Tuesday, June 8, 2010

Jeenay waalay qaza say dartay hain

Jeenay waalay qaza say dartay hain
Zehar pi kar dawa say dartay hain

Zaahidon ko kisi ka khauf nahi
Sirf kaali ghata say dartay hain

Ahh!!--jo kuch kahay humain manzoor
Naik banday khuda say dartay hain

Dushmanon kay sitam ka khauf nahi
Doston ki wafa say dartay hain

Azm-o-himmat kay bawajood 
Ishq ki ibteda say dartay hain

No comments:

Popular Posts