Monday, April 19, 2010

Koi BeNaam Si Wehshat

Kabhi Aisa Bhe Hota Hai
Koi Benaam si Wehshat Mujhe Yoon Ghair Leti Hai
Her Ik Shey Zehar Lagti Hai
Koi Chehra,Koi Paikar Mujhey Acha Nahi Lagta
Nihayat Dilruba, Behad Hasee'n, Rangeen Qurbat Bhe
Mujhe Be-Kaif Kerti Hai
Mujhe Apni Pasandeeda Se Sorat Bhe
Pheeki Pheeki Lagti Hai
Tanaazur He Badal Jata Hai
Meri Khush Nigaahi,Khush Mizaaji Ka
Mere Sun'ny, Mere Chakhney
Mere Mehsoos Kerne Ki
Her Ik HISS Mar Se Jati Hai
Bohet Maqbool Meri Khush Kalami Bhe
Nihaayet Be-Russ, Majhool Lehja Ourh Leti Hai

Pasandeeda Mera Mashroob
Yani Aab-e-Sard-o-Sada-o-Sheeree'n Bhe
Sairaabi Nahi Deta
Zaroof-e-KhushNuma Me Bhaap Dete
Meri Maa'n k Mehrbaa'n
Or Taaq Hathoon Se Bane
Lazzat Bharey Khaanoon Ki Rughbat
Uth Se Jati Hai
Kisi K Dast-e-Nazuk Se Bani Strong Coffee Bhe
Mujhe Apne Anaari Haath Ki Chaye Si Lagti Hai

Ajab Siffaaq Wehshat Hai
Mere Dil Ki Lughat Se
Lafz "KHUSH" k Jitne Bhe Hein
Laahqey or Saabqey, Sab Cheen Leti Hai
Me Is Wehshat Se Ghabra Ker
Nishaat-e-Shair-o-Naghma Me Panaah Lene Ko Aata Hoon
Mager Ik Be-Kali
Ik Jaan Lewa Be-Kali Dasti He Rehti Hai

Nihayat Sada-o-PurKaar Lehjey Me
Bahattar "Meer" K Nishtar
Wo Dil Sozi Alamna Ki
Musalsal Aah-o-Garyaa
Yaas-o-Harmaa'n
Kuch Bhe To Maail Nahi Kerte
Meri Wehshat K Qaatil Zehr Ko Zaail Nahi Kerte

Mujhey "GHALIB" Ki Umda Shairy
Bharpoor Shookhi, DilNawazi
Falsafa, Gehraai Sab Be-Maani Lagtey Hein

Taajub Hai K "HASRAT" Ka Bohet Dilkash Tanzzul Bhe
Mere Dil Ko Nahi Chu'ta
"JIGAR" Ki Ishq Me Dobi Tarannum Raiz Ghazlein Bhe
Muhabat Ka Nasha Taari Nahi Kertien
"MAJAAZ-E-LAKHNAWI" Ki Shohra-e-Aafaaq AWAARA
Meri Wehshat K AatishDaa'n Me Eindhan Sa Bharti Hai
Mujhe "SAAHIR" Ki Dil Ko Aanch Deti Shairy
BeZaar Kerti Hai
Humarey "FAIZ SAHAB" k Bohet Madham Sulagtey Narm Lehje Ki Kasak
Yoon-he Si Lagti Hai

"Majeed Amjad" k Misroon ka Tasalsul
Munfarid Mozoo, Kamaal-e-Nazm Goi Or Taasur
Mujh Pe Koi Kaifiyat Taari Nahi Kertey

Me Apne Dil Se Aksar Pochta Hoon
Ay Dil-e-Wehshi
Ye Aalam Kese Aalam Hai
Ye Wehshat Kesi Wehshat Hai
Mujhhey Kion Gheir Leti Hai
Badan Me Goonjti, Mere Laho Me Sansanaati Hai
Ye Wehshat Kesi Wehshat Hai
Kahaan Se Ho k Aati Hai
Ye Kis Rehlat Ka Nooha Hai
Ye Kis Hasrat Ka Haasil Hai

Guzishta Shab Yehi Wehshat
Mere Dil Per Mussalat Thi
Musalsal Karwatein Thein, Jaan Lewa Be-Kali Si Thi
Achanak Dil Ki Be Tarteeb Dharkan Ne
Sakoot-e-Shab ko Yoon Tora
"Suno Haarey Howe Insaa'n !
Bhala kab Tak Tumhari Khud Faraibi
Tum Ko Is Wehshat Me Rakhey Gi
Jinhein Tum Zindagi Se Be-Dakhal Ker K
Bazaahir Faatihana Shaan Se Itraatey Phirty Ho
Abhi Tak Zehan-o-Dil Per
Rooh Per Qabzaa Unhi Ka Hai
Ye Wehshat Ik Kasak Hai, Gumshuda Logoon k Khoney Ki
Ye Wehshat He Sabab Hai Is Tarha Be-Ashk Roney Ki..!!!

No comments:

Popular Posts