Saturday, July 24, 2010

Sakoot-E-Jaan Ka Matlab Bata Do Phir Chale Jaana



Sakoot-E-Jaan Ka Matlab Bata Do Phir Chale Jaana,
Ya Phir Sargoshiyan Dilki Suna Do Phir Chale Jaana,

Jo Mera Aur Tumhara Waqt Guzra Hansne Rone Mein,
Use Puri Tarahse Tum Bhula Do Phir Chale Jaana,

Ye Saare Ped Paudhe Tum Bin Kayi Raat Jaage Hai,
Tum Aake Ek Baar Inko Sula Do Phir Chale Jaana,

Kisiko Chahne Ka Aur Kisise Chaahe Jaane Ka,
Jo Hai Ehsaas Tum Usko Bhula Do Phir Chale Jaana,

Bas Ek Murda Hansi Se Apne Ashqon Ko Chhupane Ka,
Jo Fann Aata Hai Tumko, Wo Sikha Do Phir Chale Jaana,

Wo Jo Ek Lafz-E-Ulfat Hai, Juda Hai Apne Maani Se,
Bas In Alfaz-O-Maani Ko Mila Do Phir Chale Jaana,

Jo Kehte Kehte Ruk Gaye, Un Saari Baaton Ki,
Sama'at Ko Talab Hai Wo Suna Do Phir Chale Jaana,

Na Jaane Kyon Hai Lekin Dekhne Ki Tumko Aadat Hai,
Meri Ye Bewajah Aadat Chura Do Phir Chale Jaana...

No comments:

Popular Posts