Friday, February 19, 2010

Tamanao kay behlavay mein aksar aa hi jaatay hain

Tamanao kay behlavay mein aksar aa hi jaatay hain,
Kabhi hum chot khatay hain kabhi hum muskaratay hain !



Hum aksar doston ki be-wafai seh to letay hain,
Magar hum jaantay hain dil hamaray toot jaatay hain !



Kisi kay saath jab beetay huey lamhon ki yaad aayee,
Thaki aankho mein ashko kay sitaray jilmilatay hain !



Tamanao kay behlavay mein aksar aa hi jaatay hain,
Kabhi hum chot khatay hain kabhi hum muskaratay hain !
*******************************************************

Har shama bhuji rafta rafta, har khwab luta dheeray dheeray,


Har shama bhuji rafta rafta, har khwab luta dheeray dheeray,
Sheesha na sahi pathar bhi na tha, dil toot gaya dheeray dheeray !



Barson mein marasim bantay hain, lamhon mein bala kya tootaingay,
Tu mujh say bichadna chahey to, deewar utha dheeray dheeray !



Ehsaas hua barbaadi ka, jab saaray ghar mein dhool udi,
Aayee hai hamaray aangan mein, patjhad ki hawa dheeray dheeray !



Dil kaisay jala kis waqt jala, humko bhi pata aakhir mein chala,
Phaila hain dhuan chupkay chupkay, sulgi hai chita dheeray dheeray !



Woh haath paray ho bhi gayey, ab dhoor ka rishta hai FAYSAL
Aati hai meri tanhayee mein, khushboo-e-hina dheeray dheeray !

Popular Posts