Hai wohi aasmaan, zameen wohi
Maah-o-anjum ussi tarah raushan
Kehkashaan ab bhi muskuraati hai
Phool kaleyaan mehak rahi hain yunhi
Baad muddat ke saaray pardesi
Apne apne gharoon ko aaye hain
Har taraf rang-o-bou ka mela hai
Aur tanha mein apne kamre mein
Kab se beta hoon aur soch raha hoon
Jaanay kya baat hai ke ghar mein mere
Jo guzashta barass thee raunaq
Ab woh kaheen bhi nazar nahee aati
Hai fiza mein ek ajeeb sa san'naatta
Haan faqat ek tere chale jaanay se
Aisa mehsoos horaha hai mujhe
Rutt khushi ki har taraf tu aee hai
Sirf chote se mere aangan mein
Eid ab ke baras nahee aee...
No comments:
Post a Comment