khuwab bhee ik musafir kee tarah hotay hain
rang kee mauj main,khuhsboo keh asar main rehna
un kee adat hee nahin
ik jagah peh rukna
un kee qismat nahin
ik nagr main rehna
hum bhee ik khuwaab hain ay jaa.n! teri ankhon main
saya-e-abr tawajja keh guman main rakhna
un kee taaq se hum ko na hattana jab tak
rat keh baam peh taaron ke diye jaltay rehain
daikhna hum ko,daikhtay jaana jab tak
hum teri ankh kee wadi main safr kertay rehain
khuwab ka shoq yehi,khuwab kee qismat yehi
halqa raig rawan,gard-e-safr main rehna
rang kee mauj main,khuhsboo keh asar main rehna
na koi shoq-e-safr hay na koi talash khushboo
teri ankh main jalain aur inhi main bujh jayen
chashm dar chashm nahin hum ko safr main rehna
hum ko hay teri nazar main rehna~
No comments:
Post a Comment