Tuesday, June 8, 2010

mujhay aksar woh kehti thi mohabbat kuch nahi hoti

mujhay aksar woh kehti thi mohabbat kuch nahi hoti
hijr ka khauf be-matlab vasl k khawab be-maani
koi soorat nigahon main kahan din raat rehti hay
usay kiun khamoshi kahiye k jis main baat rehti hay
yeh aansoo be-zuban aansoo bhala kia bol saktay hain
kahan dil main kisi ki yaad se toofaan uthtay hain
kahan palkon k saaye main nami din raat rehti hay
kahan hoti hain woh aankhain jahan barsaat rehti hay
mujhay aksar woh kehti thi mohabbat kuch nahi hoti
magar jab aaj barson baad main ne us ko dekha hay
k us ki jheel aankhon main hijr ka khauf rehta hay
vasl k khawab rehte hain wahan barsaat rehti hay
yun lagta hay kayee raaton se woh soyee nahi shayad
yun lagta hay kisi ki yaad ab din raat rehti hay
or us ki narm palkon k haseen saye bhi geelay hain
or us ki khamoshi aisi k jis main baat rehti hay
mujhay ab woh nahi kehti mohabbat kuch nahi hoti
k ab shayad mohabbat ki woh sab ramzain samajhti hay......!!!

No comments:

Popular Posts