Teri Aankhon Man Meray Dil Ka Naqsha Ho Bhi Sakta Hay
Jisay Deewar Samjha Hai Woh Rasta Ho Bhi Sakta Hay
Zamana Ghour Say Dekhay Jisay Is Na-Khuda Samjha
Woh Is K Haath Ka Pathar Tarasha Ho Bhi Sakta Hay
Nazar Say Door Reh Kar Bhi Kisi Ki Soch Main Rehna
Kisi K Pass Rehnay Ka Tareeqa Ho Bhi Sakta Hay
Woh Apni Sard Mehri Se Mujhey Had Main To Rakhta Hay
Mera Had Se Guzarnay Ka Irada Ho Bhi Sakta Ha
Bhari Dunya Ka Maila Sath Ho To Kon Si Mushkil
Magar Aik Shakhs Mailay Mein Akela Ho Bhi Sakta Hay
Ye Seedhi Raah Par Chalna Kahan Se Seekh Aaye Ho
Ye Raasta Dosti Ka Hai Ye Terha Ho Bhi Sakta Hay
Mein Apnay Jism-o-Jaan Ko Sath Rehtay Daikh Kar Samjha
Nibhana Ho Jisay Mushkil Wo Rishta Ho Bhi Sakta Hay
Uchalta Thokrain Khata Huwa Paani Ka Aik Dhaara
Teray Dil Tak Pohnchnay Ka Bahana Ho Bhi Sakta Hay
Nikal Kar Band Kamrey Se Zara Bazaar Main Aao
Ager Tum Daikhna Chaho Tamasha Ho Bhi Sakta Hay....
No comments:
Post a Comment