Wednesday, July 7, 2010

barasti boond chun chun kar koyi gajra bana deyna


barasti boond chun chun kar koyi gajra bana deyna
merey haathon main balon main kabhi baarish saja deyna

kisi khushboo ka an deykha sa aanchal aurh loon sar sey
gulabon kuch lamhey ko tum mujhey apni adaa deyna

wo merey haath par honton ko rakhey piyaas ke dukh main
issi khaatir haatheli par koyi dariya bana deyna

bikharti dhoop sa cherey main behtey aab par dekhon
zara paani main apney aks ka manzar milaa deyna

main bhar loon haath ka piyalaa sunheri dhoop kirnon sey
merey sooraj ko dariya key kinarey par bulaa deyna

ussi key haath rakh deyna baharon key sabhi mousam
mujhey titli key par dey kar baharon ki duaa deyna

meri aankahin jaga key tum jo merey khuwaab parhtey ho
suno ! janey sey kuch pehley meri aankhain sulaa deyna

Popular Posts