Tuesday, June 8, 2010

Akhri chand din december k


Akhri chand din december k
Har baras hi giraan guzartay hain
Khawahisho k nigaar khanay se
Kaise kaise gumaan guzarta hain
Ruftgaan k bikhray saayon ki
Aik mehfil si dil main sajti hai
Kitnay number pukartay hain mujhay
Jin se marboot bay nava ghanti
Ab fakat mere dil main bajti hai
Kis qadar pyaaray pyaaray naamon per
Raingti badnumaan si lakeerein
Meri aankhon main phail jaati hain
Dooriyaan dairay banati hain
Dihaan ki serrhiyon per kia kia aks
Mashalein dard ki jalatay hain
Naam jo kat gaaye hain unkay hurf
Aisay kaghaz per phail jaatay hain
Hadsay k muqaam per jaisay
Khoon sukhtay nishano per
Chawk se linay lagatay hain
Phir December k akhiri din main
Har baras ki tarhaan ab k bhi
Diary aik sawaal karti hai
Kya khabar uskay aagay tak
Meray un bay chiraagh safon se
Kitnay hi naam kat gaye hongay
Kitnay number bikhar kar raston per
Gard-e-maazi se aat gaye hongay
Khak k dhairon k daman main
Kitnay toogaan simat gaaye hongay
Har December main sochta hun
Aik din is tarhaan bhi hona hai
Rang ko roshni main khona hai
Apnay apnay gharon main rakhi hui
Diary dost dekhtay hongay
Un aankhon k khak daano main
Aik sehra sa phelta hoga
Aur kuch be nishaan safhon say
Naam mera bhi kat gaya hoga!

No comments:

Popular Posts