Husn paabaNd-e-razaa ho, mujhe maNzoor nahiiN
maiN kahooN tum mujhe chaaho, mujhe maNzoor nahiiN
jisne iss daur ke insaan kiye haiN paidaa
vahii meraa bhii khudaa ho, mujhe maNzoor nahiiN
shart-e-izhaare-e-nadaamat hai, jo bakhshish ke liye
ai jawaanii ke gunaaho ! mujhe maNzoor nahiiN
hashr ke din mujhe sach kahne kii tauqiiq na de
koii haNgaama bapaa ho, mujhe maNzoor nahiiN
husn vaale mere qaatil haiN, yah daavaa hai meraa
husn vaaloN ko sazaa ho, mujhe maNzoor nahiiN
dostoN ko bhii mile dard kii daulat yaa-rab!
meraa apnaa hii bhalaa ho, mujhe maNzoor nahiiN
mujhko ai kaatib-e-taqdiir tamaasha na banaa
ishq chehare pe likhaa ho, mujhe maNzoor nahiiN
ai buto ! tum pe adhaa-dhuNd mare Khalk-e-Khuda
aour Khudaa dekh rahaa ho, mujhe maNzoor nahiiN
mai_kadaa vaaloN ki Khafgii ! are taubaa-taubaa
koii khush ho ke Khafaa ho, mujhe maNzoor nahiiN
.................................