Ek Din Chaand Se Bicharna Hai
Aankh, Taqdeer Aur Ta’aluq Jo
Jaane Kis Doosre Ke Bas Mai Hain
Saanp Ban Ban Ke Daste Rehte Hain
Apni Saanson Mai Dobte Dil Ko
Chaand Jis Tarz Ka Musafir Hai
Hijr Hi Hai Ke Jo Paraao Mai Hai
Bas Judaai Ko Hai Thehr Jana
Hum To Shikwa Bhi Kar Nahi Sakte
Aur Tanhaaiyon Se Shikwa Kiya
Chaand Be-Chainiyon Ka Mosam Hai
Beet Jane Pe Bhi Hamesha Hi
Apne Aasaar Chor Jata Hai
Yeh Meri Aankh Ke Sulagte Hue
Zard-Ro Aeinon Ki Nam-Naaki
Sab Issi Dard Ki Nishaani Hai
Yeh Mera Be-Sabab Hi Khush Rehna
Sab Issi Gham Ki Azmaish Hai
Ek Khuwahish Hai Jis Ko Marna Hai
Ek Jeewan Jise Ujarna Hai
Ek Din Chaand Se Bicharna Hai
No comments:
Post a Comment