Wo bujhey gharon ka chiragh tha yeh kabhi kisi ko khabar na ho
usey le gai hai kahan hawa’ yeh kabhi kisi ko khabar na ho
Kai log jaan se jayein gey merey qatiloon ki talash main
Merey qatl main mera haath tha’ yeh kabhi kisi ko khabar na ho
Wo tamaam duniya ke wastey jo muhabaton ki misaal tha
Wohi apney ghar mein tha bewafa yeh kabhi kisi ko khabar na ho
Kaheen masjidon main shahadatain kaheen mundiron main adaalutain
Yahan kon kerta hai faisla yeh kabhi kisi ko khabar na ho
Merey pass jitni hai roshni yehi hai chiragh ki zindagi
Mein kahan jala mein kahan bujha yeh kabhi kisi ko khabar na ho
Mujhe jaan kar koi ajnabi wo dikhla rahey hain gali gali
Isi sheher mein kabhi mera ghar bhi tha yeh kabhi kisi ko khabar na ho
Wo samajh ke dhoop ka dewta mujhe aaj poojney aaye hain …
Main charagh hoon teri shaam ka yeh kabhi kisi ko khabar na ho
No comments:
Post a Comment