Monday, June 7, 2010

Judayi deney walay tum se umeed-e-wafa kaisi


Judayi deney walay tum se umeed-e-wafa kaisi
Ta'alluq toot jaye jab
Mohabbat rooth jaaye jab
Tu phir rasm-e-dua kaisi
Millan ki iltijaa kaisi
Bhanwar mein dolti kashti pe saahil ki tamanna kya
Ukhartey saans hoon tao zindagi ki aarzoo bhi kya
Jo manzil kho chuki ho us ki phir se justujoo bhi kyon
Razaye dost per acha sar-e-tasleem kham karna
Sisakney se yehi behtur hai naumeed hi marna
Magar dil ne tumhien kis waastay se yaad rakha hai
Tumhein kyon shaayiri mein aaj tak abaad rakha hai
Abhi tuk main ne kyon khud ko bahut barbaad rakha hai
Hawa ke dosh per kyon naghma-e-fareyaad rakha hai
Judayi deney walay aashnaii ki qasam tum ko
Tumhari bewafai, kaj addaii ki qasam tum ko
Mujhe itna bata dena..........
Wafa ki chaahatoon ki masha'llain kaise bhujaatay hain
Nishaan kaise mitaatay hain
Bholaana ho jinhain unko bhala kaise bhulaatay hain... !!!

No comments:

Popular Posts