Wednesday, July 7, 2010

ruswa kiya humein

Badan mein rang bharta hay tumhara chand sa chehra



Badan mein rang bharta hay tumhara chand sa chehra
Mujhy beichain karta hay tumhara chand sa chehra

Ishq ehsaaska Nashaa liey phirta hay dunia mein
Meri khatir sanwarta hay Tumhara chand sa chehra

Mujhy yeh chandni raatain bohat Dillgirr lagti hain
Jab ankhoon mein ubalta hay tumhara chand sa chehra

Koi chehraa meri ankhon ko seerab kar nehi sakta
Mujhy madhosh karta hay tumhara chand sa chehra

Meri bastti sey shayad ess liey tum duor rehtya ho
Girehan lagney sey darta hay tumhara chand sa chehra

Tawajha kis qadar deiney laga hun ajh kal main khud pe
Tasawur sey guzarta hay tumhara chand sa chehra

Mery charon taraf jab raatain pheil jati hain
Toh phir mujh mein utarta hay Tumhara chand sa chehra

Shab-e-hijrrain sey Shaan yunhi apni dosti rakhna
Andheirey mein nikharta hay tumhara chand sa chehra

MEIN NE GHAZLON MEIN UTARA HAI TUMHARA CHEHRA



MEIN NE GHAZLON MEIN UTARA HAI TUMHARA CHEHRA
K MUJHAY JAAN SE PIYARA HAI TUMHARA CHEHRA

TUM KO ISS BAAT KA EHSAAS NA JANAY KAB HO
MERI AANKHON KA KINARA HAI TUMHARA CHEHRA

DEKH KAR ISS KO SAKOON DIL KO MUYASSIR AYE
MUJH MO GHAIRON MEIN SAHARA HAI TUMHARA CHEHRA

APNI MAAMOL KI TAKHLEEQ SE HUT KAR JAISAY
USS NE FURSAT SE SANWARA HAI TUMHARA CHEHRA

APNI TAKHLEEQ SE WOH KHUD KO AYYAAN KARTA HAI
USS KI QUDRAT KA ISHAARA HAI TUMHARA CHEHRA

Khuda Ik Pal Usay Mera Bana De


Khuda Ik Pal Usay Mera Bana De
Itna Chahta Hun Usay Koi Bata De

Bohat Naz Hai Mujhe Apni Mohabbat Per
HoJaye Wo Mera Aisa Koi Mojza Dekha De

Agar Wo Mera Naseeb Ban Nhi Sakta
Uske Kadmon Ki Khak Mujhe Bana De

Her Pal Dehkon Sapnay Usi Ke
Na Jagon Mujhe Aisi Neend Sula De

Youn Ghut Ghut Ker Nhi Jena Chahta
Ya Wo Mujhe Mil Jaye Ya Mujhe Mita De...

Tum se nahein milay tou kisi se nahein milay



Tum se nahein milay tou kisi se nahein milay
milna bhi pargaya tou khushi se nahein milay

duniya tou kiya khud se bhi kartay rahay guraiz
jab tak nahein milay kisi se bhi nahein milay

jo baytalab tha uss ki rahi humein talab
jo milna chahta tha ussi se nahein milay

milne ko zindagi mein sabhi kuch mila
tum mil gaye tou log khushi se nahein milay

hum apne dushmanoon say galay mil kar aagaye
jis kay liye gaye thay ussi se nahein milay...

barasti boond chun chun kar koyi gajra bana deyna


barasti boond chun chun kar koyi gajra bana deyna
merey haathon main balon main kabhi baarish saja deyna

kisi khushboo ka an deykha sa aanchal aurh loon sar sey
gulabon kuch lamhey ko tum mujhey apni adaa deyna

wo merey haath par honton ko rakhey piyaas ke dukh main
issi khaatir haatheli par koyi dariya bana deyna

bikharti dhoop sa cherey main behtey aab par dekhon
zara paani main apney aks ka manzar milaa deyna

main bhar loon haath ka piyalaa sunheri dhoop kirnon sey
merey sooraj ko dariya key kinarey par bulaa deyna

ussi key haath rakh deyna baharon key sabhi mousam
mujhey titli key par dey kar baharon ki duaa deyna

meri aankahin jaga key tum jo merey khuwaab parhtey ho
suno ! janey sey kuch pehley meri aankhain sulaa deyna

Wo bujhey gharon ka chiragh tha yeh kabhi kisi ko khabar na ho


Wo bujhey gharon ka chiragh tha yeh kabhi kisi ko khabar na ho
usey le gai hai kahan hawa’ yeh kabhi kisi ko khabar na ho

Kai log jaan se jayein gey merey qatiloon ki talash main
Merey qatl main mera haath tha’ yeh kabhi kisi ko khabar na ho

Wo tamaam duniya ke wastey jo muhabaton ki misaal tha
Wohi apney ghar mein tha bewafa yeh kabhi kisi ko khabar na ho

Kaheen masjidon main shahadatain kaheen mundiron main adaalutain
Yahan kon kerta hai faisla yeh kabhi kisi ko khabar na ho

Merey pass jitni hai roshni yehi hai chiragh ki zindagi
Mein kahan jala mein kahan bujha yeh kabhi kisi ko khabar na ho

Mujhe jaan kar koi ajnabi wo dikhla rahey hain gali gali
Isi sheher mein kabhi mera ghar bhi tha yeh kabhi kisi ko khabar na ho

Wo samajh ke dhoop ka dewta mujhe aaj poojney aaye hain …
Main charagh hoon teri shaam ka yeh kabhi kisi ko khabar na ho

meray dil ki hai yehi arzoo mujhay tohi bus mila karay


meray dil ki hai yehi arzoo mujhay tohi bus mila karay
yoohi chaahay mujh ko taamam umar na shikaitain na gila karay

meri chahtain, meri khwahishain, meri zindagi hai teraay liye
meri rub say yehi dua hai bus..tujhay koi na mujh say juda karay

meray khwaab meray ye rut jagay meri neend bhi hai teray liye
meri zindagi jo bachi hai ab; teray naam is ko khuda karay

mujhay zindagi say gila nahi mujay tujh say bus yehi a’as hai
mai bhi chahoo’n tujh ko sada yoohi tu wafa karay ya jafa karay

ye woh fa’aslay hain meray sanam jinhay koi bhi na mita saka
ye to feslay hain naseeb kay inhay kasay koi mita karay

meri zindagi mai khizaan hai bus na bahar kabhi asaki
yehi ashq mera naseeb hain koi gul khushi ka khila karay

Main diya hon toote Mazaar ka,sar-e-shaam kis ne jala diya


Main diya hon toote Mazaar ka,sar-e-shaam kis ne jala diya
Teri be-rukhi adaon ne mujhe zarra zarra bana diya

Nayi manzilon pe pohanch ker bhi yehi sochta hon ke kis tarha
Kin raaston pe mile the hum,kin raaston ne bichaar diya

Ye to apna apna naseeb hai koi mil sake ya na mil sake
Na ho gham zada dil-e-meherban,phir kya howa jo bhula diya

Mere hum safar zara soch le,zara theher ja qadam do qadam
Teera raaton ka khaloos hon,tere saamne jo bicha diya

Meri hasraton ke mazaar per tere sankron se sawaal hain
Mujhe rok ker itna bataye ja,yahan kis ne kis ko bhula diya

kabhi mujh ko saath lekar kabhi mere sath chal ke


kabhi mujh ko saath lekar kabhi mere sath chal ke
vo badal gaye achaanak meri zindagi badal ke

huye jis pe meharabaaN tum koi Khush_nasiib hogaa
meri hasarateN to nikaliN mere aaNsuuon maiN dhal ke

teri zulf-o-ruKh ke qurbaaN dil-e-zaar dhuuNDhataa hai
vahii champa_ii ujaale vahi surama_ii dhundalake

ko_ii phuul ban gayaa hai ko_ii chaaNd ko_ii taaraa
jo chiraaG bujh gaye haiN teri anjuman maiN jal ke

mere dosto Khudaaraa mere saath tum bhii dhuuNDo
vo yahiN kahiN chhupe haiN mere Gam kaa ruKh badal ke

teri bejhijhak haNsi se na kisi kaa dil ho mailaa
ye nagar hai aa_iinoN kaa yahaaN saaNs le sambhal ke

mein ne roka b nahi wo thehra b nahi


mein ne roka b nahi wo thehra b nahi
hadsa kia tha jisy dil ne bhulaya b nahi

jany walon ko kahan rok saka hay koi???
tum chaly ho to koi rokny wala b nahi

wo to sadiyon ka safar kar k yahan poncha tha
tu ne monh pher k jis shakhs ko dekha b nahi

ek musafir hay jisy teri talab hay kb se
ehtraman tery koochay se guzarta b nahi

Aankhein khulein tu raat kay manzar badal gaye


Aankhein khulein tu raat kay manzar badal gaye,
Kashti dubo kay ishq ke , samandar badal gaye .

Matti ke bhuk main , kya kya nahi kiya ,
Dab kar kay sab yahan , sikandar badal gaye .

Khurchi thi jin ke nook par , azmat ke chandni,
Apni luti ke wastay , khanzar badal gaye ..

Shikhastoo main aapni aap kuch , khubi dundye,
Aankho ke barishon se ,kitne,Banjar badal gaye .

Har bacche ke kaan main aadil ke baat the ,
Dekho tu nafraton ke , bawandar badal gaye

kyaa Khabar thii ke main is darjaa badal jaaungaa


kyaa Khabar thii ke main is darjaa badal jaaungaa
tujh ko kho duungaa tere Gham se sambhal jaaungaa

ajanabii ban ke miluungaa main tujhe mahafil men
tuu ne chhedii bhii to main baat badal jaaungaa

Dhuundh paaye na jahaan yaad bhii terii mujh ko
aise jangal men kisii roz nikal jaaungaa

zid men aaye hue maasom se bache kii tarah
Khud hii kashtii ko Dubone pe machal jaaunga

Mohabbat karke yeh dhoka bhi mujhe khana tha


Mohabbat karke yeh dhoka bhi mujhe khana tha
Karke Wafa bhi bewafayi ka ilzam mujhe utthana tha

Hamesha rahi main jis ke Pyaar ki panahon main
Aaj us ki bahon main kisi aur ka thikana tha

Zara si baat per hua tha woh khafa mujh se
Kyun ki aaj us ne mere Pyaar ko aazmana tha


Jab kuch na kaha us ne to chup rahi main bhi
Mujhe bhi thi bohat jaldi usse bhi Ghar ko jaana tha


Mohabbat ka haseen Rishta itne aram se toota
Hui ghalti mujh se Dil main kisi ko nahi basana tha

kaha usne bharosa dil par itna nae karte



kaha usne bharosa dil par itna nae karte
kaha mein ne k mohabat mein kabhi socha nae karte!

kaha usne bohat khush rang dunya k nazare hain
kaha mein ne k jab tum ho tu kch dehka nae karte!

kaha usne mein tum se dur hun lekin tmara hun
kaha mein ne k sapne dil ko behlaya nae karte!

kaha usne tmari chahat mein ruswayan hongi
kaha mein ne shorat se gabraya nae karte!

kaha usne samjh jao samjh jao ae mere pagal!!
kaha mein ne k dewaney ko samjhaya nae karte!!!

usey khali hath nah lutana aey KHUDA


usey khali hath nah lutana aey KHUDA !
jab woh mangney ki baat karey

usey meethi neend sula dena us raat,
ghamon ki bheer main jab jaagney ki baat karey

mere dil main uski talab Or berha dena,
jab woh chorney ki baat karey

meri waffa pe woh karey naaz sada
jab woh bewaffa zamane ki baat karey

Kisi Ko Kisi Ka Sahaara Nahin Hai



Kisi Ko Kisi Ka Sahaara Nahin Hai
Naaya Dour Hai Kuch Humara Nahin Hai

Baray Hain Yahan Pay Buhat Say Makaan Par
Ghareebon Ko Laikin Baseera Nahin Hai

Naye Waqt Main Bhi Hai Achha Buhat Kuch
Woh Pehlay Sa Laikin Nazaara Nahin Hai

Kamaatay Hain Donon Miyan Bivi Mil Kar
Magar Phir Bhi Dekho Guzaara Nahin Hai

Sabhi Maantay Hain Ghalat Ho Raha Hai
Kisi Nay Magar Kuch Sudhaara Nahin Hai

Kab talak shab kay andhairay mein sehar ko tarsay


Kab talak shab kay andhairay mein sehar ko tarsay
Woh musafir jo bharay shehar mein ghar ko tarsay

Aankh thehray howay paani say bhi katraati hai
Dil woh reh'roo ke samandar kay safar ko tarsay

Mujh ko uss qehat kay mosam say bacha rub e sukhan
Jab koi ehal e hunar, arz e hunar o tarsay

aab kay iss toor musallat howa andhaira har soo
Hijar ke raat mairay deeda e tar ko tarsay

Umar itni tu ataa kar mairay fun ko khaliQ
Maira dushman mairay marnay ki khabar ko tarsay

Uss ko paa kar bhi ussay dhoond rahi hain ankhain
Jaisay paani mein koie seep, gauhar ko tarsay

na'shana'sayee kay mousam ka asar tu daikho
Aaina khaal o khad e aaina gar ko tarsay

Aik dunia hai kay basti hai teri ankhon me
Woh tu hum thay jo teri ik nazar ko tarsay

Shoor e sur'sar mein jo sar sabaz rahi hai mohsin
Mousam e gul mein wohi shaakh samar ko tarsay

Hone ko ess jahan mein kya ho nahin sakta


Hone ko ess jahan mein kya ho nahin sakta
ye aur baat ke wo mera ho nahin sakta

maabood wo hei jis ne tarasha hei jahan ko
ham jis ko tarashen wo khuda ho nahin sakta

wo jaanta hei mug ko manana nahin aata
so ye to te hei ke wo khafa ho nahin sakta

ab tug mein mera aks nazar aane laga hei
ab ess se zyada mein tera ho nahin sakta

ess baar jo gya to palat kar na aaey ga
aur aa gya agar to juda ho nahin sakta

Hama-waqt ranj-o malal kia, jo guzer gaya so guzer gaya


Hama-waqt ranj-o malal kia, jo guzer gaya so guzer gaya
usay yaad ker ke na dil dukha, jo guzer gaya so guzer gaya

Na gila kia, na khafa huye, yunhi raastay main juda huye
na tu be-wafa, na main be-wafa, jo guzer gaya so guzer gaya

Woh ghazal ki aik kitaab tha, woh gulon main aik gulaab tha
zara dair ka koi khuab tha, jo guzer gaya so guzer gaya

Mujhe pat-jharon ki kahaniyan , na suna suna ke udaas ker
tu khizan ka phool hai muskura, jo guzer gaya so guzer gaya

Woh udas dhoop samait ker, kahin wadion main uter chuka
usay ab na day mere dil sada, jo guzer gaya so guzer gaya

Yeh safar bhi kitna taweel hai, yahan waqt bhi kitna qalil hai
kahan laut ker koi aaye ga, jo guzer gaya so guzer gaya

Woh wafayain thi ke jafayain thin, yeh na soch kis ki khatayain thin
woh tera hai us ko galay laga, jo guzer gaya so guzer gaya

Tujhe aitbaar-o yaqeen nahi, nahi dunya itni buri nahi
na malal ker mere saath aa, jo guzer gaya so guzer gaya.

Main chup raha keh zeher yehi mujh ko raas tha


Main chup raha keh zeher yehi mujh ko raas tha
Wo sang-e-lafz phaink kar kitna udaas tha

Aksar meri qaba pay hansi aa gai jissay
Kal mill gaya toh wo bhi dareeda libaas tha

Mai dhoondhta tha door khalaaon mai ek jism
Chehron ka ek hajoom meray aas paas tha

Tum khush they patharon ko khuda jaan kar magar
Mujh ko yaqeen hai wo tumhaara qayaas tha

Bakhsha hai jis nay rooh ko zakhmon ka perahan
*Mohsin* wo shakhs kitna tabiyat shanaas tha...

Aankhon main raha dil mein utar kar nahi dekha


Aankhon main raha dil mein utar kar nahi dekha
Kashti ke musafir ne samandar nahi dekha !!

Be waqt agar jaun ga sab chaunk paren ge
ik umar hui kabhi din mein ghar nahi dekha

Jis din se chala hun meri manzil pe nazar hai
aankhon ne kabhi meel ka pathar nahi dekha

yaaron ki mohabbat ka yaqeen kar lia main ne
phoolon mein chupaya huwa khanjar nahi dekha

mehboob ka ghar ho keh buzurgon ki zameeneN
jo chor dia phir usse mur kar nahi dekha

Pathar mujha kehta hai mera chahne wala
Main mom hun us ne mujhe chu kar nahi dekha

Wo mere masaail ko samajh hi nahi sakta
jis ne meri aankh mein samandar nahi dekha....

AAJ DARECHEY MAIN WO ANA BHOL GAYA


AAJ DARECHEY MAIN WO ANA BHOL GAYA
MAIN BHI APNA DIYA JLANA BHOL GAYA

AAJ MUJHEY BHI USKI YAAD NA AI..!
WO BHI MERE KHWAB MAIN ANA BHOL GAYA

BAHAR NE JAB SE ANA CHOR DIYA.
MUSAM BHI APNA PHOOL KHILANA BHOL GAYA

CHALTY CHALTY MAIN USKO BHAR LE AYA
WO BHI MUJ SE APNA HAAT CHURANA BHOOL GAYA

ROTH K DONO AIK JAGA PAR BETHEY RAHE
MAIN US OUR WO MUJ KO MANANA BHOOL GAYA....

Woh apne ghar chala gaya afsos mat karo


Woh apne ghar chala gaya afsos mat karo
Itna hi us ka saath tha afsos mat karo 

Insaan apne aap main majboor hai bohat
Koi nahi hai bewafa afsos mat karo

Is baar tum ko aane main kuch dair ho gayi
Thak haar ke woh sogaya afsos mat karo 

Duniya main aur Chahne wale bhi hain bohat
Jo hona tha so hogaya afsos mat karo

Is Zindagi ke mujh pe kayi qarz hain magar
Main jald laut aoongi afsos mat karo 

Yeh dekho phir se aagayin Phoolon pe titliyan
Ek roz woh bhi aayega afsos mat karo

Woh tum se aaj door hai kal paas ayega
Phir se ALLAH milayega afsos mat karo 

Bekaar gee pe bojh liye phir rahe ho tum
Dil hai tumhara Phool sa afsos mat karo...

Bichara jo Agar tujh say tu Mur Jaoon ga


Bichara jo Agar tujh say tu Mur Jaoon ga
Na bana phir koi subab, tu kidhar jaoon ga

Na Janay kaisay kutain gi, Hijar ki phir Pahar Raatain
Yaadaon k Zukham liya, Ayeen gi phir Ujaar Raatain
Phir kaisay bhala Wasal-e-Seher La sakoon ga
Bichara jo Agar tujh say tu Mur Jaoon ga

Tursain gi Nigahain, Phir Deed-e-Yaad k liya
Janay Kub Ubhray ga woh Chand, Phir Mera liya
Es Luzat-e-Ghum ko kaisay Bhula Payooon ga
Bichra jo Agar Tujh say tu Mur Joaoon ga

In Wehshatoon ko Barahayee gi, Phir meri Tunhayee
Aag-e-Hijraan na Bujha Payee gi, Phir meri Tunhayee
Arzoo Khoab Liya hi Bikhar Jaooon ga
Bichara jo Agar Tujh say tu Mur Jaoon ga

Phir Sawan ki Bursaat ma , Ujray ga yeh Dil
Phir Turpay ga Purani Rafaqatoon ko Yeh Dil
Phir kaisay bhala Na-daan Dil ko Behla Payoon ga
Bichra jo Agar tujh say tu Mur Jaoon Ga

Bichara jo agar tujh say tu Mur Jaoon ga
Na Bana phir koi Subab tu kidher Jaoon ga...

Waqt do kursioon pay baitha hay


Waqt do kursioon pay baitha hay
Saya bhar roshni hay kamray main

Naam bay naam paikroon jaisi
Do shabihoon say kitnai rownaq hay

Rang-O-aawaz-O-lamas-O-khushboo say
Khaka gar ne jinhain banaya hay

Sun zara chaap jatay qadmoon ki
Jo sunehray ko surmaee kar day

Or ab dehiaan kay jharookay say
Dekh neechay gali main jatay huay

Bhool ki dhool si uratay huay
Uss ko jo roshni na saya hay

Teray hadd-e-Khayal say bahi
Waqt ne kho k jis ko paya hay...

Ishq ne kya kya ranj sahe tum kya jano


Ishq ne kya kya ranj sahe tum kya jano
Aag main kitne phool khile tum kya jano

Hijr ki kaali raat main kaise kaise log
khaak main milke khak hue tum kya jano

Humne ik tumhare naam ki khushboo se
Kitne dasht bahar kiyeh tum kya jano

Apni kitab-e-umr ki sari sattron main
Humne kiske khuwab likhe tum kya jano

Tum bichre tou humne apni palkon per
Kitne darya rok liyeh tum kya jano

Sur ki chaooon main lafz ki kaliyan khilne tak
Hum tou sab kucch bhool gaye tum kya jano...!!!

In ansuon me nahi kashish, har sitam dha kar dekhte hain shakl


In ansuon me nahi kashish, har sitam dha kar dekhte hain shakl,
Ae saze dil, kuchh aise machal, har aah bhi ban jaye ghazal.

Hote rahe hum ruswa, har mod par hai charcha mera,
Hum vafa kar ke bhi badnaam, unke sir zafa ka sehra,
Hain aaj zakhmi, dil pashemaa.n, ye waqt kabhi to jaye badal,
Ae saze dil, kuchh aise machal, har aah bhi ban jaye ghazal.

Tamanna hai teri, sitam dhao ya fer lo nazren humse,
Roshan hai teri mehfil, aaj bhi mere hi dum se,
Har shaakh pe hai baitha qaatil, armanon ka na ho jaye qatal,
Ae saze dil, kuchh aise machal, har aah bhi ban jaye ghazal.

Teri bewafaii ka daag, ab na uthaya jaye hai mujhse,
Na marna hi munasib, na aur jeeya jaye hai mujhse,
Ab chahe tadpao hume, tarsao hume, ya kar do hume qatal,
Jab tootega dil kisi ka, sunai degi har aah me meri hi ghazal.

Ae saze dil, kuchh aise machal, har aah bhi ban jaye ghazal
Ae saze dil, kuchh aise machal, har aah bhi ban jaye ghazal...

Hoonto pe mohabat ke fasane nahi aaty



Hoonto pe mohabat ke fasane nahi aaty
saahil pe samundar ke hazane nahi aaty

palkein bi chamak uthi hein sote hi hamari
aankho ko abhi khawab chupane nahi aaty

dil ujri hain ik saraye ki terha hain
ab loogh yahan raat jagane nahi aaty

yaaro naye mousam ne yeh ahsaan kiye hein
ab yaad samje derd porane nahi aaty

urdny do abhi parindo ko shoh hawa mein
phir lout ke bachpan ke zamane nahi aaty

is shehar ke badal teri zulfon ki terha hein
yeh aag lagate hein per bojane nahi aaty

ahbaab bi gharon ki terha ada seekh gaye hein
aaty hein magar dil ko dukhane nahi aaty…

Wo jo dil mein tera muqaam hey


Wo jo dil mein tera muqaam hey,
Kisi aur ko wo diya nahin

Wo jo rishta tujh se hey ban gaya,
Kisi aur se wo bana nahin

Wo jo payar tujh se ho gaya,
Kisi aur se wo hua nahin

Wo jo raaz tujh de hey keh diya,
Kisi aur se wo kaha nahin

Wo jo sukh mila teri zaat se,
Kisi aur se wo mila nahin

Mast ankhon ki hirasat main chale aye hain


Mast ankhon ki hirasat main chale aye hain
Be-emaan log hifazat main chale aye hain

Yun laga hum ko tere dil main utar ke jese
Baadshah apni riyasat main chale aye hain

Takhta-dar pe pohanchay to ab sochte hain
Aap ki chahat main kahan chale aye hain

Is jung ke asbaab to maloom nahin hain
Hum to bas Shoq-e-Shahadat main chale aye hain

Dil k Sannatoun Main Rehnay Walay Tanha Tum He Nahi


Dil k Sannatoun Main Rehnay Walay Tanha Tum He Nahi
Tanhaie Say Batain Kerney Walay Tanha Tum He Nahi

Is Ishq Nay Berbaad Kiya Hai her Shaks Ko,
Is Ishq Main Bikhernay Walay Tanha Tum he Nahi


Kehnay Ko To Faqat aik Dil He Tota Hai,
Apna Sub Kuch Lutanay Walay Tanha Tum He Nahi,

Hasntey Huway Chehrey Hain Yahan Sub K,
Derd Yun Chupanay Walay Tanha Tum He Nahi

Shab_E_Tanhaie Ki Dastaan Aik See Hai Sub ki
Andheroon Main Rehnay Walay Tanha Tum he Nahi

Aisa Lagta Hay Aik Saza Ho Zindagi Meri,
Is Qaid Main Rehnay Walay Tanha Tum He Nahi,

Is Sheher Main Aur Bhe Dewanay Hain
DER DER Bhatakney Walau Tanha Tum He Nahi

Tere Qareeb Aake Bari Uljhanoun Mein Houn


Tere Qareeb Aake Bari Uljhanoun Mein Houn
Mein Dushmanoun Mein Houn Ke Tere Dostoun Mein Houn

Mujh Se Gurez-pa Hay Tou Har Raasta Badal
Mein Sang-e-Raah Houn Tou Sabhi Raastoun Mein Houn

Badla Na Merey Baad Bhi Mozo-e-Guftugu
Mein Ja Chuka Houn Phir Bhi Teri Mehfiloon Mein Houn

Mujh Se Bichar Ke Tu Bhi Tou Royega Omar Bhar
Ye Soach Le Ke Mein Bhi Teri Khawahishoon Mein Houn....

Main Nay Tum Ko Yaad Kia Chahat Kay Is Dharay Per


Main Nay Tum Ko Yaad Kia
Chahat Kay Is Dharay Per,
Darya Or Kenaray Per
DIL Ko Aaj Azaad Kia ,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,

Tanhaee Ke Ratoon Main,
Khud He Batoon Batoon Main
Is DIL Ko Yoon Shaad Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,

Jab Say Tum Ko Dekha Hay,
Jab Say Tum Ko Chaha Hay,
Har Ak Pal Faryaad Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,

Is Jewan Kay Nesaaboon Main,
Or Ratoon Kay Khawaboon Main,
Jaag Kay Bhi DIL Shaad Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,

Phool Yah Khilnay Say Phelay,
Tum Ko Milnay Say Phelay,
Khud Ko Tu Barbadd Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia...

Mujhe Kaamil Yaqeen Hai Tum Meri Ho Jao Gi Ik Din


Mujhe Kaamil Yaqeen Hai Tum Meri Ho Jao Gi Ik Din
Tumhare Dil Main UtrUnGa, Muhabbat Ki Sada Ban Kar


Mere Josh-e-Junoon Par Saari Khalqat Mujh Ko Takti Hai
Zara Tum Bhi Nazar Dalo, Na Bhetho U Khuda Ban Kar


Tumhein Ye Raaz Batla Doon, K Aksar Chaand Raaton Main
Tere Aangan MaiN Aata Hoon SitarOn Ki Zaya Ban Kar


Jigar Ka Khoon Laya Hoon Tere Singhar Ki Khaatir
Hatheli Per Racha Lena Ye MehkeGa Heena Ban Ker


Tumhein Jab Yaad Karta Hoon To Kese Jaan Sulagti Hai
Tumhein Bhi Taras Aaye Ga Kabhi Socho 'janaan' Ban Ker

Wo jo kehti thi mujhay apna, apnna na saki


Wo jo kehti thi mujhay apna, apnna na saki
Rehti thi jis dil ma usay ghar wo, banna na saki

Khati thi qasam sath na choron gi sada
Do pal zindagi ka wo sath, bita na saki

Sari khatain muaf han tujh par meray sajan
Par ya kia zara si bhole meri, bhula na saki

Kehti ha bhole jao mujhay, meray kon ho tum
Roh ko jism ma kuch dair bhi, basa na saki

Dhond usay jo chahay tujhay mujh sa ziada
Bataon kaisa dil ma koi aur kabhi, sama na saki

Shikwa dharkan sa kia karta hai
Teri to apni sans bhi tera sath, nibha na saki

Wo Mujse Beysabab Uljha Nahi Tha


Wo Mujse Beysabab Uljha Nahi Tha

Wo Pehle To kabhi Aisa Nahi Tha,

Bohat Aala Tha Us Ka Zarf Lakin!

Wo Meri Zaat Ko Samja Nahi Tha

Wo Jitni Berukhi Se Chal Dia Tha

Mai Itna Bhi Gaya Guzra Nahi Tha!

Usay Mai Kyun Bura Thehraon

Wo Acha Tha Faqat Mera Nhi tha..!

Mujhe Jis Se Mohabbat Hai Usse Main Paa Nahi Sakti


Mujhe Jis Se Mohabbat Hai Usse Main Paa Nahi Sakti
Usse Paana Bohat Mushkil Usse Main Kho Nahi Sakti

Yeh Kaisa Jabr Hai Dil Per Yeh Kaisi Meri Majboori
Meri Aankhein Hain Nam Nam Si Magar Main Ro Nahi Sakti

Usse Hai Pyaar Mujh Se WOH Mujhe Her Roz Kehta Hai
Mujhe TUM Se Mohabbat Hai Usse Main Keh Nahi Sakti

Kabhi Milta Nahi Jo Woh To Chain Aata Nahi Mujh Ko
Juddayi Ka Khayaal Aaye To Phir Main So Nahi Sakti

Tera Israar Ek Din Ek Ho Jayenge Hum Dono
Mera Her Baar Keh Dena Ke Main Teri Ho Nahi Sakti...

jane main kis dehaan mein thi, k maine DIN ko SHAB lika



jane main kis dehaan mein thi, k maine DIN ko SHAB lika
jo na likhna chahati thi, WOHI maine SUB likha,

khuwab nagar mein chal nikli, jasy sab HAQIQT ho
sapne ko bhi aakhir maine , koi sapna kab likha,

kitne aanso jhalak pare, aur kagaz k ruksar bhigo gay
kisi aandhi tot k aaie , ek lafz MOHABBAT jab LIKHA,

yuon he palak bheeg gai , jane kis ki yaad aaie
jane kiya kiya kuch likha, jane kiya kiya kab likha,

Shaam ki aakhri gariyan thi, jo raat sy milne wali thin
Dunya sy jab haar gai , tu mane" ESM-E RUB likha".

youn lagta hai kuch honay wala hai


youn lagta hai kuch honay wala hai
ye dil koi dost khonay wala hai

dil ne kaha tu bohat hansta hai
daman ko ashkoon se bhiganay wala hai

tou kyun jaag raha hai ab tak pagal
woh to bhula k tujh ko sonay wala hai

tou ne ik din poocha tha kon ho tum?
teri zaat ko khud mein samonay wala hai

Ab apne qalm ko rok le
ye gazal parh kar koi ronay wala hai..

Barhne lage un se taluqat dhere dhere


Barhne lage un se taluqat dhere dhere
Dosti main badal gayi ye mulaqat dhere dhere

be chain woh hai to betaab main bi hoon
aaigi laboon per ye baat dhere dhere

woh khud ko itna bebas kyun samjhti hai
badleinge kabhi zaroor halat dhere dhere

tanhai k do pal bant'ti hai mujh se
guzar jati hai batoon main her rat dhere dhere

jis aankh ne kabhi rona nahi seekha
barsti hai teri yad man ab barsat dhere dhere

us mahrukh se hota hoga chand b sharminda
hatati hogi jab woh naqab dhere dhere

un ko dekhnay ki hasrat liye ji raha hon
samjhe gi woh bhi mere jazbaat dhere dhere

Tota mera dil sawan k mahenay main


Tota mera dil sawan k mahenay main
Guzra ab k ye mousam ansu pene main

Dobti houi lagi mujhe meri kashti-e-hayat
jab ja betha woh kisi aur k safeenay main

Juda honay se koi mar nahi jata
lakin maza b nahi aata jeenay main

Shab-e-firaq guzarti hai tanha tanha
takleef hoti hai zehar judai ka pene main

Wohi mere dukhoon ki wajah hai
jo dharkan ki tarah rehti hai seene main...

Tujhe sochte sochte shaam hogayi



Tujhe sochte sochte shaam hogayi
Meri zindagi tere naam hogayi

Na kaha kabhi kisi se dil ka fasana
Na jane kese jan gaya bedard zamana
Dastaan apne ishq aam hogayi

Agar mili ulfat main tanhai tujhe
Tou mili mohabbat main ruswai mujhe
Aur chahat meri badnaam hogayi

Tum kho gayi ho jane kis nager
Mai'ne dhonda tujhe shehr shehr
Kyun meri har koshish nakaam hogayi

Kabhi kisi baat pe khushi bhi mili
Kabhi in aankhon ko nami bhi mili
Tabish ye umar younhi tamaam hogayi
Meri zindagi tere naam hogayi!!

Teri Aankhon Man Meray Dil Ka Naqsha Ho Bhi Sakta Hay


Teri Aankhon Man Meray Dil Ka Naqsha Ho Bhi Sakta Hay
Jisay Deewar Samjha Hai Woh Rasta Ho Bhi Sakta Hay

Zamana Ghour Say Dekhay Jisay Is Na-Khuda Samjha
Woh Is K Haath Ka Pathar Tarasha Ho Bhi Sakta Hay

Nazar Say Door Reh Kar Bhi Kisi Ki Soch Main Rehna
Kisi K Pass Rehnay Ka Tareeqa Ho Bhi Sakta Hay

Woh Apni Sard Mehri Se Mujhey Had Main To Rakhta Hay
Mera Had Se Guzarnay Ka Irada Ho Bhi Sakta Ha

Bhari Dunya Ka Maila Sath Ho To Kon Si Mushkil
Magar Aik Shakhs Mailay Mein Akela Ho Bhi Sakta Hay

Ye Seedhi Raah Par Chalna Kahan Se Seekh Aaye Ho
Ye Raasta Dosti Ka Hai Ye Terha Ho Bhi Sakta Hay

Mein Apnay Jism-o-Jaan Ko Sath Rehtay Daikh Kar Samjha
Nibhana Ho Jisay Mushkil Wo Rishta Ho Bhi Sakta Hay

Uchalta Thokrain Khata Huwa Paani Ka Aik Dhaara
Teray Dil Tak Pohnchnay Ka Bahana Ho Bhi Sakta Hay

Nikal Kar Band Kamrey Se Zara Bazaar Main Aao
Ager Tum Daikhna Chaho Tamasha Ho Bhi Sakta Hay....

Hone Ko Hai Shaam Ghar Chala Jaa


Hone Ko Hai Shaam Ghar Chala Jaa
Mumkin To Nahi Magar Chala jaa
Loti Nahi Taairon Ki Sangat
Jaagi Nahi Rah guzar Chala Jaa

Ab tak to Hawa Thami Hui Hai
Saakt Hain Abhi Shajar Chala Jaa
Kia Haal Bana Lia Hai Apna
Kuch Apna Khayal Kar Chala Jaa

Phir Koi Samait ta Nahi Hai
Aise Na Ho Darbadar Chala Jaa
Yaan Khaima-e-Aafiyat Nahi Hai
DUniya Hai Jidhar, Udhar Chala Jaa

Ye Saari Hi Khush Kharamiyan Hain
Koi Nahi Hum Safar Chala Jaa
Ab Aur Hawain Chal Rahi Hain
Ab Kon Hai Naamabar Chala Jaa

Maana Ke tu Jaanta Hai Sab Kuch
Phir Bhi Mere Be Khabar Chala Jaa
Aagay Bhi Hain Manzaron Ke Jhurmat
Jaa Aie Mere Khush Nazar Chala Jaa

Ab Jang Ka Jo Bhi Faisla Ho
Main Hoon Na Mahaaz Per Chala Jaa
Ab Jaa ke Hua Hai ishQ tujh se
Ab tu Mujhe **** Ke Chala Jaa....

Ghar Maum Ka Pehleh To Banaaya Nahin Jata


Ghar Maum Ka Pehleh To Banaaya Nahin Jata
Bann Jaaye To Suraj Sey Bachaaya Nahin Jata

Marzi Hai Samundar Ki Dubbo De Ya Bachaa Ley
Takkat Pe Koi Hukamm Chalaaya Nahin Jata

Mein Apney Gareeban Mein Agar Dekhoon To Mujh Sey
Ilzaam Kissi Par Bhi Lagaaya Nahin Jata

Mill Jaaye Agar Peissa To Uthaa Letey Hein Pull Bhi
Insaane Gira Hum Sey Uthaaya Nahin Jata

Sachayi Ko Yeh Jhoot Bhala Keissey Mitaaye
Phoonkon Sey To Khursheed Bhujaaya Nahin Jata

Abb Baat Nahin Aahoon Ki Cheekhon Ki Hai ae Dost
Abb Mujh Sey Mera Dard Chupaaya Nahin Jata

Mohabbat say, Inayat say, wafa say *** lagti hai


Mohabbat say, Inayat say, wafa say *** lagti hai
Bikherta phool houn mujh ko hawa say *** lagti hai

Main shabnum ki zuban say phool ki aawaz sunti houn
Ajab ahsaas hai apni sada say *** lagti hai

Tujhe khud apni majburi ka andaza naheen shayad
Na ker ahed-e-wafa, ahed-e-wafa say *** lagti hai

Meri aankhon main aansoo ki tarha ek baar aa jao
Takaluf say, Banawat say, aada say *** lagti hai

Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man day do



Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man day do
Apni muskurahatain apna bholapun day do
Apni ankhain baksh do apna husn nawaz do

Apna sakhan day do apnay dil ka dhun day do
Tumharay dum say meray jevan mein khushiyain hain bahar hay

Mein kuch kehna chahta hon mujhey tumse mohabbat hay, mujhey tum se pyar hay
Meri in khuwahishon ko umid ki koi kiran day do

Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man daydo
Tumhary siwa koi nahi meri soch, meray giyan mein
Meray as pas, meray door tuk, meray thory say wajdan mein

Mein nay zara si khushbo mangi hay kub kaha chaman daydo
Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man daydo

K jub tum door chalay jao koi to tanhai mein sahara ho
Tumhari zaat say mansoob kuch to hamara ho
Mujhey meray khuwab mujhey meray dulhan day do

Meri zindagi lay lo mujhey apna daman day do
Agar apni zaat say kuch bhi daina nahin chahtay
Mujhey apnay dukh apni aakhon ko sawan day doo...

Agar roone ko ji chahe tu ham roo b nahi sakte


Agar roone ko ji chahe tu ham roo b nahi sakte
Tume pa bi nahi sakte tumhe kho bi nahi sakte

Khawahish hai ke dil ka ujhala pan har dam rahe qayam
Magar ye daag-e-hijran hai jinhe dho bi nahi sakte

Ajeeb sa khauf hai raaton main dil tanha musafir hai
Jagaye khud ko na jaage ke ham soo bi nahi sakte

Tumhara samna hote hi kia ho jata ham ko?
Ke kuch kehna bi hai mushkil tu chup ho bi nahi sakte..

Kabhi kuch baat kehdena or kehna chalo chhoro


Kabhi kuch baat kehdena or kehna chalo chhoro
Kabhi kuch kehte - kehte keh dena chalo chhoro

Yeh ada'ain tumhari khaas lagti hain na janay kyun
Kabhi socha k keh dalun kabhi socha chalo chhoro

Jatana bhi nahi aata keh yeh tumse kaisa rishta hai
Tumharay sath chalta main, phir socha chalo chhoro

Meri beqarari ka aalam kya hai kise jakar bataun main
Tha ye socha tumko bataunga phir socha chalo chhoro

Kha'hish hai yeh meri tumhain jee bhar kar daikun main
Tumhari tasweer banata main, phir socha chalo chhoro

Jo tum rooth jao gee to ghazal keh kar mana lunga
Aisay jo manaoon to kehti ho achchha chalo chhoro

Rahe gi ummeed jab tak yeh hamaray eik honay ki
Dar hai tum keh na do ummeed ko chalo chhoro

Tum Sey Kitna Pyar hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo


Tum Sey Kitna Pyar hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo
Na Yaqeen Aaye To Phir Dil Badal Ke Dekh Lo

Hum Ne Apni Har Saanss Per Naam Tera Likh Dia
Ek Tujhe Paane Ki Khatir Khud Ko Pagal Kar Dia

Ishq Me Tum Bhi Sanam Hadh Se Guzar Ke Dekh Lo
Tum Sey Kitna Pyar Hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo

Jaane Kyun Saare Jahaan Se Ho Gayi Bekhabar
Jab Se Tum Ankhoon Me Aaye Jaagti Hai Ye Nazar

Apny Ratoon Se Meri Ratein Badal Ke Dekh Lo
Tum Sey Kitna Pyar Hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo

Sath roti thi mery,sath hasa karti thi


Sath roti thi mery,sath hasa karti thi,
Wo larki jo mery dil mein basa karti thi !!

Meri chahat ki talabgar is darja thi k wo,
Musalay pe namazun mein dua karti thi,

Ik lamhy ka bicharna bhi gira tha usko,
Rotay huy mujhko khud sy juda karti thi,

Mery dil mein raha karti thi dharkan ki tarah,
Aur saaye ki tarah sath chala karti thi,

Rog dil ko laga bethi anjany mein,
Meri aaghosh mein marny ki dua karti thi,

Baat kismat ki hai FARAZ !!
Juda hogaye hum , warna wo tou mujhe taqdeer kaha karti thi !!
Warna wo tou mujhe taqdeer kaha karti thi…….!!

na wo fiker hai na wo shairy na qalam mein wo tabo-taab hai


na wo fiker hai na wo shairy na qalam mein wo tabo-taab hai
main likhun to kaisay gazal likhun mera zehn zere-ataab hai

jo chaman mein bad-khazan chali wo chaman ka husn bhileygaee
na bahar misle bahar hai na gulab misle gulab hai

jo naqab rukh se juda huee nigah-e-harees bhi waa huee
mere dil ko jis ki talash thi ye wahee to jan-e-shabab hai

jo na sajda-haaye khulose ho ussay sajda kahna hai kab rawa
ke khulose hi to namaz hai ke khulose mein sawaab hai

wahi intezaar ke rozo-shub wahi justaju hai wahi thakan
meri zindagi bhi nesaab hai teri zindagi bhi nisaab hai

mera humnawa mera humsafer sar-e-raah milta to hay mager
na salaam hai na kalaam hai na sawaal hai na jawaab hai

yahan aik lamha bhi jabr se kisi taur kam nahin dosto
ke qadam qadam pa saleeb hai ke qadam qadam pa azaab hai

naye jang ki naee aag phir kisi pal kahin na bharak uthay
wo azaan-e-amn to day koi jo faridi kaar-e-sawaab hai...

Woh din jab hum saath raha karte the


Woh din jab hum saath raha karte the
Saath hansa karte the, saath raha karte the
Woh waqt tha sunhera, woh tha tera aur mera
Woh pal woh din woh kal, bit gaya jaldi
Jiski yaadon ne aankho mein nami bhardi
Woh waqt tha sunhera, woh tha tera aur mera
Tera woh ghussa tera woh pyar phir yaad aaya hai
Dil ne aaj phir us yaadon ko dohraya hai
Woh waqt tha sunhera, woh tha tera aur mera
Dil ne un yaadon ko sambhala hai aaj bhi
Tum mere saath nahi par dil mein ho aaj bhi
Woh waqt tha sunhera, woh tha tera aur mera
Yaad kar mujhe gar aankh teri bhar aaye to rona nahi
Tujhe kasam hai meri, us waqt ki yaadon ko khona nahi
Woh waqt tha sunhera, woh tha tera aur mera...

Haatheli par jise likhti mitati ho


Haatheli par jise likhti mitati ho
Woh naam mera hi to hai
Mehndi jiske naam ki rachai hai tune
Woh naam mera hi to hai

Sunke jisko palke teri jhuk jaati hai
Woh naam mera hi to hai
Dil pe tere jo naam likha hai
Woh naam mera hi to hai

Tere honthon pe jo kaanp raha hai
Woh naam mera hi to hai
Dhadkan mein jo teri gunj raha hai
Woh naam mera hi to hai

Apna naam jisse joda hai tune
Woh naam mera hi to hai
Tere naam ke bina jo adhura hai
Woh naam mera hi to hai

Jo Khushi Tumharay Kareeb Ho


Jo Khushi Tumharay Kareeb Ho
Wo Sada Tumhain Naseeb Ho

Tujhe Wo Khulos Milay Ke Jo
Teri Zindagi Pe Muheet Ho

Jo Mayaar Tujhko Pasand Ho
Jo Tumhare Dil Ki Umang Ho

Teri Zindagi Jo Talab Kare
Teray Hamsafar Ka Wo Rang Ho

Jo Khayaal Dil Main Aseer Ho
Or Dua Main Bhi Taseer Ho

Teray Haath Uthtay Hi Khuda Karay
Teray Saamne Tabeer Ho

Tujhe Wo Jahan Milay Jidhar
Ghamon Ka Koi Guzar Na Ho

Jidhar Rooshni Ho Khuloos Ki
Or Nafratoon Ko Khabar Na Ho

Kaise sakoon paon tujhey dekhne ke baad


Kaise sakoon paon tujhey dekhne ke baad
Ab kia ghazal sunaon tujhey dekhne ke baad

Aawaaz de rahi hai meri zindagi mujhey
Jaoon main ya na jaoon tujhey dekhne ke baad


Teri nigah-e-mast ne Makhmoor kar diya
Kia maikaday ko jaoon tujhey dekhne ke baad

Nazron mein taab-e-deed hi baki nahi rahi
Kid se nazar milaoon tujhey dekhne ke baad

Kaise sakoon paon tujhey dekhne ke baad
Ab kia ghazal sunaon tujhey dekhne ke baad

Ab Kia Kahoon ke Tujh se Muhabat nahi Rahi

Ab Kia Kahoon ke Tujh se Muhabat nahi Rahi
Teri Talab mein Pehli Si Shidat Nahi Rahi


Ya To Teri Wafaon ka Musam Guzar gaya
Ya ye ke Tujh ko Meri Zaroorat Nahi Rahi


us ko bhi Wada kar ke bholane ka Shouq Hai
Hum ko bhi Intzaar ki Adat Nahi Rahi


un ko Ae Dost Fursat-e-Purish Mili to Kia
Ab hum ko Arz Haal ki Hasrat Nahi Rahi

Dil Ki Tanhaiyon Mein Bus Tumko Hi Paya Hai


Dil Ki Tanhaiyon Mein Bus Tumko Hi Paya Hai
Mann ki Gahrayiyon Mein Tumko Hi Basaya Hai
Tere Bina Zindagi Ik Andheri Raat Thi
Is Raat Ko Din Ka Suraj Bus Tumhi Ne Banaya Hai
Dil Ki Tanhaiyon mein bus Tumko Hi Paya Hai


Jheel Si Aankhen Pyaari Baatein Meethi Si Pyaari Muskaan
Nahi Bhoolta Mein Ye Tera Pyaar Se Kehna Mujhko"JAAN"
Pyaar Mein Hasna Pyaar mein Rona Tune Hi Sikhaya Hai
Tu Hi Meri Dhadkan Hai or Tuhi Mera Saya Hai
Dil Ki Tanhaiyon Mein Bus Tumko Hi Paya Hai


Ab To Dil Karta Hai Mein Din Raat hi Tera Sapna Loon
Chor Ke Saari Duniya Ko Bus Tujhko Hi Mein Apna Loon
Tere Dil Mein Ghar Mera Ho Ik Sapna Ye Mera Hai
Is Sapne Ki Maalik Tu Hai Is Par "BAS" Bus Tera Hai
Dil Mein Mere Pyaar Ka Armaa Tune Hi Jagaya Hai
Dil Ki Tanhaiyon Mein Bus Tumko Hi Paya Hai

Mein Bhi Kitna Pagal Hoon Jo Tumse Rooth Jataa Hoon



Mein Bhi Kitna Pagal Hoon Jo Tumse Rooth Jataa Hoon
Naa Jaane Kya Hota Hai Mein Khud Hi Toot Jata Hoon
Ik Dard Sa Dil Mein Uthta Hai Tum Baat Jo "Uski" Karti Ho
Lagta Hai Jaise "Shaq",Aaj Bhi Muh Par Karti Ho
Nahi Jaanta Mein Bhi Kitna Pyaar Mein Tumse Karta Hoon
Jaanta Hoon To Bus Itna Ki Apni "SANAM" Par Marta Hoon
Jab Yaad Tumhari Aati Hai Is Dil Ko Bhaut Taddpati Hai
Tum Kya Jaano Kaise Mein, Is Nadaan Dil Ko Samjhata Hoon
Mein Bhi Kitna Pagal Hoon........

Vo Din Aaj Bhi Yaad Hai Tum Mujhse Milne Aayi Thi
Aakar Meri Bahon Mein Tum Thoda Sa Sharmayi Thi
Kehti Thi Mujhe Yu Na dekho Dil Mein Kuchh Kuchh Hota Hai
Aakar Tumhari Bahon Mein Ik Ehsaas Jawaan Sa Hota Hai
Aaj phir Mein Us Din Ko Doobara Dohrana Chahta Hoon
Mein Bhi Kitna Pagal Hoon......
Pyaar Mein Tumse Karta Hoon Apni Jaan Se ziyada
Saath Tera Na Chronga Ye Hai "asif " Ka Wadaa
Par phir Bhi Tum Kabhi Kabhi Baat Aise Kar Deti Ho
Na Chahte Hoye Bhi Roothne Par Majboor Kar Deti Ho
Jaanta Hoon Mein Bhi Na Reh Sakoonga Tere Bin "SANAM"
phir Bhi Na Jaane Mein kyon Pagal Sa Ban Jaata Hoon
Mein Bhi Kitna Pagal Hoon………!!!!!!!!

Keh Gayi ek Haseena Yeh, Raat Mere Khwaab Me Aakar


Keh Gayi ek Haseena Yeh, Raat Mere Khwaab Me Aakar,
Karti Hoon Mohabbat Tujhse, Aur Sirf Marti Hoon Tujhpe………

Aaina-e-Dil Me Tasveer Rahati Hai Teri Hi E-HumNasheen,
Jo Sochti Hoon Khat Likhne ki, Gazal Likh Jaati Hoon Tujhpe…….

Aankhen Khulte Hi Kahin Bhool Na Jana Mujhko E-Sanam,
Main Wo Saawan Ki Baarish Hoon, Jo Barsoongi Sirf Tujhpe………

Jo Aa Gai Saamne Kabhi, To Kaise Pahachanega Tu Mujh ko,
Isliye Badan Ki Khusbu Apni, Chode Ja Rahi Hoon Tujhpe……..

Apne Seene se Lagaaye Rakhna, Aankhon me Basaye Rakhna,
Na Todna Kabhi Dil Mera, Bas Itna Ehasaan Tu Karna Mujhpe……

Aaj Khwaabon Me Aayi Hoon, Kal Zindgi Me Bhi Aaungi,
Main Hoon Sirf Teri, Dil-o-Jaan Jo Luta Baithi Hoon Tujhpe…..

Aaj Ja Rahi Hoon Sirf Izhaar Karke, Ikraar Ke Intzaar Me,
Kal Raat Phir Aa Kar Mohabbat Apni, Bikhraaungi Main Tujhpe…..

Keh Gayi ek Haseena Yeh, Raat Mere Khwaab Me Aakar,
Karti Hoon Mohabbat Tujhse, Aur Sirf Marti Hoon Tujhpe

mujhe apni AANKHO par pyar aata hai


mujhe apni AANKHO par pyar aata hai........
jab tum inme dekhte hue dil me utar jate ho

muhe apni BAATO par pyar aata hai.............
jab tum inhe sunte hue dheere se muskurate ho

mujhe apne HONTHO par pyar aata hai............
jab tum inhe chhute hue sanso me ghul jate ho

mujhe apne DIL par pyar aata hai...........
jab tum dil se dil ke taar jodte chale jate ho

mujhe apne HAATO par pyar aata hai.............
jab tum inhe thaame hue manzil par badte jate ho


mujhe apni ZINDGI par pyar aata hai............
jab tum isme shaamil hote chale jate ho

kahan ansoon ki yeh sohgaat ho gi


kahan ansoon ki yeh sohgaat ho gi
naye loog hoon gay nayi baat ho gi

main har haal mian muskurata rahoon ga
tumhari muhabat agar sath ho gi

chargoon ko ankhoon main mehfooz rakhna
bari door tak raat hi raat ho gi

parishan hain hum bhi parishan ho tum bhi
chaloo mehkaday main wahein baat ho gi

chargoon ki lo say sitaroon ki zo tak
tumhain main miloon ga jahaan raat ho gi

jahan wadiyoon main naye phool aye
humri tumhari mulqat ho gi

sadaoon ko alfaaz milnay na payein
na badal ghirein gay na barsat ho gi

musafir hain hum bhi muafir ho tum bhi
kisi more per phir mulaqat ho gi

Tu jo aa jaaye to is ghar ko sanwarta dekhu


Tu jo aa jaaye to is ghar ko sanwarta dekhu
Ek muddat se jo veeraan hai wo basta dekhu..!!!

Khawab bankar tu bahta rahe jannat ke jharne
Aur bas mai isi mausam ko nikharta dekhu..!!!

Jis'se milna nahi us'se mohabbat kaisi
Sochata jaau magar dil mein utarta dekhu..!!!!

Dil gayaa tha to ye aankhen bhi koi le jaata
Mai faqat ek hi tasveer kahan tak dekhu..!!!!

Chand lamhe jo tere Ishq ke mil jaate hain
In hi lamhon ko mai sadiyon mein badalta dekhu

Mile jo pyaar aapka to saNwar jayenge


Mile jo pyaar aapka to saNwar jayenge
Na mile pyar to hum yuN hi bikhar jayenge

mohabbat bhi aapse sikayaat bhi aapse
aap se bichhad ke hum kidhar jayenge

Dooriya do pal ki ab seh Na payenge
bin aapke ab kounse shehar jayenge

riyaasat bhi aapki siyasat bhi aapki
is wade se aap kaise mukaar jayenge

aapko hi aapse churake sanam .....
aapki dhadkan meiN yuN utar jayenge

is kadar aapse humko mohabbat hai
ki aaj to hum had se gujar jayenge

Hansaata hai ishQ rulaata hai IshQ


Hansaata hai ishQ rulaata hai IshQ
rang kaise kaise dikhaata hai ishQ

Daulaat hai ishQ ,shohraat hai ishQ
Husan ke bazaar main bikta hai ishQ

Izhaar hai ishQ,aur Inkaar hai ishQ
Dil ko beqaraar bhi kar deta hai ishQ

Deedaar hai ishQ, iNtezaar hai ishQ
har koi Duao.n maiN mangta hai ishQ

kahiN aabaad, kahiN barbaad hai ishQ
Mausam ki tarah karwat badalta hai ishQ

Hai mandir main ishQ,maszid maiN ishQ
Khuda bhi apne bando.n se kaarta hai ishQ

IshQ ki chiNgari se bachale damaN
rabb ki QASAM bahot tadapata hai ishQ

youn tanha jeene ki muje aadat si ho gayee hai


youn tanha jeene ki muje aadat si ho gayee hai
Anjaan raahoo pe chalne ki aadat si ho gayee hai

Wo meri mohabbat se rahein be-khabar taa qayamat
Muje Yeh dua maangne ki aadat si ho gayee hai

Kab tak jhutlao gay un se mohabbat apni
Tumhari ankhon ko such bolne ki aadat si ho gayee hai

Na jane kiyo shaam dhalte hi yeh aankhein bheegh jaati hain
muje iss chehre ko ashqo mein chupane ki aadat si ho gayee hai

Aasmaa mein chamakta har sitara yeh gawaahi day ga
Mujhe tumhari yaadon mein neendein gawane ki aadat si ho gayee hai

Iss dunia mein shayad meri mohabbat ko koi na samaj sake
Logo ko mujhe na samaj kehne ki aadat si ho gayee hai

Mehfil mein har shakhs yeh gila karta hai
Mujhe tanhayoun mein doobne ki aadat si ho gayee hai

Mujhe Azmane Wale Mujhe Azman ke Roye


Mujhe Azmane Wale Mujhe Azman ke Roye
Meri Dastane Hasrat Suna Suna ke Roye

Teri Bewafaiyon Par  Teri Kaj Adaiyon Par
Kabhi Sar chupa Ke Roye, Kabhi Munh Chupa Ke Roye

Jo Sunai Anjuman Mein Shab-e- Gham Ki Aab-biti
Kabhi Ro ke Muskaraye, Kabhi Muskara Ke Roye

Main Hoon Be-Watan Musafir, Mera Naam Bekasi Hai
Mera Koi Bhi Nahin Hai Jo Gale Laga Ke Roye

Mere Paas Se Guzar Kar Mera Haal Tak Na Poocha
Main Yeh Kaise Maan Jaun Ke Woh Dur Ja ke Roye

Chori Se Woh Chupke Se, Aankhon Mein Samaaya Hai



Chori Se Woh Chupke Se, Aankhon Mein Samaaya Hai
Khwabon Mein Bhi Aa Aa Kar, Neendon Ko Churaya Hai

Aangan Mein Yeh Khushbu Ka, Jhonka Sa Jo Aaya Hai
Woh Aane Hi Wala Hai, Mausam Ne Bataya Hai

Tasveer Bani Baithi, Suntii Hi Chali Jaoon
Us Shokh Ki Baaton Ne, Jaadoo Sa Jagaya Hai

Khamosh They Ham Phir Bhi, Kuchh Shor Huaa Aisaa
Dil Mein Tiri Yaadon Ne Ik Hashr Uthaya Hai

Lo Aaj Isharon Mein Woh Keh Hi Gaya Aakhir
‘Main Ne Bhi Tujhe Apne Sapnon Mein Sajaaya Hai

Raston Ko Gulon Se To Sab Log Sajaate Hen
Hum Ne Teri Raahon Mein Dil Apna Bichhaaya Hai

Mein so jau to khuwabon me ho tum


Mein so jau to khuwabon me ho tum
Mein jaagu to mere khyalo me ho tum

Mein nazar uthau to meri ankhon me ho tum
Mein chalu to meri manzil ho tum

Mein likhu to mera qalam ho tum
Mein parhu to meri ghazal ho tum

Mein gungunau to mera geet ho tum
Mein sunau to meri daastan ho tum

Mein dhoop me hu to mera saibaan ho tum
Mein raat me hu to mera sahar ho tum

Mein sochu to mera khayal ho tum
Mein maangu to meri Duaa ho tum

Tujy dekhti hen ankhien to yah bolti hen ankhen


Tujy dekhti hen ankhien to yah bolti hen ankhen
too jO kash Ashk hooti too kuch aur batt hoti

Tujy har khushi mein apni meri ankh dhondti ha
yah jo sab sey chup key roti to kuch aur bat hoti

Tujy samney bethata to yah ankh na jhapakti
Tujy takty taktey sOti too kuch aur bat hoti

Tary girtey ansoo ko jo mein hath sey metata
phir to rotey rotey hansti to kuch aur bat hoti

Meri ankh jab bhi khulti teri deed ko tarasti
bina ansoo key roti too kuch aur bat hoti

Mary dil ki har yah dharkan tujy yad ab b krti
Tarey naam sey dharakti to kuch aur bat hoti

Mary bahty ansoo ney tujy har dua mein manga
bas dua qobol hoti too kuch aur baat hotii

Tera Youn bechar k jana mary hath ko chura kar
Too jO jatey jatey rukti to kuch aur bat hoti

mujey eshq ney rulaya tujy eshq ney hansaya
kabhi to bhi youn tarapti to kuch aur bat hoti

Thi ZAHAR ki tamana k yah sans chaltey chaltey
Tarey bazuon pa rukti to kuch aur bat hooti

Aaya tha ghar saNvaarane ehasaan kar gayaa



Aaya tha ghar saNvaarane ehasaan kar gayaa
barbaadiyon kaa aur bhii saamaan kar gayaa

ab tak rahii us kii yaad merii zindagii ke saath
do char pal kii mujh se jo pahachaan kar gayaa

aaNkhon ne jis ke shauq men raaten sajaaiy thiin
Khvaabon ke anjuman vahii viraan kar gayaa

jhonkaa nasiim-e-subah kaa aayaa to thaa magar
gul_shan kii har kalii ko pareshaan kar gayaa

Mere hamsafar teri nazar hain meri umr bhar ki yeh dolatain



Mere hamsafar teri nazar hain meri umr bhar ki yeh dolatain
mere shair meri sadaqatain meri dharkanain meri chahatain

tujhay jazb karlon lahu main main ke firaq ka na rahe khatar
teri dharkanon main utar don main yeh khwab khwab rifaqatain

yeh ridaye jaan tujhay sonp don ke na dhoop tujhko kari lage
tujhay dukh na dain mere jeete ji sar e dasht gham ke tamazatain

meri subah teri sada se ho meri shaam teri zia se ho
yehi tarz pursish e dil rakhain teri khushbuon ki sifaratain

koi aisi bazm e bahar ho main jahan yaqeen dila sakon
ke tera hi naam hai fasl e gul ke tujhi se hain ye karamatain

tera qarz hain mere roz o shab mere paas apna to kuch nahen
meri rooh meri mata e fan meri saans teri amanatain

BADNAM ZAMANY MEI MOHABBAT NAHI KARTY


BADNAM ZAMANY MEI MOHABBAT NAHI KARTY
DIL WALY TO DUSHMAN SY B NAFRAT NAHI KRTY

IK BAR JISY CHAHA SADA IS K RAHAY PHR
HM LOG AMANAT MEI KHAYANT NAHI KRTY

TANHAI MEI KAR LETY HEN YAD ANSON BAHA KR
ZAHIR HUM APNI EBADAT NAHI KRTY

WAQT AANY PAR MALOOM YE HO JAE GA TM KO
HUM SIRF DIKHAWAY KI MOHABBAT NAHI KRTY

LIKHTY HEIN FAQT IK TUMHARY LIYE GHAZLAIN
HR SHAKS PAR HUM AESI ENAYAT NAHI KRTY

Dil Mein Bikhray Hue jalon Se Preshan Na Ho


Dil Mein Bikhray Hue jalon Se Preshan Na Ho
Mere Guzray Hue Saalon se Preshan Na Ho



Meri Awaz Ki talkhi Ko Gawara Kar Le
Mere Gustakh Sawalon Se Preshan Na Ho



Dekh Yun Door Na Ho Mujh Ko Laga Le Dil Se
Tu Meri Rooh Ke Chalon Se Preshan Na Ho



Khud Ko Veeran Na Kar Mere Liye Meri Jan
In Preshan Khayalon Se Preshan Na Ho...

Popular Posts