Monday, April 19, 2010

Koi BeNaam Si Wehshat

Kabhi Aisa Bhe Hota Hai
Koi Benaam si Wehshat Mujhe Yoon Ghair Leti Hai
Her Ik Shey Zehar Lagti Hai
Koi Chehra,Koi Paikar Mujhey Acha Nahi Lagta
Nihayat Dilruba, Behad Hasee'n, Rangeen Qurbat Bhe
Mujhe Be-Kaif Kerti Hai
Mujhe Apni Pasandeeda Se Sorat Bhe
Pheeki Pheeki Lagti Hai
Tanaazur He Badal Jata Hai
Meri Khush Nigaahi,Khush Mizaaji Ka
Mere Sun'ny, Mere Chakhney
Mere Mehsoos Kerne Ki
Her Ik HISS Mar Se Jati Hai
Bohet Maqbool Meri Khush Kalami Bhe
Nihaayet Be-Russ, Majhool Lehja Ourh Leti Hai

Pasandeeda Mera Mashroob
Yani Aab-e-Sard-o-Sada-o-Sheeree'n Bhe
Sairaabi Nahi Deta
Zaroof-e-KhushNuma Me Bhaap Dete
Meri Maa'n k Mehrbaa'n
Or Taaq Hathoon Se Bane
Lazzat Bharey Khaanoon Ki Rughbat
Uth Se Jati Hai
Kisi K Dast-e-Nazuk Se Bani Strong Coffee Bhe
Mujhe Apne Anaari Haath Ki Chaye Si Lagti Hai

Ajab Siffaaq Wehshat Hai
Mere Dil Ki Lughat Se
Lafz "KHUSH" k Jitne Bhe Hein
Laahqey or Saabqey, Sab Cheen Leti Hai
Me Is Wehshat Se Ghabra Ker
Nishaat-e-Shair-o-Naghma Me Panaah Lene Ko Aata Hoon
Mager Ik Be-Kali
Ik Jaan Lewa Be-Kali Dasti He Rehti Hai

Nihayat Sada-o-PurKaar Lehjey Me
Bahattar "Meer" K Nishtar
Wo Dil Sozi Alamna Ki
Musalsal Aah-o-Garyaa
Yaas-o-Harmaa'n
Kuch Bhe To Maail Nahi Kerte
Meri Wehshat K Qaatil Zehr Ko Zaail Nahi Kerte

Mujhey "GHALIB" Ki Umda Shairy
Bharpoor Shookhi, DilNawazi
Falsafa, Gehraai Sab Be-Maani Lagtey Hein

Taajub Hai K "HASRAT" Ka Bohet Dilkash Tanzzul Bhe
Mere Dil Ko Nahi Chu'ta
"JIGAR" Ki Ishq Me Dobi Tarannum Raiz Ghazlein Bhe
Muhabat Ka Nasha Taari Nahi Kertien
"MAJAAZ-E-LAKHNAWI" Ki Shohra-e-Aafaaq AWAARA
Meri Wehshat K AatishDaa'n Me Eindhan Sa Bharti Hai
Mujhe "SAAHIR" Ki Dil Ko Aanch Deti Shairy
BeZaar Kerti Hai
Humarey "FAIZ SAHAB" k Bohet Madham Sulagtey Narm Lehje Ki Kasak
Yoon-he Si Lagti Hai

"Majeed Amjad" k Misroon ka Tasalsul
Munfarid Mozoo, Kamaal-e-Nazm Goi Or Taasur
Mujh Pe Koi Kaifiyat Taari Nahi Kertey

Me Apne Dil Se Aksar Pochta Hoon
Ay Dil-e-Wehshi
Ye Aalam Kese Aalam Hai
Ye Wehshat Kesi Wehshat Hai
Mujhhey Kion Gheir Leti Hai
Badan Me Goonjti, Mere Laho Me Sansanaati Hai
Ye Wehshat Kesi Wehshat Hai
Kahaan Se Ho k Aati Hai
Ye Kis Rehlat Ka Nooha Hai
Ye Kis Hasrat Ka Haasil Hai

Guzishta Shab Yehi Wehshat
Mere Dil Per Mussalat Thi
Musalsal Karwatein Thein, Jaan Lewa Be-Kali Si Thi
Achanak Dil Ki Be Tarteeb Dharkan Ne
Sakoot-e-Shab ko Yoon Tora
"Suno Haarey Howe Insaa'n !
Bhala kab Tak Tumhari Khud Faraibi
Tum Ko Is Wehshat Me Rakhey Gi
Jinhein Tum Zindagi Se Be-Dakhal Ker K
Bazaahir Faatihana Shaan Se Itraatey Phirty Ho
Abhi Tak Zehan-o-Dil Per
Rooh Per Qabzaa Unhi Ka Hai
Ye Wehshat Ik Kasak Hai, Gumshuda Logoon k Khoney Ki
Ye Wehshat He Sabab Hai Is Tarha Be-Ashk Roney Ki..!!!

kis ko maluum thaa

kis ko m`aluum thaa..

yuuN hi chalte huve, raastoN meN ka`ii hamsafar jo milay
aur biChhaRte gaye

aate jaate huve mausamoN ki taraH
aap hii apni gard-e-safar ho gaye
nah kabhi maiN ne phir muR ke dekhaa unheN aur nah sochaa kabhii
woh kahaaN kho gaye
jo gaye, so gaye

phir ye kaise huvaa
yuuN hi ik ajnabi, dekhte dekhte
dil meN utraa, nazar meN samaataa gayaa
aur dhanak raNg jazbe jagaa saa gayaa
jaise baadal ko`ii, be-iraadah yuuN hi,meri Chhat pe rukaa
aur barse binaa uss pe Thehraa rahaa
kyaa tamaashaa huvaa, saamne thii nadii aur ko`ii tashna-lab
uss ko taktaa gayaa aur pyaasaa rahaa
eik lamHe meN simTegi ye daastaaN
kis ko m`aluum thaa..

..kis ko m`aluum thaa
tum milogay mujhe is tarah be-gumaaN

Jab Kabhi TuM Bikhar Kar

Jab Kabhi TuM Bikhar Kar Rone Lago,
Aur Dil GaM Aashna Hone Lage,
To Sirf........... Itna Yaad Rakhna,
Aankh Heere Ki Tarah Hia,
Aur Heere............
Yun Roya Nahi Karte...

Kabhi Sab Kuch Keh Kar

Kabhi Sab Kuch Keh Kar
Kabhi KhaMosh Reh Kar
Kabhi Bahut Door Jaa Kar
Kabhi Paas Aa Kar,
Wo Mujhe Ye Ehsaas Dilata Hai,
Ke Uski Mohabbaton Ka,
Shiddaton Ka Koi ShuMaar Nahi,
Magar Usse Puchho
Bata Kar Hi Ki Jaati Hia?
Kya Mohabbat Jata Kar Bhi Ki Jaati Hai???

Jo Shab-E-Wasl Tere Sath

Jo Shab-E-Wasl Tere Sath Maine Guzar Di
Mere JisM Pe Woh Sub RaQaM Hui
Meri Rooh-O-Jaan Mein Utar Gayi
Badi Mukhtasar Si Woh Raat Thi Jise Maine Wasl SaMajh Liya
Mera JisM-O-Jaan Tere Sath Tha Meri Rooh Tujh Pe Nihal Thi
.
.
.
Bade Purfareb Woh Pal Lage
Meri Jaan Jab Tu Qareeb Thi
Mera Reza Reza JisM Ka Teri Khushbuon Se Mahek Utha
Meri Zeest Ki Sari Udasiyan Tere Qurab Se Bahel Gayi

Tere Pyar Se
Tere Pyar Se
Meri Zindagi Ki Ye Raat Bhi TakMeel The Tere Mere Pyar Ki
Tune Paa Liya
Maine Kho Diya
.
.
.
Ye Hi Husn Is Pal Ka Tha....
Aur
.
.
Aur
Sahir Mein Sara Azab Tha
Main Wasal Jis Ko SaMajh Rahi Thi
Woh To Sare Ka Sara Hijr Tha
Aur FiraQ Tha

So Ye Tay Paya

So Ye Tay Paya,
Ke Is Shahed Bhari Neend Ka Ras
Meri Aankhon Ke Siwa Bhi Koi Pee Sakta Hai,
Aur Wo Sar-Shari
Jo Ab Tak Kisi Mantar Ki Tarah
Sirf Mujhe Padhti Thi
Ab Kisi Aur Badan Ko Bhi Yun Vird-E-Zuban Janegi
Wohi LaMhe Usi Shiddat Se
Tere Khon Mein Sitaron Ki Tarah DaMkayegi
Jinke Tanveer Abhi Tak TaQdree Rahi
Aaj MaluM Hua,
Band Palkon Ke AQab Mein Kisi Jugnu Ki Tarah,
Jisko Chupa Leti Thi Teri Palkein,
Wo Mera Aks Na Tha, Wo Meri Tasveer Na Thi,
Khwab-E-Yaktaye Ke Mere Kio Tabeer Na Thi,
Tera Dildaar TabassuM Aakhir
Uzar Se Kiya Dilke Girah Kholega,
Aankh Jab Jhuth Kahe
Aayna Kya Bolega...

Suno Ye Jo Chand Hai

Suno
Ye Jo Chand Hai Mujhe Dekh Kar
Muh Pher Leta Hai Ab
Kabhi Baagh Jaun To To Phool Bhi Shikwa Kuna
Mujhse Baat Nahi Karta Hai Ab
SaMundar Ki Taraf Niklun Kabhi
To Lehre Chhod Deti Hai Paanv Mere,
Barish Mein TaMaM Katre DaMan Bachate Hai,
Mujh Par Baraste Hi Nahi,
ShafaQ Bhi Mujhe Dekh Kar,
Chhupa Leti Hai Khudko Badal Mein,
To Dekho Yun Mujhe,
Na Door Karo TaMaM AlaM Se,
Meri Zeesat Ko Aye Nishat-E-Mun
Yun Azab Mat Kiya Karo,
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Mohabbat Mein Koi Gehrayi

Mohabbat Mein Koi Gehrayi Ab Bilkul Nahi Baaki,
Ab Atwaar Mohabbat Bhi,
Is Manind Badle,
Milo To Khush, Na Milne Par Koi Shikayat Bhi Nahi Hoti,
Kabhi Ek Hijr Hota Tha Jise Ab Gap Kehte Hai,
Maheeno Bhi Agar Mehboob Mil Nahi Paate
To Milne Par Masroofiyat Ka Uzr Chal To Jata Hai,
Isi Tarah BahaM Rabton Ka Toot Jana Ek HaQeeQat Hai,
Yehi Kuch Wo AwaMil Hai Jinhe HuM "Gap" Kehte Hai,
Ke Ab To Wasl-O-Hijr Mein Milne Na Milne Ka FaraQ Mitta

Ja Raha Hai,
Ke Do Dil WaQt Milne Par Hi Milte Hai,
TaQazon Par Nahi Milte,
Na Is Mein Khwahish ShaMil, Na Koi Aarzu-O-ArMaan,
Ke Phonic Rabte Bhi Ho Nahi Paate,
Ke Phonic Rabton Par Saal Kat Jaate Hai,
Lekin Mil Nahi Paate,
Mohabbat Mein Wo Pehle Ki Tarah Jazbaat Ki Tehreek Bhi

Paayi Nahi Jaati,
Ke Nafsanafsee Ke Is Daur Mein Itna Bhi Kafi Hai,
HaMein Koi Chahta To Hai,
Kahin Par Door Reh Kar Bhi Kisika Koi Saari UMr Rehta Hai,
Koi Pehlu Mein Rehte Hue Bhi Anjan Rehta Hai,
Mujhe Hairat Hai,
Is TaluQ Ko Mohabbat Ka NaaM Deneki Bhi Aakhir Kya

Zaroorat Hai,
Magar Shayad Zaroorat Hai,
Ke Bas Ab To Mohabbat Sirf Apne NaaM Par Zinda Hai...

Zyada Se Zyada Ye Hoga

Zyada Se Zyada Ye Hoga,
Dilki Dhadkan ThaM Jayegi,
Log Hasenge Aur Kahenge,
HuM To Pehle Hi Kehte The,
Baraf Pighal Sakti Hai Lekin,
Bhadak Uthe Ye NaMuMkin Hai,
Chhodo Jo Bhi Kehte Haikehne Do Unko,
Aao JaanaM,
Aaj Wafa Ka Aakhri Naata Tod Ke Dekhein...

Main Aur Meri Tanhaai

Main Aur
Meri Tanhaai
Shab Bhar Baatein Karte Hain
Chaand, Sitaare, Raat Ho
Sab Meri Baatein Sunte Hain
Rote Hain, Hanstey Hain
Door Ufaq Par
Subah Ka Taara Jaise Hi Chamakta Hai
Aankh Mein Thehra Aakhri Aansoo
Chupke Se Beh Jaata Hai....!

Popular Posts