Chand sa badn koi
aankh ki haveli main
roz aise aata hai
noor phail jata hai
roshni si hoti hai
aankh ki siahi main
aankh khulne lagti hai
aur hamari palkun ka saath choat jata hai
......................khaab toot jata hai
Khaab toot jana bhi
ek ajab aziyyat hai
neend aksar ankhun me
bain karne lagti hai
matmi si ankhun me
ek shakal ubharti hai
ajnabi se chehre ko kaun yaad rakhta hai
yaad phir bhi karna hai
aik khaab utrna hai
aik khaab ki khatir
raat waza karte hai
aur sone lagte hain
khahishun k jangal me
phir se chalne lagte hain
khahishun k jangal me
raste nahin hote
bhoolne k dar se ham
khud hi laut aate hain
khahishun k jangal se
tab koi bulata hai
bhoolne k dar se ham
phir wahan nahin jate
ham wahan na jain to koi rooth jata hai
aur phir achanak hi khaab toot jata hai
No comments:
Post a Comment