,
Sama'at Ko Talab Hai Wo Suna Do Phir Chale Jaana,

Na Jaane Kyon Hai Lekin Dekhne Ki Tumko Aadat Hai,
Meri Ye Bewajah Aadat Chura Do Phir Chale Jaana...

Baarish Thi Bhigi Raat Thi, Main Bheegta Raha


Baarish Thi Bhigi Raat Thi, Main Bheegta Raha
Qadmon Ke Tere Sab Nishaan Main Khojta Raha,
Jaane Ka Tere Hoga, Koi Sabab Zaroor,
Aisa Bhi Maine Kya Kaha, Ye Sochta Raha,

Panchhi Bhi Sogwar The, The Phool Gamzada,
Hansti Thi Jo Baharein, Thi Aaj Gamzada,
Mujhko To Aasman Bhi Khamosh Sa Laga,
Khamosh Is Paheli Ko Main Bujhta Raha,

Aankhon Mein Tera Aqs Hai, Aj Kho Sa Jayega,
Ro Raha Hai Mann Mera Behal Hi Jayega,
Likhta Rahunga Geet Main Jab Tak Ye Saans Hai,
Gayega Kaun Inko, Ye Sochta Raha...

Main Ab Gehre Gunjan Kheton Mein


Main Ab Gehre Gunjan Kheton Mein,
Ek Maangi Si Sabz Dandi Pe Chalne Laga Hoon,
Mujhe Kya Khabar
Raat Shabnam Giri,
Aur Kitni Giri Thi,
Magar Mere Jute Bahut Bhari Hokar,
Zameen Se Chipakne Lage Hai,
Aur Ek Chhap Mere Aqab Mein,
Dabe Paanv Aane Lagi Hai,
Ek Asar Arbe Chehra Benaam Haiyat,
Mulayam Si Barik Malmal Mein Lipti Koi Doodhiya,
Jo Khaddar Ki Chadar Ki Khwahish Mein Nikli Hai,
Mera Badan Odhne Par Bazid Hai,
Magar Main To Itna Hi Bas Janta Hoon,
Is Mere Pichhe Yun Hi Chalte Aana Hai,
Sadiyon Par Aana Hai,
Badan Aur Saaye Ka Rasta Nibhana Hai,
Ek Udti Chidiya Se,
Ruk Kar Main Kehta Hoon,
Iske Bataye
Ke Kheton Ki Is Aakhri Had Par Jaakar,
Padhna Hai Mujhko
Padhna Hai Isko,
Badan Aur Saaye Ka Kirdaar
Aakhir To Ek Din Badalna Hai,
Phir Aisi Jaldi Bhi Kya Hai...

Jaane Kab Ayega Lab-E-Azad Ka Mausam


Jaane Kab Ayega Lab-E-Azad Ka Mausam,
Jaane Kab Khatam Hoga Ye Hasrat-O-Yass Ka Mausam,
Jaane Kab Band Hongi Ye Nafrat Ki Hawayein,
Jaane Kab Khatam Hongi Bagair Kisi Khata Ki Sazayein,
Jaane Kab Uski Aankhon Mein Mohabbat Ke Deep Jalenge,
Jaane Kab Hum Usko Bagair Kisi Bahane Milenge,
Jaane Kab Is Faza Mein Se Aansu Ki Nami Khatam Hogi,
Jaane Kab Sab Ke Samne Hum Usko Apna Keh Sakenge,
Jaane Kab Tak Wo Mere Dil-O-Dimag Par Uski Zaat Ka Qabza Rahega,
Jaane Kab Tak Wo Meri Saanson Mein Basta Rahega,
Jaane Kab Tak Ye Saanso Ki Dor Rahegi
Jaane Kab Tak Ye Zindagi Aur Rahegi...

Jo Shab-E-Wasl Tere Sath Maine Guzar Di


Jo Shab-E-Wasl Tere Sath Maine Guzar Di
Mere Jism Pe Woh Sub Raqam Hui
Meri Rooh-O-Jaan Mein Utar Gayi
Badi Mukhtasar Si Woh Raat Thi Jise Maine Wasl Samajh Liya
Mera Jism-O-Jaan Tere Sath Tha Meri Rooh Tujh Pe Nihal Thi
.
.
.
Bade Purfareb Woh Pal Lage
Meri Jaan Jab Tu Qareeb Thi
Mera Reza Reza Jism Ka Teri Khushbuon Se Mahek Utha
Meri Zeest Ki Sari Udasiyan Tere Qurab Se Bahel Gayi

Tere Pyar Se
Tere Pyar Se
Meri Zindagi Ki Ye Raat Bhi Takmeel The Tere Mere Pyar Ki
Tune Paa Liya
Maine Kho Diya
.
.
.
Ye Hi Husn Is Pal Ka Tha....
Aur
.
.
Aur
Sahir Mein Sara Azab Tha
Main Wasal Jis Ko Samajh Rahi Thi
Woh To Sare Ka Sara Hijr Tha
Aur Firaq Tha...

Jaise Chand Ki Shaal Mein Lipti Hui Waadi


Jaise Chand Ki Shaal Mein Lipti Hui Waadi,
Wo Waadi Jinki Kismat Mein Sharminda Tabeer Hona Nahi Likha,

Mera Aur Uska Saath,

Jaise Kali Sham Mein Kali Darakhto Ke Kale Saye,
Jinki Kismat Mein Ummid Ki Ek Kiran Nahi,

Mera Aur Uska Saath,

Jaise Tanha Musafir Tanhayi Ke Khauf Se Tanhai Ko Odh Le,
Jiski Kismat Mein Mehfil Nahi,

Mera Aur Uska Saath,

Jaise Malik Aur Makhlook Ek Ban Ke Bhul Gaya Ek Bana Kar,
Bhool Gaya
Wo Mehek, Log Jinki Kismat Mein Sada Ki Pyaas Likh Di Gayi Hai,

Mera Aur Uska Sath,

Jaise Jism Uar Rooh Ja Kaise Din Aur Raat Ka
Jaise Nadi Aur Kinaro Ka Jaise Bahar Aur Khizaon Ka,

Aisa Hai Mera Aur Uska Saath...

Sunana Chahti Hoon Ek Kahani Apni Aankhon Ki


Sunana Chahti Hoon Ek Kahani Apni Aankhon Ki,
Ke Teri Yaad Mein Kaise Ye Aankhein Bheeg Jaati Hai,

Tumhari Yaad Aankho Mein Liye Jab Bhigti Hoon Main,
Badan To Khushk Rehta Hai Ye Aankhein Bheeg Jaati Hai,

Ye Do Aankhein Jo Hai Ek Mein Hasi Ek Mein Aansu,
Magar Tanhayi Mein Dono Ye Aankhein Bheeg Jaati Hai,

Jise Rota Hua Dekha Nahi Karti Thi Ye Aankhein,
Wo Aankhein To Bahut Hai Khush Ye Aankhein Bheeg Jaati Hai,

Ye Meri Aankh Hai Ke Jheel Ka Behta Koi Paani
Khushi Ki Baat Bhi Sun Luye Aankhein Bheeg Jaati Hai,

Chhupa Rakhi Hai Ek Tasveer Teri Kabse Is Dilne,
Ye Jab Bhi Yaad Karta Hai Ye Aankhein Bheeg Jaati Hai,

Tumhare Naam Ka Kaajal Lagaya Jabse In Aankhone,
Tumhara Naam Bhi Sunkar Ye Aankhein Bheeg Jaati Hai,

Guzaare The Kabhi Ek Sath Jo Khushiyon Ke Pal Humne,
Wo Lamha Yaad Aata Hai Ye Aankhein Bheeg Jaati Hai,

Bade Aasan Lafzon Se Khuda Hafiz Kaha Tumne,
Tumhe Malum Bhi To Tha Ye Aankhein Bheeg Jaati Hai,

Jo Sunta Hai Meri Ye Daastan Wo Mujhse Kehta Hai,
Aye Patthar Teri Kahani Sunke Aankhein Bheeg Jaati Hai...

Kis Kadar Siyaah Hai Din Aur Safed Raatein Hain


Kis Kadar Siyaah Hai Din,
Aur Safed Raatein Hai,
Maut Ki Khamoshi Mein,
Zindagi Ki Baatein Hai,
Waqt Ruk Gaya Hai Aur
Chand Taare Chalte Hai,
Bujh Gaya Hai Ye Suraj
Jism Saare Jalte Hai,
Dekhte Hai Haath Aur Pair
Aankh Sochti Hai Ab
Lab Sile Hue Hai Aur
Sach Bolte Hai Ab,
Sach Bolte Hai Ab,
Saans Ab Dhadakte Hai
Dil Lahoo Mein Behta Hai,
Jism Mein Mera Lekin,
Koi Aur Rehta Hai,
Dard Hai Mere Lekin,
Koi Aur Sehta Hai,
Dushamni Hai Yaaron Se,
Bolti Hai Tasveerein,
Raaz Saari Duniya Ke,
Kholti Hai Tasveerein,
Khaar Mein Hai Khushbu Aur
Phool Khoon Rulate Hai,
De Sakun Angaare,
Honth Ab Jalaate Hai,
Raaste Bhi Sidhe Hai,
Manzilein Bhi Aasan Hai,
Na Koi Musafir Hai
Na Hi Koi Samaan Hai,
Khwahishein Nahi Hai Aur,
Na Hi Hai Koi Maksood,
Jism-O-Rooh Ka Rishta,
Ab Kahin Nahi Maujood...

Mere Aansuon Pe Nazar Na Kar Mera Shikwa Sunke Khafa Na Ho


Mere Aansuon Pe Nazar Na Kar, Mera Shikwa Sunke Khafa Na Ho,
Use Zindagi Ka Bhi Haq Nahi Jise Dard-E-Ishq Mila Na Ho,

Ye Inayatein Ye Nawazishein, Mere Dard-E-Dil Ki Dawa Nahi,
Mujhe Us Nazar Ki Talash Hai Jo Ada Shanaas-E-Wafa Na Ho,

Tujhe Kya Bataun Main Bekhabar Ki Hai Dard-E-Ishq Mein Kya Asar,
Ye Hai Wo Latif Si Kaifiyat Jo Zuban Tak Aayi Ada Na Ho,

Ye Sharaab Rez-E-Hasin Ghataa Jo Hai "Kaif" Naazish-E-Maykada,
Kisi Tashnaa-Kaam Ki Aarzu Kisi Tashna-Lab Li Dua Na Ho...

Apni Ana Ke Saare Sheeshe Chakna Chur Hue


Apni Ana Ke Saare Sheeshe Chakna Chur Hue,
Humne Jinpe Gazlein Sochein Unko Chaha Logone,
Hum Kitne Badnaam Hue Woh Kitne Mashoor Hue,

Tarq-E-Wafa Ki Saari Kasmein Unko Dekhke Toot Gayi,
Unka Naaz Salamat Thehra Hum Hi Zara Majboor Hue,

Ek Ghadi Ko Ruk Kar Puchha Usne To Ahwal Magar,
Baqi Umar Na Mud Kar Dekha Hum Aise Magroor Hue,

Ab Ke Inki Bazm Mein Jane Ka Gar Mohsin Izn Mile,
Zakhm Hi Inki Nazar Guzarein, Ashq To Na Manzoor Hue,
Tumne Bhi Thukra Hi Diya Hai Duniya Se Bhi Door Hue...

Bas Itni Si Inaayat Mujh Pe Ek Baar Kijiye


Bas Itni Si Inaayat Mujh Pe Ek Baar Kijiye
Kabhi Aake Mere Zakhmon Ka Deedar Kijiye

Ho Jaiye Begane Aap Shaquq Se Sanam
Aapka Hum Aapka Rahungie Aitbaar Kijiye

Padne Waale Hi Dar Jaayein Dekh Kar Ise
Kitaab-E-Dil Ko Itna Na Daagdaar Kijiye

Na Majboor Kijiye, Ke Main Unko Bhool Jaaun
Mujhe Meri Wafaaon Ka Na Gunehgaar Kijiye

In Jalte Diyon Ko Dekh Kar Na Muskuraiye
Zara Hawaaon Ke Chalne Ka Intezaar Kijiye

Karna Hai Ishq Aapse Karte Rahenge Hum
Jo Bhi Karna Hai Aapko Mere Sarkaar Kijiye

Phir Sapno Ka Aashiyaan Bana Liya Hai Maine
Phir Aandhiyon Ko Aap Khabardaar Kijiye

Hame Na Dikhaiye Ye Daulate Ye Shohrate
Hum Pyaar Ke Bhuke Hain Hame Pyaar Kijiye

Gar Us Mein Tha Bhi Koi Nuks Achha Lagta Tha


Gar Us Mein Tha Bhi Koi Nuks Achha Lagta Tha
Kuch Is Tarah Mujhe Wo Shakhs Achha Lagta Tha,

Bas Ek Din Mujhe Dekha Tha Aankh Bhar Usne,
Phir Aaine Ko Mera Aks Achha Lagta Tha,

Wo Aankhon Aankhon Mein Is Pyar Se Phirati Thi,
Kitab-E-Gam Ka Har Ek Dars Achha Lagta Tha,

Kalam-E-Yaar Ki Talkhee Se Sochte Hi Na The,
Kharam-E-Yaar Ka Wo Raakhs Achha Lagta Tha,

Chura Gaya Hai Gaya Waqt Zaiqe Warna,
Hawaon Ka Bhi Lams Achha Lagta Tha...

Wo qayamat ho sitara ho ke dil kuch na kuch hijer me tootay to sahi


Wo qayamat ho sitara ho ke dil
kuch na kuch hijer me tootay to sahi

hum wahin per hi basa lein khud ko
wo kabhi rah me rokey to sahi

sab se hat ker hi manana ha isay
ham se aik bar wo roothay to sahi

dil usi waqt sambhal jay ga
dil ka ehwal wo poochay to sahi

us ki nafrat bhi mohabat ho gi
meray barey me wo soochay to sahi

us ke qadmoon me bicha doon aankhain
meri basti se wo guzrey to sahi

us ke sab jhoot bhi sach hain mohsin
shart ha wo bolay to sahi

Rehne Do Ab Gile Shikwe Koi Aur Hamein Ilzaam Na Do


Rehne Do Ab Gile, Shikwe
Koi Aur Hamein Ilzaam Na Do
Kuch Aur To Humko Jeene Do,
Aagaz Ko Tum Anjaam Na Do,

Waqt Ke Is Bazar Mein Tum,
Mujhko Tanha Bikne Do,
Tum To Mere Apne The,
Tum To Mere Daam Na Do,

Kal Tak Mujhko Duniya Wale,
Tere Naam Se Jante The,
Mujh Pagal Deewane Ko Rehne Do,
Ab Koi Naam Na Do,

Zakham Naye, Ye Dard-O-Alam,
Phir Ashqon Ki Baraat Bhi Di,
Mujh Mein To Ab Taab Nahi,
Ruswayi Ka Inaam Na Do,

Sagar Ko Mera Toot Gaya,
Maine Peena Chhod Diya,
Shayad Ab Na Behkoon Main,
Fareb Ka Ab Koi Jaam Na Do,

Pyaar Ki Aad Mein Mat Udao,
Tum Apni Izzat Ki Dhajiyan,
Aane Wali Naslon Ko Tum,
Ye Zillat Bhara Paigam Na Do,

Wasl Ki Behki Raaton Ko,
Main Posheeda Rakhuga Bas,
Din Tum Mera Lauta Do,
Bhale Hi Koi Shaam Na Do,

Tumse To Gum Ghasta Ho Kar,
Apne Khayal Mein Achha Hoon,
Khud Se Khud Ko Bhi Kho Dun,
Aise Mujhe Mukaam Na Do...

Jab Mere Tan Mein Aakhri Saans Bhi Na Rahe


Jab Mere Tan Mein Aakhri Saans Bhi Na Rahe,
Mere Lab Khamosh Ho Jayein,
Meri Samat Khatam Ho Jaye,
To Yaad Rakhna,
Main Aakhri Saans Tak Tumko,
Mehsoos Karungi,
Karna Chahungi,
O Jaan Main Us Lamhe Bhi,
Tumko Dekhna Chahungi,
Main Ye Aarzu Karungi,
Main Apni Aankhon Mein Aakhri Aqs Tera Rakhun,
Kya Doge Mujhko Ye Yaqeen,
Kya De Sakoge Ye Behlawa...

Pal Bhar Mein Tamam Umar Ki Sochein Badal Jaati Hain


Pal Bhar Mein Tamam Umar Ki Sochein Badal Jaati Hain,
Jin Raahon Par Chalte Hai Wohi Raahein Badal Jaati Hain,

Karne Ko Kya Nahi Karte Log Mohabbat Mein,
Sirf Hamare Liye Hi Kyon Rasmein Badal Jaati Hain,

Wo Aisa Hai Ke Uska Naam Sunne Ke Tasavvur Se Hi,
Hamari Tamam Tar Saatein Badal Jaati Hain,

Sochti Hoon Jaane Kaise Keh Paungi Main Usse,
Milti Hoon To Dilki Saari Baatein Badal Jaati Hain,

Chahe Manzil Dushwar Ho Aur Door Bhi,
Humsafar Us Jaisa Ho To Musaftein Badal Jaati Hain,

Yun To Raat Ka Alam Haseen Hota Hai, Madhosh Bhi,
Magar Chaand Dekhun To Meri Raatein Badal Jaati Hain,

Mat Chaho Ke Mujhe Aadat Nahi Itna Chahne Walon Ki,
Ye Na Ho Log Kahein, Jald Hi Aadatein Badal Jaati Hain...

Bana Hai Jo Dushman Kabhi Yaar Bhi Tha


Bana Hai Jo Dushman Kabhi Yaar Bhi Tha,
Wo Beete Mere Lamhon Ka Pyaar Bhi Tha,

Wo Jiski Nazar Thi Mohabbat Pe Meri,
Wo Dushman Mera Ek Ye Sansar Bhi Tha,

Wo Jiski Zamane Ne Ki Hai Sifat Aub,
Wo Kirdaar Ka Gul Kabhi Khar Bhi Tha,

Guroor Ab Karun Na Is Jageer Pe Tum,
Jo Paas Tha Ab Ahi Anjum Kabhi Dar Bhi Tha..

Chehra Bezaari Ke Is Mausam Mein


Chehra
Bezaari Ke Is Mausam Mein
Sookhe Patton Ke Saaye Mein,
Chhota Sa Hai Ek Dareecha,
Jab Main Aankhein Band Karun,
To Band Dareechon Ke
Darwazon Se,
Wo Aankhein Takti Rehti Hai,
Ek Chehra Paas Bulata Hai,
Anjaane Se Khwab Dikhata Hai,
Phir Jab Main Aankhein Kholun To,
Wo Chehra Gum Ho Jaata Hai,
Jitna Paas Bulata Hoon Main,
Utna Hi Tadpata Hai...

Kaho Ab Kya Kahun Tumse Batao Ab Kya Likhun Tumko


Kaho Ab Kya Kahun Tumse
Batao Ab Kya Likhun Tumko
Mujhe Tumheed Do Koi, Mujhe Ummid Do Koi,
Naya Ek Lafz Ho Koi,
Jahan Se Baat Chal Nikle, Meri Mushkil Na Hal Nikle,
Batao Lehja Kaisa Ho,
Ke Tumse Baat Karni Hai,
Mujhe Thoda Ujala Do, Basar Ek Raat Karni Hai,
Tum Apni Roshan Aankhon Ko,
Agar Kholo To Main Likhun,
Tumhare Lab Se Aayega Sukhan Mein Ek Kateela Pan,
Tumhari Aankh De Degi Takhatib Ko Nasheela Pan,
Kaho Ab Kya Irada Hai,
Mujhe Izhar Karna Hai,
Ke Betabi Zyada Hai...

Mera Jee Hai Jab Tak Teri Justuju Hai Zuban Jab Talak Hai Yehi Guftugu Hai



Mera Jee Hai Jab Tak Teri Justuju Hai,
Zuban Jab Talak Hai Yehi Guftugu Hai,

Khuda Jaane Kya Hoga Anjaam Iska,
Main Besabar Itna Hoon Wo Tund Khu Hai,

Tamanna Hai Teri Agar Hai Tamanna,
Teri Arzu Hai Agar Arzu Hai,

Nazar Mere Dilki Padi Dard Kis Par,
Jidhar Dekhta Hoon Wohi Rubaru Hai...

Akela Dekh Kar Tumko Hamein Ehsaas Hota Hai


Akela Dekh Kar Tumko
Hamein Ehsaas Hota Hai,
Kabhi Hum Bhi Akele The,
Agar Cha Sheher Mein Dilke Liye,
Lakhon Jhamele The,
Hazaron Rang Mile The
Magar Itni Bahut Si Raunaqon Mein
Hum Akele The,
Akela Dekhakr Tumko
Hamein Ehsaas Hota Hai,
Kabhi Tum Bhi Akele The,
Phir Ek Din Humne In Khayalon Se Dosti Kar Li,
Akele Reh Ke Jeene Ka Qareena Aa Gaya Humko,
Koi Bhi Rutt Ho,
Apni Aankh Hargiz Nam Nahi Rakhte,
Ye Aalam Hai Ke Ab,
Tanhaiyon Ka Gam Nahi Rakhte,
Magar Phir Bhi Nazar Aata Hai Koi,
To Phir Ehsaas Hota Hai,
Kabhi Hum Bhi Akele The...

Popular Posts