merey sAhiR teri aankhain
ye keysa dard rakhti hain
inhain likhney ki chahat main
meri porain thakeen kitna
inhain parhney ki chahat main
meri aankhain jaleen kitna
main likh likh kar teri aankhian
sunati thi jo duniya ko
zamana rukti sanson main
teri aankhon ko sunta tha
teri aankhon key sagar main
zamanay doob jatey they
jo tujh ko yaad rakhtey they
wo khudh ko bhool jatey they
kisi shab AIk saa'at main
teri aankhon sey soi thi
to jitney khuaab bhi dekhey
main pehron in pey roi thi
teri aankhon sey takra kar
to sapney toot jatye hain
merey sAhiR teri aankhain
ye keysa dard rakhti hain ...
ye sapney aurh bhi lain to
kisi taabeer ka sooraj
inhain soney nahi deyta
kisi sheeshey sey manzar par
teri aankhain jo uth jain
wo sheesha zard ho jaye
misaal e dard ho jaye
teri aankhon ki mehroomi
kisi chehrey ki doulat sey
kion janey kam nahi hoti
ye sadiyon ka safar aurhye
larazti narm palkon main
zamana saaz si aankhain
na janey kab sey pathar hain
kion janey nam nahi hoteen
ye socha tha kabhi main ney
yehi kuch main ney socha tha
key chahon to faqat ik lams dey kar hi
inhian phir sey jaga daloon
main iss gum sum sey pathar ko
mehz choo kar rulaa daloon
main in aankhon main likha dard
mohabat sey mita daloon
magar jab roobaroo paya
teri aankhon ko meri jaaN
teri aankhain meri aankhon main
jesey jazb hoti theen
main khud ko bhool bethi thi
mujhey TUM yaad rehtey they
teri aankhon key dukh dariya
meri aankhon sey behtey they
meri aankhain bhi ab bilkul
teri aankhon si lagti hain
wohi hasrat wohi wehshat
wohi chup chaap pathar si....
key jiss manzar par uth jain
aseer e dard kar jain ..
main jab sey soch main gum hoon
mujhey kuch tu hi samjha dey
merey sAhiR teri aankhain
ye keysa dard rakhti hain ...??
No comments:
Post a Comment