Saturday, July 24, 2010

Tere Hothon Ke Phoolon Ki Chahat Mein Hum


Tere Hothon Ke Phoolon Ki Chahat Mein Hum,
Daar Ki Khushk Tehni Pe Vaare Gaye,
Tere Haathon Ki Shammon Ki Hasrat Mein Hum,
Neem Tarik Raahon Mein Maare Gaye,

Suliyon Par Hamare Labonse Pare,
Tere Honthon Ki Laali Lapakti Rahe,
Teri Zulfon Ki Masti Barasti Rahi,
Tere Haathon Ki Chand Si Damakti Rahi,

Jab Khuli Teri Raahon Mein Shaam-E-Sitam,
Hum Chale Aaye, Laaye Jahan Tak Qadam,
Lab Pe Harf-E-Gazal, Dil Mein Qandil-E-Gam,
Apna Gam Tha Gawahi Tere Husn Ki,
Dekh Qaayam Rahe Us Gawahi Par Hum,
Hum Jo Taarik Raahon Mein Maare Gaye,

Na Rasaa'ii Agar Apni Takdeer Thi,
Teri Ulfat To Apni Hi Tadbeer Thi,
Kisko Shikwa Hai Gar Shauq Ke Silsile,
Hijr Ki Qatl-Gaahon Se Sab Jaa Mile,

Qatl-Gaahon Se Chun Kar Hamare Ilm,
Aur Niklenge Ushshaaq Ke Qaafile,

Jinki Raah-E-Talab Se Hamare Qatam,
Mukhtasar Kar Chale Dard Ke Faasile,
Kar Chale Jin Ki Khatir Jahangir Hum,
Jaan Ganwa Kar Teri Dilbari Ka Bharam,
Hum Jo Taarik Raahon Mein Maare Gaye...

No comments:

Popular Posts