Hama-waqt ranj-o malal kia, jo guzer gaya so guzer gaya
usay yaad ker ke na dil dukha, jo guzer gaya so guzer gaya
Na gila kia, na khafa huye, yunhi raastay main juda huye
na tu be-wafa, na main be-wafa, jo guzer gaya so guzer gaya
Woh ghazal ki aik kitaab tha, woh gulon main aik gulaab tha
zara dair ka koi khuab tha, jo guzer gaya so guzer gaya
Mujhe pat-jharon ki kahaniyan , na suna suna ke udaas ker
tu khizan ka phool hai muskura, jo guzer gaya so guzer gaya
Woh udas dhoop samait ker, kahin wadion main uter chuka
usay ab na day mere dil sada, jo guzer gaya so guzer gaya
Yeh safar bhi kitna taweel hai, yahan waqt bhi kitna qalil hai
kahan laut ker koi aaye ga, jo guzer gaya so guzer gaya
Woh wafayain thi ke jafayain thin, yeh na soch kis ki khatayain thin
woh tera hai us ko galay laga, jo guzer gaya so guzer gaya
Tujhe aitbaar-o yaqeen nahi, nahi dunya itni buri nahi
na malal ker mere saath aa, jo guzer gaya so guzer gaya.
No comments:
Post a Comment