mohabat aur khuwahish mein kaee bay naam rishte hein..
magar jo ghor se deekhein..
tu donoon mein bohat se fasalle bhee iss tarhan mojood hein jaise..
samandar eik hota hai..
magar uss ke kinarre.. eik dojje se sarasar..
ajnabi aur mukhtalif rastoon ko chotte hein..
so aaisa hai..
samme ke iss samandar mein..
jahan her shai badalti hai..
wahan hum tum bhee badalle hein.. badalna tha..
keh rishte bhee humarre aks ki surat..
bohat ahistagi se iss tarhan karhwat badalte hein..
basa aukat bistar per perhi chadar peh silwat tak nahin perhti..
na aankhoon mein safar karte puranne rang hi tabdeel hote hein..
na baatoon ke tasalsul mein koee dewar aati hai..
bus itna hai..
keh khuwahish ki bandh muthi se woh jo reet si pul pul..
phisalti hai ussi ke beech mein shayad woh jazba bhee kaheen hota hai..
jisko pyar kehte hein..
mohabat naam hai jiska..
kabhi aaisa bhee hota hai..
humein khud aapne haathon se pheesalti reet ki..
reezish ka andaza nahin hota..
magar woh girti rehti hai..
kabhi hum usko phir se jamma karne aur othanne ke liye..
koshish bhee karte hein..
magar dinn raat ki sarkish hawaein..
iss qadar mitti orhati hein keh kuch bhee ho nahin pata..
yeh dil faryad tu karta hai laikin ro nahin pata..
tu woh aanso..
keh jinko iss phisilti reet mein bikhari mohabat ko..
dobara zindagi daina tha aur shadab karna tha..
nahin behte..
wohi aankhein keh jin mein her gharhi shamein se jalti theen..
onhein chehroon peh hoti hein magar onn mein..
mohabat aur tailooq ki purai lo nahin hoti..
zamana.. onn ke andar se guzar kar khud tu janne kis taraf jata..
kahan bisraam karta hai..
magar uss ke.. gubar-e raah mein uljhe raste..
kaee chehre badalte hein..
mohabat karne wallay shaks aur onn ki mohabat bhee..
badalte waqt ki yalghar se bachne ki khatir eik..
naee surat mein dhalte hein..
wafa.. harre howe maidan se jo parchum othati hai..
onhein lashkar nahin milta..
guzarte waqt ke aashoob mein chehra badalta hai..
tu phir paikar nahin milta...
so jaan-e ja'an.. agar hum tum..
badalte waqt ki iss teez andhi mein abhi tak eik hein..
aur eik dojje ke liye be chaein rehte hein..
tu shayad yeh humare bakht ki khobbi.. humari khushnaseebi hai..
keh hum donno guzarte waqt ki sarkash rawani mein..
bahe.. batakte tu hein laikin..
humare sahiloon ka rukh kissi lahme nahin badalla..
yeh husn-e itafaq aaisa hai jo qismat se milta hai..
bohat karhwa sahee laikin yehi saab se barha saach hai..
keh jo lamha guzar jaee..
woh kitna bhee moqadus.. qeemati ya khubsurat ho..
kabhi wapis nahin aata..
mohabat aur khuwahish aur onn ke darmiyaan phaeele howe..
bay naam rishte bhee.. inheen cheezoon mein shamil hein..
jinhein yeh waqt ka darya..
humare chahne.. na chahne se bay niaz-o bay khabar ho kaar..
purani diary.. pichle calendaroon ki tarhan tabdeel karta hai..
isse eik mojza kahiye..
keh khwahish ke safar mein humne jitne morh katte..
jis qadar rahwar badle hein,,
woh sab eik saath badle hein..
na girti reet badli hai.. na aapne haath badle hein..
isse eik mojza kahiye..