Tuesday, May 18, 2010

Ek Din Chaand Se Bicharna Hai



Ek Din Chaand Se Bicharna Hai

Aankh, Taqdeer Aur Ta’aluq Jo

Jaane Kis Doosre Ke Bas Mai Hain

Saanp Ban Ban Ke Daste Rehte Hain

Apni Saanson Mai Dobte Dil Ko

Chaand Jis Tarz Ka Musafir Hai

Hijr Hi Hai Ke Jo Paraao Mai Hai

Bas Judaai Ko Hai Thehr Jana

Hum To Shikwa Bhi Kar Nahi Sakte

Aur Tanhaaiyon Se Shikwa Kiya

Chaand Be-Chainiyon Ka Mosam Hai

Beet Jane Pe Bhi Hamesha Hi

Apne Aasaar Chor Jata Hai

Yeh Meri Aankh Ke Sulagte Hue

Zard-Ro Aeinon Ki Nam-Naaki

Sab Issi Dard Ki Nishaani Hai

Yeh Mera Be-Sabab Hi Khush Rehna

Sab Issi Gham Ki Azmaish Hai

Ek Khuwahish Hai Jis Ko Marna Hai

Ek Jeewan Jise Ujarna Hai

Ek Din Chaand Se Bicharna Hai

Chup ki jheel main dukh na gholo

Chup ki jheel maindukh na gholo 
veerani aahista bolo

Thaam ke beete waqt ki ungli 
Serd hawa ke sang sang ho lo 

Mushkil jaan ke dour na bhaago 
Meri zaat ki girhain kholo 

Aaj ki shab tanha ho bilkul 
Aaj ki shab ji bher ker ro lo 

Dil ke gehre ganga jal main 
Khushiyon ke her paap ko dho lo 

Daikho kon aaya hai milne 
Lamha bher ko aankhain kholo

hamare bus main hota to

hamare bus main hota to....

tumhain banhon main bhar lete....

tumhain sub se chupa leta....

tumhain ankhon main rakh lete....

kabhi na rothne deta....

kabhi na tootne deta....

tumhain hum qaid kar lete....

bus apne dil ki duniya main....

kisi bhi haal main hum phir....

tumhain azad na karte....

sabhi duniya bhula dete....

tumhain apna bana lete....

hamare bus main hota to....

magar hai be'basi aesi....

hamara dil machalta hai....

tumhain he yad karta hai....

tumhara qurb chahta hai....

magar hum kia karain jana....

hamara bus nahi chalta.....!

diya khud se bhuja dena

diya khud se bhuja dena.....

hawa ko aur kia dena.....

kabhi is tor se hansna.....

ke duniya ko rula dena.....

kabhi is rang main rona....

ke khud per muskara dena.....

main teri dastaras chahon.....

mujhe aisi dua dena.....

main tera barmala mujrim....

mujhe khul kar saza dena.....

main tera munfarid sathi.....

mujhe hat kar jaza dena.....

mujhe acha lage mohsin.....

use pa kar ganwa dena.......!

Koi shikwa nahi kuch gila nahi

Koi shikwa nahi kuch gila nahi.
Bus tanhayi si lagti hai.
Jabse unke pyar me khoye hai.
Apni zindgi parayi si lagti hai.
Kabhi unka saath hame zamane se upar uthha deta tha.
Ab unki har baat me gahrayi si lagti hai.
Unhe na mile hamari bimari ka pata,
k wo bechain na ho.
Par sochte hai unhe hamari aas si lagti hai.
Bahut koshish karte hai is nadan dil ko bahlane ki.
Par ise to bas unki hi pyas si lagti hai.
Mujhe mohabbat ka nasha jab se hua hai.
Ye sharab udas si lagti hai...
Kya yu hame judayi k liye milaya tha.
Ab uss khuda ki duya fariyad si lagti hai.
Kyo chala do kadam sath nibha na saka.
Uski har chal me ik riyad si lagti hai.
Berukhi itni k na dekha mere janaje ko,
meri maut unhe ittefak si lagti hai.
Ab dekhiye chal pade wo naye safar k liye,
thamkar naya hath koi.
Main majboor sab dekhta raha,
kismat ki lakire behisab si lagti hai.
Kya tha unke dil main hamare liye,
meri har ummid beaas si lagti hai.

Meri aankhon k weera'n saahilo'n par







Meri aankhon k weera'n saahilo'n par,
In ashkon k machaltay sakht toofaa'n se,
Faqat ladnay ki bas tum ko ijazat hai.
Sanam tum ko ijazat hai....
Meray mann k iss ujday say bayaba'n main,
Gulo'n ko phir khilanay ki,
Faqat tum ko ijazat hai...
K apni khwaab raato'n main,
Meray sapnay sajanay ki,
Meri neendain churanay ki,
Ya phir shehr-e-tamanna main,
Adhori aarzoo ki ....
Koi unmit yaad bunnay ki..
Faqat tum ko ijazat hai,
K jab bhi khwahisho'n ka koi raila,
Tumhary iss khudi aur iss ana ko,
Baha k phir meri aankhon main lay aaye,
Ya phir....
Sawan ki koi ik jhadi ban kar...
Meray sookhay huay mann main...
Baras kar saaz ban jaye,
Tou phir itny guzarish hai...
K tum waapis nahin jana,
Meri inn ankhon main ya ...
Iss dil main kahin tum...
Phir apni yaad k is ghar main reh laina,
Magar waapis nahin jana,
K bin teray kahin ankhain ye meri,
In ashko'n k samandar main...
Kahin nah gharq hojayen.
Ye mera dil...
Jo barson say...
Tumhary aas k badal ki khwahish main...
Adhoori aarzoo ki dhoop sehta hai...
Kahin banjar na hojaye,
Tou bas tum ko ijazat hai...
K jab bhi lautna chaho...
Tou phir...
Meri ankhon main ya...
Iss dil main kahin bhi...
Jo ik pyaara sa ghar hai...
Usi main aa k reh jana,
Magar waapis nahin jana,
Tou bas phir laut anay ki,
Kahin waapis na janay ki,
Sanam tum ko ijazat hai...
Faqat tum ko ijazat hai!!!

Mohabbat mut kaho is ko


Ab is mien jhoot shaamiL ha
Mohabbat mut kaho is ko
imaarut diL ki girney do
taaluq toot jaaney do
ke ju deewaar apney boojh se girney pe aajaey
diiey ki lao se is deewaar ko phir thaamna kaisa
hawa ka saamna kaisa
buhat kumzoor sa such hai
isey ub bujh hi jaaney do
mohabbat mut kaho is ko
samjh lo surdiyoon ki dhoop jaisa such mohabbat hai
panaah zaat ki aagoosh mien simtey howe such mien
ajub si surd mehri hai
keh
ju thathray howe lufzoon ko hidut nahi dey sakti
sulagti raakh ko aatish ki shidut dey nahi sakti
mager such boLna tao hai
andheira phaiLna tao hai
ub is se paishtur keh munjamid taareekiyaan utrien
aur apne neelgoo'n honton ko si ker dhoop surma ki
kisi ki bolti ankhoon mein chumkey aur mur jaey
rutien weeraan kerjaey
osey ub laut jaaney do
mohabbat mut kaho is ko
mohabbat mut kaho is ko

ghaneeray jungloon ke raaste ka such m ohabbat hai
sunehri ghaas pe soti howi pugdandiyoon ka such
mujsm baankpun ashjaar se lipti howi badlien
keh ju apni namo ki gungunaahut hi se durti hai
dabey paaon guzarti hien
inhi ki aajzi ka such mohabbat hai
mager tehro zara soocho !
ager yeh raaste pugdadiyaan
muhz harf-e-tasali hoon
kisi ki muskuraahut hoon
kisi k door jaate bhaagte qudmoon ki aahut hoon
hawa ki sursuraahut hoon
ya aisa khwaab jis ko aakhrish aankhien bhula daalien
ya aisa khut jisey likhien mager likh ker jala daalien
tao phir aey hum nufs ! yeh maan lo yeh such nahi kyunkeh

ub is mein jhoot shaamil hai
MOHABBAT MAT KAHO IS KO

Mohabbat Naam Hai Mera

Mohabbat Naam Hai Mera

Agar Chaho`Ga y Tum Mujh Ko

Tumhari Saans Say Pehlay

Tumhari Jaan Ban Jaon

Agar Dekho`Gay Tum Mujh Ko

Tumhari Aankh Say Pehlay

Tumhare Khuwab Ban Jaon

Agar Socho`Gay Tum Mujh Ko

Tumhare Paon Say Pehlay

Tumhari Raah Ban Jaon

Mohabbat Naam Hai Mera

Mujhe Tum Soch Ke Dekho

Bin tere ab koi Chahat nahi


Bin tere ab koi Chahat nahi

Zindagi ki bhi koi khuwahish nahi

Tum nahi the to Zindagi main kuch kami thi

Ab hoker bhi tum mere nahi

Sab kuch paas hai magar

Ek tu hi to mere paas nahi

Hazaron ne hamain Chaha lekin

Ek tujh hi ko hamari Chahat nahi

Hum tere beghair bhi Jeene ki koshish karenge

Kyun ki ab hamain kisi aur ki zaroorat nahi

Tu Kisi Aur Ki Jageer Hai Ai Jaan-e-gazal

Tu Kisi Aur Ki Jageer Hai Ai Jaan-e-gazal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal


Pehele Haq Tha Teri Chahat Ke Chaman Par Mera
Pehele Haq Tha Teri Khushbu-e-badan Par Mera

Ab Mera Pyaar Tere Pyaar Ka Haqdar Nahi
Main Tere Gesu-o-rukhsar Ka Haqdar Nahi

Ab Kisi Aur Ke Shano Pe Hai Tera Aanchal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal...

Main Tere Pyaar Se Ghar Apna Basaun Kaise
Main Teri Maang Sitaron Se Sajaun Kaise

Meri Kismat Men Nahi Pyaar Ki Khushboo Shayad
Mere Haathon Ki Lakeeron Men Nahi Tu Shayad

Apni Taqdeer Bana Mera Muqaddar Na Badal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal...

Mujhse Kehtin Hain Ye Khamosh Nigahen Teri
Meri Parvaaz Se Oonchi Hain Panahen Teri

Aur Gairat-e-ehsaas Pe Sharminda Hun
Ab Kisi Aur Ki Bahon Men Hain Bahen Teri
Ab Kahan Mera Thikana Hai Kahan Tera Mahal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal...

mere maula ye haseen hath salamt rakhna

mere maula ye haseen hath salamt rakhna
aisa lagta hai jo ye hath dua ko uthen

khud farishte chale atey hein zameen ki janib
sonp kar marmareen hathon ki hatheli ko hina

jo bhi manga ho wo chup chap diye jate hon
mere maula ye haseen hath salamt rakhna


in ki khushbo se moatar hai mera sara wajood
inhi hathon mein mere khwab chupe hein maula

ungliyan mujh ko mohabbat mein bhigo deti hein
inhi poron ne mere dard chune maula

is ki rag rag mein mohabbat hi mohabbat rakhna
mere maula ye haseen hath salamat rakhna


inhi hathon ki lakeeron mein muqadar hai mera
yeh jo kone mein sitara hai sikander hai mera

khwab se narm khayalon ki tarha nazuk hein
in ke har lams mein mere liye chahat rakhna

mere maula ye haseen hath salamat rakhna

sard kamray me zard aahain...

sard kamray me zard aahain... 
hum se har dam kehna chahain...
khushi k mosam me gham hain kese??
khili khili sitara aankhain aaj yunhi nam hain kese??
laraztay haathon se kaaghaz ko lapeta... 
kinaaron se pakartay huay chaadar ko sameta...
dil k khadshon ko zair kar k...
nazar uthanay me dair kar k...
dehleez pe aaya or aahon ko bulaya...
kya haal he dil ka ye un ko btaya...
"naazuki labon se chand baatain sun kar
kya mila hum ko kai sapnay bun kar
phir waqt ki gehraai me phaink diey
bepanah chahat k wo lamhay chun kar......!!!!

yar tha gulzar tha bad-e-saba thi main na tha

yar tha gulzar tha bad-e-saba thi main na tha 
layaq-e-pa-bos-e-jan kya hina thi main na tha 

hath kyon bandhe mere chala agar chori hua 
ye sarapa shokhi-e-rang-e-hina thi main na tha 

main ne pucha kya hua wo ap ka husn-o-shabab 
hans k bola wo sanam shan-e-Khuda thi main na tha 

main sisakta rah gaya aur mar gaye farahad-o-qais 
kya unhin donon k hisse mein qaza thi main na tha

ya mujhe afsar-e-shaha na banaya hota

ya mujhe afsar-e-shaha na banaya hota 
ya mera taj gadaya na banaya hota 

khaksari k liye garche banaya tha mujhe 
kash khak-e-dar-e-janan na banaya hota 

nasha-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko 
umr ka tang na paimana banaya hota 

apna diwana banaya mujhe hota tune 
kyon khirdmand banaya na banaya hota 

shola-e-husn chaman mein na dikhaya us ne 
warna bulbul ko bhi parwana banaya hota 

roz-e-mamura-e-duniya mein kharabi hai 'Zafar' 
aisi basti se to wirana banaya hota

tum na aye ek din ka wada kar do din talak

tum na aye ek din ka wada kar do din talak
ham pare tarpa kiye do do pahar do din talak

dard-e-dil apna sunta hun kabhi jo ek din
rahta hai us naznin ko dard-e-sar do din talak

dekhte hain khwab mein jis din kisu ki chashm-e-mast
rahte hain ham do jahan se bekhabar do din talak

gar yaqin ho ye hamein ayega tu do din k bad
to jiyen ham aur is ummid par do din talak

kya sabab kya wasta kya kam tha batlaiye
ghar se jo nikle na apne tum "Zafar" do din talak

the kal jo apne ghar mein wo mahman kahan hain

the kal jo apne ghar mein wo mahman kahan hain 
jo kho gaye hain ya rab wo ausan kahan hain 

ankhon mein rote rote nam bhi nahin ab to 
the maujzan jo pahle wo tufan kahan hain 

kuch aur dhab ab to hamein log dekhte hain 
pahle jo ai "Zafar" the wo insan kahan hain

pas-e-marg mere mazar par jo chirag kisi ne jala diya

pas-e-marg mere mazar par jo chirag kisi ne jala diya 
use ah daman-e-bad ne sare sham hi se bujha diya 

mujhe dafn karna tu jis ghari to ye us se kahna k ai pari 
wo jo tera ashiq-e-zar tha tah-e-khak use daba diya 

dam-e-gusl se mere peshtar use hamdamon ne ye soch kar 
kahin jawe us ka na dil dahal meri lash par se hata diya 

meri ankh jhapki thi ek pal mere dil ne chaha k uth k chal 
dil-e-beqarar ne o miyan wahin chutki le k jaga diya 

zara un ki shokhi to dekhiye liye zulf-e-khamshuda hath mein 
mere piche aye dabe-dabe mujhe sanp kah k dara diya 

main ne dil diya main ne jan di magar ah! tune na qadr ki 
kisi bat ko jo kaha kabhi use chutkiyon mein ura diya

na kisi ki ankh ka nur hun na kisi k dil ka qarar hun

na kisi ki ankh ka nur hun na kisi k dil ka qarar hun 
jo kisi k kam na a sak main wo ek musht-e-gubar hun 

na to main kisi ka habib hun na to main kisi ka raqib hun 
jo bigar gaya wo nasib hun jo ujar gaya wo dayar hun 

mera rang-rup bigar gaya mera yar mujh se bichar gaya 
jo chaman fizan mein ujar gaya main usi ki fasl-e-bahar hun 

paye fateha koi aye kyun koi char phul charhaye kyun 
koi ak shamma jalaye kyun main wo bekasi ka mazar hun 

main nahin hun nagma-e-janfishan mujhe sun k koi karega kya 
main bare barog ki hun sada main bare dukh ki pukar hun

kije na das mein baith kar apas ki bat chit

kije na das mein baith kar apas ki bat chit 
pohnchegi das hazar jagah das ki bat chit 

kab tak rahen khamosh k zahir se ap ki 
ham ne bahut suni kas-o-nakas ki bat chit 

muddat k bad hazrat-e-naseh karam kiya 
farmaye mizaj-e-muqaddas ki bat chit 

par tark-e-ishq k liye izhar kuch na ho 
main kya karun nahin ye mere bas ki bat chit 

kya yad a gaya hai "Zafar" panja-e-nigar 
kuch ho rahi hai band-o-mukhmmas ki bat chit

khulta nahin hai hal kisi par kahe bagair

khulta nahin hai hal kisi par kahe bagair 
par dil ki jan lete hain dilbar kahe bagair 

main kyunkar kahun tum ao k dil ki kashish se wo
ayenge daure ap mere ghar kahe bagair 

kya tab kya majal hamari k bosa len 
lab ko tumhare lab se milkar kahe bagair 

bedard tu sune na sune lek dard-e-dil 
rahta nahin hai ashiq-e-muztar kahe bagair 

taqdir k siwa nahin milta kahin se bhi 
dilawata ai "Zafar" hai muqaddar kahe bagair

ja kahyio un se nasim-e-sahar mera chain gaya

ja kahyio un se nasim-e-sahar mera chain gaya meri nind gai 
tumhen meri na mujh ko tumhari khabar mera chain gaya meri nind gai 

na haram mein tumhare yar pata na surag dair mein hai milta 
kahan ja k dekhun main jaun kidhar mera chain gaya meri nind gai 

ai badshah-e-khuban-e-jahan teri mohni surat pe qurban 
k main ne jo teri jabin pe nazar mera chain gaya meri nind gai

hui bad-e-bhari chaman mein ayan gul buti mein baqi rahi na fiza 
meri shakh-e-ummid na lai sanwar mera chain gaya meri nind gai

ai barq-e-tajalli bahar-e-Khuda na jala mujhe hijr mein shamma sa 
meri zist hai misl-e-chirag-e-sahar mera chain gaya meri nind gai

kehta hai yahi ro ro k "Zafar" meri ah-e-rasa ka hua na asar 
teri hijr mein maut na ai abhi mera chain gaya meri nind gai

yahi khana tha shero k aj "Zafar" meri ah-e-rasa mein hua na asar 
tere hijr mein maut na ai magar mera chain gaya meri nind gai

humne duniya mein aa k kya dekha

humne duniya mein aa k kya dekha 
dekha jo kuch so khwab-sa dekha 

hai to insan khak ka putla 
le k pani ka bul-bula dekha 

khub dekha jahan k khuban ko 
ek tujh sa na dusara dekha 

ek dam par hawa na bandh habab 
dam ko dam bhar mein yan hawa dekha 

na huye teri khak-e-pa ham ne 
khak mein ap ko mila dekha 

ab na dije "Zafar" kisi ko dil 
ki jise dekha bewafa dekha

hum to chalte hain lo Khuda hafiz

hum to chalte hain lo Khuda hafiz 
butkada ka buton Khuda hafiz 

kar chuk tum nasihaten ham ko 
jao bas naseho Khuda hafiz 

aj kuch aur tarah par un ki 
sunte hain guftagu Khuda hafiz 

bar yahi hai hamesha zakhm pe zakhm 
dil ka charagaron Khuda hafiz 

aj hai kuch ziyada betabi 
dil-e-betab ko Khuda hafiz 

kyon hifazat ham aur ki dhundhen 
har nafas jab ki hai Khuda hafiz 

chahe rukhsat ho rah-e-ishq mein aql 
ai "Zafar" jane do Khuda hafiz

dil ki meri beqarari mujh se kuch pucho nahin

dil ki meri beqarari mujh se kuch pucho nahin 
shab ki meri ah-o-zari mujh se kuch pucho nahin 

bar-e-gam se mujh pe roz-e-hijr mein ik ik ghari 
kya kahun hai kaisi bhari mujh se kuch pucho nahin 

meri surat hi se bas malum kar lo ham-damo 
tum haqiqat meri sari mujh se kuch pucho nahin 

sham se ta-subah jo bistar pe tum bin rat ko 
main ne ki akhtar-shumari mujh se kuch pucho nahin 

ai "Zafar" jo hal hai mera karunga gar bayan 
hogi un ki sharm-sari mujh se kuch pucho nahin

bich mein parda dui ka tha jo hayal uth gaya

bich mein parda dui ka tha jo hayal uth gaya 
aisa kuch dekha k duniya se mera dil uth gaya 

shama ne ro ro k kati rat suli par tamam 
shab ko jo mahfil se teri ai zeb-e-mahfil uth gaya 

meri ankhon mein samaya us ka aisa nur-e-haq 
shauq-e-nazara ai badr-e-kamil uth gaya 

ai Zafar kya puchta hai begunah-o-bar-gunah 
uth gaya ab jidhar ko waste qatil uth gaya

wo bulayen to kya tamasha ho

wo bulayen to kya tamasha ho
ham na jayen to kya tamasha ho

ye kinaron se khelne wale
dub jayen to kya tamasha ho

bandaparwar jo ham pe guzri hai
ham batayen to kya tamasha ho

aj ham bhi teri wafaon par
muskurayen to kya tamasha ho

teri surat jo ittefaq se ham
bhul jayen to kya tamasha ho

waqt ki chand satein 'Sagar'
laut ayen to kya tamasha ho

teri dunya mein ya rab zist ke saman jalte hain

teri dunya mein ya rab zist ke saman jalte hain 
fareb-e-zindagi ki ag mein insan jalte hain 

dilon mein azmat-e-tauhid k dipak fasurda hain 
jabinon par riya-o-kubr k saman jalte hain 

hawas ki baryabi hai khird-mandon ki mahfil mein 
rupahli tikaliyon ki ot mein iman jalte hain 

hawadis raqs-farma hain qayamat muskurati hai 
suna hai nakhuda k nam se tufan jalte hain 

shagufe jhulte hain is chaman mein bhuk k jhule 
baharon mein nasheman to bahar-e-unwan jalte hain 

kahin azeb ki chan-chan mein majburi tarapti hai 
riya dam tor deti hai sunehre dan jalte hain 

manao jashn-e-may-noshi bikhrao zulf-e-maykhana 
ibadat se to "Sagar" dahar k shaitan jalte hain

tere daman ki hawa mangte hain

tere daman ki hawa mangte hain 
ham bhi jine ki dua mangte hain 

mutribo koi achuta nagma 
saz ahang-o-sada mangte hain 

mah-o-anjum k jharoke aksar 
kisi k ariz ki dua mangte hain 

phir patangon mein Khudai jagi 
shole hashr-numa mangte hain 

banda-parwar koi khairat nahin 
ham wafaon ka sila mangte hain 

maikada ho k kalisa Sagar 
sari duniya ka bhala mangte hain

rudad-e-muhabbat kya kahye kuch yad rahi kuch bhul gaye

rudad-e-muhabbat kya kahye kuch yad rahi kuch bhul gaye 
do din ki masrrat kya kahye kuch yad rahi kuch bhul gaye 

jab jam diya tha saqi ne jab daur chala tha mahfil mein 
wo hosh k sath kya kahye kuch yad rahi kuch bhul gaye 

ehsas k maikhane mein kahan ab fikr-o-nazar ki qandilen 
alam ki shiddat kya kahye kuch yad rahi kuch bhul gaye 

ab apni haqiqat bhi "Sagar" berbt kahani lagti hai 
dunya ki haqiqat kya kahye kuch yad rahi kuch bhul gaye

hai dua yad magar harf-e-dua yad nahin

hai dua yad magar harf-e-dua yad nahin 
mere nagmat ko andaz-e-nawa yad nahin 

main ne palkon se dar-e-yar pe dastak di hai 
main wo sahil hun jise koi sada yad nahin 

main ne jin k liye rahon mein bichaya tha lahu 
ham se kahte hain wahi ahd-e-wafa yad nahin 

kaise bhar ain sar-e-sham kisi ki ankhen 
kaise tharrae charagon ki ziya yad nahin 

sirf dhundhlai sitaron ki chamak dekhi hai 
kab hua kaun hua kis se khafa yad nahin 

zindagi jabr-e-musalasal ki tarah katti hai 
jane kis jurm ki pai hai saza yad nahin 

ao ik sajda karen alam-e-madhoshi mein 
kahte hain k "Sagar" ko Khuda yad nahin

ek muddat hui ek zamana hua

ek muddat hui ek zamana hua 
khak-e-gulshan mein jab ashiyana hua 

zulf-e-barham ki jab se shanasai hui 
zindagi ka chalan mujremana hua 

phul jalte rahe chand hanste raha 
arzu ka muqammal fasana hua 

dag dil k shahanshah k sike bane 
dil ka muflis-kada jab khazana hua 

rahbar ne palat kar na dekha kabhi 
rahr-o-raste ka nishana hua 

ham jahan bhi gaye zauq-e-sajda liye 
har jagah ap ka astana hua 

dekh mizarab se khun tapkane laga 
saz ka tar marg-e-tarana hua 

pahle hoti thi koi wafa-parawari 
ab to "Sagar" ye qissa purana hua

dukh dard ki saugat hai dunya teri kya hai

dukh dard ki saugat hai dunya teri kya hai 
ashkon se bhari rat hai dunya teri kya hai 

kuch log yahan nur-e-sahar dhundh rahe hain 
tarik si ik rat hai dunya teri kya hai 

paband-e-mashiyat hai tanaffus bhi nazar bhi 
ik jazya-e-lamhat hai dunya teri kya hai 

taqdir k chehre ki shikan dekh raha hun 
aina-e-halat hai dunya teri kya hai 

majruh-e-taqaddus hai taqaddus ki haqiqat 
rudad-e-kharabat hai dunya teri kya hai 

"Sagar" mein chalkate hain samawat k israr 
saqi ki karamt hai dunya teri kya hai

chupaye dil mein gamon ka jahan baithe hain

chupaye dil mein gamon ka jahan baithe hain
tumhari bazm mein ham bezaban baithe hain

ye aur bat k manzil pe ham pahunch na sake
magar ye kam hai k rahon ko chan baithe hain

fugan hai dard hai soz-o-firaq-o-dag-e-alam
abhi to ghar mein bahut mehrban baithe hain

ab aur gardish-e-taqdir kya satayegi
luta k ishq mein nam-o-nishan baithe hain

wo ek lafz-e-mohabbat hi dil ka dushman hai
jise shariat-e-ehsas man baithe hain

hai maikadon ki baharon se dosti 'Sagar'
baraye had-e-yaqin-o-guman baithe hain

chandni ko rusul kahta hun

chandni ko rusul kahta hun
bat ko bausul kahta hun

jagmagate hue sitaron ko
tere pairon ki dhul kahta hun

jo chaman ki hayat ko das le
us kali ko babul kahta hun

ittefaqan tumhare milne ko
zindagi ka husul kahta hun

ap ki sanwali si surat ko
zauq-e-yazdan ki bhul kahta hun

jab mayassar ho sagar-o-mina
barqparon ko phul kahta hun

bhuli hui sada hun mujhe yad kijiye

bhuli hui sada hun mujhe yad kijiye 
tum se kahin mila hun mujhe yad kijiye 

manzil nahin hun khizr nahin rahzan nahin 
manzil ka ranta hun mujhe yad kijiye 

meri nigah-e-shauq se har gul hai dewta 
main ishq ka khuda hun mujhe yad kijiye 

nagmon ki ibtida thi kabhi mere nam se 
ashkon ki intaha hun mujhe yad kijiye 

gum-sum khari hain donon jahan ki haqiqaten 
main un se kah raha hun mujhe yad kijiye 

"Sagar" kisi ke husn-e-tagaful shar ki 
bahki hui ada hun mujhe yad kijiye

bargashta-e-yazdan se kuch bhul hui hai

bargashta-e-yazdan se kuch bhul hui hai
bhatke hue insan se kuch bhul hui hai

ta hadd-e-nazar shole hi shole hain chaman mein
phulon k nigehban se kuch bhul hui hai

jis ahad mein lut jaye faqiron ki kamai
us ahad ke sultan se kuch bhul hui hai

hanste hain meri surat-e-maftun pe shagufe
mere dil-e-nadan se kuch bhul hui hai

huron ki talab aur mai-o-sagar se hai nafrat
zahid tere irfan se kuch bhul hui hai

baat phulon ki suna karte the

baat phulon ki suna karte the 
ham kabhi sher kaha karte the 

mashalen leke tumhare gam ki 
ham andheron mein chala karte the 

ab kahan aisi tabiyat wale 
chot kha kar jo dua karte the 

tark-e-ehsas-e-muhabbat mushkil 
han magar ahl-e-wafa karte the 

bikhri bikhri zulfon wale 
qafile rok liya karte the 

aj gulshan mein shaguf-e-sagar 
shikawe bad-e-saba se karte the

azmat-e-zindagi ko bech diya

azmat-e-zindagi ko bech diya
ham ne apni khushi ko bech diya

chashm-e-saqi k ik ishare pe
umr ki tishnagi ko bech diya

rind jam-o-subu pe hanste hain
shaikh ne bandagi ko bech diya

rahguzaron pe lut gai radha
sham ne bansuri ko bech diya

jagmagate hain wehshaton k dayar
aql ne adami ko bech diya

lab-o-rukhsar ke iwaz ham ne
sitwat-e-khusrawi ko bech diya

ishq behrupiya hai ai 'Sagar'
ap ne sadgi ko bech diya

ye jo diwane se do char nazar ate hain

ye jo diwane se do char nazar ate hain 
in mein kuch sahib-e-asrar nazar ate hain

teri mahfil ka bharam rakhte hain so jate hain 
werna ye log to bedar nazar ate hain

dur tak koi sitara hai na koi jugnu
marg-e-ummid k asar nazar ate hain

mere daman mein shararon k siwa kuch bhi nahin
ap phulon k kharidar nazar ate hain

kal jise chu nahin sakti thi farishton ki nazar
aj wo raunaq-e-bazar nazar ate hain

hashr mein kaun gawahi meri dega 'Sagar'
sab tumhare hi tarafdar nazar ate hain

log har mor pe ruk ruk k sambhalte kyun hain

log har mor pe ruk ruk k sambhalte kyun hain 
itna darte hain to phir ghar se nikalte kyun hain 

main na jugnu hun diya hun na koi tara hun 
roshni wale mere nam se jalte kyun hain 

nind se mera talluq hi nahin barson se 
khwab a a k meri chat pe tahalte kyun hain 

mor hota hai jawani ka sambhalne k liye 
aur sab log yahin ak phisalte kyun hain

kitni pi kaise kati rat mujhe hosh nahin

kitni pi kaise kati rat mujhe hosh nahin 
rat k sath gai bat mujhe hosh nahin 

mujh ko ye bhi nahin malum k jana hai kahan
tham le koi mera hath mujhe hosh nahin 

anson aur sharabon mein guzri hai ab to 
main ne kab dekhi thi barsat mujhe hosh nahin 

jane kya tuta hai paimana k dil hai mera 
bikhre bikhre hain khayalat mujhe hosh nahin

dosti jab kisi se ki jaye

dosti jab kisi se ki jaye 
dushmanon ki bhi rae li jaye 

maut ka zahr hai fizaon mein 
ab kahan ja k sans li jaye 

bas isi soch mein hun duba hua 
ye nadi kaise par ki jaye 

mere mazi k zakhm bharne lage 
aj phir koi bhul ki jaye 

botlen khol k to pi barson 
aj dil khol k bhi pi jaye

kisi ka ho k taire shar se chala bhe gia

kisi ka ho k taire shar se chala bhe gia
woh khud ko kho k taire sahr se chala bhe gia

bahoot uddas thein aankhein esi liye un main
aazab bo k taire shar se chala bhe gia

havaown ne tuje sandaisa de diya ho ga
kabi ka ho k taire shar se chala bhe gia

guman samait k damen main un gint ek din
yaqeen kho k taire shar se chala bhe gia

sada jo hansne ka arman dil main rakhta tha
woh aaj ro k taire shar se chala bhe gia

khun se jab jala diya ek diya bujha hua

khun se jab jala diya ek diya bujha hua 
phir mujhe de diya gaya ek diya bujha hua 

ek hi dastan-e-shab ek hi silsila to hai 
ek diya jala hua ek diya bujha hua 

mahfil-e-rang-o-nur ki phir mujhe yad a gai 
phir mujhe yad a gaya ek diya bujha hua 

mujh ko nishat se fuzun rasm-e-wafa aziz hai 
mera rafiq-e-shab raha ek diya bujha hua 

dard ki kainat main mujh se bhi raushani rahi 
waise meri bisat kya ek diya bujha hua 

sab meri raushani-e-jan harf-e-sukhan main dhal gai 
aur main jaise rah gaya ek diya bujha hua

ik saza aur asiron ko suna di jaye

ik saza aur asiron ko suna di jaye 
yani ab jurm-e-asire ki saza di jaye 

uski khwahish hai k ab log na roen na hansen 
behisi waqt ki awaz bana di jaye 

dasht-e-nadida ki tahqiq zaruri hai magar 
pahle jo ag lagi hai wo bujha di jaye 

sirf jalna hi nahin hamko bharakna bhi to hai 
ishq ki ag ko lazim hai hawa di jaye 

sirf suraj ka nikalna hai agar subah to phir 
ik shab aur meri shab se mila di jaye 

aur ik taza sitam usne kiya ijad 
usko is bar zara khul ke dua di jaye

ham se bahal rahe hain ap ap bahut ajib hain

ham se bahal rahe hain ap ap bahut ajib hain
dard main dhal rahe hain ap ap bahut ajib hain

saya-e-wasl kab se hai ap ka muntazir magar
hijr main dhal rahe hain ap ap bahut ajib hain

apne khilaf faisla khud hi likha hai ap ne
hath bhi mal rahe hain ap ap bahut ajib hain

waqt ne arazu ki lau der hui bujha bhi di
ab bhi pighal rahe hain ap ap bahut ajib hain

zahmat-e-zarbat-e-digar dost ko dijiye nahin
gir k sambhal rahe hain ap ap bahut ajib hain

dayarawar hi to hain ishq ke raste tamam
rah badal rahe hain ap ap bahut ajib hain

dasht ki sari raunaqen khair se ghar main hain to kyun
ghar se nikal rahe hain ap ap bahut ajib hain

apni talash ka safar khatm bhi kijiye kabhi
khwab main chal rahe hain ap ap bahut ajib hain

ek se silsile hain sab hijr ki rut bata gai

ek se silsile hain sab hijr ki rut bata gai 
phir wahi subah ayegi phir wahi sham a gai

mere lahu main jal uthe utne hi taza dam chirag 
waqt ki sazishi hawa jitne diye bujha gai

main bhi ba-pas-e-dostan apne khilaf ho gaya 
ab yahi rasm-e-dosti mujhko bhi ras a gai

tund hawa k jashn main log gaye to the magar 
tan se koi qaba chini sar se koi rida gai

dil-zadgan k qafile dur nikal chuke tamam 
un ki talash main nigah ab jo gai to kya gai

akhir-e-shab ki dastan aur karen bhi kya bayan 
ek hi ah-e-sard thi sare diye bujha gai

bedili se hansne ko khush-dili na samjha jaye

bedili se hansne ko khush-dili na samjha jaye 
gam se jalte chehre ko raushni na samjha jaye 

gaha gaha wahshat main ghar ki simt jata hun 
isko dasht-e-hairat se wapsi na samjha jaye 

lakh khushguman duniya bahimi talluq ko 
dosti kahen lekin dosti na samjha jaye 

ham to bas ye kahte hain roz jine marne ko 
ap chahen kuch samjhen zindagi na samjha jaye 

khak karne walon ki kya ajib khwahish thi 
khak hone walon ko khak hi na samjha jaye

kamal-e-zabt ko khud bhi to azmaungi

kamal-e-zabt ko khud bhi to azmaungi 
main apne hath se us ki dulhan sajaungi 

supurd kar k use chandni k hathon 
main apne ghar k andheron ko laut aungi 

badan k karb ko wo bhi samajh na payega 
main dil main roungi ankhon main muskuraungi 

wo kya gaya k rafaqat k sare lutf gaye 
main kis se ruth sakungi kise manaungi

wo ik rishta-e-benam bhi nahin lekin 
main ab bhi us k isharon pe sar jhukaungi 

bicha diya tha gulabon k sath apna wajud 
wo so k uthe to khwabon ki rakh uthaungi 

ab us ka fan to kisi aur se mansub hua 
main kis ki nazm akele main gungunaungi 

jawaz dhundh raha tha nai muhabbat ka 
wo kah raha tha k main us ko bhul jaungi 

samaaton main ghane jangalon ki sansen hain
main ab kabhi teri awaz sun na paungi

hamare darmiyan aisa koi rishta nahin tha

hamare darmiyan aisa koi rishta nahin tha 
tere shanon pe koi chat nahin thi 
mere zimme koi angan nahin tha 
koi wada teri zanjir-e-pa banane nahin paya 
kisi iqrar ne meri kalai ko nahin thama 
hawa-e-dasht ki manind 
tu azad tha 
raste teri marzi k tabe the 
mujhe bhi apni tanhai pe 
dekha jaye to 
pura tasarruf tha 
magar jab aj tu ne 
rasta badla 
to kuch aisa laga mujh ko 
k jaise tu ne mujh se bewafai ki

dil ka kya hai wo to chahega musalsal milana

dil ka kya hai wo to chahega musalsal milana 
wo sitamgar bhi magar soche kisi pal milna 

wan nahin waqt to ham bhi hain adim-ul-fursat 
us se kya kahiye jo har roz kahe kal milna 

ishq ki rah k musafir ka muqaddar malum 
dasht-e-ummid main andeshe ka badal milna 

daman-e-shab ko agar chak bhi kar len to kahan 
nur main duba hua subah ka anchal milna

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi
silawaten roshani main ubhrengi

ghar ki diwaren mere jane par
apni tanhaiyon ko sochengi

ungaliyon ko tarash dun phir bhi
adatan us ka nam likkhengi

rang-o-bu se kahin panah nahin
khwahishen bhi kahan aman dengi

ek khushbu se bach bhi jaun agar
dusari nikahaten jakar lengi

khirkiyon par dabiz parde hon
barishen phir bhi dastaken deng

apni ruswai tere nam ka charcha dekhun


apni ruswai tere nam ka charcha dekhun 
ek zara sher kahun aur main kya kya dekhun 

nind a jaye to kya mahfilen barpa dekhun 
ankh khul jaye to tanhai ka sahra dekhun 

sham bhi ho gai dhundhala gai ankhen bhi meri 
bhulnewale main kab tak tera rasta dekhun 

sab ziden us ki main puri karun har bat sunun 
ek bache ki tarah se use hansta dekhun 

mujh pe cha jaye wo barsat ki khushbu ki tarah 
ang ang apna usi rut main mahakta dekhun 

tu meri tarah se yakta hai magar mere habib 
ji main ata hai koi aur bhi tujh sa dekhun 

main ne jis lamhe ko puja hai use bas ek bar 
khwab ban kar teri ankhon main utarta dekhun 

tu mera kuch nahin lagta hai magar jan-e-hayat 
jane kyon tere liye dil ko dharakta dekhun

Popular Posts