Monday, June 7, 2010

suno! tum yaad mat karna


suno! tum yaad mat karna 
agar hum mar bhi jain tu 
dill-e nashaad ko phir sey 
na tum bar baad ab karna 
humain tum yaad mat karna 
k ye yaadain tu jism-o roh ka 
nasoor hoti hain 
humarey wastey jevan ko yoon 
be-noor mat karna 
humain tum yaad mat karna 
agar hum chor k tum ko 
manoo mati main so jain 
humaari aankh bojhal ho 
aur hum nendoo main kho jain 
humarey khwaab ko ankhoon main 
phir aabad mat karna 
suno! tum yaad mat karna 
humarey wastey jevan ko yoon 
barbaad mat karna

Jaanay kia mila yeh naseeb

Jaanay kia mila yeh naseeb
* Zindagi say ab yeh kah * Kah gum hua kion saza
* judai kaisay mili
* Her aas tute gai
* Na koi apna raha
* Jo aankhain dakhti thien
* Na ab woh sapna raha 
* Jo aansu pouchtay hain
* Chupaoon kaisay woh main
* Churaoon kaisay woh main
* Zindagi say ab yeh kaho
* Kah gum hua kion saza
* Yeh durion ka safar
* Akalay kaisay karoon
* Ajeeb dukh hain maray
* Jalaay dhoop mujay
* Na saya saath rahay
* Yeh aahaton ki sada
* Jo day rahi hay pata
* Yahan to koi nahi
* Kah khoo gai hay khushi
* Sanam tumharay liay
* Woh sub kia hum nay
* Jo koi ker na saka
* Huay badnaam bohat
* Phir bhi chaha hay tumhain
* Tum ko ehsaas nahi
* Jo maray pass thay kal
* Ab koi pass nahi
* Zindagi raas nahi
* Zindagi say ab yeh kaho
* Kah gum hua kion saza
* Jaanay kia mila yeh naseeb

buhat din se! mujhe kuch an-kahe al-faaz ne

buhat din se! 
mujhe kuch an-kahe al-faaz ne be-chain rakkha hai 
mujhe soone nahi dete 
mujhe hansne nahi dete 
mujhe roone nahi dete 
yuon lagta hai 
ke jese saans seene men kahen tehri hoi hai 
yuon lagta hai 
ke jese taiz garmi men 
zara si dair ko baarish baras kar ruk gaye ho 
ghutan chaaron taraf phaili hoi hai 
buhat din se 
meri aankhon men sapnon ki 
koi dooli nahi utri 
buhat din se 
khyaalon men,dabe paaon 
koi apna nahi aaya 
buhat din se 
mere jazbaat 
jo meri shaairy ke mousamon men rang bharte the 
kahen khoye huway hen 
mere alfaaz bhi soye huway hen 
men unko dhoondhne is zindagi ke dasht men nikla tou hon lekin, 
mujhe maloom hai, jazbay! 
agar ek baar kho jaain 
tou phir wapis nahi milte 
mujhe maloom hai phir bhi! 
abhi ek aas baaqi hai 
men ab is aas ki ungli pakar kar chal raha hon 
ba-zaahir shabnami thandak mujhe ghairay huway hai 
magar men jal raha hon 
men ab tak chal raha hon...!!!

Suno Jo Dil Mein Baat Hay Keh Do


Suno...

Jo Dil Mein Baat Hay Keh Do
k Kab Se Muntazir Hain Hum
Tumhary Chand Lafzoon k
Ajab Ik KashMakash Mein Hain
Ya To Tum Hum Ko Qaid Kar Do
Ya Phir Azad Kar Do
Jo Dil Mein Baat Hay Keh Do
k Jazba Koi b Ho
Izhaar Ka Muhtaaj Hota Hay

Suno...

Ab Bol b Do
Wagarna Yeh Moka
Hathoon Se Kho Baithy
To Pachtao Ge
Chalo Ab Keh b Do Hum Se
Karo Ab Tum Humy Saraab
Apny Lafzoon Ki Barish Se

Suno...

Hum Muntazir Hain...!!!

tumhen jab kabhi milay fursat mere dil se bojh utar do


tumhen jab kabhi milay fursat mere dil se bojh utar do,
mein boht dino se udas hun mujhe koi sham udhar do,

*mujhe apne roop ki dhoop do,ke chamak sakein mere khad-o-khal,
mujhe apne rung mein rung do,mere sare rung utar do,

*kisi or ko mere hal se na gharz hai na koi wasta,
mein bikher gya hun samait lo,biger gya hun sanwar do,

*meri weh'shaton ko badha diya hai,judaiyon ke azab ne,
mere dil pe hath rakho zra,meri dharkano ko qarar do,

*tumhen subha kaisi lagi kaho meri khuahishon ke diyar ki,
jo bhali lagi to yahin raho isay chahaton se sanwar do,

*koi baat kerni hai chaand se kisi shakhsar ki oat mein,
mujhe raaste mein yahin kahin kisi kunj-e-gul mein utar do...

sochate aur jagate sansoun ka ik dariya huun main


sochate aur jagate sansoun ka ik dariya huun main 
apane gumgashta kinaroun k liye bahata huun main 

jal gaya saaraa badan in mausamoun kii aag mein 
ek mausam ruuh ka hai jis mein ab zinda huun main 

mere honthoun ka tabassum de gaya dhokhaa tujhe 
tuune mujhako bagh jana dekh le sehara huun main 

dekhiye merii paziraaii ko ab aataa hai kaun 
lamha bhar ko vaqt kii dahaliiz par aayaa huun main

Kitaabein jhaankti hain band almaari ke sheeshon se

Kitaabein jhaankti hain band almaari ke sheeshon se 
badi hasrat se takti hain 
mahino ab mulakaatein nahin hoti 
jo shaamein inki sohbat mein kata karti thi 
ab aksar 
guzar jaati hai computer ke parde par 

badi baichen rehti hain kitaabein 
inhein ab neend me chalne ki aadat ho gayee hai 
badi hasrat se takti hain 

Jo kadrein wo sunaati theen 
ki jin ke Cell kabhi marte nahin the 
wo kadrein ab nazar aati nahin ghar mein 
jo rishte sunati theen 
woh saare udhade udhade hain 

koi safahaa palat-ta hoon to is siski nikalti hai 
kai lafzon ke maane gir pade hain 
bina patton ke sookhe tund lagte hain wo sab alfaaz 

jin par ab koi maane nahin ugte 
bahut si istalaahein hain 
jo mitti ki sikoron ki tarah bikhri padee hain 
gilaason ne unhein matrook kar daala 

zubaan par zaaika aata tha jo safahe palatane ka 
ab unglee click karne se bas ik 
jhapkee guzarti hai 
bahut kuchh tah-b-tah khulta chala jaata hai parde par 

Kitaabo se jo zaati raabta tha, kat gaya hai 
kabhi seene pe rakh ke lait jaate the 
kabhi goud mein le lete 
kabhi ghutno ko apne rihal ki surat bana kar 
neem sajde mein padha karte the, chhote the zabeen se 
wo saara ilm to milta rahega baad mein bhi 
magar wo jo kitaabo mein mila karte the sookhe phool 
aur mahke hue rukke 
kitaabe mangne, girne, uthane ke bahaane rishte bante the 
unka kya hoga 
wo shayad ab nahin honge

Kuch din pehle mohabbat ko mohabbat samjha hum ne

Kuch din pehle mohabbat ko mohabbat samjha hum ne..
Muhabbat hui mohabbat ko apna samjha hum ne..

Mohabbat main is qadar madhosh ho Gaye..
Is ki bewafai ko wafa samjha hum ne..

Zakham is qadar mohabbat ne diye..
In zakhmo ko phool samjha hum ne..

Mohabbat ki chikh o pukaar is qadar thi..
 pass ke logo ki roone ko asna samjha hum ne..

Mohabbat ki shidat main aankhen iskadar chandiya Gaye..
Har chamakti hui chiz ko sona samjha hum ne..

Dewaana is qadar mohabbat ne bannaya humko..
Apno ko begana aur un ko apna samjha hum ne..

Mohabbat ki yaadein dil par kuch yon naksh kar Gaye..
Bhulane ki khoshish main Khod ko hi bhula diya hum ne.......

Kabhi tum ne nahi socha

Kabhi tum ne nahi socha...! 
Yeh Aankhain chor hoti hain 
zabaan-e-shoq ban jati hain 
Kanoo'n mein Dharakti hain 
Kahi'n likkhaa nahi jo aaj tak 
Yeh Woh bhi parhti hain 
Magar jab Zabt ka lamha 
Koi humko Nibhana ho 
Tou bilkul Haaar jati hain 
Bohat kamzoor hoti hain 
Yeh Aaankhai'n Chor hoti hain...! 
kabhi tum ne nahi socha ...????

Amar Kar Lo Wo Sab Lamhe


Amar Kar Lo Wo Sab Lamhe,
Jo Hune Yun Guzare Hai, 
Saher Kar Lo Wo Sab Raatein,
Jahan Apni Hi Duniya Thi, 
Jahan Saansein Bhi Apni Thi, 
Jahan Sapne Bhi Apne The, 
Safar Kar Lo Wo Sab Raste, 
Jahan Kuch Bhi Wafayein Hai, 
Jahan Khushbu Hai Pyaron Ki, 
Jahan Yaadein Hai Yaaron Ki, 
Fikr Kar Lo Zara Ek Pal 
Ke Tumne Kisko Khoya Hai, 
Use Tum Tum Dhund Paoge
Kabhi Phir Dekh Paoge
Thaher Jao Jahan Ho Tum, 
Ke Us Din Tum Adhure Ho, 
Kabhi Phir Mil Na Paoge,
Use Dhundoge Yaadon Mein,
Use Is Pal Bula Lo Tum, 
Ke Ye Lamhe Tumhare Hai...

Shaam Furqat Dhalay Hum Nahi Chahtay

Shaam Furqat Dhalay Hum Nahi Chahtay
Ghum Say Fursat Milay Hum Nahi Chahtay

Phir Naya Waar Sehnay Ko Tayar Hain
Tu Parishan Rahay Hum Nahi Chahtay

Aaj Ansoo Bahanay say Maat Rookay
Aaj Barish Tamay Hum Nahi Chahtay

Hum Teray Baad Ujray Hoay Thik Hain
Ab Kahin Dil Lagay Hum Nahi Chahtay

Teray Pekar Ko Hum Dekhtay Hi Rahain
Tu Nazar Say Hatay Hum Nahi Chahtay

Kis Qadar Dil Nasheen Hai Yeh Mojon Ka Shoor
Ghum Ka Darya Rukay Hum Nahi Chahtay

Iss Qadar Pyar say Tu Pukara na Kar
Aag Dil Ko Lagay Hum Nahi Chahtay~!!

us nay jo dikhaye thay be khawab aankhon ko

us nay jo dikhaye thay 
be khawab aankhon ko 
khawab ab ke wo saray 
is tarah se tootay hain 
jis tarah koi shesha 
hath se *** ker 
kirchi kirchi ho jaye 
ja-baja bikhar jaye 
ab aisay khawaboon ko 
chun ke hum nay kia kerna 
kirchioon ko chun-nay se 
poorain zakhmi kia kerna 
tootay hoay khawaboon ko 
aankhoon main ab kia bharna 
ab jo in khawaboon ko 
aankh main basaya too 
aankhain andhi ker baitho gay 
khud ko tanha ker baitho gay 
aao ke yoon kertay hain 
phir se dil ki suntay hain 
tootnay bikarnay ko 
koi ehd kertay hain 
phir se khawab buntay hian

sabr ka payaam aur besabr insaan

sabr ka payaam aur besabr insaan, 
yeh sabr hi hamein tarpaata hai 
mausam badalte rehte hain, 
aur waqt guzarta jaata hai 
mayoosi mein hum baithe hain, 
har khoya lamha dil dukhaata hai 
sab kaam adhure rehte hain, 
ab kaam se kaun dil lagaata hai? 
log hum pe haste hain, 
aur yeh zaalim zamana rulaata hai 
kehte hain log hum se aksar, 
insaan khud apni takdeer banaata hai 
jab sab raaste band hote hain, 
to Khuda ka raasta dil bhehlaata hai 
wo Furqan ko hum na pehchaan sake, 
hum andhon ko kya nazar aata hai? 
mai dil dimaag se mazoor hoon, 
mujhe rone ke siwa kuch nahin aata hai 
koi nahin sunnaa chahta Mousey, 
yeh fasana tu kisko sunaata hai?

maine dekha tha un dino mien usse

maine dekha tha un dino mien usse 
jab wo khiltay gulab jesa tha 
uski palkoon se neend chanti thi 
us ka lahja sharab jesa tha 
us ki zulfoon se bhegti thi ghatta 
us ka rukh mahtaab jesa tha 
log parhtay thay khal o khad us ke 
wo adab ki kitab jesa tha 
bolta tha zaban khushbu ki 
log suntay thay dharkanooon mien usse 
mien dekha tha un dino mien usse 
sari ankhien thein aainay uske 
saray chahroon mien intekhab tha wo 
ye haqeqat hai ke koi khawab tha wo 
sab se ghul mil ker ajnabi rahna 
ek dariya numa serab tha wo 
meri neendien bhi uski nazr hoein 
meine paya tha ratjagoon mein usse 
meine dekha tha un dino mien usse 
jab wo hans hans ke raat karta tha 
dil ke khemay mein raat karta tha 
rang parhtay thay aanchaloon mien usse 
miene dekha tha un dino mien usse 
ye magar daer ki kahani hai 
ye magar daer ka fasana hai 
abh us ke aur mere milaap ke haail 
sadiyon bhara zamana hai 
abh ke haal apna bhi dasht e hijra ki shaam jesa hai 
najanay in dino wo kesa hoga?? 
men dekha tha un dino mein usse

Khubsoorat tum bhi lag rahi hogi

Khubsoorat tum bhi lag rahi hogi
Khubsoorat main bhi lag raha honga

Marne Ki Duaein Koun Mangoon,
jeenay Ki Tamana Kon Karain..

Yeh Duniya Ho,Ya Wo Duniya
Ab Khuwahish Duniya Kon Karey.

jo Agg Lagaee Thi Tum Ne..
Us ko tuh Bhujaya Ashko'n Ne

jo Ashko'n Ne Bherkaee Hay,,
Us Agg Ko Thanda Kon Karey.

jab Kashti Sabit-o-Salim Thi,
Sahil Ki Tamana Kis Ko Thi.

Ab Aeise Shikista Kashti Per,
Sahil Ki Tamana Kon Karey..

Duniya Ne Humein Chora.
Hum Chor Na Dein Kiun Duniya Ko..

Duniya Ko Samajh Ker Bethay Hein,
Ab Duniya Duniya Kon Karey.......

main sochta hoon kuch uss se kahoon

main sochta hoon kuch uss se kahoon 
koyee baat mohabat ulfat ki 
koyee baat sunehrey khabon ki 
koyee baat ke jiss ki rag rag se 
bay-nam si khushbu poot-thi ho 
pir sochta hoon kya hasil hai 
gar uss ko sab kuch keh be diya 
ye lafz hakarat jayengey 
mai sochta hoon aik geet likoon 
unn komal pyarey hathon par 
uss poolon waley anchal par 
jisey oorh ke wo ik pari lagey 
kabi sochta hoon koyee nazm kahoon 
bas jiss mai uss ki baten hon 
unn gehri gehri ankon par 
jin ankon mai kayee sadiyon ke 
kayi qisey hain afsaney hain 
pir aksar yooun be sochta hoon 
mai kuch na kahoon ye behtar hai 
har zakham chupa kar seeney mai 
bas dukh he sahoon ye behtar hai 
jahan lafz yaqeen se khali hon 
wahan chup he rahoon ye behter hai

Judayi deney walay tum se umeed-e-wafa kaisi


Judayi deney walay tum se umeed-e-wafa kaisi
Ta'alluq toot jaye jab
Mohabbat rooth jaaye jab
Tu phir rasm-e-dua kaisi
Millan ki iltijaa kaisi
Bhanwar mein dolti kashti pe saahil ki tamanna kya
Ukhartey saans hoon tao zindagi ki aarzoo bhi kya
Jo manzil kho chuki ho us ki phir se justujoo bhi kyon
Razaye dost per acha sar-e-tasleem kham karna
Sisakney se yehi behtur hai naumeed hi marna
Magar dil ne tumhien kis waastay se yaad rakha hai
Tumhein kyon shaayiri mein aaj tak abaad rakha hai
Abhi tuk main ne kyon khud ko bahut barbaad rakha hai
Hawa ke dosh per kyon naghma-e-fareyaad rakha hai
Judayi deney walay aashnaii ki qasam tum ko
Tumhari bewafai, kaj addaii ki qasam tum ko
Mujhe itna bata dena..........
Wafa ki chaahatoon ki masha'llain kaise bhujaatay hain
Nishaan kaise mitaatay hain
Bholaana ho jinhain unko bhala kaise bhulaatay hain... !!!

buzurgoon ki kahawat hai

buzurgoon ki kahawat hai 
kisi bhi pal k ruk jaane ki khwahish 
dil men mat rakhna 
yaqeen aur was-wasay k beich 
kathin,aasaan rastoon men 
na jaane 
zeest k kitne hi lamhe hen 
k jin ko rokna chaaha 
magar hum rook na paai 
phir aise dasht bhi aaye 
k jin ko paar karne men 
laga,saari umer guzri 
shumaar waqt men lekin 
yeh sab utne hi lamhe thay 
k jin ko rokne ki aarzo men 
yeh riwayat bhool baithe thay 
kisi bhi pal k ruk jaane ki khwahish 
dil men mat rakhna 
k jab mousam tehar jaain 
udaasi ban k roohon men 
tou phir umer e rawaan k 
saare mousam 
aik hi rang 
aik hi qalb men dhaltey hen 
barshaa baras dil k gird 
anookhi dhund k yeh jaal buntay hen 
jahaan koi sunehri yaad 
andar ja nahi sakti 
yeh mousam gar guzar jaai 
ro pehli chaandni ko 
rooh men ummeed ki barsaat ka 
rasta jo mil jaai 
tou saari umer sajdah raiz ho kar 
yeh dua maangoon 
koi mousam na ab tehray...!!!

Kabhi meri raaton se milo

Kabhi meri raaton se milo
aor merey sitaray gino
aor merey chaand ke adhoray-pan ka
qarb jhailo
aor meri neend ke aas main weeran raston per
ugi hoi
jungly, nokeeli, ghas ke war saho
aor kabhi mujhe......
mujhe nahi rehne do
aor bas....
kabhi meri raaton say milo~!!

Mujhe hunar-mand samajhne wale log


Mujhe hunar-mand samajhne wale log 
Aksar kahte hai 
Ki mein kai martaba 
Apni kalam ki tahreer se 
Hayaat ke falsafein 
Bayaa karta hun! 
Aur unke dilo pe 
Jindagi k boont ko ghudh deta hun!! 

Sochta hun! 
dil khol k hasaa jaaye! 
par savaal hai ki 
kis par hasoon?????? 
Unke bholepan pe, 
ya phir apni bebasi par!!! 

Bebasi ki Kash!!!!! 
kisi surat-e-haal mein, 
aisa ho paata!! 
Kash ek sanam-taraash ki tarah 
ek hath mein chhaini 
aur ek hath mein hathode ko tham kar, 
kuch patthar-dilo pe 
zindagi aur haqikat 
ki ek surat taraash deta!!!

abhi kya kahen abhi kya sunayen

abhi kya kahen abhi kya sunayen 
ke sar-e-faseel-e-sukuut-e-jaan 
kuf-e-roz-o-shab pe sharar numaa 
wo jo harf harf chiraag thaa 
use kis hawa ne bujha diya 
kabhii lab hilenge to poochhnaa 
sar-e-sahar-e-ahad-e-visaal-e-dil 
wo jo nikahaton kaa hujoom thaa 
use dast-e-mauj-e-firaaq ne 
tah-e-Khaak kab se milaa diyaa 
kabhii gul khilenge to poochhnaa 
abhii kyaa kahen abhii kyaa sunaayen 
yunhi Khuwahishon ke fishaar mein 
kabhii be sabab kabhii beKhalal 
kahaan kaun kis se bichhar gayaa 
kise kis ne kaise ganvaa diyaa 
kabhii phir milenge to poochhnaa~!!

Kisi rut ka koi dukh ho koi sukh ho..

Kisi rut ka koi dukh ho
koi sukh ho.. 
hamein mehsoos hota hai 
yehi "ehsaas" hone ki alamat hai 
hamari zindagani ki alamat hai.. 
tumhein hairaan hone ki zaroorat kia?? 
Chaley jao!! 
tumhein kia waasta is se?? 
ke hum tanhaiyon mein kis terah reh kar.. 
guzar auqaat karte hain?? 
tumhein ho kion gharaz is se.. 
ke jeete hain ke marte hein?? 
Chaley jao...!! 
hamare zakhm bharne ke nahi hain in dilason se.. 
koi daikhe tou kion daikhe?? 
ke kaise sabr aata hai..hamein tareek raaton mein.. 
koi daikhe tou kion daikhe? 
ke kaise mehev rehtey hain..hum apne saath baaton mein.. 
Chaley jao!! 
hamein mehsoos karne do.. 
hamara zakhm bharne do.. 
Mere humzaad aao tu..bhuja do roshniyan saari.. 
ghubar is dil ka nikle ga.. 
buhat tareek kamrey mein.. 
mujhe ab hichkiyan laite.. 
koi bhi daikh paey kion?? 
mere anjaam pae aakhir.. 
"wo chehra" muskuraey kion?? 
Chaley jao!! 
hamein to is samey ghar ke.. 
dar-o-deewar bhi achey nahi lagte.. 
Chaley jao!!

Mohabat main mohabat ko mohabat say sanvara hai

Mohabat main mohabat ko mohabat say sanvara hai 
Aye shayer-e-badnaam, yeh kahaaan tera ishara hai 

Jab utar hi gai hain ishq kah samandar main to phir 
Kissay hai parwa, kah milta kahaaan koi kinaara hai 

Kaisay kah doon man kah woh bewafa hai, jab kah 
Kuch hathon main likha hai kuch kismat ka sitara hai 

Kahta kiyun hai hazrat-e-naseh usay bhool janay ko 
Mudatton main to humnay unhai dil main uttara hai 


Aap millay hain itnay khaloos say hum par gai soch main 
Yeh hai meri ankhoon ka dhokka ya waqai koi hamara hai

Aankon me itne ask they k chupa bhi na pae

Aankon me itne ask they k chupa bhi na pae , 
koshish to boht ki magar usay bula bhi na paya; 

sanson ki dor jurhi thi kuch isterha se us se, 
k chah ker bhi usay me kabhi tor na paya; 

anaa k hathon kuch majboor hue me itna, 
k chah ker bhi me usay kabhi chah na paya; 

dil ne to boht chaha usey magar, 
khuda se mang ker bhi me usay mang na paya; 

us se to door ho gaya umer bhar k liye magar, 
dil se kabhi me usay utaar na paya; 

aankho me itne sapne sajaay thae kabhi, 
k chah ker bhi usko me kabhi mita na paya; 

dil ki diwaron per naam uska jara hai kuch isterha se, 
k chah ker bhi wakt ki dhool usay kabhi bhar na paya

Pehli pehli muhabbaton ka humaar

Pehli pehli muhabbaton ka humaar
baaton baaton me raat dhal jaaye

ab k dil me wo dard utra ha
gair mumkin ha aajkal jaaye

zindagi khush ha ter waadon per
jaise bache ka dil behel jaaye

hijr ki raat dhal gai "mohsin"
ab to dil se kaho sambhal jaaye ..

Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana

Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana 
Sirf Ahsaan Jataane ke Liye Mat Mana 

Maine Palkon Pe Tamannaen Saja Rakhi Hain 
Dil Par Umeed ki 100 Rasmen Jala Rakhi Hain 
Ye Hanseen Shamen Bujhaane ke Liye Mat Aana 

Pyar ki Aag Main Zanjeer Pighal Sakti Hai 
Chahne Walon ki Takdeer Badal Sakti Hai 
Hoon Bebas Ye Batane ke Liye Mat Aana 

Mujhse Milne ki Agar Tumko Nahi Chahat koi 
Tum Sirf Rasmen Nibhane ke Liye Mat Aana

Fursatoon main phir milna Beshumar batain hain

Fursatoon main phir milna 
Beshumar batain hain 
Jo tumhain batana hain 
Aur tum ko jana he 
Is tarhan ki BAtain to fursatoon main hoti hain 
Fursatoon main phir milna 

Tum ko kia batain hum 
Aur kia chupain hum 
BAat chund lafzoon main 
Ye khatam nahi hogi 
Dastaan-e-gham hai ye 
Jitna muqtasir kerlo 
Itne kum nahi hogi 

khuwab kaise hote hain 
Inko kaise bunte hain 
zindagi ke naqshe main 
rang kaise bherte hain 
Roozo shab khayaloon main 
kis tarhan guzertay hain 
aur phir lamhoon main............ 
Rang kion bikhertay hain 
khwab kaise mertay hain 
rooh se siwa hoker 
jaan o dil juda hoker 
saans kaise laite hain 
choor hoke zakhmoon se 
kaise muskurate hain 
zindagi bina marzi 
kis tarhan bitate hain 
Is tarhan ki batain to 
fursaatoon main hoti hain 
aur tum ko jaldi he 
fursatoon main phir milna

Tanha aesh kay khawab na bun

Tanha aesh kay khawab na bun
Kabhi humari bat bhi Sun
Thora ghum bhi utha piyare
Phool chune hain Khar bhi chun
Sukh ke Neendain Sone wale
Mehroomi kay rag bhi sun

Tanhai main teri yad
Jese aik sureli dhun
Jese chand ke thandi loo
Jese kiranoun ke gun mun
Jese jal pariyoun ka nach
Jese payal ke jhun jhun

Agar har chehre mein usika chehra nazar aata hain


Agar har chehre mein usika chehra nazar aata hain 
agar har baato par uski naam lete hain 
agar ise pyar kehte hain toh haan 
maine bhi kissi se pyar kiya tha.. 

agar kisike inthzaar karne mein samay nahin dykte 
agar vuski aane par dil jhoom uttha hain 
agar ise pyar kehte hain toh haan 
maine bhi kissi se pyar kiya tha.. 

agar kisike dhoor jane ke baadh unki yaad satati hain 
agar sab ke saat rehte huye bhi akele mehsoos kartein hain 
agar ise pyar kehte hain toh haan 
mane bhi kissi se pyar kiya tah.. 

khud mein khud baatein karna 
har pyarisi gaane par sirf hum donoka nazar aana 
agar ise pyar kehte hain toh haan 
Maine bhi kissi se pyar kiyahaah... 

agar uski dil mein pyar ki koyi jaga nahin 
phir bhi uski pyar ki intzaar karna 
agar ise pyar kehte hain to haan 
Maine bhi kissi se pyar kiya tha...

Hum nazuk nazuk dil waley

Hum nazuk nazuk dil waley, 
kabhi hanstey hein kabhi rotey hien, 
kabhi dil mein khawab protey hein, 
kabhi mehfil mehfil phirtey hein, 
kabhi zaat mein tanha hotey hien, 
kabhi chup ke mohar sajate hein, 
kabhi geet labon par hotey hien, 
kabh zaat mein tanha hotey hein, 
kabhi sub ka dil behlatey hien, 
kabhi shab bhar jagtey rehtey hein, 
kabhi lambi taan kar sotey hein, 
hum kahan kisi ka hotey hein, 
HUM NAZUK NAZUK DIL WALEY.

Aisi Hi Sard Shaam Thi Voh Bhi


Aisi Hi Sard Shaam Thi Voh Bhi 
Jab Voh Mahandii Rachaaye Haathon Mein 
Apani Aahat Key Khauf Sey Larazaan 
Surkh Aanchal Meen Muunh Chupaaye Hue 
Apaney Khat Mujh Sey Leney Aai Thi 
Us Ki Sehemi Hui Nigaahon Mein 
Kitni Khaamosh Iltijaayen Theen 
Us Key Chehrey Ki Zard Rangat Mein 
Kitni Majbuuriyon Key Saaye They 
Merey Haathon Sey Khat Pakadatey Hi 
Jaaney Kya Soch Kar Achaanak Voh 
Mera Shaana Pakad Kar Roi Thi 
Us Key Yaaquut Rang Honton Key 
Kap-Kapaatey Huey Kinaaron Per 
Sainkdon An-Kahey Fasaaney They 
Sard Shaamon Mein Der Tak Aksar 
Jab Yeh Manzar Dikhaai Deta Hai 
Ek Lamha Hinaai Haathon Sey 
Mujh Ko Apani Taraf Bulaata Hai 
Hum-Nashiin Ruuth Kar Na Jaa Mujh Sey 
Aisi Hi Sard Shaam Thi Voh Bhi

wo sadaa yaad aaye bhulaane ke baad

wo sadaa yaad aaye bhulaane ke baad 
zindagii badh gaii zahar khaane ke baad 

dil sulagataa rahaa aashiyaane ke baad 
aag thandii huii ik zamaane ke baad 

raushanii ke liye ghar jalaanaa padaa 
kaisii zulmat badhii tere jaane ke baad 

jab na kuchh ban padaa arz-e-gam kaa javaab 
vo khafaa ho gaye muskuraane ke baad 

dushmanoun se pasheman honaa padaa hai 
dostoun kaa khuluus aazamaane ke baad 

bakhsh de yaa rab ahal-e-havas ko bahisht 
mujh ko kyaa chaahiye tum ko paane ke baad 

kaise kaise gile yaad aaye 
un ke aane se qabl un ke jaane ke baad

Hum ne to khair tujh se shikayat kabhi na ki

Hum ne to khair tujh se shikayat kabhi na ki
Aisa nahin k dil nay baghavat kabhi na ki

Kis haal main hain tere satay huay ghereeb
Tu nay yeh poochnay ke zehmat kabhi na ki

Mehsoos kia keray ga wo auron k derd ko
Jis nay khud apnay aap say ulfat kabhi na ki

Chaha hai main jis ko bari shidaton k sath 
Oss terha say us nay mujh say mohabbat kabhi na ki

Her dastan teri bohut ghor say suni
Lakin bayan apni hakayat kabhi na ki

AIk khuab tha k apni shabon per raha muheet
Kiya khuab tha? kisi say wazahat kabhi na ki

Aik aag thi k jaltay rahay jis main umer bher
Aik dard tha k jis main khayanat kabhi na ki~!!

kabhi jo mujh ko talaash kerna

kabhi jo mujh ko talaash kerna 
tou chand raaton ki chandni main 
Gul-e-chaman say sawal kerna 
udaas kiun ho?? 
kiun oos-Qatron main apnay aanso 
chupaa rehay hoo 
haseen mousam main kis ki yadoon main 
apnay dil ko jala rehay hoo 
Gul-e-chaman yeh sawal sun ker 
tumhari aamad ka haal sun ker 
kehay ga tum jis ko khoojtay hoo 
woo in baharoon ki sari khushboo 
churaa kay abb ik nay chaman main 
Mehek raha hay 
udaas ker kay yahan pay hum ko 
kisi chaman main chehek raha hay 
Gul-e-chaman ka yeh haal sun ker 
tumhain lagay ga main baywafa hoon 
udaas kalioon ko choor ker main 
nai baharoon ko dhoondta hoon 
mager haqeeqat main is chaman kay 
tamaam phoolon ki khwahishon kaa 
aur in ki nakkam kavishoon ka 
haseen mousam ki barishoon ka 
naa meray dil per aser hoa tha 
naa meray dil per aser hoa hay 
main aaj bhi ik nay chaman main 
puranay qissay suna reha hoon 
joo mere chahat ka devtaa tha 
abhi bhi us ko hi poojta hoon 
yaqeen nahi tou palat kay dekho 
waheen khara tha,waheen khara hoon

Andheri raat main shama jalana bhool jatay ho

Andheri raat main shama jalana bhool jatay ho 
Hamari yaad aati hai bhulana bhool jatay ho 

Jo ahsan tum samajhte ho wo ahsan to nahi mugar 
Jab ahsan karte ho jatana bhool jatay ho 

Tumhari ik yehi adut pereshan hum ko rakhti hai 
Nazar main to aajate ho samana bhool jate ho 

Hamain mehsoos hota hai hamare qurb main aakar 
Jo tanhai main beeti hai sunana bhool jate ho 

Tumhare haath main aksar gulabi phool hota hai 
Hamari rah main lekin bichana bhool jate ho 

Tumhain to laut kar janay ki aksar fikar rehti hai 
Magur jab laut jatay ho to ana bhool jate ho 

Suna hai tum apni hatheli per hamara nam likhte ho 
Magar jab hum say milte ho dikhana bhool jate ho

Nahi hikayat muhabbaton ki Shikayatoon ki

Nahi hikayat muhabbaton ki 
Shikayatoon ki 
Bhujhe bhuje se haroof le kar 
Kohar mein doobi seyyahoon ki 
Warq warq per utaarna hai 
Udaas shamoo ke phool chun kar 

Suno December 
Ussay pukaaro 
Ussay bulaaoo 
Suno December ... Ussay mila do 
Ab is se pehlay ke saans niklay 
Ab is se pehlay ke saal guzray 
Wohi lakeerain wohi sitaara 
Meri lakeeroon mein qaid kar do 
Ya aakhri shab ke aakhri pal 
Koi bara ikhtitaam kar do 
Yeh zindagi bhi tamaam kar do 
Suno December ... Ussay mila do...

Hajoom-e-ghum say jis dam aadmi ghabra sa jata hai

Hajoom-e-ghum say jis dam aadmi ghabra sa jata hai
to aisay main
usay awaz pay qaboo nahi rehta
wo itnay say faryaad karta hai, cheekhta aur bilbilata hai
kay jaisay wo zameen par aur Khuda ho aasmanoon main
magar aisa bhi hota hai
keh uski cheekh ki awaz kay ruknay say pehlay hi
Khuda kuch is qadar nazdeek say aur is qadar
rehmat bhari muskaan say usko thapakta aur us ki baat sunta hai
keh faryadi ko apni cheekh ki shid'dat
sada ki baiyaqeeni par nadamat honay lagti hai~!!

hamara kyaa hai keh hum tou charagh-e-shab ki tarah

hamara kyaa hai keh hum tou charagh-e-shab ki tarah
agar jalay bhii tou bus itni roshnii hogi
keh jaisay tund andhairon kii raah main jugnoo
zara sii dair ko chamkay chamak kay khoo jaye
phir uss kay baad kisi ko na kuch sujhayee day
na shab katay na suragh-e-sehar dikhayee day

hamara kyaa hai keh hum tou pas-e-ghubaar-e-safar
agar chalay bhi tou bas itnii raah tay hog
keh jaisay taiz hawaon kii zad main naqsh-e-qadam
zara sii dair k ubhray ubhar kay mit jaaye
phir uss kay baad na rastaa na rah-guzar milay
had-e-nigah talak dasht-e-bekinaar milay

hamarii simt na dekho keh koii dair main hum
qabeela-e-dil-o-jaan say bicharrnay waalay hain
basay basaaye howay shehar apnii ankhon kay
misal-e-khaanaa-e-veeraan ujarrrnay walay hain
hawa kaa shor yehii hai tou dekhtay rehnaa
hamarii umar kay khaimay ukharrnay walay hain

Khuub pahachaan lo asrar huu.N mai.n

Khuub pahachaan lo asrar huu.N mai.n 
jins-e-ulfat kaa talab_gaar huu.N mai.n 

ishq hii ishq hai duniyaa merii 
fitanaa-e-aql se bezaar huu.N mai.n 

chhe.Datii hai jise mizaraab-e-alam 
saaz-e-fitarat kaa vahii taar huu.N mai.n 

aib jo haafiz-o-Khayyaam me.n thaa 
haa.N kuchh is kaa bhii gunah_gaar huu.N mai.n 

zindagii kyaa hai gunaah-e-aadam 
zindagii hai to gunah_gaar huu.N mai.n 

merii baato.n me.n masiihaa_ii hai 
log kahate hai.n ki biimaar huu.N mai.n 

ek lapakataa huaa sholaa huu.N mai.n 
ek chalatii hu_ii talavaar huu.N mai.n

mile kaise sadyoon ki pyass aur pani zara phir se kehna

mile kaise sadyoon ki pyass aur pani zara phir se kehna 
bari dilruba hai ye sari kahani zara phir se kehna  

kahan se chala tha judai ka saya nahi dekh paya 
ke raste me thi ansoon ki rawani zara phir se kehna  

hwa tu khabar ye sunati rahe aur me sunta rahoon 
ke badalne ko hai ab ye mausam khizani zara phir se kehna  

mukar jane wala zindagi me khushi phir na paye 
yunhi khatam karlein chalo ye kahani zara phir se kehna  

same ke samandar kha tune jobhi suna per na samjhe 
JAWANI ki naddi me tha teez pani zara phir se kehna

Kuch aesey log jo zehan sey bhulaaey nahi jaatey

Kuch aesey log jo zehan sey bhulaaey nahi jaatey 
kuch aesey lamhey jo dil sey mitaatey nahi jaatey 

dard ki chaadreiN meri ghazloN ko dhaaNp leti heiN 
mujh sey sheiroN meiN naey rang dikhaey nahi jatey 

be’basi barrh ke meri aaNkhoN meiN utar aati hey 
meri haNsi sey merey aaNsu chupaaey nahi jaatey 

teri tehreeroN sey aati hey terey haathoN ki mehak 
be’wafaa mujh sey terey khat jalaaey nahi jaatey 

wafaa ki raahoN meiN bujhney ke baad ye jaana hey 
sar-e-hawa deeye mohabbat ke sajaey nahi jaatey 

aey merey Khuda taqdeer ko itna to batayaa hota 
dukhoN ke pahaarr insaanoN pe giraaey nahi jaatey

Wo Lamhay Soch Kee Dahleez Pay Tahray Hoyee hain

Wo Lamhay 
Soch Kee Dahleez Pay Tahray Hoyee hain 
December Kay Mahinay Main 
Hazaroon Saal Pahlay Jab... 
Teray Waday Kay Honatoon Nay!! 
Meri Ankhoon Say Behtee Zindagi Kay Hanth Choomay Thay 
Meri Bayrang Batoon Kay Kinaray 
Tum Nay Kwabon Kay Sahary Aur Ashkon Kay Sitaray Rakh Diyee Thay......... 
Aur !!! 
Hawa Koo Apnee Cahat Kee Hifazat Kaa Ishara Kar Diya Thaa 
Hawa Kee Khunkiyon Main Abb Bhee Teri Naram Batain 
Ahatoon Kaa Jaal Buntee Hian 
Samauat Aab Bhee Teray Qahqahon Kaa Shoor Suntee Hay 
Khayal Aab Tak Tumhari Ungliyon Say 
Meray Dil Kay Surkh Ansoo Pochta Hay 
Nigahain Baraf Kay Phelay chamaktay Kenwas Par Jaa-Bajaa 
Teri Rifaqat Kee Zarorat Paint Kartee Hay 
Tehtartay Paniyon Kay Tan Pay Bikhree Dhoop....... 
Tera Baigar Rotee Hay 
Kahan Hotee Hay Too....... 
Muhabat Kee Sulagtee Rahguzar Kay Kinaray Pay 
~~**December Aab Bhe Tera Muntazir Hay**~~

shaam-e- tanhiyee aaye tum na aaye

shaam-e- tanhiyee aaye tum na aaye, 
phir howa teez chalee phir dil bhar aaye, 
aksar tanhayee mian sochta hoon jaise, 
koyee dil mian rah gya hoo koyee dard ban gya hoo, 
phir tum yaad aate hoo phir mughe rulate hoo, 
phir tum na jany kahan kho gyee thee , 
mere dil rog ban kar rah gye thee, 
tum nay bhuladya sadyoon ka safar chand he lamhoon mian, 
tum nay gira dya hum koo hee apni nazroon mian.

Humari ankh mea pani bohat hai


Humari ankh mea pani bohat hai 
k is darya mea tagyani bohat hai  

ujar k bhi nahi bhola yeh tujh ko 
humain is dil par herani bohat hai  

suna hai k besabab hum se bechar kar 
tujhay ahsasay nadani bohat hai  

najanay koon se khobhi hai tujh mea 
k dunya teri deyani bhi bohat hai  

mohabbat soch kar karna k is mea 
sakhoon kam hai pareshani bohat hai  

falakh par bhi tujay dhunda hai humnay 
zameh ke khak bhi chani bohathai

khuwab bhee ik musafir kee tarah hotay hain

khuwab bhee ik musafir kee tarah hotay hain
rang kee mauj main,khuhsboo keh asar main rehna
un kee adat hee nahin
ik jagah peh rukna
un kee qismat nahin
ik nagr main rehna
hum bhee ik khuwaab hain ay jaa.n! teri ankhon main
saya-e-abr tawajja keh guman main rakhna
un kee taaq se hum ko na hattana jab tak
rat keh baam peh taaron ke diye jaltay rehain
daikhna hum ko,daikhtay jaana jab tak
hum teri ankh kee wadi main safr kertay rehain
khuwab ka shoq yehi,khuwab kee qismat yehi
halqa raig rawan,gard-e-safr main rehna
rang kee mauj main,khuhsboo keh asar main rehna
na koi shoq-e-safr hay na koi talash khushboo
teri ankh main jalain aur inhi main bujh jayen
chashm dar chashm nahin hum ko safr main rehna
hum ko hay teri nazar main rehna~

Andhairi raah-guzaaroN maiN


Andhairi raah-guzaaroN maiN 
sitaarey ham ko mil jaatey 
kinaarey ham ko mil jaatey 
hazaaroN rang JeewaN maiN 
mehektay khilkhilaa uth'tay 
sabi shaa'maiN mehek uth'teeN 
sabi subhai'n chamak jaateeN 
meiN iss kam'zarf duniyaa say 
kinaara kar kay chal parta 
bina daikhay binaa samjhay 
maiN uss kay saath chal parta 
magar ye tab hi ho pataa..... 

agar woo saath day daitaa..!!!

bas ik jhijhak hai yahii haal-e-dil sunaane mein

bas ik jhijhak hai yahii haal-e-dil sunaane mein 
ki teraa zikr bhii aayegaa is fasaane mein 


baras parii thii jo ruKh se naqaab uThaane mein 
vo chaandanii hai abhii tak mere Gariib-Khaane mein 


isii mein ishq kii qismat badal bhii sakatii thii 
jo vaqt biit gayaa mujh ko aazamaane mein 

ye kah ke TuuT paraa shaaKh-e-gul se aaKhirii phuul 
ab aur der hai kitanii bahaar aane mein

main jab doob ke likhta hoon

main jab doob ke likhta hoon 
sab loog mujh se ye kehtay hain 
nazmoon se ishq khuda jaisa 
ghazloon main kaif udasi ka 
kis dost nay tum ko soompa hai 
mera ik jawab humesha hai 
ik shaks jo sher main aaya tha 
kuch rooz wo mere sath raha 
mujhe lehjay ki amrat ras main 
us nay kuch aisa rang dia 
her nazuk dil mooh lenay ka 
mere lafzoon ko aahang dia 
phir soch ke tanay banay main 
uljha ker mujh ko choor gia 
kuch din se us ki yaad yoon hi 
is dil pe dastak deti hai 
aur paoon main zanjeer pari 
kab hum ko janay deti hai 
kab dil main us ki aas nahi 
ye baat alag wo pass nahi

Naraaz Hoon Hum Se

Naraaz Hoon Hum Se?

Magar Hum Vo Hain Jin Ko To Manaana b Nahi Aata
Kisi Ne Aaj Tak Hum Se Muhabbat Jo Nahi Ki Hay

Muhabbat Kis Tarah Hotii Hay?

Hamary Shehar k Atraaf Mein To
Sakht Pehra Tha Khizaon Ka
Aur Iss Shehar-e-Preshan Ki Faseelein
Zard Bailoon Se Ladi Thin
Aur Un Mein Na Khushboo Thi,Na Koi Phool Tum Jaisa
Mehak Uthtey Hamary Deeda-o-Dil Jis Ki Qurbat Se
Hum Aisy Shehar Ki Sunsaan Galioon Mein
Kisi Sookhy Hoye Veeran Pattay Ki Tarah Se Thy
k Jab Zalim Hawa Hum Per Qadam Rakhti
To Uss k Paaon k Neechay Hamara Dam Nikal Jata
Magar Pat Jharr Ka Vo Mousam
Suna Hay Tal Chuka Ab To
Magar Jo Haar Hona Thi
So Vo To Ho Chukii Hum Ko

Suno.....

Haaray Hoye Logoon Se To Rootha Nahi Karty...!!!

phirate hain kab se darbadar, ab is nagar ab us nagar

phirate hain kab se darbadar, ab is nagar ab us nagar 
ek duusare ke ham_safar, main aur merii aavaaragii 
naa aashanaa har rah_guzar, naa mehar_baaN hai ek nazar 
jaayen to ab jaayen kidhar, main aur merii aavaaragii 

ham bhii kabhii aabaad the aise kahaaN bar_baad thay 
bifikr the aazaad the masaruur the dil_shaad thay 
vo chaal aisi chal gayaa ham bujh gaye dil jal gayaa 
nikale jalaa ke apanaa ghar main aur merii aavaaragii 

vo maah-e-vash vo maah-e-ruuh vo maah-e-kaamil huubahuu 
thiin jis kii baaten kuu_ba_kuu us se ajab thii guftaguu 
phir yuuN huaa vo kho gaii aur mujh ko zid sii ho gaii 
laayenge us ko DhuuND kar main aur merii aavaaragii 

ye dil hii thaa jo sah gayaa, wo baat aisii kah gayaa 
kahane ko phir kyaa rah gayaa ashkon kaa dariyaa bah gayaa 
jab kah kar wo dil_bar gayaa, teere liye main mar gayaa 
rote hain us ko raat bhar, main aur merii aavaaragii 

ab Gam utahaayen kis liye, ye dil jalaayen kis liye 
aaNsuu bahaayen kis liye, yuuN jaaN gavaayen kis liye 
peshaa na ho jis kaa sitam, DhuuNdenge ab aisaa sanam 
honge kahiin to kaar_gar, main aur merii aavaaragii 

aasaar hain sab khoT ke, imkaan hain sab *** ke 
ghar band hain sab koT ke, ab Khatm hai sab ToTake. 
qismat kaa sab ye khel hai, andher hii andher hai 
aise hue hain be_asar, main aur merii aavaaragii 

jab ham_dam-o-ham_raaz thaa, tab aur hii andaaz thaa 
ab soz hai tab saaz thaa, ab sharm hai tab naaz thaa 
ab mujh se ho to ho bhii kyaa, hai saath vo to vo bhii kyaa 
ek behunar ek besabar, main aur merii avragiiiii

sham ki haweli main subah k mehakney ki

sham ki haweli main
subah k mehakney ki, bay yaqeen si baten
kuch azab mazi k
guftagoo ka hisa thay
kuch sawal KHWABON k
kuch KHWAB ankhon nay
mushtarik say jazbon k 
aa'inon main dekhey thay
a'inay tu suchey thay

aur wo mulaqaten
char chhe mulaqaten
jin main teri baton ki barishon k mosam nay
jitnay jhoot boley thay
sham ki haweli main 
jitnay zehar gholey thay

tera bay wafa lehja dheyan main jub aata hay
tub sawal kerti hain
meri umer ki raten
ik baras k arsey main
char chhe mulaqaten~!!

Jo baat nahi kertay un boltay rangoon main


Jo baat nahi kertay 
un boltay rangoon main 
main nay tumhain socha hai 
jo dil se guzartay hain 
un ajnabi rastoon main 
main nay tumhain dekha hai 

kehnay ke liye tum se 
batain too bohat se hain 
ilfaz nahi miltay 
jo meri nazar main hain 
is sher ke baghoon main 
wo phool nahi khiltay 

main nay tumhain jana hai 
izhar ke rishtoon se 
is tarah juda ho ke 
jis tarah koi banda 
dharti pe nazar dalay 
ik baar Khuda ho ke

Tumhein waapis bulaati hain Hum apne aap ko


Tumhein waapis bulaati hain
Hum apne aap ko
Patthar anaa ke khauf se
Jitna bazaahir pur-sukoon rehne ke aadat daal lain
Per hijer ki bechain yakh basta hawa se
Raakh mein dhalti tamannayain bhi
Aakhir kap'kapaati hain
Sadaayain lar'kharaati hain
Tumhein maloom tu hoga
Ke katchi umer ki chaahat
Hazaroon saal bhi dil se kisi ghehre samundar mein 
Rahay paband per
Phir bhi kabhi marti nahee
Mein ne bahut arsa tumhein
Yaadoon, khayaloon aur khwaboon ki 
Nigahoon se kiya oujhal
Magar janaan ... !
Mein apne aap se ab larte larte thak gaya hoon
Aur
Akele pan ke weeraan shehar mein jab shaam dhalti hai
Tu muddat se thaki haari wafaayain
Saug mein doobe huwe kuch geet gaati hain
Tumhein waapis bulaati hain...

Mila Jo Teri Mohabbat Mein Woh Ghum Seh Na Sakay

Mila Jo Teri Mohabbat Mein Woh Ghum Seh Na Sakay
Door Reh Kay Bhi Tujh Say Dhoor Maghar Reh Na Sakay 

Hum Apnay Ghaam Ki Kahani Sunaa Nay Aayeh Thay
Sunee Jo Tairee Kahani Tho Apni Keh Na Sakay 

Tumharay Pyaar Mein Marna Tu Bohat Dhoor Ki Baat 
Tairay Ashkoon Ke Samandar Mein Bhi Hum Beh Na Sakay 

Dil Nay Chaha Kay Tumhain Pyaar Ka Izhaar Karoon
Zaaban Pay Ayee Huee Baat Maghar Keh Na Sakay 

Tumharee Bazam Mein Haalaat Hi Kuch Aisay Tay Kay 
Na Hum Bol Sakay Aur Chup Bhi Reh Na Sakay

Wo saari baatein khaab huien

Wo saari baatein khaab huien 
Aur khaab se phir azaab huien 
Jub tum ko saba ke jhonkay se 
Paigham hamara milta tha 
Jub meri aik nazer se hee 
Chehra ye tumhara khilta tha 
Kuch yaad sa tum ko hai janan 
Jub phone ki aadat roz ki thi 
Kuch daer jo mujh ko ho jati 
Tum ghanton rootha kertay thay 
Kabhi geeton ki kabhi sheron ki 
Tum khawahish mujh se kertay thay 
Kabhi pyar tha meri baton se 
Meray chehre se meri aankhon se 
Aur jhank ke meri aankhon mey 
Tum khud ko dhonda kertay tha 
Ak doo din dekh na pao tow 
Tum bekul bekul rehtay thay 
Aur ab tow aisa aalam hai 
Koi chahat hai na ulfat hai 
Kya pyar mohabbat aur wafa 
Is zikr se tum ko vehshat hai 
Mein laakh tussalli khud ko doun 
Keh ab bhi teri khawahish hon 
Anjaan bazahir lagtay ho 
Mein ab bhi tera mehvar hon 
Per dhoka aakhir dhoka hai 
Kab tuk dil ko behlaye ga 
Doo pal ki khushiyan de ker ye 
Mujhe sadiyan lahu rulaye ga 
Kion tum taqdeer se larti ho 
Kion khud ko dhoka deity ho 
Khabon ke tukre chun ke ab 
Kion khud ko ghayal kerti ho 
Ye baat tumhein maloom tow hai 
Kab beiti yadein lauti hai 
Jo baatein khawab si ho jayein 
Wo baatein khawab hee rehti hain

kholo kholo apni ankhen aur gor se suno

kholo kholo apni ankhen aur gor se suno
dene ko to bohat kuch hai par apna sa kuch dena chahti hon
aik boond suraj ki
aik qatra aasman ka
koyal ki adhi kook
aur kuch sapne jagmagate
acha lage to aur mango dena ko to bohat kuch hai
par apna sa kuch dena chahti hon
aasman sa aaieena
aik dibbi titliyon ki
aik chamach nadi ki dhar
aur aik muthi zindagi
acha lage to aur mango dene ko to bohat kuch hai
par apna sab kuch dena chahti hon

justajuu khoye huon kii umr bhar karate rahe

justajuu khoye huon kii umr bhar karate rahe 
chaand ke ham_raah ham har shab safar karate rahe 

raaston kaa ilm thaa ham ko na simton kii Khabar 
shahar-e-naamaaluum kii chaahat magar karate rahe 

ham ne Khud se bhii chhupaayaa aur saare shahar se 
tere jaane kii Khabar dar-o-divaar karate rahe 

vo na aayegaa hamen maaluum thaa us shaam bhii 
intazaar us ka magar kuchh soch kar karate rahe 

aaj aayaa hai hamen bhii un uraanon kaa Khayaal 
jin ko tere zaum mein be-baal-o-par karate rahe

Chalo ye raat ham ik dosray ke naam kartay hain


Chalo ye raat ham ik dosray ke naam kartay hain,
Chalo ik dosray ke aj ham dukh dard suntay hain,
Bhataktay ho kiun tum tanha sitaron ke jhamelon men,
kaho jo dil men aata hay hamatan gosh sunte hain,
Buhat ghamgen rehtay ho hazaron dard sehtay ho, 
tumhari dharkanon men ik ajab sa shor suntay hain,
Chalo acha yon kartay hain,
Suno tum ham sunatay hain,
Ham apnay dil k har ik zakhm se parda uthatay hain,
Dikhatay hain tumhen tanhiyan kia zulm dhati hain,
Jhalak har pal daro dewar men uski dikhati hain,
Hamen har pal satati hain har ik lamha rulati hain,
Hamri sanson men tehlil hay khushbo wohi ab tak,
Hamen har phol se mehkar un sanson ki ati hay,
Buhat mushkil si hoti ja rahi hay zindagi mere,
Taraptay hain sulagtay hain magar khamosh rehtay hain,
Chalo ye rat ham ik dosray ke naam kartay hain,
Chalo ik dosray ki aj ham tanhaiyan banten~!!

Popular Posts