main sochta hoon kuch uss se kahoon
koyee baat mohabat ulfat ki
koyee baat sunehrey khabon ki
koyee baat ke jiss ki rag rag se
bay-nam si khushbu poot-thi ho
pir sochta hoon kya hasil hai
gar uss ko sab kuch keh be diya
ye lafz hakarat jayengey
mai sochta hoon aik geet likoon
unn komal pyarey hathon par
uss poolon waley anchal par
jisey oorh ke wo ik pari lagey
kabi sochta hoon koyee nazm kahoon
bas jiss mai uss ki baten hon
unn gehri gehri ankon par
jin ankon mai kayee sadiyon ke
kayi qisey hain afsaney hain
pir aksar yooun be sochta hoon
mai kuch na kahoon ye behtar hai
har zakham chupa kar seeney mai
bas dukh he sahoon ye behtar hai
jahan lafz yaqeen se khali hon
wahan chup he rahoon ye behter hai
No comments:
Post a Comment